Friday, 3 April 2015

Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja..

Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja,

Woh jo mil geya ussay yaad rakh jo nahin mila ussay bhool ja,


Woh tere naseeb ki barishen kisi aur chhhat pe barass gayin,

Dil-e-bekhabar meri baat sun ussay bhool ja ussay bhool ja,


Main tou gum tha tere hi dheyan main teri aas tere gumaan me,

Sabaa keh gayi mere kaan me mere sath aa ussay bhool ja,


Kisi aankh main nahin ashk-e-gham tere baad kuch bhi nahin hai kamm,

Tujhe zindagi ne bhulaa diya tu bhi muskuraa ussay bhool ja,


Kahin chaak-e-jaan ka rafuu nahin kissi aasteen pe lahuu nahin,

Ke shaheed-e-raah-e-malaal ka nahin khuun bahaa ussay bhool ja,


Kyun attaa hua hai ghubaar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein,

Woh jo dard tha tere bakht main so woh ho geya ussay bhool ja,


Woh na aankh hi teri ankh thi woh na khawb hi tera khawb tha,

Dil-e-muntazir to yeh kis liye tera jaagna ussay bhool ja,


Tou yeh hai kis liye shab-e-hijar ke ussay har sitare me dekhna,

Woh falak ke jiss pe mile they hum koi aur tha ussay bhool ja,


Tujhe chaand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khillaa tha jo,

Woh tha aik daryaa visaal ka sau utar geya ussay bhool ja..


The post Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja.. appeared first on Ranjish.com.


0 comments:

Post a Comment