This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Tuesday 31 March 2015

Dil me aur to kya rakha hai..

Dil me aur to kya rakha hai,

Tera dard chupaa rakha hai,


Itne dukhon ki taiz havaa me,

Dil ka deep jalaa rakha hai,


Dhoop se chehron ne duniya me,

Kyaa andhair machaa rakha hai,


Iss nagrii ke kuch logon ne,

Dukhh ka naam davaa rakha hai,


Vaada-e-yaar ki baat na cherro,

Yeh dhokaa bhi khaa rakha hai,


Bhool bhi jaao beeti baaten,

In baaton me kyaa rakha hai,


Chup chup kyun rehte ho “nasir”,

Yeh kya rog lagaa rakha hai..


The post Dil me aur to kya rakha hai.. appeared first on Ranjish.com.


Monday 30 March 2015

Baar’haa iss saadgi pe khud hanssi aayi mujhe..

Baar-haa iss saadgi pe khud hanssi aayi mujhe,

Kar raha hoon kis zamaane mein wafaa ki baat..


The post Baar’haa iss saadgi pe khud hanssi aayi mujhe.. appeared first on Ranjish.com.


Andar ka zeher choom liya dhhul ke aa gaye..

Andar ka zeher choom liya dhhul ke aa gaye,

Kitne shareef log they sab khhul ke aa gaye,


Suuraj se jangg jeetne nikle they bewaqoof,

Saare sipaahi mom ke they ghhul ke aa gaye,


Masjid me door door koi duusra na tha,

Hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gaye,


Neendon se jang hoti rahegi tamaam umar,

Aaankhon me band khawb agar khhul ke aa gaye,


Suuraj ne apni shakal bhi dekhi thi pehli baar,

Aayine ko maze bhi taqaabul ke aa gaye,


Anjaane saaye phirne lage hain idhar udhar,

Mausam hamare sheher me kaabul ke aa gaye..


Sunday 29 March 2015

Cigarette jalaaye betha hoon…

Cigarette jalaaye betha hoon, chand pal sajaye betha hoon,

Dhuyen se is ke aye humdum, teri suurat banaye betha hoon,


Yeh jaanta to hoon main ke hai aadat bohat buri yeh,

Pr aadatan hi to main duniya bhulaaye betha hoon,


Nafrat thi na tumhe bhi, cigarette ke iss dhuyen se,

Dekho ke baad muddat nafrat jagaaye betha hoon,


Ik woh bhi waqt tha ke dil jalta tha iss dhhuyen se,

Aaj khud hi apne haath se dil ko jalaaye betha hoon,


Keh de koi to jaa ke mere hamnasheen ko maani,

Aa ke sambhaale mujh ko, main zindagi bhulaye betha hoon..


Bataayen kya yaaro, kahan thehre kahan pohanche..

Bataayen kya tumhe yaaro, kahan thehre kahan pohanche,

Hazaaron daastaanen hain saffar ke saath waabasta..


Baat phoolon ki suna karte they..

Baat phoolon ki suna karte they,

Hum kabhi sher kaha karte they,


Mish-alen le ke tumhare gham ki,

Hum andheron me chala karte they,


Ab kahan aisi tabiyat vaale,

Chott khaa kar jo jua karte they,


Tark -e- ehsaas-e-mohabbat mushkil,

Haan magar ehl-e-wafaa karte they,


Bikhri bikhri hui zulfon vaale,

Qaafile rok liya karte they,


Aaj gulshan me shagufay “saghar”,

Shikva e baad-e-sabaa karte they..


Saturday 28 March 2015

Apne maahol se manuuss nahin hain ab tak..

Apne maahol se manuuss nahin hain ab tak,

Hum kissi aur kahani ki to kirdaar nahin ?..


Aakhri baar aaah kar li hai..

Aakhri baar aaah kar li hai,

Maine khud se nibaah kar li hai,


Apne sar ik balaa to leni thi,

Maine woh zulff apne sar li hai,


Din bhalaa kis tarah guzaro ge,

Vasl ki shab bhi ab guzaar li hai,


Jaan-nisaaron per vaar kya karna,

Maine bass hat me sipar li hai,


Jo bhi maango udhaar doon ga main,

Uss gali me dukaan kar li hai,


Mera khashkol kab se khaali hai,

Maine iss me sharaab bhar li hai,


Aur to kuch nahin kiya mene,

Apni haalat tabaah kar li hai,


Shaikh aaya tha mohtasib ko liye,

Maine bhi un ki woh khabar li hai..


Friday 27 March 2015

Aye raat mujhe maan ki tarah goad mein lele..

Aye raat mujhe maan ki tarah goad mein lele,

Din bhar ki mushaqqat se badan toott raha hai..


Ajnabi khawhishen seene me dabaa bi na sakoon..

Ajnabi khawhishen seene me dabaa bi na sakoon,

Aese zidii hain parinde ke urraa bhi na sakoon,


Phoonk daalunga kisi roz main dil ki duniya,

Ye tera khat to nahin hai ke jalaa bhi na sakoon,


Meri ghairat bhi koi shai hai ke mehfil me mujhe,

Uss ne is tarah bulaaya hai ke jaa bhi na sakoon,


Phhal to sab mere darakhton ke pakke hain lekin,

Itni kamzor hain shaakhain ke hilaa bhi na sakoon,


Ik na ik roz kahin dhoond hi loon ga tujh ko,

Thokren zeher nahin hain ke main khaa bhi na sakoon..


Ab takk to khair teri tamanna main katt gayi..

Ab takk to khair teri tamanna main katt gayi,

Tu mil geya to sochta hoon kya karoon ga main..


Thursday 26 March 2015

Ab to kar lijiye aap samaat qissa ishq ka..

Ab to kar lijiye aap samaat qissa ishq ka,

“aaah” tak le aaye hain hum mukhtsir karte huye..


Wednesday 25 March 2015

Aap ke qurb se pehle mujhe maloom na tha..

Aap ke qurb se pehle mujhe maloom na tha,

Zindagi itni dil-awaiz bhi ho sakti hai..


Ae jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaye..

Ae jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaye,

Manzil ke liye do gaam chaloon aur samne manzil aa jaye,


Ae dil ki khalish chal yoon sahi chalta to hoon un ki mehfil me,

Us waqt mujhe chaunkaa dena jab rang pe mehfil aa jaye,


Ae rehbar -e- kaamil chalne ko tayaar to hoon pr yaad rahe,

Us waqt mujhe bhatkaa dena jab saamne manzil aa jaye,


Haan yaad mujhe tum kar lenaa awaz mujhe tum de lena,

Iss raah-e-mohabbat me koi darpaish jo mushkil aa jaye,


An kyon dhoondoon woh chashm -e-karam hone de sitam balaa-e- sitam,

Main chahta hoon aj jazba-e-gham mushkil pass-e-mushkil aa jaye,


Iss jazba-e-dil ke baare me ik mashwara tum se laita hoon,

Us waqt mujhe kya laazim hai jab tujh pe mera dil aa jaye,


Ae barq -e- tajalli kyaa tuu ne mujh ko bhi muusa samjha hai,

Main tuur nahin jo jall jaaon jo chaahe muqabil aa jaye,


Aata hai jo tuufan aane do kashti ka khuda khud hafiz hai,

Mushkil to nahin in maujon me behtaa hua saahil aa jaye..


Tuesday 24 March 2015

Kuch doston ne haath me pathar utthaa liye…

Aaya hi tha abhi mere labb pe wafaa ka naam,

Kuch doston ne haath me pathar utthaa liye..


Monday 23 March 2015

Ab na behel sake ga dil ab na diye jalayiye..

Ab na behel sake ga dil ab na diye jalayiye,

Ishq o havass hain sab faraib aap se kya chupaayiye,


Uss ne kaha ke yaad hain rang tuluu-e-ishq ke,

Main ne kaha ke chooriye ab unhe bhool jaayiye,


Kaise nafees they makaan saaf tha kitna aasmaan,

Main ne kahaa ke woh samaan aaj kahan se laayiye,


Kuch to suraagh mil sake mausam-e-dard-hijr ka,

Sang -e- jamaal- e-yaar pr naqssh koii banaayiye,


Koi sharar nahin bachaa pichle barass ki raah me,

Ham-nafasaan-e-shola-khuu aag nahii jalaayiye..


Qaffass main qaid karo ya hamen qaid karo..

qaffas main qaid karo

Qaffass main qaid karo ya hamen qaid karo,

Tumhare jaal main aaye huye parinde hain..


Jalwon ki sazishon ko na rakho hijab mein..

Jalwon ki sazishon ko na rakho hijab mein,

Ye bijliyaan hein ruk na saken gi naqaab mein!


Jay bolaan tey maaar dein ge..

Sochaan di aeh mayyiat chaa ke hun main kerre ghar jawaan ga,

Jay bolaan tey maaar dein ge, na bolaan tey mar jaawan ga..


Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi..

Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi,

Woh nigaah-e-shoq se door hai, rag-e-jaan se laakh qareen sahi,


Humen jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi,

Humen aap kheenchiye daar pr, jo nahin koi to humii sahi,


Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, humen intizaar qabool hai,

Woh kabhi mile woh kahin mile, woh kabhi sahi woh kahin sahi,


Na ho un pe kuch mera bass nahin, ke yeh ashiqui hai havass nahi,

Main unhi ka tha main unhi ka hoon, woh mere nahi to nahi sahi,


Mujhe bethne ki jagha mile, meri aarzuu ka bharam rahe,

Teri anjuman me agar nahin, Teri anjuman ke qareen sahi,


Tera dar to na hum ko mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi,

Humen sajdaa karne se kaam hain, jo wahan nahin to yahin sahi,


Unhe dekhne ki jo lau lagi, to Naseer dekh hi lain ge hum,

Woh laakh aankh se door hon, woh hazaar parda-nasheen sahi..




Sunday 22 March 2015

Bohat tareek sehraa ho geya hai..

Bohat tareek sehraa ho geya hai,

Havaa ka shor gehraa ho geya hai,


Kisi ke lamss ka yeh mojza hai,

Badan saara sunehra ho geya hai,


Yeh dil dekhoon ke jis ke chaar janib,

Teri yaadon ka pehraa ho geya hai,


Wohi hai haal-o-hadh me roshni si,

Pr til aankhon ka gehraa ho geya hai,


Kabhi uss shakss ko dekha hai tum ne,

Mohabbat se sunehraa ho geya hai..


Khushbuu to saans lene ko thehri raah mein..

Khushbuu to saans lene ko thehri raah mein,

Hum bd-gumaan aise ke ghar ko palatt gaye..


Ab to ghabraa ke yeh kehte hain ke mar jaayenge..

Ab to ghabraa ke yeh kehte hain ke mar jaayenge,

Mar ke bhi chain naa paaya to kidar jaayenge,


Tum ne thehraayi agar ghair ke ghar jaane ki,

To iraade yahan kuch aur theher jaayenge,


Khaali ae charagaro honge bohat marham-daan,

Pr mere zakham nahin aise ke bhar jaayenge,


Pohanchenge rahguzar -e-yaar talak kyun kar hum,

Pehle jab tak na do aalam se guzar jaayenge,


Shola-e-aah ko bijlii ki tarah chamkaaun,

Pr mujhe ddar hai ke woh dekh ke ddar jayenge,


Hum nahin woh jo karen khoon ka daavaa tujh per,

Balke pooche ga khuda bhi to mukar jaayenge,


Aag dozakh ki bhi ho jaayegi paani paani,

Jab yeh asi araq-e-sharam se tar jaayenge,


Nahin paaye ga nishaan koi hamara hargiz,

Hum jahaan se ravish-e-teer-e-nazar jaayenge,


Saamne chashm-e-gohar-baar ke keh do dariyaa,

Charrh ke gar aaye to nazron se utar jaayenge,


Laayi jo mast hain turbat pe gulaabi aankhen,

Aur agar kuch nahin do phool to dhar jayenge,


Rukh -e-roshan se naqaab apne ulatt dekho tum,

Mehr-o-maah nazron se yaaron ki utar jaayenge,


Hum bhi dekhnege koi ehl-e-nazar hai ke nahin,

Yaan se jab hum ravish-e-teer-e-nazar jaayenge,


“Zauq” jo madrasse ke bigrre huye hain mulla,

Un ko mai-khane me le aaon sanwar jaayenge..


Saturday 21 March 2015

Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye.

Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye,

Taqdeer teri chaal pe hum raqss kar gaye,


Panchhii bane to rifat-e-aflaak par urre,

Ehl-e-zameen ke haal pe ham raqss kar gaye,


Kaanton se ehtijaaj kiya hai kuch is tarah,

Gulshan kii ddaal ddaal pe hum raqss kar gaye,


Vaayez fareb-e-shoq ne hum ko lubhaa liya,

Firdous ke khayaal pe ham raqss kar gaye,


Har aitbar husn-e-nazar se guzar gaye,

Har halqa-e-haa-e-jaal pe ham raqss kar gaye,


Maanga bhi kya to qatra-e-chashm-e-tasarufaat,

Saaghar tere sawaal pe hum raqss kar gaye..


Khayal tark-e-muhabbat baja sahi lekin..

Khayaal tark-e-muhabbat bajaa sahi lekin,

Huyi na yuun bhi hamari guzzar to kya ho ga..


Friday 20 March 2015

Visaal ki khawhish..

Keh bhi de ab woh sab baaten,

jo dil me posheeda hain,

saare roop dikha de mujh ko,

jo ab tak naadeeda hain,

ek hi raat ke taare hain,

hum dono us ko jaante hain,

duuri aur majbuuri kya hai,

us ko bhi pehchante hain,

kyuun phir dono mil nahin sakte,

kyuun yeh bandhan toota hai,

yaa koii khott hai tere dil me,

yaa mera gham jhootta hai..


Aks-e-khushbuu hoon bikharne se na roke koi..

Aks-e-khushbuu hoon bikharne se na roke koi,

Aur bikhar jaaon to mujh ko na samaitte koi,


Kaamp uthti hoon main yeh soch ke tanhai main,

Mere chehre pe tera naam na parrh le koi,


Jis tarah khawb mere ho gaye raiza raiza,

Uss tarah se na kabhi toot ke bikhre koi,


Main to uss din se hiraasaan hoon ke jab hukm mile,

Khushk phoolon ko kitaabon me na rakhe koi,


Ab to iss raah se woh shakss guzarta bhi nahi,

Ab kis umeed pe darwaaze se jhaanke koi,


Koii aahatt koi awaz koi chaap nahin,

Dil ki galiyaan barri sunsaan hain aaye koi..


Thursday 19 March 2015

Ab yeh mausam meri pehchaan tallab karte hain..

Ab yeh mausam meri pehchaan tallab karte hain,

Main jab aaya tha yahan taaza hawaa laya tha..


Wednesday 18 March 2015

Main to us ke aik ik lamhe ka rakhta hoon shumaar..

Main to us ke aik ik lamhe ka rakhta hoon shumaar,

Aur mere haal-e-dil se bekhabar kesa hai woh..


Bhulaa bethe hain apne aap ko bhi..

Bhulaa bethe hain apne aap ko bhi,

Kuchh aese kaam me uljhe huye hain..


Agarche tujhse bohat ikhtilaaf bhi na hua..

Agarche tujhse bohat ikhtilaaf bhi na hua,

Magar yeh dil teri janib se saaf bhi na hua,


Taluqaat ke barzakh main hi rakha mujh ko,

Woh mere haq main na tha aur khilaaf bhi na hua,


Ajab tha jurm-e-mohabbat ke jis pe dil ne mere,

Sazaa bhi paayi nahin aur maaf bhi na hua,


malaamton main kahan saans le saken ge woh log,

Ke jin se kuye-jafaa ka tawaaf bhi na hua,


Ajab nahin hai ke dil par jammi mili kaayi,

Bohat dinon to yeh hozz saaf bhi na hua,


hawaa-e-dakhar humen kis liye bujhati hai,

Humen to tujhse kabhi ikhtilaaf bhi na hua..


Aik misraah hai zindagi meri..

Aik misraah hai zindagi meri,

aap chaahen to sher ho jaye..


Tuesday 17 March 2015

Dastoor-e-sitam me kya kya baab izaad huye..

Ab ke baras dastoor-e-sitam me kya kya baab izaad huye,

Jo qaatil the maqtool huye, jo said they ab sayyaad huye,


Pehle bhi khizaan me baagh ujrre pr yoon nahin jese ab ke baras,

Saare bootte pata pata ravish ravish barbaad huye,


Pehle bhi tavaaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat walon ki,

Ham tum se pehle bhi yahaan “mansoor” huye “farhaad” huye,


Ik gul ke murjhaane pr kyaa kya gulshan me kohraam macha,

Ik chehra kumhlaa jaane se kitne dil nashaad huye,


Faiz na hum “yusuf” na koi “yaqub” jo hum ko yaad kare,

Apni kya kanaaan me rahe ya misr me jaa abaad huye..


Aankh me paani rakho hontton pe chingaari rakho..

Aankh me paani rakho hontton pe chingaari rakho,

Zinda rehna hai to tarkeeben bohat saari rakho,


Raah ke pathar se barrh kr kuch nahin hain manzilen,

Raaste awaz dete hain safar jaari rakho,


Ek hi nadii ke hain yeh do kinaare dosto,

Dostaana zindagi se maut se yaari rakho,


Aate jaate pal yeh kehte hain hamare kaan me,

Kuch kaa ailaan hone ko hai tayaari rakho,


Yeh zaroori hai ke aankhon ka bharam qaayem rahe,

Neend rakho ya na rakho khawb mayaari rakho,


Yeh havaayen urr na jaayen le ke kaghaz ka badan,

Doston mujh pr koi pathar zara bhaari rakho,


Le to aaye shayari bazaar me “rahat” miaan,

Kya zaroori hai ke lehje ko bhi bazaari rakho..


Aakhir ko thhak ke beth gayi ik maqaam per..

Aakhir ko thhak ke beth gayi ik maqaam per,

Kuch dair mere saath chali rahguzar bhi..


Monday 16 March 2015

Apne yaaron ki tabiyat se shanaasa hoon main..

apne yaar poetry

Apne yaaron ki tabiyat se shanaasa hoon main,

Ab taluq pe mujhe vaar diya jaaye ga..


Ab yeh aalam hai ke suurat hi nazar aa jaye.

Ab yeh aalam hai ke suurat hi nazar aa jaye,

Woh mohabbat bhi kare “shaaz” yeh kab kehta hon..


Dono jahaan teri mohabbat main haar ke..

Dono jahaan teri mohabbat main haar ke,

Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke,


Veeran hai mai-kada khoom o saaghar udaas hain,

Tum kya gayee ke rooth gaye din bahaar ke,


Ik fursat-e-gunaah mili woh bhi chaar din,

Dekhe hain ham ne hausle parvardigaar ke,


duniya ne teri yaad se begaana kar diya,

Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke,


Bhoole se muskuraa to diye they woh aaj “faiz”,

Mat pooch valvale dil-e-naa-kardaa-kaar ke..


Sunday 15 March 2015

Bhool gayi woh shakal bhi aakhir..

Bhool gayi woh shakal bhi aakhir,

Kab tak yaad koi rehta hai..


Sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon..

Ajeeb khawhish hai sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon,

Tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka intisaab likhoon,


Woh lamha kitna ajeeb tha jab hamari aankhen gale mili theen,

Main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ka azaab likhoon,


Tumhi ne mere ujaarr raston pe khawhishon ke diye jalaaye,

Tumhi ne chaaha tha khushhk honton se chahton ke gulaab likhoon,


Kabhi woh din they ke neend aankhon ki sarhadon se pare pare thi,

Magar ab jab bhi sona chaahon tumhari yaadon ke khawb likhoon,


Main tanha larrki dayaar -e-shab main jalaaon sach ke diye kahan tak,

Siyaah-kaaron ki saltanat me main kis tarah aftaab likhoon,


Qayaadton ke junoon main jin ke qadam lahuu se range huye hain,

Yeh mere bass main nahin hai ke logo ko izzat-maab likhoon,


Yehi bohat hai ke in labon ko sadaa se mehroom kar ke rakh doon,

Magar yeh kesi musaalahat hai samandron ko saraab likhoon..


Khud-gharziyon ke thehre paani me..

Anaaaon, nafraton, khud-gharziyon ke thehre paani me,

Mohabbat gholne waaley barre darvaish hote hain..


Aaj to be-sabab udaas hai jee..

Aaj to be-sabab udaas hai jee,

Ishq hota to koi baat bhi thee,


Jaltaa phirta hoon main do-pehron me,

Jaane kya cheez kho gayi merii,


Wahin phirta hoon main bhi khaak-bassar,

Iss bhare sheher main hai aik galii,


Chhupta phirta hai ishq duniya se,

Phailti jaa rahi hai ruswaayi,


Hum-nasheen kya kahoon ke woh kya hai,

Chorr yeh baat neend urrne lagii,


Aj to woh bhi kuch khamosh sa tha,

Maine bhi uss se koi baat na kee,


Ek dum us ke hont choom liye,

Yeh mujhe baithe baithe kya soojhee,


Ek dum us ka haath chorr diya,

Jaane kya baat darmiyaan aayii,


Tu jo itna udaas hai “Nasir”

Tujhe kya ho gayaa bataa to sahii..


Saturday 14 March 2015

Ab jo koi pooche bhi to us se kya sharaah-e-halaat kahen…

Ab jo koi pooche bhi to us se kya sharaah-e-halaat kahen,

dil thehre to dard sunaayen dard thamme to baat karen,


shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifaan roshan ki,

ghar ko aag lagaayen ham bhi roshan apni raat kahen,


qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahuu apni gardan par,

mohr-ba-lab bethe hain kis ka shikva kis ke saath karen,


hijr main shab bhar dard-o-talab ke chaand sitaare saath rahe,

subh ki viraani me yaaro kaise basar aukaat karen..


Yoon mohabbat se na hum khana-badoshon ko bulaa..

Yoon mohabbat se na hum khana-badoshon ko bulaa,

Itne saada hain ke ghar baaar uthaa laayen ge..


Friday 13 March 2015

Ab woh galiyan woh makaan yaad nahin..

Ab woh galiyan woh makaan yaad nahin,

Kaun rehta tha kahan yaad nahin,


Jalva-e-husn-e-azal they woh dayaar*,

Jin ke ab naam-o-nishaan yaad nahin,


Koii ujlaa sa bhalaa sa ghar tha,

Kis ko dekha tha wahaan yaad nahin,


Yaad hai zeena-e-pechaan* us kaa,

Dar-o-deewar-e-makaan yaad nahin,


Yaad hai zamzama-e-saaz-e-bahaar,

Shor-e-awaaz-e-khizaan yaad nahin..


(dayaar:elaaqa, region, zeena-e-pechaan:seerrhyan, staircase)


Thursday 12 March 2015

Ab hum visaal-e-yaar se baizaar hain bohat..

Ab hum visaal-e-yaar se baizaar hain bohat,

Dil ka jhukao hijar ki janib balaaa ka hai..


Ae sanam vasal ki tadbeeron se kya hota hai..

vasal ki tadbeeron se kya hota hai

Ae sanam vasal ki tadbeeron se kya hota hai,

Wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai..


Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain..

Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain,

Saaf chupte bhi nahi saamne aatey bhi naheen..


Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako..

Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako,

Mumkin hai tum bhi koi ishara na kar sako,


Mumkin hai zeher de ke ataa kar do zindagi,

Mumkin hai yeh karam bhi dobara na kar sako,


Mumkin hai mera hukam bhi tum ko bhi kabool ho,

Mumkin hai iltijaa bhi gavaara na kar sako,


Mumkin hai do qadam pe badal jao raasta,

Mumkin hai umar bhar bhi kinaara na kar sako,


Mumkin hai mere baghair bhi bassar kar lo zindagi,

Mumkin hai apne saath bhi guzaara na kar sako..


Wednesday 11 March 2015

Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua..

Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua,

Is dil ki jheel si ankhon main ik khawb bohat barbaad hua,


Yeh hijr-hava bhi dushman hai is naam ke saare rangon ki,

Woh naam jo mere honton pr khushbuu ki tarah abaad raha,


Us sheher me kitne chehre they kuch yaad nahi sab bhool gaye,

Ik shakss kitabon jesa tha woh shakss zubaani yaad hua,


Woh apne gaaon ki galiyan thi dil jin main nachta gaata tha,

Ab iss se fark nahi parta nashaad hua ya shaad hua,


Benaam satayesh rehti thi in gehri saanvli aankhon main,

Aissa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua..


Manzil ka pata hai na kisi raahguzar ka..

Manzil ka pata hai na kisi raahguzar ka,

Bass aik thakan hai ke jo haasil hai safar ka..


Tuesday 10 March 2015

Tere gale main jo baahon ko daal rakhte hain..

Tere gale mein jo bahon ko dal rakhte hain

Tujhe manane ka kesa kamal rakhte hain


Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum

Bohat se kaam muqadar par tal rakhe hain


Koi bhi fesla hum soch kar nahin karte

Tumhare naam ka sika uchhal rakhte hain


Tumhare baad ye aadat si ho gayi apni

Bikharte sookhtey patey sanbhal rakhte hain


Khushi si milti hai khud ko azyaten de kar

So jaan boojh kar dil ko nidhal rakhte hain


Kabhi kabhi wo mujhe hans kar dekh lete hain

Kabhi kabhi mera behad khayal rakhte hain


Tumhare hijar mein ye haal ho gaya apna

Kisi ka khat ho usey bhi sanbhal rakhte hain


Khushi mile to tere baad khushi nahin hoti

Hum apni aankh mein har dam malal rakhte hain


Zamane bhar se bacha kar wo apne aanchal mein

Mere wajood ke tukre sanbhal rakhte hain


Kuch is liye to behal ho gaye hum log

Tumhare yaad ka be had khayal rakhte hain



Sheher sunsaan hai kidar jaayen..

Sheher sunsaan hai kidar jaayen,

Khaak ho kar kahin bikhar jayen,


Raat kitni guzar gayi lekin,

Itni himat nahin ke ghar jayen,


Yoon tere dheyaan se laraztaa hoon,

Jaise patey hawaa se ddar jayen,


Un ujaalon ki dhun main phirta hoon,

Chhab dikhate hi jo guzar jayen,


Rein andheri hai aur kinaara door,

Chaand nikle to paar utar jayen..


Aaj aansuu tum ne poncchhe bhi to kya..

Aaj aansuu tum ne poncchhe bhi to kya,

Yeh to apna umr bhar ka kaam hai..


Monday 9 March 2015

Woh kya gaye ke neend bhi le gaye..

woh kya gaye

Woh kya gaye ke neend bhi le gaye,

Yaani ke khawb main bhi na aye raat bhar..


Aye mohabbat tere anjaam pe rona aya..

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aya,

Jaane kyun aaj tere naam pe rona aya,


Yoon to har shaam umeedon main guzar jati hai,

Aaj kuch baat hai jo shaam main rona aya,


Kabhi takdeer ka matam kabhi duniya ka gila,

Manzil-e-ishq main har gaam pe rona aya,


Jab hua zikr zamaane main mohabbat ka Shakeel,

Mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya..


Sunday 8 March 2015

Aaj na hum se puchiye kesa kamaal ho geya..

Aaj na hum se puchiye kesa kamaal ho geya,

Hijar ke khauf main rahe aur visaal ho geya..


Saturday 7 March 2015

Ab umar bhar nahin milna..

To kya yeh taehh hai ke ab umar bhar nahin milna,

To phir yeh umar bhi kyun, gar tum se nahin milna,


Chalo zamane ki khaatir ye jabbar bhi sehh lain,

Ke ab kabhi jo milain toot kar nahin milna,


Yeh kon chupke se tanhaayion main kehta hai,

Mere baghair sakoon umar bhar nahin milna,


Juda to jab bhi huye dil ko yoon laga jaise,

Ke ab gaye to kabhi laut kar nahin milna..


Friday 6 March 2015

Ek raat woh geya tha jahan baat rok ke..

Ek raat woh geya tha jahan baat rok ke,

Ab tak ruka hua hoon wahin raat rok ke..


Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho..

Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho,

Saaya koi lehraaye to lagta hai ke tum ho,


Jab shaakh koi haath lagaate hi chaman main,

Sharmaaye lachak jaaye to lagta hai ke tum ho,


Sandal si mehkti huyi pur-kaif havaa ka,

Jhonka koi takraaye to lagta hai ke tum ho,


Orrhe huye taaron ki chamakti huyi chaadar,

Nadi koi bal khaaye to lagta hai ke tum ho,


Jab raat gaye koi kiran mere baraabar,

Chup-chaap si so jaye to lagta hai ke tum ho..


Thursday 5 March 2015

Dil me kisi ke raah kiye ja raha hoon main..

Dil me kisi ke raah kiye ja raha hoon main,

Kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon main..


Bara dushwaar hota hai, Zara sa faisla karna..

Bara dushwaar hota hai

Zara sa faisla karna


Ke jeevan ki kahani ko

Beyaan-e-bezubani ko

Kahan se yaad rakhna hai

Kahan se bhool jana hai


Kise kitna batana hai

Kis se kitna chupaana hai

Kahan ro ro ke hasna hai

Kahan hans hans ke rona hai


Kahan awaz deni hai

Kahan khamosh rehna hai

Kahan rasta badalna hai

Kahan se laut aana hai


Bara dushwaar hota hai

Zara sa faisla karna..




Ab aa gaye hain aap to aata nahi hai yaad..

Ab aa gaye hain aap to aata nahi hai yaad,

Warna kuch hum ko aap se kehna zaroor tha..


Wednesday 4 March 2015

Aap ki yaad aati rahi rahi raat bhar..

Aap ki yaad aati rahi rahi raat bhar,

Chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar,


Raat bhar dard ki shama jalti rahi,

Gham ki laut thartharaatti rahi raat bhar,


Bansuri ki sureeli suhaani sadaa,

Yaad ban ban ke aati rahi raat bhar,


Yaad ke chaand di me utarte rahe,

Chaandni jagmagaati rahi raat bhar,


Koi deewana galiyon main phirta raha,

Koi avaaz aati rahi raat bhar..


Makhdoom Mohiuddin


Kyun rehte hain mujh jese gunaahgar ke sath..

Aap kyun rehte hain mujh jese gunaahgar ke sath,

Kaun sa rishta hai girti huyi deewar ke sath..


Tuesday 3 March 2015

Uss ke baad zamane ne mujh ko rond dala..

Phir uss ke baad zamane ne mujh ko rond dala,

Main gir parra tha kissi aur ko uthaate huye..


Raat se shikayat kya bas tumhin se kehna hai..

raat se shikayat kya

Raat se shikayat kya bas tumhin se kehna hai,

Tum zara theher jao raat kab theherti hai..


Tum ne uss waqt bewafayi ki..

Tum ne uss waqt bewafayi ki,

Yaqeen jab akhri makaam pr tha..


Aye dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood..

Aye dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood,

Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi..


Monday 2 March 2015

Kyun tu acha lagta hai waqt mila to sochen ge..

Kyun tu acha lagta hai waqt mila to sochen ge,

Tujh me kya kya dekha hai waqt mila to sochen ge,


Sara sheher shanasayi ka daave-dar to hai lekin,

Kon hamara apna hai waqt mila to sochen ge,


Hum ne us ko likha tha kuch milne ki tadbeer tha,

Us ne likh kar bheja hai waqt mila to sochen ge,


Mosam khusbhu baad-e-saba chand shafaq aur taron main,

Kon tumhare jesa hai waqt mila to sochen ge,


Ya to apne dil ki maano ya phir duniya walon ki,

Mashrwa us ka acha hai waqt mila to sochen ge..



Ab kya sochen kya halaat they..

Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran yeh zehr piya hai,

Ham ne us ke sheher ko choda aur ankhon ko moond liya hai,


Apna yeh sheva to nahin tha apne gham auron ko saumpein,

Khud to jaagte ya sote hain us ko kyun be-khawb kiya hai,


Khilqat ki awaazain bhi thi band us ke darvaaze bhi they,

Taaza rifaaqat ke mausam tak main bhi jiya hoon woh bhi jiya hai,


Ek Faraz tumhin tanhaa ho jab tak dukh ke rasiyaa ho,

Warna aksar dil walon ne dard ka raasta chorr diya hai..


Sunday 1 March 2015

Karre safar ka thaka musafir thaka hai aesa..

Karre safar ka thaka musafir thaka hai aesa ke so geya hai,

Khud apni aankhen to band hain har ankh lekin bhigo geya hai..


Aashiqi me “mir” jaise khawb mat dekha karo..

Aasshiqi me “mir” jaise khawb mat dekha karo,

Baavle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo,


Jasta jasta parh liya karna mazaamin-e-vafaa,

Par kitaab-e-ishq kaa har baab mat dekha karo,


Is tamaashe me ulat jaati hain aksar kashtiyan,

Doobne waalon ko zair-e-aab mat dekha karo,


Mai-kade me kya takaluf mai-kashii me kya hijaab,

Bazm-e-saaqi me adab adaab mat dekha karo,


Maange maange ki qabaayen dair tak rehti nahin,

Yaar logon ke laqab laqaab mat dekha karo,


Tishnagi me lab bhigo lena bhi kaafi hai Faraz,

Jaam me sahbaa hai ya zahraab mat dekha karo..


Dil na’umeed to naheen, nakaam hi to hai..

dil na'umeed to nahin

Dil na’umeed to naheen, nakaam hi to hai,

Lambi hai gham ki sham, magar shaam hi to hai..