Tere gale mein jo bahon ko dal rakhte hain
Tujhe manane ka kesa kamal rakhte hain
Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum
Bohat se kaam muqadar par tal rakhe hain
Koi bhi fesla hum soch kar nahin karte
Tumhare naam ka sika uchhal rakhte hain
Tumhare baad ye aadat si ho gayi apni
Bikharte sookhtey patey sanbhal rakhte hain
Khushi si milti hai khud ko azyaten de kar
So jaan boojh kar dil ko nidhal rakhte hain
Kabhi kabhi wo mujhe hans kar dekh lete hain
Kabhi kabhi mera behad khayal rakhte hain
Tumhare hijar mein ye haal ho gaya apna
Kisi ka khat ho usey bhi sanbhal rakhte hain
Khushi mile to tere baad khushi nahin hoti
Hum apni aankh mein har dam malal rakhte hain
Zamane bhar se bacha kar wo apne aanchal mein
Mere wajood ke tukre sanbhal rakhte hain
Kuch is liye to behal ho gaye hum log
Tumhare yaad ka be had khayal rakhte hain
0 comments:
Post a Comment