This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Monday 31 March 2014

Kahan koi aisa mila jis par hum duniya luta dete..

Kahan koi aisa mila jis par hum duniya luta dete,

Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete,


Apne dil ka zakhm dil me hi dabaye rakha,

Bayaan karte to mehfil ko rulaa dete..



Is bharosay pe kar raha hoon gunaah..

Is bharosay pe kar raha hoon gunaah,

Bakhssh dena to teri fitrat hai..



Intizaar mein lazzat agar na ho..

Aesi hi intizaar mein lazzat agar na ho,

To do gharri firaaq* mein apni bassar na ho..


(firaaq;separation)



Sunday 30 March 2014

Aasra de ke tu mere ashkk na cheen..

Aasra de ke tu mere ashkk na cheen,

Yehi le de ke bacha hai mujh mein..



Main to barbaad ho geya hoon magar..

Main to barbaad ho geya hoon magar,

Ab kissi ko na tum aasraa denaa..



Saturday 29 March 2014

Aap ke paaon ke neechey dil hai..

Aap ke paaon ke neechey dil hai,

Ik zara aap ko zehmat ho gi..



Har dua mein raha khayaal tera..

Har dua mein raha khayaal tera,

Iss tarah tujhse raabta rakha..



Neend aur tum kahan pe rehtey ho..

neendaurtum_8767_1234_temp Neend aur tum kahan pe rehtey ho,

Donon kyun raat bhar nahin atey ?



Friday 28 March 2014

Muddaton baad yeh dastak kesi..

Muddaton baad yeh dastak kesi,

Zaroor koi matlabi ho ga..



Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de..

Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de,

Tanhaayi ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar,


Aye dil! tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan,

Tu halqa-e-yaraan* mein bhi mohtaat* raha kar..


(halqa-e-yaraan;around friends, mohtaar;cautious)



Thursday 27 March 2014

Koi hindu koi muslim to koi eesaayi hai..

Koi hindu koi muslim to koi eesaayi hai,

Sab ne insaan na ban’ne ki qasam khayi hai..



Sab rutain aakar chali jati hain..

Sab rutain aakar chali jati hain,

Mausam-e-gham bhi to hijrat karta..


(rutain;moments)



Umeed ki jo shamaa jalaya nahin kartey..

Umeed ki jo shamaa jalaya nahin kartey,

Ankhon se kabhi Ashk bahaya nahin kartey..


Sadia Qasim



Wednesday 26 March 2014

Phir aaj ashk se ankhon mein kyun hain aye..

Phir aaj ashk se ankhon mein kyun hain aye huye,

Guzar geya hai zamaana tujhe bhulaaye huye..



Katt hi gayi judaai bhi, kab yeh hua ke mar gaye..

Katt hi gayi judaai bhi, kab yeh hua ke mar gaye,

Tere bhi din guzar gaye, mere bhi din guzar gaye..



Palkon pe ruk geya hai samundar..

Palkon pe ruk geya hai samundar khumaar ka,

Kitnaa ajab nashaa hai tere intizaar ka..



Tuesday 25 March 2014

Jis ke badley mein mujhe tum mil jao..

Jis ke badley mein mujhe tum mil jao,

Mein aesi naiki ki talash mein hoon..



Monday 24 March 2014

Sunday 23 March 2014

Azaab yeh bhi kisi aur per nahin aya..

Azaab yeh bhi kisi aur per nahin aya,

Ke ik umar chale aur ghar nahin aya..



Tere baghair meri umar raayegaan guzree..

Tere baghair meri umar raayegaan* guzree,

Koi bhi kaam nahi theek se hua barson..


(raayegaan;waste)



Kam nazar aya mujhe ikhlaas logon mei..

Bohat hi kam nazar aya mujhe ikhlaas logon mein,

Yeh daulat batt gayi shayed bohat hi khass logon mein..



Saturday 22 March 2014

Ab to un ki yaad bhi aati nahin..

Ab to un ki yaad bhi aati nahin,

Kitni tanha ho gayin tanhaayiyan..



Ab kar ke faramosh to na’shaad karo ge..

Ab kar ke faramosh to na’shaad* karo ge,

Per hum jo na hon ge to bohat yaad karo ge..


(na’shaad;cheerless)



Ab aa gaye hain aap to ata nahin hai yaad..

Ab aa gaye hain aap to ata nahin hai yaad,

Warna kuch hum ko aap se kehna zaroor tha..



Aap ka aitbaar kon kare..

Aap ka aitbaar kon kare,

Roz ka intizaar kon kare..



Friday 21 March 2014

Aaney mein sada’a dair lagatey hi rahe tum..

Aaney mein sada’a dair lagatey hi rahe tum,

Jaatey rahe hum jaan se aatey hi rahe tum..



Mujhe to gham tha us ke bicharrne ka magar..

Mujhe to gham tha us ke bicharrne ka magar,

Woh hath malta raha umar bhar ganwaa ke mujhe..



Bohat hi saada hai tu aur zamaana ayyaar..

Bohat hi saada hai tu aur zamaana ayyaar*,

Khuda kare tujhe zamaney ki hawaa na lage..


(ayyaar;clever)



Dushmano ki jafaa ka khauf nahin..

Dushmano ki jafaa ka khauf nahin,

Doston ki wafaa se dartey hain..



Aaye kuch abr kuch sharaab aye..

ayekuchabrkuchsharabaye

(abr;cloud, baam-e-minhaa;on top of goblet, chiraghaan;celebration)



Thursday 20 March 2014

Bicharrne waley ne yeh na socha ho ga..

Bicharrne waley ne yeh na socha ho ga,

Aik do din nahi barson ki shanasaayi hai..



Aaj na hum se puchiye kaisa kamaal ho geya..

Aaj na hum se puchiye kaisa kamaal ho geya,

Hijar ke khaur mein rahe aur visaal ho geya..



Aag they ibtidaa-e-ishq mein hum..

Aag they ibtidaa-e-ishq mein hum,

Ho gaye khaak intehaa yeh hai..



Wednesday 19 March 2014

Meri ruswaayi main woh bhi hain barabar ke sharik..

Meri ruswaayi main woh bhi hain barabar ke sharik,

Mere qissey mere yaaron ko sunaata kya hai..



Qayamat ka to suna tha ke koi kisi ka na tha..

qayamatkatosunatha

Qayamat ka to suna tha ke koi kisi ka na tha,

Magar ab to duniya yeh riwaaj aam ho geya hai..



Tum paas naheen ho to ajjab haal hai dil kaa..

Tum paas naheen ho to ajjab haal hai dil kaa,

Yoon jese main kuch rakh ke kahin bhool gayi hoon..



Tujh se bicharr ke hum bhi muqaddar ke ho gaye..

Tujh se bicharr ke hum bhi muqaddar ke ho gaye,

Phir jo bhi dar mila hai ussi dar ke ho gaye..



Tasveer maine maangi thi shokhi to dekhiye..

Tasveer maine maangi thi shokhi to dekhiye,

Ek phool us ne bhejj diya hai gulaab ka..



Tuesday 18 March 2014

Humain ab kho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho..

Humain ab kho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,

Kissi ka ho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,


Samandar tha to zor-o-shor se lehrein bahaata tha,

Ab qatra qatra ho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,


Beyaan karte jo hal-e-dil to yunhi muskuraa deta,

Ab wohi ro ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,


Na pooch tu us ki badnaseebi ka aalam,

Ke sab kuch kho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho..



Aj tu mehfil-e-yaraan pe hai maghroor bohat..

Aj tu mehfil-e-yaraan pe hai maghroor bohat,

Jab kabhi toot ke bikhre ga to yaad aon ga..



Monday 17 March 2014

Hum to achey they, ab buray huye kese..

Hum to achey they, ab buray huye kese,

Khud to badley ho, beyaan to mat badlo..



Woh sath tha hamare, ya hum pas they un ke..

Woh sath tha hamare, ya hum pas they un ke,

Woh zindagi ke kuch din, ya zindagi thi kuch din..



Meine ashjaar pe likha hua dekha hai kahin..

Meine ashjaar* pe likha hua dekha hai kahin,

Phall na do ge to tumhe kaatt diya jaye ga..


(ashjaar;trees)



Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon..

Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon,

Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon,


Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya,

Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon,


Tujhe bhool janey ka socha tha lekin,

Barri dair tak aaj khud se larri hoon,


Tere sang barish mein chhatri ke neechey,

Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon,


Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,

Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon,


Mera bachpna-pan hai mohabbat mein shamil,

Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..


Rizwana Hussain



Kuch thokron ke baad samajhdaar ho gaye..

kuchthokron_8767_1234_temp

Kuch thokron ke baad samajhdaar ho gaye,

Ab dil ke mashwron per ammal nahin kartey..



Sunday 16 March 2014

Pehle us ne kya kaha, phir kya kaha..

Ab zara tafseel se aye qaasid*-e-khush’ruu bata,

Pehle us ne kya kaha, phir kya kaha, phir kya kaha..


(qaasid;postman)



Aashnaa dard se hona tha kisi taur humain..

Aashnaa dard se hona tha kisi taur humain,

Tu na milta to kisi aur se bichrre hotey..



Taluqaat ka aghaaz khoob hai lekin..

Taluqaat ka aghaaz khoob hai lekin,

Taluqaat ka anjaam bhi nazar mein rahe..


Mushtaq Khalil



Saturday 15 March 2014

Teri wazaahat mein sadaqat nahi lagti..

Ab teri wazaahat mein sadaqat* nahi lagti,

Ab apni mohabbat ki safaayi na diya kar..


(sadaqat;truthfulness)


Shagufta Altaf



Tum sath ho to muqaddar pe hai hakoomat..

Tum sath ho to muqaddar pe hai hakoomat apni,

Bin tere zindagi ki aukaat hi kya hai..



Meri haar ka charcha hai….

Teri jeet se zeyada to,

Meri haar ka charcha hai..



Friday 14 March 2014

Khawb ankhon se gaye, neend raton se gayi..

Khawb ankhon se gaye, neend raton se gayi,

Woh geya to ese laga zindagi hathon se gayi,


Sookhay they phool tere janey ke baad,

Ab to khushbuu bhi kitaabon se gayi,


Tere aney se barhti thi jo raftaar dharkan ki,

Ab to rawaani bhi meri saanson se gayi,


Kis daur mein mohabbat ko ilzaam dete ho,

Jis daur mein hayaa bhi hijaabon se gayi..



Batao na! kese tumhe bhulaaon..

bataona

Batao na! kese tumhe bhulaaon,

Tum to waqif ho iss hunar se..



Tumhare hath ki dastak ki aas mein..

Tumhare hath ki dastak ki aas mein Mohsin,

Main apne ghar se kahin bhi nahin geya barson..



Jab se usey azeez huyi meri zindagi..

Jab se usey azeez huyi meri zindagi,

Mein apni zindagi ki dua mangne laga..



Woh khul kar na ro saka ho ga..

Hajoom mein tha, woh khul kar na ro saka ho ga,

Magar yakeen hai ke shab bhar na so saka ho ga..



Thursday 13 March 2014

Ashk se ankhon mein kyun hain aye huye..

Phir aj ashk se ankhon mein kyun hain aye huye,

Guzar geya hai zamaana tujhe bhulaaye huye..



Ro parra hoon to koi baat hi aesi ho gi..

Ro parra hoon to koi baat hi aesi ho gi,

Main ke waqif tha tere hijr ke adaab se bhi..



Wednesday 12 March 2014

Aana to khafaa ana, jana to rulaa jana..

Aana to khafaa ana, jana to rulaa jana,

Aana bhi to kya ana, jana bhi to kya jana..



In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena..

In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena,

Un ko lagte hain meri ankh mein pyare aansu..



Tuesday 11 March 2014

Kaash ke tum mere hote..

Kaash ke tum mere hote,

Kaash yeh alfaz tere hote..



Zindagi tere taaqub mein yeh log..

zindagiteretaaqub

Zindagi tere taaqub mein yeh log,

Itna chalte hain, ke mar jatey hain..



Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana..

Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana,

Dhoop ankhon tak aa pohanchi hai, raat guzar gayi jana,


Bhanwar samay tak jis ne humain baaham uljhaaye rakha,

Woh albeli resham aesi baat guzar gayi jaana,


Sadaa ki dekhi raat humain is baar mili to chupkay se,

Khaali hath pe rakh ke kya soghaat guzar gayi jaana,


Kis kompal ki aas mein ab tak wese hi sarsabz ho tum,

Ab to dhoop ka mausam hai, barsaat guzar gayi jaana..



Judaa huye bohat log eik tum bhi sahii..

Judaa huye bohat log eik tum bhi sahii,

Itni si baat par kya zindagi haraam karen..



Maine khoya woh jo mera tha hi nahin..

Maine khoya woh jo mera tha hi nahin,

Us ne khoya woh jo sirf ussi ka tha..



Yeh ajab soorat-e-haal huyi jati hai..

Yeh ajab soorat-e-haal huyi jati hai,

Raat ke baad yahan raat huyi jati hai,


Woh to ab bhi mukammal hai kisi pathar ki tarah,

Raizaa raizaa to meri zaat huyi jati hai..



Monday 10 March 2014

Sabab har aik mujhse puchta hai mere ronay ka..

Sabab har aik mujhse puchta hai mere ronay ka,

Elaahi! Sari duniya ko main kese razdaan kar loon..



Shok tha unhe mera aashiyana dekhne ka..

Bohat hi shok tha unhe mera aashiyana dekhne ka,

Dekhi jab meri ghareebi to rasta badal liyaa..



Judaayi ke mosam main, Utarti shaam se pehle..

Judaayi ke mosam main,

Utarti shaam se pehle,


Meri yakh-basta ankhon main,

Khaamoshi raqss karti hai,


To uss ki yaad ki payal,

Yoon mere kaan main aa kar,


Mussalsal chanchhanati hai,

To phir yakdam khaamoshi ka,


Tassalsul toot jata hai,

Phir aise mein koi koyal,


Barre hi qarb se kookay,

To yoon mehsoos hota hai,

Ke jaise be-sabab koi,


Kissi ko yaad karta hai,

Kissi ko yaad karta hai…



Sunday 9 March 2014

Mujh mein lagta hai ke mujh se zeyaada hai woh..

Mujh mein lagta hai ke mujh se zeyaada hai woh,

Khud se barrh kar mujhe rehti hai zaroorat uski..



Tu meri zindagi mein laazim hai..

Tu meri zindagi mein laazim hai,

Jese pehla sawaal parchay ka..



Na-umeedi ka main qaayel to nahin hoon..

Na-umeedi ka main qaayel to nahin hoon magar,

Mene barsaat mein jaltey huye ghar dekhe hain..



Woh shakhs jab chahey cheen le mujhe..

Yeh kya ke woh shakhs jab chahey cheen le mujhe,

Apne liye woh shakhss tarrapta bhi to dekhoon..



Saturday 8 March 2014

Teri aankhen sawaal karti hain..

Teri aankhen sawaal karti hain,

Meri himmat jawaab deti hai..



Yeh aur baat ke main chorr chuka kuuza gari..

Yeh aur baat ke main chorr chuka kuuza gari*,

Tere jaise to mein matti ke bana sakta hoon..


(kuuza gari;an art of making dishes from sand)



Falak se torr laya hoon..

Falak se torr laya hoon, magar phir bhi neyi zid hai,

Sitaarey mein naheen leti, mujhe to chand laa kar do..



Rotay rotay phaila kajlaa ankhon mein..

Rotay rotay phaila kajlaa ankhon mein,

Pehney pehney sookha gajraa hathon mein..



Rotaa dekh ke sab ko ronay lagta hoon..

Mein to rotaa dekh ke sab ko ronay lagta hoon,

Dekh ke mujh ko log magar, kyun hansne lagte hain..



Jo hua ik bar woh har baar ho, aesa nahin hota..

Jo hua ik bar woh har baar ho, aesa nahin hota,

Hamesha aik hi se pyaar ho, aesa nahin hota,


Har ik kashti ka apna hi tajarba hota hai darya mein,

Saffar main roz hi manjhdaar ho, aesa nahin hota,


Kahani main to kirdaaron ko jo chahe bana dijiye,

Haqeeqat bhi kahaani kaar ho, aesa nahin hota,


Kahin to koi hoga jis ko apni bhi zaroorat ho,

Har ik baazi mein dil ki haar ho, aesa nahi hota,


Sikhaa deti hain chalna thokrain bhi raahgiron ko,

Koi raasta sadaa dushwaar ho, aesa nahin hota..


Nida Fazli



Friday 7 March 2014

Woh jo tha apne shab-o-roz mein gum..

Kon tha woh jo tha apne shab-o-roz mein gum,

Mar gaye jis ki mandderon* pe kabooter mere..


(mandderon;balcony)



Koi to baat hai dil mein aur itni gehri..

Koi to baat hai dil mein aur itni gehri hai,

Teri hansi teri ankhon tak nahin pohanchtii..



Thursday 6 March 2014

Meri aankhon pe marta tha, Meri baton pe hansta tha..

Meri aankhon pe marta tha,

Meri baton pe hansta tha,

Na jane shakhs tha kaisa,

Mujhe khone se darta tha,


Mujhe jab bhi woh milta tha,

Yahi har bar kehta tha,

Suno!

Agar me bhool jaon to,

Agar me rooth jaon to,

Kabhi wapis na aaon to,

Bhula pao ge yeh sab kuch,

Yunhi hastey raho gaye kya,

Yunhi sajtey raho gaye kya,


Yehi batain hain bas uski,

Yehi yadein hain bas uski,

Mujhe bas hai pata itna,

Mujhe woh pyar karta tha,

Mujhe woh pyar karta tha..



Wohi sehraa, wohi laila, wohi log sataaney waley..

wohisehraa

Wohi sehraa, wohi laila, wohi log sataaney waley,

Wohi majnoon, wohi ishq, woh sang puraney waley..



Yoon hi de raha hai qatal ki dhamkiyaan..

Yoon hi de raha hai qatal ki dhamkiyaan,

Hum jese zinda hon jo mar jaayen ge..



Wednesday 5 March 2014

Tere khayaal mein jab be-khayaal hota hoon..

Tere khayaal mein jab be-khayaal hota hoon,

Zara si dair hi sahi be-misaal hota hoon..



Darwaza jo khola to nazar aaye kharre woh..

Darwaza jo khola to nazar aaye kharre woh,

Hairat hai mujhe, aaj kidhar bhool parre woh,


Bhoola nahin dil, hijr ke lamhaar karray woh,

Raatein to barri theen hi, Magar din bhi barre woh,


Kyun jaan pe ban aayi hai bigrra hai agar woh,

Uss ki to yeh aadat ke hawaaon se larre woh,


Alfaaz they us ke ke bahaaron ke peyamaat,

Khushbuu si barasney lagi, yoon phool jharre woh,


Har shakhs mujhe tujhse juda karne ka hwa’haan,

Sun paaye agar aik to dass ja ke jarre woh,


Bachey ki tarah chaand ko choonay ki tammana,

Dil ko koi shay dede to kya kya na array woh,


Tufaan hai to kya gham, mujhe awaz to di jiye,

Kya bhool gaye aap mere kachay gharre woh..


Perveen Shakir



Apne kirdaar ko mausam se bachaye rakhna..

Apne kirdaar ko mausam se bachaye rakhna,

Laut kar phool main wapis nahi aati khushbu…



Hath mein le ke mera hath yeh vaada karo..

Hath mein le ke mera hath yeh vaada karo,

Ab na chorro ge mera sath yeh vaada karo..



Tuesday 4 March 2014

Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe..

Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe,

Meri tanhai mein, khawbon ke siwa kuch bi nahin,


Mere kamrey ko sajaaney ki tamanna hai tumhe,

Mere kamrey mein kitaabon ke siwa kuch bi nahin..



Janta hoon aik aese shakhs ko mein bhi..

Janta hoon aik aese shakhs ko mein bhi Munir,

Gham se pathar ho geya lekin kabhi roya nahin..



Monday 3 March 2014

Sath roti thi mere, sath hansaa karti thi..

Sath roti thi mere, sath hansaa karti thi,

Wohi ek thi jo mere dil mein basa karti thi,


Meri chahat ki talabgaar thi woh is darja,

Ke woh musalley pe namazon mein dua karti thi,


Ek lamhe ka bicharna bhi gawara na tha usey,

Rotey rotey woh mujh se yehi kaha karti thi,


Rog dil ko jo laga bethi thi anjaney mein,

Meri aagosh mein marney ki dua karti thi,


Baat kismat ki thi ke door ho gaye hum,

Warna woh to mujhe taqdeer kaha karti thi..



Hawaa se urr geya jo ghausla parindon ko..

Hawaa se urr geya jo ghausla parindon ko,

Tufaan ko maloom kya yeh ghar kese bana tha..



Ishq woh peer hai ke jis ka mureed..

Ishq woh peer hai ke jis ka mureed,

Ba-khuda!! na ghar ka hai na ghaat ka..



Haaye zaalim ne zara sa bhi takaluf na kiya..

Haaye zaalim ne zara sa bhi takaluf na kiya,

Hum ne chaahi jo ijaazat to ijaazat de di..



Tu geya, khaawb, justujuu bhi gaye..

Tu geya, khaawb, justujuu bhi gaye,

Tujh se kitne mere hawaaley they..



Sunday 2 March 2014

Bhool sako to bhool jao ijazat hai tumhe..

Bhool sako to bhool jao ijazat hai tumhe,

Aik bhool karney ki ijaaazat hai tumhe..



Hijr mein rang urr geya mera..

Hijr mein rang urr geya mera,

Ab kya yaar ko muu dikhaon ga..



Muskuraa kar kalaam kartey ho..

Muskuraa kar kalaam kartey ho,

Aadatein kyun kharaab kartey ho..



Abhi tak yaad kar rahe ho paagal ho tum..

Abhi tak yaad kar rahe ho paagal ho tum qasam se,

Uss ne to tere baad bhi hazaaron bhulaa diye..



Saturday 1 March 2014

Dhaass bandhaa jata hai tootay dil ki..

Roz woh dhaass bandhaa* jata hai tootay dil ki,

Yoon woh halaat ko behter nahin honay deta..


(dhaass bandhaa;giving hope)



Isi se jaan geya mein ke waqt dhalney lage..

Isi se jaan geya mein ke waqt dhalney lage,

Main thakk ke chaaon mein betha to pairr chalne lage,


Main de raha tha saharey to ik hajoom mein tha,

Jo gir parra to sabhi raasta badalney lage..



Yeh teri judaayi ki yaadgaar hai warna..

Yeh teri judaayi ki yaadgaar hai warna,

Aik zakhm bharney mein dair kitni lagti hai..



Woh bewafa hi sahi aao us ko yaad karen..

Woh bewafa hi sahi aao us ko yaad karen,

Ke aik umar parri hai us ko bhulaaney ko..



Likhti hoon mein kaghaz pe masaayel apne..

Pehle likhti hoon mein kaghaz pe masaayel apne,

Aur phir sabbar ke daryaa mein bahaa deti hoon..