This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Friday 31 October 2014

Zindagi se eik yehi gila hai mujhe..

Zindagi se eik yehi gila hai mujhe,

Tu bohat dair se mila hai mujhe,


Tu mohabbat se koi chaal to chal,

Haar jaane ka hausla hai mujhe,


Humsafar chahiye hajoom nahin,

Aik musaafir bhi qafila hai mujhe,


Lab kusha hoon to iss yakeen ke sath,

Qatal hone ka hosla hai mujhe,


Kon jaane ke chahton mein Faraz,

Kya ganwaya kya mila hai mujhe..


Ab to mehfil se bhi hota nahi gham ka ilaaj..

Ab to mehfil se bhi hota nahi gham ka ilaaj,

Pehle tanhaayi bhi dukh baant liya karti thi..


Us waqt intizaar ka aalam na poochiye..

Us waqt intizaar ka aalam na poochiye,

Jab koi baar baar kahe, aa raha hoon main..


Aaye to yoon ke jaise hamesha they meherbaan..

Aaye to yoon ke jaise hamesha they meherbaan,

Bhoole to yoon ke goya kabhi aashnaa na they..


Thursday 30 October 2014

Halaat bataayen kya tum ko hum..

Halaat bataayen kya tum ko hum,

Halaat se larrte rehte hain..


Kal chohdhveen ki raat thi..

Kal chohdhveen ki raat thi shab bhar raha charcha tera,

Kuch ne kaha yeh chaand hai, kuch ne kaha yeh chehra tera/


Mohabbat rog hoti hai, kaha bhi tha..

Mohabbat rog hoti hai, kaha bhi tha,

Rulaa ke khud bhi roti hai, kaha bhi tha,


Tum usey dil ki dharti ka pata mat dena,

Yeh is me dard boti hai, kaha bhi tha,


Azal se iss ki aadat hai, rulaate rehna,

Zamane ko jagaa ke aap soti hai, kaha bhi tha..




Wednesday 29 October 2014

Kab tak yeh saraabon ka safar karte raho ge..

kab tak yeh saraabon ka safar

Kab tak yeh saraabon ka safar karte raho ge,

Ab zabt hai dushwaar usey kyun nahin likhte..


Jiss tarah se badli hain hath ki lakeeerain..

Jiss tarah se badli hain hath ki lakeeerain Nasir,

Mausam ko bhi iss tarah mene badalte nahin dekhaa..


Dil dharrakne ka sabbab yaad aaya..

Dil dharrakne ka sabbab yaad aaya,

Woh teri yaad thi ab yaad aaya..


Tuesday 28 October 2014

Ab koi aarzuu nahi hai baaki..

Ab koi aarzuu nahi hai baaki,

Justujuu meri aakhri tum they..


Palat rahi hain sardiyon ki suhani shamein..

sardiyon ki suhaani shaamain

Phir palat rahi hain sardiyon ki suhani shamein,

Phir us ki yaad main jalne ke zamaane aaye..


Itna asaan nahin tha mujh ko bhulaana..

Itna asaan nahin tha mujh ko bhulaana,

Uss ne khud ko ganwaa diya ho ga..


Monday 27 October 2014

Diya hai thokron ne sambhalna hausla..

Diya hai thokron ne sambhalna hausla,

Har haadsa khayal ko gehraayi de geya..


Laut ke aatey nahin rooth ke jane wale..

Meri chaahat ka takaaza na nibhaane waale,

Kitne be-dard hain yeh log zamane waale,


Koi apna nahin, matlab ki hai yeh duniya sari,

Ab kahan milte hain woh log puraane waale,


Main dua’go hoon sadaa neendain mubarik tujjhko,

Hijjar ka dard hume de ke jagaane waale,


Bas yeh soch ke har baar manaata hoon tujhe,

Laut ke aate nahin rooth ke jaane waale,


Hamare seeney mein jhaank ke dekho to zara,

Kitne afsurda hain auron ko hasaane waale..




Tu mujhe chorr ke jane laga to yakeen aya hai..

Tu mujhe chorr ke jane laga to yakeen aya hai,

Saanson ke siwaa kuch bhi to zaroori nahi hota..


Sunday 26 October 2014

Ik shakss kitaabon jesa tha..

Ik shakss kitaabon jesa tha,

Woh shakss zubaani yaad hua..


Phir saza koi zindagi jaisi…

Aye khuda poetry

Hashar main aye khuda na dena,

Phir saza koi zindagi jaisi..


Hum se kya ho sakaa mohabbat mein..

Hum se kya ho sakaa mohabbat mein,

Khair tum ne to bewafaayi ki..


Saturday 25 October 2014

Dard jab teri ataa hai to gila kis se karen..

Dard jab teri ataa hai to gila kis se karen,

Hijar jab tu ne diya hai to mila kis se karen,


Akss jab toot ke bikhra hai tera aayine ke sath,

Ho gayi zakhm nazar akss chunaa kis se karen,


Main safar main hoon mere sath judai teri,

Humsafar gham hain to phir tujh ko juda kis se karen,


Khil uthen gull ya khulain dast-e-hanaayi tere,

Har tarf tu hai to phir tera pataa kis se karen,


Tere lab, teri nigaahen, tere aaraz, teri zulf,

Itne zinda hain to is dil ko rihaa kis se karen..




Tanhaayiyan kuch is tarah se ddasne lagi mujhe..

Tanhaayiyan kuch is tarah se ddasne lagi mujhe,

Main aaj apne paaon ki aaahat se ddar geya..


Friday 24 October 2014

Kami nahi hai kisi cheez ki magar..

Kami nahi hai kisi cheez ki magar,

Akela beth ke roya hoon zaar zaar bohat..


Koi to hai mere andar mujhe sambhale huye..

Koi to hai mere andar mujhe sambhale huye,

Ke be’qaraar sa ho kar bhi barqaraar hoon main..


Zindagi shaam se pehle hi agar thak jaye..

Zindagi shaam se pehle hi agar thak jaye,

Khawb ankhon mein jo paltey hain kidar jayen..


Thursday 23 October 2014

Jo bhi de ga mera khuda de ga..

Aadmi aadmi ko kya de ga,

Jo bhi de ga mera khuda de ga,


Mera qaatil hi mera munsib* hai,

Kya mere haq mein faisla de ga..


Kisi bache ke khilone jaisa..

Kisi bache ke khilone jaisa,

Mera hona bhi na hone jaisa..


Apni baaton pe woh qaayem nahin rehta..

Apni baaton pe woh qaayem nahin rehta Tabish,

Uss ke inkaar ko inkaar na samjhaa jaye..


Wednesday 22 October 2014

Choti si aik naao banane ki dair hai..

Choti si aik naao* banane ki dair hai,

Daryaa ke paar bas mere jaane ki dair hai,


Aik pal main jaag jaye ga soya hua mehal,

Phir se qadeem geet sunane ki dair hai,


Shehzaadi chal parre gi mere sath khud’bakhud,

Uss se to sirf aankh milane ki dair hai,


Qaleen baadlon main urre ga humain liye huye,

Qadmon main aik baar bichaane ki dair hai,


Sar pe hamare ho ga parindon ka saaybaa’n,

Aik dhoop ki kiran faqat aaney ki dair hai,


Aaney lage gi titliyaan khilne lage ge phool,

Sehraa main ja ke haima* lagane ki dair hai,


Jugnu ki tarah chaand urre ga ird gird,

Sooraj ke khawb’gaah main jaane ki dair hai,


Utrain gi pariyan haath main taarey liye huye,

Nazren falak ki samt uthaane ki dair hai,


Hathon se apni rait pe likhti phire gi naam,

Hum kon hain, hawaa ko yeh bataane ki dair hai..


(nao:kashti,boat)(haima:jhomprri, camp)



Main chahta hi nahin usey lajawaab karna..

Main chahta hi nahin usey lajawaab karna,

Jawaab to mere pass har sawaal ka tha..


Dil ke sehraa mein kab aalam-e-tanhai hai..

Dil ke sehraa mein kab aalam-e-tanhai hai,

Jab bhi dekha teri tasveer nazar aayi hai..


Tuesday 21 October 2014

Kabhi yaad aye to poochna apni khalwat-e-sham se..

Kabhi yaad aye to poochna zara apni khalwat*-e-sham se,

Kise ishq tha teri zaat, kise pyar tha tere naam se,


Zara yaad kar ke woh kon tha kabhi tujhe bhi aziz tha,

Woh jo mar mitta tere naam pe, woh jee utha tere naam se,


Humein be’rukhi ka nahin gila, ke yehi wafaaon ka hai silla,

Magar aesa jurm tha konsa, ke gaye hum duaa-o-sallaam se,


Na kabhi visaal ki chaah ki, na kabhi firaaq main aah ki,

Ke mera tareeka-e-bandagi hai judaa tareeka-e-aam se..


(khalwat:privacy)



Miloon kisi se bhi woh darmiyaan rehta hai..

Miloon kisi se bhi woh darmiyaan rehta hai,

Woh jo mila nahin, ussi ka dheyaan rehta hai..


Mujhe kisi se koi gharzz nahin..

Mujhe kisi se koi gharzz nahin,

mujhe kaam hai apne kaam se,


Teri zikar se, teri fikkar se,

Teri yaad se, tere naam se..


Monday 20 October 2014

Bohat umeed rakhna aur phir be’aas hona bhi..

Bohat umeed rakhna aur phir be’aas hona bhi,

Insaan ko maar deta hai bohat ehsaas hona bhi..


Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaana’n..

Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaana’n,

Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaana’n,


Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai,

Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana’n,


Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai,

Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaana’n,


Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi,

Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaana’n,


Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar,

Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaana’n,


Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin,

Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaana’n,


Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed,

Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaana’n,


Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha,

Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaana’n jaana’n,


Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye,

Aur se aur huye dard ke unwaan jaana’n,


Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they,

Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaana’n,


Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza,

Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaana’n..


(tajdeed:renewal)(unwaan:topic)(auraaq:papers)


Haan mohabbat tamaam us pe hui..

Mohabbat tamaam us pe hui

Haan mohabbat tamaam us pe hui,

Ab jo ho gi woh dil lagi ho gi..


Hamare paaon mein to tum ne zanjeer-e-wafaa daali..

Hamare paaon mein to tum ne zanjeer-e-wafaa daali,

Tumhaare hath se kyon rishta mehr-o-karam chootta..


Sunday 19 October 2014

Saanson ke silsle ko na do zindagi ka naam..

Saanson ke silsle ko na do zindagi ka naam,

Jeene ke bawjood bhi kuch log mar gaye..


Suna hai, ishq naam ke guzre hain ik buzurg..

Suna hai, ishq naam ke guzre hain ik buzurg,

Hum log bhi mureed* ussi silsille ke hain..


(mureed:followers)


Itna likhoon ga tere baad tere baarey mein..

Itna likhoon ga tere baad tere baarey mein,

Aaney walon ne tujhe pehle se dekha ho ga..


Saturday 18 October 2014

Koshish ke baawjood yeh ilzaam reh geya..

Koshish ke baawjood yeh ilzaam reh geya,

Har kaam main hamesha koi kaam reh geya,


Uth uth ke masjidon se nimaazi chale gaye,

Dehshat gardo’n ke hath mein Islam reh geya..


Hamare ghar ki deewaron pe Nasir..

Hamare ghar ki deewaron pe Nasir,

Udaasi baal khole so rahi hai..


Tum paas nahin ho to ajab haal hai dil ka..

Tum paas nahin ho to ajab haal hai dil ka,

Yoon jese kuch rakh ke main kahin bhool gayi hoon..


Banaya hai tinkon se ik aashiyana..



Banaya hai tinkon se ik aashiyana,

Kharri hoon abhi tak ussi ke sahaare..


Har sazaa qabool ki sar jhukaa ke hum ne..

Har sazaa qabool ki sar jhukaa ke hum ne,

Qasoor bas yeh tha ke be’qasoor they hum..


Friday 17 October 2014

Hum ne har saans mohabbat pe fidaa ki hai..

Hum ne har saans mohabbat pe fidaa ki hai,

Har duaa main teri chahat ki iltijaa ki hai,


Tum kya karo ge mohabbat ki intihaa,

Hum ne to ibtidaa hi intihaa se ki hai..


Lehjaa-e-yaar mein zeher hai bicchhuu ki tarah..

Lehjaa-e-yaar mein zeher hai bicchhuu ki tarah,

Woh mujhe aap to kehta hai magar tuu ki tarah..


Kaha tha na yoon sote huye mat chorr ke jana..

Kaha tha na ke

yoon sote huye mat chorr ke jana

Mujhe beshak jaga dena bata dena


Tumhain rasta badlna hai

Meri had se nikalna hai

To tumhain kis baat ka dar tha


Main tumhain jane nahi deta

kahin pe qaid kar leta

Arey pagal

mohabbat ki tabiyat me zabrdasti nahi hoti


Jise rasta badlna ho

usy rasta badlne se

Jise had se nikalna ho

usey had se nikalne se

Na koi rok paaya hai

Na koi rok paaye ga


To tumhain kis bat ka dar tha

Muje beshak jaga dete

Main tumhain dekh hi leta


Tumhain koi dua deta

kam’az kam yoon to na hota

Mere sathi ye haqiqat hai

tumhare bad khone ke liye kuch bhi nahi baki


Magar main khone se darta hon

Main ab sone se darta hon..




Zindagi tera bhi ehsaan kyun reh jaye..

Zindagi tera bhi ehsaan kyun reh jaye,

Tu bhi le ja iss khaak se hissa apna..


Thursday 16 October 2014

Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de..

jon

Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de,

Tamaam umar jalaya hai apna jee meine..


Tooti phooti ik kashti aur khushhk samandar..

Tooti phooti ik kashti aur khushhk samandar dekha tha,

Kal shab mene jhaank ke shayed apne andar dekha tha.


Hum hi thehre sazaa-vaar aur khata’aa kuch bhi nahin..

Hum hi thehre sazaa-vaar aur khata’aa kuch bhi nahin,

Tu kya samajhta hai tere baad hua kuch bhi nahin,


Yaad jab aayi teri yaad raha kuch bhi nahin,

Dil ne bass aaah bhari aur kaha kuch bhi nahin,


Waqt ki tarah yeh saansain bhi rawaa’n hain ab tak,

Ik bass ashhk tha main aur rukaa kuch bhi nahin,


Hath se hath churra kar gaye jab se tum,

Mene us waqt se in hathon se chhua kuch bhi nahin,


Kash tu mujhe keh de achaanak aa kar,

Ke tere mere jeevan main bacha kuch bhi nahin..




Sharminda to nahin meri wafaa saaqi..

Shiddat-e-gham se sharminda to nahin meri wafaa saaqi,

Rishte jin se gehre hon, zakham un se gehre milte hain..


Wednesday 15 October 2014

Hazaaron manzilen hon gi hazaron karwaan hon ge..

Hazaaron manzilen hon gi hazaron karwaan hon ge,

Bahaarein hum ko dhoonde gi, na jane hum kahan hon ge..


Jo dil main hai ankhon ke hawaale nahin karna..

Jo dil main hai ankhon ke hawaale nahin karna,

Khud ko kabhi khawbon ke hawaale nahin karna,


Iss umar main khush’fehmiyan achi nahin hotin,

Iss umar ko vaaadon ke hawaale nahin karna..


Tuesday 14 October 2014

Khoob nibhegi hum dono mein, mere jesa tu bhi hai..

Khoob nibhegi hum dono mein, mere jesa tu bhi hai,

Thora jhoota main bhi hoon, thora jhoota tu bhi hai..


Andaaz acha hai december tere aaney ka..

Halki halki si ssard hawaa, zara sa dard-e-dil,

Andaaz acha hai december tere aaney ka..


Wohi hain hum, magar tere baghair..

Hai duniya wohi, wohi hain hum, magar tere baghair,

Soonay sooonay se hain yeh subah shaam tere baghair,


Chorr kar is haal mujhe mein aye jaaney waley,

Bojhh kitna hai dil-e-nadaan per tere baghair..


Baat baat pe muskurate ho kyun baar baar..

Baat baat pe muskurate ho kyun baar baar,

Jaan lene ke tareekey to aur bhi hain..


Monday 13 October 2014

Us ke aakhri alfaaz yehi they..

Haan yaad aya, us ke aakhri alfaaz yehi they,

Ab jee sako to jee lena, pr mar jao to behtar hai..


Ab eid manaata koi nahin..


Saarey sheher mein,

Kal eid thi,

Baarish mein bheegi thi,

Ke shayed royi thi,

Bohat udaas eid thi,

Usey bhi shayed kisi ki,

Tamanaa-e-deed thi,

Be’kal si mere ghar ke aas paas,

Pareshaan phir rahi thi,

Dil per parre aahini qufl*,

Dar per dikhayi diye hon ge,

Jo aangan main jhaanka to,

Be’hanaayi hath,

Binaa kisi ke sath,

Na ghar ki sajaawatt,

Na rangeen poshaak*,

Dekh kar sab,

Socha hoga,

Shayed is ghar mein,

Sapne sajaata koi nahin,

Bahar se aata koi nahin,

Aur kisi ki yaad main kho kar,

Ab eid manaata koi nahin,

Ab eid manaata koi nahin…


(aahini qufl:iron lock, lohey ka taala)(poshaak:suit, kaprron ka jorra)


Log muntazir hi rahe hamare toot jaane ke..

Log muntazir hi rahe hamare toot jaane ke,

Aur hum zabt karte karte pathar ke ho gaye..


Phir na himmat huyi sawaalon ki..

Phir na himmat huyi sawaalon ki,

Itna mukhtssir jawaab milaa..


Sunday 12 October 2014

Aye hasrat-e-deedaar yeh kya raaz hai akhir..

Aye hasrat-e-deedaar yeh kya raaz hai akhir,

Ke woh samne aatey hain to dekha nahin jaata..


Chunne gaye jab se meri palkon se khwab saare..


Chunne gaye jab se meri palkon se khwab saare,

Pareshaan hain dil-o-nazar ke mahtaab saare,


Kis qadar an’khille aur be’rang they,

Dekho yeh sard mausmon ke gulaab saare,


Tum to thehre sehel raaston ke musaafir,

Woh raaste bhi to azaab saare,


Fareb-e-nazar to kabhi noor-e-nazar,

Bakhshe hain tu ne hi to khitaab saare,


Tumhen yaad hain chaahton ke puraane sabaq,

Hamari baari badal gaye nisaab saare,


Doori mein haayel yeh pardaa acha tha,

Jo barrha qurb ho gaye hatam hijaab saare,


Zindagi ki uljhan se uljhe hain jab se,

Bikhar gaye hain tamanaaon ke khawb saare,


Jab se mila woh hum se Rubaab,

Aankhon se utar aaye saraab saare..


Hum ko jeevan guzaarne ke liye..

Hum ko jeevan guzaarne ke liye,

Dard ka sath bhi ghaneemat* hai..


(ghaneemat;jo kismat se mil jaye)


Khushbuu mere daaman se lippti hai..

Tumhari yaad ki khushbuu mere daaman se lippti hai,

Barra acha sa lagta hai tumhe hi sochte rehnaa..


Meri chup ne usey rulaa diya..

Mere hamsafar ka yeh hukam tha,

Ke kalaam us se kamm karoon,


Mere hontt aese sille ke phir,

Meri chup ne usey rulaa diya..


Saturday 11 October 2014

Tere gham ke siwaa zamane mein..

Tere gham ke siwaa zamane mein,

Kon se gham ka ilaaj naheen…


Aghaaz-e-ishq to khoob tha yaaro kya kahoon..

Aghaaz-e-ishq to khoob tha yaaro kya kahoon,

Pehle to thi dil lagi ab dil pe ja lagi..


Lamha lamha guzar jaata hai kabhi aik aik saal..

Lamha lamha guzar jaata hai kabhi aik aik saal,

Kabhi lamhe ki tarah saal guzar jaata hai,


Kabhi narmi, kabhi sakhti, kabhi ujlat, kabhi dair,

Waqt aye dost, beherhaal* guzar jaata hai..


(beherhaal;somehow)


Kuch samajh nahin aati sheher ke logon ki..

Kuch samajh nahin aati sheher ke logon ki,

Yunhi rooth jaate hain aayina dikhane per..


Khud main uljhi uljhi hai..

Khud main uljhi uljhi hai,

Per baalon ko suljhaaye..


Meri yaadon ne usey khoob rulaya hoga..

Kitni aziyat se us ne mujh ko bhulaya hoga,

Meri yaadon ne usey khoob rulaya hoga,


Baat be-baat aankh us ki chhalki ho gi,

Us ne chehre ko baazuon mein chupaya hoga,


Socha ho ga us ne din mein keyi baar mujhe,

Naam hatheli per bhi likh likh kar mittaya ho ga,


Jahan us ne kahin mera zikr suna ho ga kisi se,

Us ki aankhon mein koi aansu to aaya hoga,


Raat ke bheegne tak neend naa aayi ho gi usey,

Us ne takkiye ko bhi seene se lagaya hoga,


Ho gi niddhal meri yaadon se tu ne jaana,

Meri tasveer pe sar apna ttikaaya hoga,


Poocha ho ga jo kisi ne teri haalat ka sabab,

Tu ne baaton mein khoob us se chupaya ho ga..


Yeh kaisa khawb tha dharrka sa lag geya dil ko..

Yeh kaisa khawb tha dharrka sa lag geya dil ko,

Ke aik shakss pareshaan meri talaash main hai..


Dukh bhi deta hai woh dawaa bhi deta hai..

Dukh bhi deta hai woh dawaa bhi deta hai,

Mujhe woh mohabbat karne ki sazaa bhi deta hai,


Main yaad karoon to usey yaad aati hai meri,

Warna aksar woh mujhe bhulaa bhi deta hai..


Bohat se alfaaz hain mujh me kitabon ki tarah..

Bohat se alfaaz hain mujh me kitabon ki tarah,

Khamosh mizaaji bhi kitaabon se mili hai lekin..


Meri yaadon se kuch talkhiyaan bhi theen..

Wabassta meri yaadon se kuch talkhiyaan bhi theen,

Achaa kiya jo mujh ko faramosh kar diyaa..


Dono jahan teri mohabbat mein haar ke..

Dono jahan teri mohabbat mein haar ke,

Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke..


Tum mera naam kyun nahin leti….

Sharam, dehshat, jijhakk, pareshaani,

Naaz se kaam kyun nahin leti,


Aap, woh, ji magar, yeh sab kya hai,

Tum mera naam kyun nahin leti..


Log toot jaate hain eik ghar banaane main..

Log toot jaate hain eik ghar banaane main,

Tum taras nahin khaate bastiyanjalaane main


Aur jaam tootenge is sharaab khaane main,

Mausmon ke jaane main, mausmon ke aane main,


Har dharrakte patthar ko log dil samajhte hain,

Umr beet jaati hai dil ko dil banaane main,


Fakhta ki majboori ye bhi keh nahin sakti,

Kaun saanp rakhta hai uske aashiyane main,


Doosri koi ladki zindagi mein aayegi,

Kitni der lagti hai usko bhool jaane main..


Laakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchoon..

Laakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchoon,

Aik bhi un mein nahin maan ki duaaon jessi..


Likh kar hamara naam zameen par mittaa diya..

Likh kar hamara naam zameen par mittaa diya,

Un ka khail tha khaak main hum ko milaa diya..



Friday 10 October 2014

Lakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchon..

Lakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchon,

Aik bhi un main nahin maan ki duaaon jesi..



Meri yaadon ne usey khoob rulaya hoga..

Kitni aziyat se us ne mujh ko bhulaya hoga,

Meri yaadon ne usey khoob rulaya hoga,


Baat be-baat aankh us ki chhalki ho gi,

Us ne chehre ko baazuon mein chupaya hoga,


Socha ho ga us ne din mein keyi baar mujhe,

Naam hatheli per bhi likh likh kar mittaya ho ga,


Jahan us ne kahin mera zikr suna ho ga kisi se,

Us ki aankhon mein koi aansu to aaya hoga,


Raat ke bheegne tak neend naa aayi ho gi usey,

Us ne takkiye ko bhi seene se lagaya hoga,


Ho gi niddhal meri yaadon se tu ne jaana,

Meri tasveer pe sar apna ttikaaya hoga,


Poocha ho ga jo kisi ne teri haalat ka sabab,

Tu ne baaton mein khoob us se chupaya ho ga..


Yeh kaisa khawb tha dharrka sa lag geya dil ko..

Yeh kaisa khawb tha dharrka sa lag geya dil ko,

Ke aik shakss pareshaan meri talaash main hai..


Dukh bhi deta hai woh dawaa bhi deta hai..

Dukh bhi deta hai woh dawaa bhi deta hai,

Mujhe woh mohabbat karne ki sazaa bhi deta hai,


Main yaad karoon to usey yaad aati hai meri,

Warna aksar woh mujhe bhulaa bhi deta hai..


Thursday 9 October 2014

Bohat se alfaaz hain mujh me kitabon ki tarah..

Bohat se alfaaz hain mujh me kitabon ki tarah,

Khamosh mizaaji bhi kitaabon se mili hai lekin..


Meri yaadon se kuch talkhiyaan bhi theen..

Wabassta meri yaadon se kuch talkhiyaan bhi theen,

Achaa kiya jo mujh ko faramosh kar diyaa..


Dono jahan teri mohabbat mein haar ke..

Dono jahan teri mohabbat mein haar ke,

Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke..


Tum mera naam kyun nahin leti….

Sharam, dehshat, jijhakk, pareshaani,

Naaz se kaam kyun nahin leti,


Aap, woh, ji magar, yeh sab kya hai,

Tum mera naam kyun nahin leti..


Log toot jaate hain eik ghar banaane main..

Log toot jaate hain eik ghar banaane main,

Tum taras nahin khaate bastiyanjalaane main


Aur jaam tootenge is sharaab khaane main,

Mausmon ke jaane main, mausmon ke aane main,


Har dharrakte patthar ko log dil samajhte hain,

Umr beet jaati hai dil ko dil banaane main,


Fakhta ki majboori ye bhi keh nahin sakti,

Kaun saanp rakhta hai uske aashiyane main,


Doosri koi ladki zindagi mein aayegi,

Kitni der lagti hai usko bhool jaane main..


Laakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchoon..

Laakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchoon,

Aik bhi un mein nahin maan ki duaaon jessi..


Wednesday 8 October 2014

Hawaa zidi bohat hai..

Havaa zidi bohat hai,

Shaakh per ik phool bhi

rehne nahin deti,


Raaste mein khaak urrati hai,

To us ki dhool tak rehne nahin deti,

Havaa kyun bhool jati hai,

Ke mere rat’jage

Tera asaasa hain,


Hamari jaagti raaton ki saari kirchiyan,

Ankhon mein chubhti hain,

To kya kuch yaad aata hai,


Havaa tujh se jo mumkin ho,

To sadiyon ki thakkan,

Ashkon se dhone se,

Humein khul kar rone de,

Dil-e-be’meher ko chubhte huye,

Khawbon ke pass’manzar mein tu khone de,


Havaa ab humain sone de,

Havaa zidi bohat hai..


Mere hissay main kitaaben na khilone aaye..

Mere hissay main kitaaben na khilone aaye,

Mere rizzq ne chheena hai mera bachpan mujh se..


Mitt jaye gunaahon ka tassawur hi jahan se..

Mitt jaye gunaahon ka tassawur hi jahan se Iqbal,

Agar ho jaye yakeen ke khuda dekh raha hai..


Mujhe lehje badalne se hamesha khauf aata hai..

Mujhe lehje badalne se hamesha khauf aata hai,

Ke lehje jab badalte hain koi apna nahin rehta..


Tum ne to keh diya ke mohabbat nahin mili..

Tum ne to keh diya ke mohabbat nahin mili,

Hum ko to yeh bhi kehne ki fursat nahi mili,


Phir ikhtlaaf-e-raaye ki suurat nikal parri,

Apni yahan kisi se bhi aadat nahin mili..


Tuesday 7 October 2014

Aadat mujhe andheron se ddarne ki dal kar..

Aadat mujhe andheron se ddarne ki dal kar,

Ik shakss meri zindagi ko raat kar geya..


Mohabbat ko azmaana ho to bas itnaa hi kaafi hai..

Mohabbat ko azmaana ho to bas itnaa hi kaafi hai,

Zara sa rooth kar dekho manaaney kon ata hai..


Na sawaal ban kar mila karo, na jawab..

Na sawaal ban kar mila karo, na jawab ban kar mila karo,

Meri zindagi mere khawb hain, mujhe khawb ban kar mila karo,


Abhi sochna hai to soch lo, abhi chorna hai to chorr do,

Naye mausmon mein milo mujhe to gulaab ban kar mila karo..


Monday 6 October 2014

Phir yoon hua ke raaste yakjaa na ho sake..

Phir yoon hua ke raaste yakjaa na ho sake,

Woh bhi anaa parasat they mein bhi anaa parasat..


Woh jis ke liye ankhon ko laal kar daala..

Woh jis ke liye ankhon ko laal kar daala,

Usi ne chorr kar mujh ko kamaal kar daala..


Ishq haara hai to dil thaam ke kyun bethe ho..

Ishq haara hai to dil thaam ke kyun bethe ho,

Tum to har baat pe kehte they “koi baat nahin”..


Sunday 5 October 2014

Us ke daaway bohat kamaal ke they..

Ranj ke they sabhi malaal ke they,

Us ke daaway bohat kamaal ke they,


Aaj woh de raha hai darss-e-wafaa,

Saarey qisse mere zawaal ke they..


Tasleem karte hain humain fursat nahi milti..

Hum tasleem karte hain humain fursat nahi milti,

Magar jab yaad karte hain zamana bhool jate hain..


Gile shikwe mittaa kar muskurao, eid ka din hai..

Gile shikwe mittaa kar muskurao, eid ka din hai,

Purani ranjishon ko bhool jao, eid ka din hai..


Qasam hai apni ankhon ki, hamari eid ho jaye..

Tumhare chaand se chehre ki agar deed ho jaye,

Qasam hai apni ankhon ki, hamari eid ho jaye..


Us ki mehki hui yaadon ki sadaa jaag uthi..

uskimehkihuiyadon

Us ki mehki hui yaadon ki sadaa jaag uthi,

Door ufaq per jo nazar aya eid ka chaand..


Mehboob ne vaada kiya hai paanchve din ka..

Mere mehboob ne vaada kiya hai paanchve din ka,

Kisi se sun liya hoga duniya chaar din ki hai..


Saturday 4 October 2014

Aye gham-e-zindagi na ho naraaz..

Aye gham-e-zindagi na ho naraaz,

Mujhe ko aadat hai muskuraane ki..


Dekha eid ka chaand to maangi yeh dua rab se..

eidkachand

Dekha eid ka chaand to maangi yeh dua rab se,

Dede tera saath eid ka tohfaa samajh ke..


Main hoon tera khayal hai chand raat hai..

Main hoon tera khayal hai chand raat hai,

Dil dard se niddhaal hai aur chand raat hai,


Eid aayi hai magar dil bechaini se bhara hai,

Teri be’dardiyon ka kamaal hai aur chand raat hai,


Ab dil main hosla, na sakat bazuon mein thi..

Ab dil main hosla, na sakat bazuon mein thi,

Ab ke muqaable pe mere yaar aa gaye..


urdu poetry


Bichrra to dard rooh ki gehraayion mein tha,

Ho ke juda abhi to meri tanhaayion mein tha..


Friday 3 October 2014

Des mein nikla hoga kahin eid ka chaand..

Des mein nikla hoga kahin eid ka chaand,

Pardes mein ankhen kayi namm hon gi..


Ghamon se ulajh kar jeena meri fitrat hai..

Ghamon se ulajh kar muskurana meri fitrat hai,

Mujhe nakamiyon per asshk bahana nahi ata..


Yeh tootna jurrna bohat takleef deta hai..

Audio Poetry


Mujhe na saans ati hai,

Na mera damm nikalta hai,

Magar yeh beech ka aalam,

Bohat takleef deta hai,

Mujhe andar nigalta hai,

Na saahil par pattakta hai,

Bikharna yun samandar ka,

Bohat takleef deta hai,

Jo tum bolo bikhar jayen,

Jo tum bolo sanwar jayen,

Magar yun tootna jurrna,

Bohat takleef deta hai..


Tum ko naraaz hi rehna hai to koyi baat karo.

Tum ko naraaz hi rehna hai to koyi baat karo,

Ke chup chaap rehne se mohabbat ka gumaan hota hai..


Thursday 2 October 2014

Mere lafzon se nikal jaye assar..

Mere lafzon se nikal jaye assar,

Koi khawhish jo tere baad karoon.


Tum mujhe khaak bhi samjho to koi baat nahin..

Tum mujhe khaak bhi samjho to koi baat nahin,

Khaak urrti hai to ankhon mein samaaa jati hai..


Shayed kabhi khuloos ko manzil na mil sake..

Shayed kabhi khuloos ko manzil na mil sake,

Wabasta hai mufaad har ik dosti ke saath..


Andheri raahon par sunsaan raston per…

Andheri raahon par sunsaan raston per,

Woh aik chaand sa chehra bohat yaad aya..


Chehre badal badal kar mil rahe hain log..

Chehre badal badal kar mil rahe hain log,

Itna bura salook meri saadgi ke sath..


Wednesday 1 October 2014

Kabhi iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya..

Kabhi iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya,

Har baar ik naye azaab se dochaar kar geya,


Rasta badal badal kar bhi dekha magar woh shakss,

Dil main utar kar woh saari hadhain paar kar geya..


Seekh mojon se ulajh kar jeene ka shaoor.

Seekh mojon se ulajh kar jeene ka shaoor,

Sirf saahil se lippat jaana zindagi nahi..


Eid pe milne ka vaada tha jis ka..

Eid pe milne ka vaada tha jis ka,

chaand ka hamrah us ka rasta dekhoon gi,


Koi to aesi bhi eid aa jaye gi,

Ujrre dil ko mein bhi basta dekhoon gi..