Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaana’n,
Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaana’n,
Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana’n,
Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai,
Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaana’n,
Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaana’n,
Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar,
Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaana’n,
Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin,
Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaana’n,
Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed,
Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaana’n,
Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha,
Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaana’n jaana’n,
Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye,
Aur se aur huye dard ke unwaan jaana’n,
Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they,
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaana’n,
Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza,
Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaana’n..
(tajdeed:renewal)(unwaan:topic)(auraaq:papers)
0 comments:
Post a Comment