This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Friday 31 July 2015

Jab kisi se koi vaada wafa karta hai..

jab kisi se koi vaada wafa
Jab kisi se koi vaada wafa karta hai,
Kaamp uthta hoon ke mere sa hi anjaam na ho..

The post Jab kisi se koi vaada wafa karta hai.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday 30 July 2015

Ussey kehna ke laut aye, Mohabbat awaz deti hai..

Ussey kehna ke laut aye,
Mohabbat awaz deti hai,
Tujhe phir se bulati hai,
Jo tu ne saath dekhe they,
Woh sapne sajaati hai,

Woh phoolon pe ruki shabnam
Tumhari raah takti hai,
Tumhe waapis bulaati hai,

Woh jugnu ab bhi kehte hain,
Teri ankhen jo unse sawaal karti theen,
Ussey jawab dene hain,
Saarey hisaab dene hain,

Kabhi to mujh ko kehne do,
Ke tum bin chaand bhi udaas rehta hai,
Meri ankhon ke woh aansu,
Jo girte hain to awaz dete hain,
Samandar ke kinaare sippiyan jo gungunaati hain,
Tumhe waapis bulaati hain,

Ussey kehna meri palkon pe thehra jo ik moti,
Tumhari raah takta hai,
Woh girne se darta hai,
Woh darta hai mohabbat ke bikharne se,
Woh darta hai palkon se girne se,

Woh ik muskaan jo thehri teri aahat ki chaahat main,
To saans lene se darti hai,
Ussey kehna ke laut aye,
Ke woh muskaan phirti hai,
Kabhi uss dar kabhi iss dar,

Ke tu jo aaye to tere honton pe sajj jaye,
Tere baalon main bikhar jaye,

Magar jo tu nahin aata,
To woh un raston ke saare kaanton ki nokk pe sone lagti hai,
Jahan se tum guzarte they,
Murr ke takte rehte they,
Meri saanson ko milte they,
Ussey kehna ke laut aaye,
Mohabbat awaz deti hai,
Tujhe phir se bulaati hai,
Ke laut aao..

The post Ussey kehna ke laut aye, Mohabbat awaz deti hai.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday 28 July 2015

Ab jiss tarff se chaahe guzar jaye kaarvaan..

Ab jiss tarff se chaahe guzar jaye kaarvaan,
Veeraaniyan to meri dil main utar gayin..

The post Ab jiss tarff se chaahe guzar jaye kaarvaan.. appeared first on Ranjish.com.

Monday 27 July 2015

Jiss ke naseeb main hon zamane ki thokrain..

Jiss ke naseeb main hon zamane ki thokrain,
Us badnaseeb se na sahaaron ki baat kar..

The post Jiss ke naseeb main hon zamane ki thokrain.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday 26 July 2015

Jab tum they meri shaam main tha subah ka aalam..

jab tum they shaam main
Jab tum they meri shaam main tha subah ka aalam,
Tum jab se gaye shaam jhalakti hai sehar main..

The post Jab tum they meri shaam main tha subah ka aalam.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday 25 July 2015

Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi..

Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi,
Yeh shab-o-roz, maah-o-saal ka pur-paich safar,
Qadrey asaan bhi ho sakta tha,
Yeh jo har morr pe kuch uljhe huye raste hain,
In main tarteeb ka imkaan bhi ho sakta tha,
Hum zara dheyaan se chalte to woh ghar,
Jis ke baam-o-dar-o-deewar pe veerani hai,
Jiss ki har subah main shaamon ki pareshaani hai,
Uss main hum chain se abaad bhi ho sakte they,

Bakht se amman ki raahen bhi nikal sakti theen,
Waqt se sulaah ka paimaan bhi ho sakta tha,
Ab jo dekhen to bohat saaf nazar aatey hain,
Saarey manzar bhi, pass-e-manzar bhi,
Lekin iss dair khayaali ka silaah kya hoga,

Yeh to sab baad ki baaten hain meri jaan,
Inhe dekhte sochte rehne se bhala kya hoga,
Woh jo hona tha hua, ho bhi chuka,
Waqt ki lohh pe likhi hui har tehreer ke harff,
Khat-e-tanseekh se waaqif hi nahin,
Bakht maktab ke register ki tarah hota hai,
Apne number pe jo labaikk nahin keh paatey,
Unka kuch uzzr nahin, koi bhi fariyaad nahin,

Yeh woh taayer hain jinhe apni nawaah yaad nahin,
Linain kat’ti rahin, lafz badalne ke sabbab,
Koi tehreer musalssal nahin hone paayi,
Haasil-e-umar yehi channd adhoorey haakay,
Koi tasveer mukammal nahin hone paayi,
Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi…

The post Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi.. appeared first on Ranjish.com.

Friday 24 July 2015

Judaayiyan to yeh maana barri qayamat hain..

Judaayiyan to yeh maana barri qayamat hain.
Rafaaqton main dukh kis qadar hain kya kehne..

The post Judaayiyan to yeh maana barri qayamat hain.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday 23 July 2015

Aaney ki itlaah main guzri tamaam raat..

aaney ki itlaah main guzri raat
Aaney ki itlaah main guzri tamaam raat,
Aayi jo subah khawhish-e-deedaar bhi gayi..

The post Aaney ki itlaah main guzri tamaam raat.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday 22 July 2015

Jheel achi, kanwal acha ke jaam acha hai..

teri aankhon ke liye naam
Jheel achi, kanwal acha ke jaam acha hai,
Teri aankhon ke liye kon sa naam acha hai..

The post Jheel achi, kanwal acha ke jaam acha hai.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday 21 July 2015

Aur kuch nahin rehta, Teri yaad rehti hai…

Zehen ke khayalon main,
Rooh ke ujaalon main,
Zindagi ki jheelon main,
Zaat ki faseelon main,
Rat.jagon ke daaman main,

Dil ke khushk sehraa main,
Chashm-e-tar ke ke daryaa main,
Dard ke jahaan main bhi,
Ashk-e-be.zubaan main bhi,

Aur kuch nahin rehta,
Teri yaad rehti hai..

The post Aur kuch nahin rehta, Teri yaad rehti hai… appeared first on Ranjish.com.

Monday 20 July 2015

Aayi hogi kissi ko hijr main maut..

Aayi hogi kissi ko hijr main maut,
Mujh ko tou neend bhi nahi aati..

The post Aayi hogi kissi ko hijr main maut.. appeared first on Ranjish.com.

Tujh ko paanay ki aarzu karna..

Tujh ko paanay ki aarzu karna,
Aandhiyon main diya jalaana tha..

The post Tujh ko paanay ki aarzu karna.. appeared first on Ranjish.com.

Jahan sawaal ke badle sawaal hota hai..

Jahan sawaal ke badle sawaal hota hai,
Wahaan mohabton ka zawaal hota hai,

Kissi ko apnaa banana hunnar hi sahi,
Kisi ke ban ke rehna kamaal hota hai..

The post Jahan sawaal ke badle sawaal hota hai.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday 19 July 2015

Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai..

Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai,
us ne khusbhuu ke jhoolon main
phoolon ki khawhishen bhejin,
us ne taaron ki thandi chaaon,
aur khawbon ki titliyaan bhejin,
aik vaada-e-fardaa bheja us ne,
saath nibhaane ka,
chorr na jaane ka,

Mujhe maloom hai woh behlaata hai,
mujh ko sataata hai,
magar us ke sapnon se,
uss ke waadon se,
maine aik duniya sajaayi hai,
Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai..

The post Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai.. appeared first on Ranjish.com.

Friday 17 July 2015

Khushi ke geet gaao eid aayi hai..

Khushi ke geet gaao eid aayi hai,
Hanssi labon pe sajaao eid aayi hai,

Parinde bolte hain dil ki baat karte hain,
Tum apna haal sunaao eid aayi hai,

Fizaa main rang hain aur rang dilnasheen,
Nazzar se dil main bassaao eid aayi hai,

Khille hain phool aur mehek rahi hai fizaa,
Dilon ke ranjj mittaao eid aayi hai,

Chalo ke dil ki udaasi ko hatam karte hain,
Khushiyon ko dhoond ke laao eid aayi hai..

The post Khushi ke geet gaao eid aayi hai.. appeared first on Ranjish.com.

Iss eid pr bhi na mil sake to kya hua dosto..

iss eid pr bhi na mil sake
Iss eid pr bhi na mil sake to kya hua dosto,
Jazzbon main khuluus ho to eiden hazaar hain..

The post Iss eid pr bhi na mil sake to kya hua dosto.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday 16 July 2015

Uss se milna to ussey eid mubarak kehna…

ussey eid mubarak kehna
Uss se milna to ussey eid mubarak kehna,
Yeh bhi kehna meri eid mubaarak kar de..

The post Uss se milna to ussey eid mubarak kehna… appeared first on Ranjish.com.

Aap idar aaye udhar deen aur emaan geya..

Aap idar aaye udhar deen aur emaan geya,
Eid ka chaand nazar aaya to ramzaan geya..

The post Aap idar aaye udhar deen aur emaan geya.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday 15 July 2015

Kaheen koi eid na kar le abhi ramzaan baaqi hai..

kahin koi eid na kar le
Hattaa kar zulf chehre se na chhat pr shaam ko ana,
Kaheen koi eid na kar le abhi ramzaan baaqi hai..

The post Kaheen koi eid na kar le abhi ramzaan baaqi hai.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday 14 July 2015

Ik shart pe kheloon gi piyaa pyaar ki baazi..

ik shart pe kheloon gi poetry
Ik shart pe kheloon gi piyaa pyaar ki baazi,
Jeeton to tujhe paaon haaruun to piyaa teri..

The post Ik shart pe kheloon gi piyaa pyaar ki baazi.. appeared first on Ranjish.com.

Monday 13 July 2015

Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon..

Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon,
koi jugnuu,
koi taara,
koi sapnaa bhejoon ?

Koi phool bhejoon ad’khilaa se,
koi umeed,
koi aas,
koi nazaara bhejoon ?

Chaand bhejoon tujhe is eid pr dilbar,
ik khushbuu,
ik rang ka istaara bhejoon ?

Aye mere meherbaan,
roshni ki rang ki muskaan bhejoon ?
ya qauss-o-qazaa ki uthaan bhejoon ?

Apni aankh ka koi moti teri nazar karoon,
Ya hathon se maangi koi dua bhejoon ?

Phoolon se koi titlii ki mohabbat bhejoon,
kisi bhanwre ki lagan,
us ka tarrapna bhejoon ?

Kisi shamma ka jalta hua daaman bhejoon,
Ya baarish ki tarrapti hui boondain bhejoon ?

Mere hathon main ik aas, umeed aur dua hai,
iss eid pe main tujh ko bass itna keh doon,

Ke jis ko tum se mohabbat hai,
Woh sitaara mil jaye,

Aye mere mehboob tujhe iss eid pr,
Tujh ko iss eid pe
Koi tumhara mil jaye..

The post Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday 12 July 2015

Woh paagal larrki ab sudharti jaa rahi hai….

Shokhiyaan chorr di us ne abb ke,
Har rang main udaasi ghulti ja rahi hai,

Uss roothne wale se kaho dekh le aa kar,
Woh paagal larrki ab sudharti jaa rahi hai..

The post Woh paagal larrki ab sudharti jaa rahi hai…. appeared first on Ranjish.com.

Saturday 11 July 2015

Ik aaalam-e-hijraan hi ab hum ko pasand aaya..

Ik aaalam-e-hijraan hi ab hum ko pasand aaya,
Yeh khaana-e-viraaan hi ab hum ko pasand aaya,

Benaaam-o-nishaan rehna ghurbat ke ilaaqe main,
Yeh sheher bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya,

Tha laal hua manzar suuraj ke nikalne se,
Woh waqt tha woh chehra jab hum ko pasand aaya,

Hai qataa-e-talluq se dil khush to bohat apna,
Ik hadh hi banaa lena kab hum ko pasand aaya,

Aana woh Munir uss ka be-khauf-o-khatar hum tak,
Yeh turfaa tamaasha bhi shab hum ko pasand aaya..

The post Ik aaalam-e-hijraan hi ab hum ko pasand aaya.. appeared first on Ranjish.com.

Friday 10 July 2015

Jin ki nazron main hum nahin achey..

jin ki nazron main hum nahin achey
Jin ki nazron main hum nahin achey,
Kuch to woh log bhi buray hon ge..

The post Jin ki nazron main hum nahin achey.. appeared first on Ranjish.com.

Roshni meri bohat door tak jaye gi..

Roshni meri bohat door tak jaye gi,
Shart yeh hai ke saleeqe se jalao mujh ko..

The post Roshni meri bohat door tak jaye gi.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday 9 July 2015

Mera dil ik masoom sa bacha..

Mera dil ik masoom sa bacha,
Tujhe sochta hai sharaarat ki tarah..

The post Mera dil ik masoom sa bacha.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday 8 July 2015

Musalssal hon mulaqaaten to dilchasspi nahin rehti..

Musalssal hon mulaqaaten to dilchasspi nahin rehti,
Be-tarteeb yaraaney barre rangeen hote hain..

The post Musalssal hon mulaqaaten to dilchasspi nahin rehti.. appeared first on Ranjish.com.

Zulf dekhi hai nazron ne ya ghatttaa dekhi hai.

Zulf dekhi hai nazron ne ya ghattaaa dekhi hai,
Arey lutt geya jis ne bhi Mohammad ki adaa dekhi hai,

Apne chehre ko na chupaana aye mere aaqa,
Ke baad muddat ke mareezon ne shifaa dekhi hai..

The post Zulf dekhi hai nazron ne ya ghatttaa dekhi hai. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday 7 July 2015

Khuda jane bichar ke mujh se kis ka humsafar ho ga..

bicharr ke mujhse
Khuda jane bichar ke mujh se kis ka humsafar ho ga,
Hain jis ke waastey muddat se muntazir aankhain..

The post Khuda jane bichar ke mujh se kis ka humsafar ho ga.. appeared first on Ranjish.com.

Monday 6 July 2015

Bandagi ka meri andaaz juda hota hai..

Bandagi ka meri andaaz juda hota hai,
Mera kaaba mere sajdon main chupa hota hai..

The post Bandagi ka meri andaaz juda hota hai.. appeared first on Ranjish.com.

Khayal-e-yaar me mujh ko yunhi madhosh rehne do..

Khayaal-e-yaar main mujh ko yunhi madhosh rehne do,
Na poocho raat ka qissa mujhe khamosh rehne do,

Sunaya vasl ka qissa to mere dost yoon bole,
Kahan tum kahan us ki haseen aghosh rehne do,

Mujhe maloom hai us ne mera hona nahin lekin,
Meri umeed mat torro mujhe pur-josh rehne do,

Mohabbat jurm hai mera mujhe iqraar hai iska,
Wafaa ilzaam hai to phir mere sar dosh rehne do,

Kitaab-e-ishq se hum pr yehi raaz khula hai,
Paaye jo jaam ulfat ka ussey meh-nosh rehne do..

The post Khayal-e-yaar me mujh ko yunhi madhosh rehne do.. appeared first on Ranjish.com.

Aandhii ki zadd main sham-e-tamanna jalaayi jaye..

Aandhii ki zadd main sham-e-tamanna jalaayi jaye,
Jis tarah bhi ho laaj junoon ki bachaayi jaye,

Be-aab o be-giyaah hai yeh dil ka dasht bhi,
Ik nehr aansuyon ki yahan bhi bahaayi jaye,

Aajiz hain apne taala-e-bedaar se bohat,
Har raat hum ko koi kahaani sunaayi jaaye,

Sab kuch badal geya hai magar log hain ba-zid,
Mehtaab hi main suurat-e-janaan dikhaayi jaye,

Kuch saagharon main zehr hai kuch main sharaab hai,
Yeh masla hai tishnagi kis se bujhayi jaye,

Shehron ki sarhadon pe hai sehraaon ka hujoom,
Kyaa maajra hai aao khabar to lagaayi jaye,

Naazil ho jism-o-rooh pe jab be-hissi ka qehr,
Uss waqt dosto yeh ghazal gungunaayi jaye..

The post Aandhii ki zadd main sham-e-tamanna jalaayi jaye.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday 5 July 2015

Jab bhi uss raah se guzro to ik dukh ki kassak..

jab bhi uss raah se guzro
Jab bhi uss raah se guzro to ik dukh ki kassak,
Tokti hai ke woh darwaza khulaa hai ab bhi..

The post Jab bhi uss raah se guzro to ik dukh ki kassak.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday 4 July 2015

Ashk-e-ravaan ki nehr hai aur hum hain dosto..

Ashk-e-ravaan ki nehr hai aur hum hain dosto,
Uss bewafa ka shehr hai aur hum hain dosto,

Yeh ajnabi si manzilein aur raftgaan ki yaad,
Tanhaayiyon kaa zehr hai aur hum hain dost,

Laayi hai ab urraa ke gaye mausmon ki baas,
Barkhaa ki rut ka qehr hai aur hum hain dosto,

Phirte hain misl-e-mauj-e-huaaa shehr mein,
Awaargi ki lehr hai aur hum hain dosto,

Shaam-e-aalam dhalli to chalii dard ki havaa,
Raaton ki pichlaa pehr hai aur hum hain dosto,

Aankhon mei urr rahi hai lutti mehfilon ki dhool,
Ibrat saraa-e-dehr hai aur hum hain dosto..

The post Ashk-e-ravaan ki nehr hai aur hum hain dosto.. appeared first on Ranjish.com.

Friday 3 July 2015

Ab is ghar ki abaadi mehmaanon pr hai..

Ab is ghar ki abaadi mehmaanon pr hai,
Koi aa jaye to waqt guzar jaata hai..

The post Ab is ghar ki abaadi mehmaanon pr hai.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday 2 July 2015

Koi naata na mohabbat ke baraabar niklaa..

Koi naata na mohabbat ke baraabar nikla,
Toot kar chaha jisse woh sitamgar nikla,

Yoon to har lehar se thi apni shanaasayi bohat,
Samjha saahil jisse woh gham ka samandar nikla,

Rooh main jhaanka to yeh mehsuus hua mujh ko,
Itna zarkhaiz jo lagtaa tha woh banjar nikla,

Narmi hathon main na garmi saanson main magar,
Maine chuu kar ussey dekha to woh pathar nikla,

The post Koi naata na mohabbat ke baraabar niklaa.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday 1 July 2015

Tasveer mene maangi thi shokhee to dekhiye..

tasveer mene maangi thi
Tasveer mene maangi thi shokhee to dekhiye,
Ik phool us ne bhej diya hai gulaab ka..

The post Tasveer mene maangi thi shokhee to dekhiye.. appeared first on Ranjish.com.

Yeh kya jagah hai dosto yeh kon sa dayaar hai..

Yeh kya jagah hai dosto yeh kon sa dayaar hai,
Hadh-e-nigaah tak jahaan ghubhaar hi ghubaar hai,

Har ek jism ruuh ke azaab se nidhaal hai,
Har ek aankh shabnami har ek dil figaar hai,

Humen to apne dil ki dharrknon pe bhi yaqeen nahin,
Khosha woh log jin ko duusron pe aitbaar hai,

Na jis ka naam hai koi na jis ki shakl hai koi,
Ik aisi shai ka kyun hamen azzal se intizaar hai..

The post Yeh kya jagah hai dosto yeh kon sa dayaar hai.. appeared first on Ranjish.com.