This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Monday 30 June 2014

Sadhay naal mazaq hawaa kar gayi..

Vey tu nahin aya,

Teri yaad aa ke,

Tera waada yaar wafaa kar gayi,

Saanu taang* rahi pal pal teri,

Bechaini, mera amman, sakooon,

Tabaah kar gayi,

Buuha hillya kayi waari,

Main samjheya assar dua kar gayi,

Jadu kholeya,

Wekheya kujh vi neyi,

Sadhay naal mazaq hawaa kar gayi..


(taang;wait)



Moqa jisay mila woh peeta chala geya..

Moqa jisay mila woh peeta chala geya,

Shayed bohat mithaass hamare hahuu me thi..



Sunday 29 June 2014

Jab bhi hoti hai guftguu khud se..

Jab bhi hoti hai guftguu khud se,

Zikar tera zaroor hota hai..



Saturday 28 June 2014

Mujhe shauq tha ke miloon tujhe..

Mujhe shauq tha ke miloon tujhe,

Mujhe khauf bhi tha kahoonga kya,


Tere saamne se nikal geya,

Bara sehma sehma daraa daraa..



Meri kismat mein gham gar itna tha..

Meri kismat mein gham gar itna tha,

Dil bhi yaa rab kayi diye hotay..



Friday 27 June 2014

Mujhey chor de mere haal per tera kia bharosa..

Mujhey chor de mere haal per tera kia bharosa hai chara-gar,

Ye teri nawazish e mukhtasar mera dard aur barha na de…



Deyaar-e-ghair mein rehte huye roya nahin jata..

Deyaar-e-ghair mein rehte huye roya nahin jata,

Kisi ki yaad ka paani bhi khoya nahin jata,


Main raaton ko sarrak pe iss liye bhi aa nikalta hoon,

Mere kamray mein itna habbass* hai, soya nahin jata..


(habbass; wam,humid)



Thursday 26 June 2014

Khud se roothoon to kayi roz na khud se boloon..

Khud se roothoon to kayi roz na khud se boloon,

Phir kisi dard ki deewaar se lag kar ro loon..



Us pe aati hai mohabbat aese..

Us pe aati hai mohabbat aese,

Jhoot pe jese yakeen ata hai..



Wednesday 25 June 2014

Bohat andar tak tabaahi machaata hai..

Bohat andar tak tabaahi machaata hai,

Woh aansuu jo behne se ddar jaye..



Tuesday 24 June 2014

Usey kehna ke thakk sa geya hoon..

Usey kehna,

Keh thakk sa geya hoon,

Mein khud ko saabit karte karte,

Agarchey, mere tareekay galat honge,

Iraadey magar sachh pe mabni hain,

Tum agar chaaho,

To mere jazbon ka imtehaan lo,

Mere haq me faisla dene ko,

Suno ab to to tthaan lo,

Usey kehna,

Ke thakk sa geya hoon..



Usey hasne ki adat thi, yeh dil kuch aur samjha tha..

Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha,

Usey hasne ki adat thi, yeh dil kuch aur samjha tha,


Mujhe woh dekh kar aksar, nigaahein phair leta tha,

Woh dar-e-pardaa haqaarat* thi, yeh dil kuch aur samjha tha..


(haqaarat;scorn, hate)



Monday 23 June 2014

Tu ne nafrat se jo dekha hai to to yaad aya..

Tu ne nafrat se jo dekha hai to to yaad aya,

Kitne rishte teri khaatir yunhi torr aya hoon,


Kitne dhundhley hain yeh chehre jinhe apnaaya hai,

Kitni ujli theen woh ankhen jinhe chorr aya hoon..



Mujh se ab shayari nahin hoti..

Mujh se ab shayari nahin hoti,

Mujhe lafzon ne maar daala hai..



Sunday 22 June 2014

Yaqeen us ko nahi aata wazahat main naƬ kart..

Yaqeen us ko nahi aata wazahat main naƬ karta,

Guzar jaye gi sari umer shayed imtehano mein…



Jab se us ne hattaa liya baazu..

Jab se us ne hattaa liya baazu,

Sar ke neechey sawaal rakhe hain..



Saturday 21 June 2014

Tu tou razzaq hai tujh se kya pardaa..

tutorazzaqhai


Tu tou razzaq* hai tujh se kya pardaa,

Kal se bachon ne kuch nahin khaya..


(razzaq;one who feeds)



Aap ka vaada aap ka dedaar..

Aap ka vaada aap ka dedaar,

Hashar tak intizaar kon kare..



Bikhri parri hai sheher mein khushbuu gali gali..

Bikhri parri hai sheher mein khushbuu gali gali,

Guzra hai jese koi idhar se abhi abhi..

bikhrihaishehermeinkhushbuu



Friday 20 June 2014

Waqt taizi se badal geya..

Waqt taizi se badal geya,

Tum waqt se bhi taiz niklay..



Thursday 19 June 2014

Khudkushi aaj na kar, mumkin hai..

Khudkushi aaj na kar, mumkin hai,

Kal ka din aaj se behtar aaye..



Usey kaho ke hum us ke baghair jee lein ge..

Usey kaho ke hum us ke baghair jee lein ge,

Yeh gham agarchey zyada hai aadmi ke liye..



Wednesday 18 June 2014

Ik ghazal Meer ki parhta hai parrosi mera..

Ik ghazal Meer ki parhta hai parrosi mera,

Ik nami si meri deewar mein aa jati hai..



Pyaas kehti hai ke ab rait nichorri jaye..

Pyaas kehti hai ke ab rait nichorri jaye,

Apne hisse me samandar nahi aney wala..



Iss daur ka ek barra fasaadi hoon main..

Iss daur ka ek barra fasaadi hoon main,

Jo sach lage bas wohi keh deta hoon main..



Tuesday 17 June 2014

Kabhi le mujhse tu mere shab-o-roz ka hisaab..

Kabhi le mujhse tu mere shab-o-roz ka hisaab,

Phir dhoond un me se apne siwaa kuch aur..



Monday 16 June 2014

Dekhe hain hum ne hungaame mohabbat ke..

Dekhe hain hum ne hungaame mohabbat ke,

Aghaaz bhi ruswayi, anjaam bhi ruswaayi..



Sunday 15 June 2014

Kya us se chupaaon nahi ghair bhi itna..

Kya us se chupaaon nahi ghair bhi itna,

Kya us ko bataaon mera apna to nahi hai..



Saturday 14 June 2014

Meri deewangi nahi jaati..

Meri deewangi nahi jaati,

Ro raha hoon hansi nahi jati..



Maut ne chupke se najaney kya kaha..

Maut ne chupke se najaney kya kaha,

Aur zindagi khamosh ho ker reh gayi..



Friday 13 June 2014

Duaa koi bi rad nahi jati..

Duaa koi bi rad nahi jati,

Log itnizar hi nahi karte..



Thursday 12 June 2014

Yoon tassawur mein barasti hain purani yadein..

Yoon tassawur mein barasti hain purani yadein,

Jese barsaat mein rim jhimm ka samaan hota hai..



Ab dekhiye to kis ki jaaan jati hai..

Ab dekhiye to kis ki jaaan jati hai,

Us ne meri mene us ki qasam khayi hai..



Wednesday 11 June 2014

Bohat naaz tha mujhe chaahne walon per magar..

Bohat naaz tha mujhe chaahne walon per magar,

Main azeez tha sab ko magar zaroorat ke liye..



Main nahin maanta kaghaz pe likha shajra-e-nassb..

Main nahin maanta kaghaz pe likha shajra-e-nassb*,

Baat karne se qabeelay ka pata chalta hai..


(shajra-e-nassb;family tree)



Tuesday 10 June 2014

Suna hai ghuse mein woh sab torr deta hai..

Suna hai ghuse mein woh sab torr deta hai,

Mera dil hai uske pass khuda khair kare..



Kitabon ki tarah hai woh bhi..

kitabonkitarahyhy

Kitabon ki tarah hai woh bhi,

Alfaaz se bharpoor, magar khamosh..



Monday 9 June 2014

Tere gharoor ke mayyaar se buland hoon mein..

Tere gharoor ke mayyaar se buland hoon mein,

Teri pasand ka kya zikar, khud’pasand hoon mein..



Ik yaad hai teri jo sambhaali nahi jaati..

Ik yaad hai teri jo sambhaali nahi jaati,

Ik qarzz liya jo adaa ho nahi saktaa..



Apna ghar chorr ke hum log wahan tak pohanche..

Apna ghar chorr ke hum log wahan tak pohanche,

Subah-e-fardaa ki kiran bhi na jahan tak pohanche..

apnagharchorrkehum



Sunday 8 June 2014

Tumhare sath hi dikhi thi mujhe..

Tumhare sath hi dikhi thi mujhe,

Phir kabhi zindagi nahin dikhi..



Saturday 7 June 2014

Pagalpan ki sari lakeerein mere hath me kyun..

Pagalpan ki sari lakeerein mere hath me kyun,

Jis ko chahoon me hi chahoon, mei hi chahon kyun..



Surat ki deewani duniya..

Surat ki deewani duniya,

Mann ke andar jhanke kon..



Friday 6 June 2014

Gila banta hi nahi un se berukhi ka..

Gila banta hi nahi un se berukhi ka,

Dil hi to tha, bhar geyaa ho ga..



De ga agar dard to khud bhi doobay ga..

De ga agar dard to khud bhi doobay ga,

Woh ek shakss jo ankhon me rehta hai..



Thursday 5 June 2014

Tu mohabbat se koi chaal to chal..

Tu mohabbat se koi chaal to chal,

Haar jaaney ka hausla hai mujh ko..



Suna hai log jahan khoyen wahin milte hain..

Suna hai log jahan khoyen wahin milte hain,

Mein tujhe khud me talaash karta hoon..



Ungliyan meri wafaa per to na uthaao logo..

Ungliyan meri wafaa per to na uthaao logo,

Jisey ho shaq woh mujhse nibhaah ke dekhe..



Wednesday 4 June 2014

Ghar bana kar woh mere dil main chorr geya hai..

Ghar bana kar woh mere dil main chorr geya hai,

Na khud rehta hai na kisi aur ko basne deta hai..



Tuesday 3 June 2014

Kya bohat zaroori hai?

Kya bohat zaroori hai?

Khawb posh ankhon mein,

Aanusyon ka bhar jana?


Hasrton se saahil par,

Titliyon ka mar jana?

Habss ki hawaaon mein,

Khushbuyon ka dar jana?

Dil ke garam sehraa main,

Hashar hi barpaa hona?

Dard la’dawaa hona ?

Kya bohat zaroori hai?



Maloom hota hai bhool gaye ho shayed..

Maloom hota hai bhool gaye ho shayed,

Sabar to kisi me is qadar nahin hota..



Monday 2 June 2014

Koi majburiyan hon gi jo wafa kar na paya..

Koi majburiyan hon gi jo wafa kar na paya,

mere mehboob ko na shamil karo be-wafao’n me..



Aik muddat ke baad hum ne yeh jaana aye Khuda..

Aik muddat ke baad hum ne yeh jaana aye Khuda,

Ishq teri zaat se sacha hai, baki sab afsaney..



Sunday 1 June 2014

Maan liya sach kehti ho, Mujh se mohabbat karti ho..

Maan liya sach kehti ho,

Mujh se mohabbat karti ho,

Meray khawbon ki duniya mein rehti ho,

Meri yaad ke aalam,

Door hila’aa mein,

Aksar takti rehti ho,

Din sochon mein katt jata hai,

Raat ko neend nahi aati,

Ek ek taara ginti ho,

Ye bhi sach hai,

Apney hussn ki barish se,

Meri zeest ka sehraa,

Jal-thal ker do ge,

Jeevan bhar sukh baanto ge,


Lekin…

Aye masoom larrki !!

Main bebass hoon,

Chahoon bhi to,

Sath tumhara de nahi sakta,

Mere dukh ki duniya tanhaa,

Mere sukh ki bat alag hai..

Kis umeed pe, kis bharosey per,

Mera daaman thaamo gi,

Mere haath ki tooti-phooti,

Tirchi lakirein ghaur se dekho,

In mein tumhara naam nahi hai..