This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Saturday 28 February 2015

Hum bhi kuch khush nahin wafa kar ke..

Hum bhi kuch khush nahin wafa kar ke,

Tum ne achaa kiya nibaah na kiya..


Kuch iss adaa se mere sath bewafayi kar..

kuch is ada se bewafai kar

Kuch iss adaa se mere sath bewafaayi kar,

Ke tere baad mujhe koi bewafa na lage..


Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon..

Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon,

Zara si baat par itna bikharne kyun lagi hoon,


Woh jiss mausam ki ab tak muntazir ankhen thi meri,

Ussi mausam se ab main itna darne kyun lagi hoon,


Mujhe nadeeda raston per safar ka shauq bhi tha,

Thakan paaon se liptti hai to marne kyun lagi hoon,


Mujhe yeh chaar deewari ki ronaq maar daale gi,

Main ik imkaan thi manzil ka mittne kyun lagi hoon,


Main jiss ko kam se kam mehsoos karna chahti thi,

Ussi ki baat ko itna samajhne kyun lagi hoon,


Jo mere dil ki galiyon se kabhi guzra nahin tha,

Ab apne hath se khat us ko likhne kyun lagi hoon,


Badan ki raakh tak bhi raston main na bache gi,

Barasti baarishon main yoon sulagne kyun lagi hoon,


Wohi suraj hai dukh ka phir yeh aesa kya hua hai,

Main pathar thi to akhir ab pighalne kyun lagi hoon..


Friday 27 February 2015

Roz woh khawb main aate hain galle milne ko..

Roz woh khawb main aate hain galle milne ko,

Main jo sota hoon to jaag uthti hai kismat meri..


Dosti aam hai lekin aye dost..

Dosti aam hai lekin aye dost,

Dost milta hai barri mushkil se..


Tum mille ho to sab yoon hai ke jese..

Tum mille ho to sab yoon hai ke jese,

Eilaan jannat ka ho gunahgaar ke liye..


Wednesday 25 February 2015

Bechain mujh ko har raat bhar rakha..

Firaaq-e-yaar ne bechain mujh ko har raat bhar rakha,

kabhi takiya idhar rakha kabhi takiya udhar rakhaa..


Tuesday 24 February 2015

Raat mehfil main teri hum bhi kharre they..

Raat mehfil main teri hum bhi kharre they aese,

Jesse tasveer laga de koi deewaar ke saath..


Ishq dono pe yun guzar jaaye..

Ishq dono pe yun guzar jaaye,

Main bikhar jaaun vo sanwar jaaye,


Khushi hai to labon pe baithe meri,

Gham hai to ashqon mein bikhar jaaye,


Ab mohabbat na zindagi se rahi,

Jaise guzri hai bas guzar jaaye..


Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumar karna..

Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumar karna,

Jo mere hisse main aayi hain woh aziyaten bhi shumar karna,


Jalaye rakhoon gi subah tak main tumhare raste mein apni ankhen,

Magar kahin zabt toot jaye to barishen bhi shumar karna,


Jo harf loh-e-wafaa pe likhe huye hain in ko bhi dekh lena,

Jo raayegan ho gayin woh sari ibaartain bhi shumar karna,


Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharrkne barf ho gayi hain,

Jab in ki yakh’bastgi parakhna, tamaazten bhi shumar karna,


Tum apni majbooriyon ke qisse zaroor likhna wazahton se,

Jo meri ankhon main jal bujhi hain woh khawhishen bhi shumar karna..




Monday 23 February 2015

Aik aansuu aankh main roka hua..

Aik aansuu aankh main roka hua,

Aik hansi honton se behti huyi..


Jab bhi dekha mere kirdaar pe dhabba koi..

Jab bhi dekha mere kirdaar pe dhabba koi,

Dair tak beth ke tanhai main roya koi,


Log maazi ka bhi andaaza laga lete hain,

Mujh ko to yaad nahin kal ka bhi qissa nahin,


Be’sabbab aankh main aansu nahin aya karte,

Aap se hoga yaqeenan mera rishta koi,


Yaad aane laga aik dost ka bartaao mujhe,

Toot kar gir parra jab shaakh se pata koi,


Baad main sath nibhane ki kasam kha lena,

Dekh lo jalta hua pehle patanga koi,


Us ko sunaa leta hoon ruudad-e-safar,

Raah main jab kabhi mil jata hai apna koi,


Kese samjhe ga bicharrna woh kisi ka Rana,

Toot’te dekha nahin us ne sitaara koi..


Zikar ik roz palattne ka kiya tha tum ne..

sad designed poetry

Zikar ik roz palattne ka kiya tha tum ne,

Ik dia zulff ke saaye main jala rakha hai..


Pehlu main jo bethen to dil thaam ke bethen..

Aap pehlu main jo bethen to dil thaam ke bethen,

Dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane ki..


Sunday 22 February 2015

Itna na badal mujh ko ke kal ko..

Itna na badal mujh ko ke kal ko,

Tujhe mujh main hi na main miloon..


Awaz de ke dekh lo shayed woh mil hi jaye..

Awaz de ke dekh lo shayed woh mil hi jaye,

Warna yeh umar bhar ka safar rayegaan* to hai..


(rayegaan:wasted, zaya)


Saturday 21 February 2015

Yaad ka dard dil main phail geya..

Yaad ka dard dil main phail geya,

Dair kar di usse bhulaane main..


Phir yoon hua ke sonay ka bhao bhi gir geya..

Phir yoon hua ke sonnay ka bhao bhi gir geya,

Ik shaam jo utaara us ne kangan kalaayi se..


Khulta hi kyun kisi pe mere dil ka maamla..

Khulta hi kyun kisi pe mere dil ka maamla,

Sheron ke intikhaab ne ruswaa kiya mujhe..


Friday 20 February 2015

Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the..

Tum mujh se juda ho kar bhi mere sath rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the,


Kabhi dard ki surat main, kabhi meri hi murat main,

Kabhi yaron ki sohbat main, kabhi tanhai ki lazzat main,

Mere dil ko hamesha hi, bohat tum raas rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum paas rehte the,


Main jab ghar se nikalta tha, meri tum soch ban jate,

Mujhe jo shakhs nazar ata, us main tum nazar ate,

Tum mujh se door the chahe, meri tum aas rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum paas rehte the,


Jab main tanha hota to, tum meri awaz ban jate,

Mere andaz ban jate, mere alfaz ban jate,

Jitny dard thy mery, youn abad rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the,


Tum mere khyalon main. jawabon main, sawalon main,

Shamon ki udasi main. subha k ujalon main,

Aur mere dil ke aangan main, hamesha khas rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the,


Mujhe tum ye batao ke, mujhe kya yaad karte the,

Kabhi mere kahe alfaz, tujhe barbad karte the,

Kya andar se tum bhi, youn hi udas rehte the,

Tum mujh se door thy lekin, mere tum pas rehte the..


Muhammad Irfan Arshad


Mizaaj-e-yaar se joon joon shanaasa hota jata hoon..

Mizaaj-e-yaar se joon joon shanaasa hota jata hoon,

Main tanha, aur tanha, aur tanhaa hota jata hoon..


Kya ghazab hai ke uss ki khamoshi..

Kya ghazab hai ke uss ki khamoshi,

Mujh se batain hazaar karti hai..


Thursday 19 February 2015

Mohabbat jab sakoon-e-zindagi barbaad karti hai..

Mohabbat jab sakoon-e-zindagi barbaad karti hai,

To labb khamosh rehte hain, nazar fariyad karti hai..


Bhoola nahin dil hijar ke lamhaat karre woh..

bhoola nahin dil parveen shakir

Bhoola nahin dil hijar ke lamhaat karre woh,

Raatain to barri theen hi din bhi barre woh..


Tum na tauba karo jafaaon se..

Tum na tauba karo jafaaon se,

Hum wafaaon se tauba karte hain..


Wednesday 18 February 2015

Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate..

Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate,

Warna itne to marasim they ke aate jaate,


Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha,

Apne hisse ki koi shamma jalaate jaate,


Kitna asaan tha tere hijar main marna jaana,

Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate,


Jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi,

Pa’bajola hi sahi naachte gaate aate,


Us ki woh jaane usse pas-e-wafa tha ke na tha,

Tum Faraz apni tarf se to nibhaate jaate..



Ik wohi shakss mujhe yaad raha..

Ik wohi shakss mujhe yaad raha,

Jiss ko samjha tha bhool jaonga..


Hum ko loota hai uss sheher ne aye jan-e-wafa..

Hum ko loota hai uss sheher ne aye jan-e-wafa,

Jis ki galiyon main mohabbat ka kuch hisaab na tha,


Woh jo rehte they mere sath hamesha din raat,

Uss ke mazhab main wafaon ka koi baab na tha,


Woh jo ankhon main mohabbat ko liye phirte they,

Uss ke dil main thi woh nafrat ke kuch hisaab na tha,


Maine jis ko bhi museebat main maseeha jana,

Jo diya us ne bara koi us se azaab na tha,


Mujhe khayal tha ke yeh log mere apne hain,

Magar yahan pe to aesa koi riwaaj na tha..




Tuesday 17 February 2015

Aaj to be’sabbab udaas hai jee..

Aaj to be’sabbab udaas hai jee,

Ishq hota to koi baat bhi thee..


Aaj to be’sabbab udaas hai jee..

Aaj to be’sabbab udaas hai jee,

Ishq hota to koi baat bhi thee..


Monday 16 February 2015

Kab thehre ga dard aye dil..

Kab thehre ga dard aye dil kab raat bassar hogi,

Sunte they woh aayen ge, sunte they sehar hogi..


Sunday 15 February 2015

Doob marna to koi baat nahin hai lekin..

Doob marna to koi baat nahin hai lekin,

bayess-e-sharam hai tufan se haraasan* hona..


(haraasan:hesitate, darna)


Saturday 14 February 2015

Kese guzar rahi hain sabhi puchte hain..

Kese guzar rahi hain sabhi puchte hain,

Kese guzaarta hoon pooche koi nahin..


Dil ko zarooraten to bohat theen..

Dil ko zarooraten to bohat be’hisaab theen,

Yeh aur baat hai ke taqaaza na kar saka..


Friday 13 February 2015

Apni zaat main simtte rahen..

designed poetry ab yeh hum ne socha hai

Ab yeh socha hai ke apni zaat main simtte rahen,

Hum ne kar ke dekh li sab se shanasaayi bohat..


Ajeeb si afra tafri hai hamari zaat mein lekin..

Ajeeb si afra tafri hai hamari zaat mein lekin,

Hamen to be’dhayani me bhi tumhara dhyan rehta hai..


Ku-ba-ku phail gayi baat shanasayi ki..

Ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki,

Us ne khushbu ki tarah meri pazirayi ki,


Kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne,

Bat to sach hai magar bat hai ruswayi ki,


Wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya,

Bas yahi bat hai achi mere harjai ki,


Tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe,

Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki,


Us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha,

Rooh tak aa gayi tasir masihayi ki..




Teri surat se nahin kisi ki surat milti..

Teri surat se nahin kisi ki surat milti,

Hum jahan main teri tasveer liye phirte hain..


Thursday 12 February 2015

Pehle kabhi duniya se mohabbat nahi mangi..

Pehle kabhi duniya se mohabbat nahi mangi,

Yeh qehhat* teri mohabbat ke baad parra hai..


(qehhat:shortage)


Gaye dinon ka suragh le ker, kidhar se aya kidar geya woh..

Gaye dinon ka suragh le kar, kidar say aaya kidear geya woh,

Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhe to hairaan kar geya woh,


Bas aik moti si chhabb dikha kar, bas aik meethi see dhun suna kar,

Sitara-e-sham ban ke aaya, ba-rang-e-khwab-e-sehr geya woh,


Khushi ki rut ho ke gham ka mausam, nazar usse dhoondti hai har damm,

Woh boo-e-gul tha ke naghma-e-jaan, me to dil mein utar geya woh,


Nah abb woh yaadon ka charhta darya, na abb fursaton ki udaas barkha,

Younhi kasak hai zara si dil mein, jo zakhm gehra tha bhar geya woh,


Shikasta paa rah mein khara hoon, gaye dinon ko bula raha hoon,

Jo qaafla mera humsafar tha, misal-e-gard-e-safar geya woh,


Woh meh’kade ko jagane wala, who raat ki neend urrane wala,

Yeh aaj kya uss ke jee main aayi, ke shaam hote hi ghar gaya woh,


Woh hijr ki raat ka sitara, who humnafas, hum’sukhan hamara,

Sada rahey naam uska pyara, suna hai kal raat mar gaya woh,


Woh jiss kay shaane pe haath rakh kar, safar kiya tu ne manzilon ka,

Teri gali say na jane kyon aaj, sir jhukaaye guzar geya woh,


Woh raat ka be-nawa musafir, woh tera shayar, woh tera Nasir,

Teri gali tak to jaate dekha, phir na jane kidar geya woh..


Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi..

Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi,

Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan janaan..


Wednesday 11 February 2015

Kisi ke sath guzara hua woh eik lamha..

kisi ke sath guzara hua lamha

Kisi ke sath guzara hua woh eik lamha,

Agar main sochne bethoon to zindagi kam hai..


Tuesday 10 February 2015

Aagey hi bin kahe tu kahe hain nahin nahin..

Aagey hi bin kahe tu kahe hai nahin nahin,

Tujh se abhi to hum ne wo batain kahi nahin..


Aap chairrain na wafaa ka qissa..

Aap chairrain na wafaa ka qissa,

Baat main baat nikal aati hai..


Kissi harf main kissi baab main nahin aye ga..

Kissi harf main kissi baab main nahin aye ga,

Tera zikar meri kitaab main nahin aye ga..


Monday 9 February 2015

Dard mandon ko yahan kis ne pukara ho ga..

dard mand poetry

Dard mandon ko yahan kis ne pukara ho ga,

Iss bhari bazzam main koi to hamara ho ga..


Dil ke daryaa ko kissi roz utar jaana hai..

Dil ke daryaa ko kissi roz utar jaana hai,

Itna be’simt na chal laut ke ghar jaana hai..


Sunday 8 February 2015

Khalish dil ki mitta lete hain..

Dekh lete hain khalish dil ki mitta lete hain,

Pass-e-dewaar kharre hain tera kya lete hain..


Dene aaye hain mere dard ki qeemat mujh ko..

Dene aaye hain mere dard ki qeemat mujh ko,

Itne hamdard hain najaane kyun log mere..


Saturday 7 February 2015

Tum se kya kahen jaana, Iss qadar jhamele main..

Zindagi ke maile main,

Khawhishon ke raile main,

Tum se kya kahen jaanan,

Iss qadar jhamele main,


Waqt ki rawaani hai,

Waqt ki giraani hai,

Sakht be’zameeni hai,

Sakht la’makaani hai,


Hijar ke samandar main,

Takht aur takhte ki,

Aik hi kahani hai,

Tum ko jo sunaani hai,


Baat to zara si hai,

Baat umar bhar ki hai,

Umar bhar ki baatain

Kab do gharri main hoti hain,


Dard ke samandar main,

An’ginat jazeere hain,

Be’shumaar moti hain,

Ankh ke dareeche main,

Tum ne jo sajaya hai,

Baat uss diye ki hai,

Baat uss gille ki hai,


Zindagi se lambi hai,

Baat rat’jage ki hai,

Raaste main kese ho,

Baat takhliye ki hai,


Takhliye ki baaton main,

Guftgu izaafi hai,

Pyar karne walon ko,

Ik nigaah kaafi hai,

Ho sake to mil jao,

Aik din akele main,


Tum se kya kahen jaana,

Iss qadar jhamele main..




Dil ka bhi kabhi hota hai bachon sa aalam..

dil ka bachon sa aalam

Dil ka bhi kabhi hota hai bachon sa aalam,

Ho zeher bhi khush’rang to peene ko machal jaye..


Friday 6 February 2015

Meri deewangi pe iss qadar hairaan hote ho..

Meri deewangi pe iss qadar hairaan hote ho,

Tumhara kya bigrra, tum kyun pareshan hote ho..


Band mutthi se girti huyi rait ki tarah..

Band mutthi se girti huyi rait ki tarah,

Bhulaa diya tum ne to zara zara kar ke..


Thursday 5 February 2015

Adaa hai khawb hai taskeen hai tamaasha hai..

Adaa hai khawb hai taskeen hai tamaasha hai,

Hamari aankhon main aik shakss be’tahasha hai..


Tumhe mujh se mohabbat hai..

Bohat muddat se aesa hai,

Ke tum khamosh rehte ho,

Koi gehra hai gham shayed,

Jisse chup chaap sehte ho,


Yoon hi chalte huye tanha,

Koi ghamgeen sa naghma,

Tum aksar gungunaate ho,

Doraan-e-guftguu joon hi,

Milain nazron se jab nazren,

To baatain bhool jate ho,


Kisi gumsum si haalat main,

Ya phir baarish ke mausam main,

Fakat itna hi kehte ho,

Udaasi be-wajah si hai,

Bohat bojhal tabiyat hai,

Bhala sachh kyun nahin kehte,

Tumhe mujh se mohabbat hai,

Tumhe mujh se mohabbat hai..




Lafz to sab ke ik jese hain to kese baat khule..

Lafz to sab ke ik jese hain to kese baat khule,

Duniyaa daari kitni hai aur chaahat kitni hai..


Wednesday 4 February 2015

Jo zubaan se beyaan nahin hote..

Jo zubaan se beyaan nahin hote,

Unhi lafzon se ashkk bante hain..


Doori ne kar diya hai tujhe aur bhi qareeb..

Doori ne kar diya hai tujhe aur bhi qareeb,

Tera khayaal aa ker na jaaye to kya karoon..


Dil me kisi ki yaad ka tufaan reh geya..

Dil me kisi ki yaad ka tufaan reh geya,

Janab khud to chal diye samaan reh geya..


Tuesday 3 February 2015

Mujhe shehron se andaaza hua hai

tanhai urdu poetry

Mujhe shehron se andaaza hua hai,

Darindey ab nahin hain junglon main..


Kissi ke shor se jaaga kare koi kahin..

Kissi ke shor se jaaga kare koi kahin,

Kahin khamoshi kisi ko sone nahi deti..


Monday 2 February 2015

Tumhari salgirah par tumhare pass na tha..

Ajeeb saaneha guzra hai mujh pe aj ki shaam,

Main aj sham tumhare hijr mein udaas na tha,


Ab ek saal tou yeh ek gham hi kaafi hai,

Tumhari salgirah par tumhare pass na tha..


Dost karte hain malamat, ghair karte hain gilaa.

Dost karte hain malamat, ghair karte hain gilaa,

Kya qayamat mujhi ko sab buraa kehne ko hain..


Sunday 1 February 2015

Mujh ko iss raat ki tanhai me awaaz na do..

Mujh ko iss raat ki tanhai me awaaz na do,

Jis ki awaaz rula de mujhe woh saaz na do..


Raat bhar teri yaadon ki ridaa jaagti hai..

Raat bhar teri yaadon ki ridaa jaagti hai,

Aur saath taaron ki zeyaa jaagti hai,


Jis waqt sheher mein neend ki pariyaan utrein,

Dil main tere khayal ki absraa’a jagti hai,


Aah, woh vasl ki raat, aayi gayi ho gayi,

Haaye yeh hijar ki raat qatra qatra jagti hai,


Kahan le aaye yeh mohabbat ke zakham mujhe,

Namak kholta hai, aur hawaa jagti hai,


Kaj-adaayion ke mausam main koi peer-e-mughaan,

Kehta hai abhi loh-e-wafaa jagti hai,


Yeh rat’jage kabhi apni maan se to nahin kahe,

Phir bhi mere sang ik duaa jagti hai..




Likhe huye ghairon ke sallam atey hain..

Khat main likhe huye ghairon ke sallam atey hain,

Kis qayamat ke yeh naaamey mere naam atey hain..