Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon,
Zara si baat par itna bikharne kyun lagi hoon,
Woh jiss mausam ki ab tak muntazir ankhen thi meri,
Ussi mausam se ab main itna darne kyun lagi hoon,
Mujhe nadeeda raston per safar ka shauq bhi tha,
Thakan paaon se liptti hai to marne kyun lagi hoon,
Mujhe yeh chaar deewari ki ronaq maar daale gi,
Main ik imkaan thi manzil ka mittne kyun lagi hoon,
Main jiss ko kam se kam mehsoos karna chahti thi,
Ussi ki baat ko itna samajhne kyun lagi hoon,
Jo mere dil ki galiyon se kabhi guzra nahin tha,
Ab apne hath se khat us ko likhne kyun lagi hoon,
Badan ki raakh tak bhi raston main na bache gi,
Barasti baarishon main yoon sulagne kyun lagi hoon,
Wohi suraj hai dukh ka phir yeh aesa kya hua hai,
Main pathar thi to akhir ab pighalne kyun lagi hoon..
0 comments:
Post a Comment