Friday, 20 February 2015

Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the..

Tum mujh se juda ho kar bhi mere sath rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the,


Kabhi dard ki surat main, kabhi meri hi murat main,

Kabhi yaron ki sohbat main, kabhi tanhai ki lazzat main,

Mere dil ko hamesha hi, bohat tum raas rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum paas rehte the,


Main jab ghar se nikalta tha, meri tum soch ban jate,

Mujhe jo shakhs nazar ata, us main tum nazar ate,

Tum mujh se door the chahe, meri tum aas rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum paas rehte the,


Jab main tanha hota to, tum meri awaz ban jate,

Mere andaz ban jate, mere alfaz ban jate,

Jitny dard thy mery, youn abad rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the,


Tum mere khyalon main. jawabon main, sawalon main,

Shamon ki udasi main. subha k ujalon main,

Aur mere dil ke aangan main, hamesha khas rehte the,

Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the,


Mujhe tum ye batao ke, mujhe kya yaad karte the,

Kabhi mere kahe alfaz, tujhe barbad karte the,

Kya andar se tum bhi, youn hi udas rehte the,

Tum mujh se door thy lekin, mere tum pas rehte the..


Muhammad Irfan Arshad


0 comments:

Post a Comment