This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Thursday 30 April 2015

Parrh to liya hai in ko magar kese phenk doon..

i have read these letters but how do i throw them away, They have your fragnance stored in them..
Parrh to liya hai in ko magar kese phenk doon,
Khushbuu tumhare hath ki in kaaghzon main hai..

The post Parrh to liya hai in ko magar kese phenk doon.. appeared first on Ranjish.com.

Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai..

Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai,
Jab tum mujhe apna kehte ho apne pe ghuruur aa jata hai,

Tum hussn ki khud ik duniyaa ho shayed ye tumhe maluum nahin,
Mehfil mei tumhaare aaney se har cheez pe nuur aa jata hai,

Hum paas se tum ko kya dekhen tum jab bhi muqaabil hote ho,
Betaab nigahon ke aagay pardaa sa zaruur aa jata hai,

Jab tum se mohabbat ki hum ne tab jaa ke kahin yeh raaz khula,
Marne ka saleeqa aatey hi jeenay ka shauur aa jata hai..

The post Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday 29 April 2015

Phaili hain fizaaon main iss tarah teri yaadein..

Phaili hain fizaaon main iss tarah teri yaadein,
Jiss simt nazar uthii awaaz teri aayi..

The post Phaili hain fizaaon main iss tarah teri yaadein.. appeared first on Ranjish.com.

Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte..

Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte,
Bache lekin soye huye they kis se kahaani kehte,

Sach kehne kaa hosla tum ne cheen liya hai warna,
Sheher mei phailli viraani ko sab viraani kehte,

Waqt guzarta jaata aur yeh zakhm harey rehte to,
Barri hifaazat se rakhi hai teri nishaani kehte,

Woh to shayed dono kaa dukh eik jaisa tha warna,
Hum bhi pathar maarte tujh ko aur deewani kehte,

Tabdeeli sachaayi hai is ko maante lekin kaise,
Aayine ko dekh ke ik tasveer puraani kehte,

Tera lehjaa apnaaya ab dil me hasrat si hai,
Apnii koi baat kabhi to apni zubaani kehte,

Chup reh kar izhaar kiya hai keh sakte to “aanis”,
Aik elaahida tarzz e sukhan ka tujh ko baani kehte..

The post Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday 28 April 2015

Kya faayeda fikr e baish-o-kam se hoga..

Kya faayeda fikr e baish-o-kam se hoga,
Hum kya hain jo koi kaam hum se hoga,

Jo kuch hua, hua karam se tere,
Jo kuch hoga tere karam se hoga..

The post Kya faayeda fikr e baish-o-kam se hoga.. appeared first on Ranjish.com.

Kab laut ke aao ge bataa kyun nahin dete..

Kab laut ke aao ge bataa kyun nahin dete,
Deewaar bahaanon ki giraa kyun nahin dete,

Tum paas ho mere to pataa kyun nahin chalta,
Tum duur ho mujh se to sadaa kyun nahin dete,

Ik tere siwa aur kisi ko bhi na chaaha kabhi,
Yeh baat zamaane ko bataa kyun nahin dete,

Bahar ki havaaon ka agar khauf hai itna,
Jo roshni andar hai bhujaa kyun nahin dete..

The post Kab laut ke aao ge bataa kyun nahin dete.. appeared first on Ranjish.com.

Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai..

Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai,
Aakhir iss dard ki davaa kya hai,

Ham hain mushtaaq aur woh be-zaar,
Yaa ilaahi yeh maajraa kyaa hai,

Main bhi muu mei zabaan rakhta hoon,
Kaash puucho ke mudaa.aa kya hai,

Jab ke tujh bin nahin koi maujood,
Phir yeh hungama ae khudaa kya hai,

Yeh pari-chehra log kaise hain,
Ghamzaa-o-ishvaa o adaa kya hai,

Shikkan-e-zulf-e-ambreen kyun hai,
Nigah-e-chashm-e-suurma saa kya hai,

Sabza o gul kahaan se aaye hain,
Abr kya hai cheez hai havaa kya hai,

Ham ko un se wafaa ki hai umeed,
Jo nahin jaante wafaa kya hai,

Haan bhalaa kar tera bhalaa hoga,
Aur darvesh ki sadaa kya hai,

Jaan tum pr nisaar karta hoon,
Main nahin jaantaa duaa kya hai,

Main ne maana ke kuch nahin “ghalib”,
Muft haath aaye to buraa kya hai..

The post Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai.. appeared first on Ranjish.com.

Ajeeb saaneha mujh pr guzar geya yaar..

Ajeeb saaneha mujh pr guzar geya yaaro,
Main apne saaye se kal raat ddar geya yaaro,

Har eik naqssh tamanna ka ho geya dhundlaa,
Har ek zakhm mere dil kaa bhar geya yaaro,

Bhattak rahi thi jo kashti woh gharq -e- aab hui,
Charrha hua tha jo dariyaa utar geya yaaro,

Woh kaun tha woh kahaan ka tha kya hua tha ussey,
Sunaa hai aaj koi shakss mar geya yaaro,

Main jis ko likhne armaan mein jiyaa ab tak,
Varq varq woh fasaana bikhar geya yaaro..

The post Ajeeb saaneha mujh pr guzar geya yaar.. appeared first on Ranjish.com.

Monday 27 April 2015

Phoolon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin..

phool shayari
Phoolon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin,
Kuch iss main havaon ki siyasat bhi bohat thi..

The post Phoolon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin.. appeared first on Ranjish.com.

Abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko..

Abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko,
Mujhe paagal kiya uss ne tamaasha dekhne ko,

Woh surat dekh li ham ne to phir kuch bhi na dekha,
Abhi warna parri thi aik duniyaa dekhne ko,

Tamanna ki kisse parwah ke sone jaagne mein,
Muyassar hain bohat khawb-e-tamanna dekhne ko,

Bazaahir mutmayin main bhi raha iss anjuman me,
Sabhi maujood the aur woh bhi khush tha dekhne ko,

Ab us ko dekh kar dil ho geya hai aur bi bojhal,
Tarasta tha yehi dekho to kitnaa dekhne ko,

Ab itnaa husn ankhon me samaaye bhi to kyun kr,
Wagarna aaj usse ham ne bhi dekhaa dekhne ko,

Chupaaya haath se chehra bhi uss na-meherbaan ne,
Hum aaye they “zafar” jis ka saraapa dekhne ko..

The post Abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday 26 April 2015

Badan main utre thakkan ke saaye to neend aaye..

Badan main utren thakkan ke saaye to neend aaye,
Yeh dil kahaani koi sunaaye to neend aaye,

Lambi lambi hath ki hatheli pe muskuraa ke,
Chiraagh-e-maada koi jalaaye to neend aaye,

Havaa ki khawhish pe kaun aankhen ujaarrta hai,
Diye ki lau khud se thartharaaye to neend aaye,

Tamaam shab jaagti khamoshi main uss ko socha,
Woh zair-e-lab geet gungunaaye to neend aaye,

Bass aik aansuu bohat hai mere jaagne ko,
Yeh ik sitaara koi bujhaaye to neend aaye..

The post Badan main utre thakkan ke saaye to neend aaye.. appeared first on Ranjish.com.

Kitne hi pairr khauf-e-khizaan se ujarr gaye..

Kitne hi pairr khauf-e-khizaan se ujarr gaye,
Kuch barg-e-sabzz waqt se pehle hi jharr gaye,

Kuch aandhiyaan bhi apnii muaavin safar mei theen,
Thak kar parrao daala to khaimay ukharr gaye,

Ab ke meri shikast mei un ka bhi haath tha,
Woh teer jo kamaan ke panjje mei garr gaye,

Suljhii theen guthiyaan meri daanist mei magar,
Haasil yeh hai ke zakhmon ke taanke ukharr gaye,

Iss ghar mei kya kahoon kya tilissm hai,
Khole they jitne qufl woh honnton pe parr gaye,

Be-saltanat huyi hain katti unchii gardnen,
Baahar saron ke dast-e-tasallut se dharr gaye..

The post Kitne hi pairr khauf-e-khizaan se ujarr gaye.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday 25 April 2015

Yeh dil buraa sahi sar-e-bazaar to na kehh..

Yeh dil buraa sahi sar-e-bazaar to na kehh,
Aakhir tu iss makaan me kuch din raha to hai..

The post Yeh dil buraa sahi sar-e-bazaar to na kehh.. appeared first on Ranjish.com.

Hum ko to gardish-e-halaat pe rona aya

Hum ko to gardish -e- halaat pe rona aya,
Rone wale tujhe kis baat pe rona aya,

Kese jeete hain yeh, kis tarah jiye jate hain,
Ehl-e-dil ki bassar-aukaat pe rona aaya,

Ji nahin aap se kya shikayat ho gi,
Haan mujhe talkhi -e- halaat pe rona aya,

Hussn-e-maghroor ka yeh rang bhi dekha akhir,
Aakhir un ko bhi kisi baat pe rona aya,

Kese mar mar ke guzaari hai tumhe kya maloom,
Raat bhar taaron bhari raat pe rona aya,

Kitne betaab they rim-jhim main piyen ge lekin,
Aayi barsaat to barsaat pe rona aya,

Hussn ne apni jafaaon pe bahaye aansu,
Ishq ko apni shikayaat pe rona aya,

Kitne anjaan hain kya saadgi se puchte hain,
Kahiye kya meri kissi baat pe rona aya,

Awal awal to bas aik aah nikal jaati thi,
Aakhir aakhir to mulaqaat pe rona aya,

Saif yeh dil to qayamat ki tarah guzra hai,
Jaane kya baat thi, har baat pe rona aya..

The post Hum ko to gardish-e-halaat pe rona aya appeared first on Ranjish.com.

Friday 24 April 2015

Patti baandh ke mujh ko tanhaa chorr diya hai..

Aankh pe patti baandh ke mujh ko tanhaa chorr diya hai,
Yeh kis ne sehraa me laa kar sehraa chorr diya hai,

Jissm ki borii se bahar bhi kabhi nikal aaon ga,
Abhi to iss pr khushh hoon us ne zinda chorr diya hai,

Zehn mera azaad hai lekin dil ka dil muthhi me,
Aadha us ne qaid rakha hai aadha chorr diya hai,

Jahaan duaa milti thii Allah jorri salamat rakhe,
Maine tere baad udhar se guzarna chorr diya hai,

Chaaron-shaane-chit mitti pr giraa parra hoon Tabish,
Jaane kis ne dusri jaanib rassa chorr diya hai..

The post Patti baandh ke mujh ko tanhaa chorr diya hai.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday 23 April 2015

Aisi hi intezaar main lazzat agar na ho..

Aisi hi intezaar main lazzat agar na ho,
To do gharri firaaq main apni bassar na ho..

The post Aisi hi intezaar main lazzat agar na ho.. appeared first on Ranjish.com.

Ho jaaye gi jab tum se shanasaayi zara aur..

Ho jaaye gi jab tum se shanasaayi zara aur,
Barrh jaye gi shaayed meri tanhaayi zara aur,

Kyuun khul gaye logon pe meri zaat ke asraar,
Ae kaash ke hoti meri gehraayi zara aur,

Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sako ge,
Yeh uljhii hui ddor jo suljhaayi zara aur,

Tardeed to kar saktaa tha phaile gi magar aur,
Iss taur bhi hogi teri ruswaayi zara aur,

Kyun tark-e-talluq bhi kiya laut bhi aaya,
Achaa tha ke hotaa jo woh harjaayi zara aur,

Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein,
Yeh khauf hai lekin jo hawaa aayi zara aur,

Larrna wahin dushman se jahaan ghayr sako tum,
Jeeto ge tabhi hogi jo paspaayi zara aur,

Barrh jayen ge kuch aur lahuu bechne wale,
Ho jaaye agar sheher mein mehngaayi zara aur,

Ik duubti dharrkan ki sadaa log na sun lein,
Kuchh dair ko bajne do yeh shehnaayi zara aur..

The post Ho jaaye gi jab tum se shanasaayi zara aur.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday 22 April 2015

Aap jin ke kareeb hote hain..

Aap jin ke kareeb hote hain,
Woh barre khush naseeb hote hain,

Jab tabiyat kisi pr aati hai,
Maut ke din qareeb hote hain,

Mujh se milnaa phir aap ka milna,
Aap kis ko naseeb hote hain,

Zulm seh kar jo uff nahin karte,
Un ke dil bhi ajeeb hote hain,

Ishq mei aur kuchh nahin milta,
Sainkrron gham naseeb hote hain,

“nuuh” ki qadr koi kyaa jaane,
Kahiin aise adeeb hote hain..

The post Aap jin ke kareeb hote hain.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday 21 April 2015

Kabhi itna woh chaahen ke mujhe paagal woh kar daalen..

Kabhi itna woh chaahen ke mujhe paagal woh kar daalen,
Kabhi nafrat ke daryaa main mujhe daakhal woh kar daalen,

Kabhi sultaan bana daalen mujhe apni woh duniya ka,
Kabhi to sheher main apne mujhe saayel woh kar daalen,

Kabhi woh bepanah deedar ki daulat mujhe de dein,
Kabhi parde ki deewaren karri haayal woh kar daalen,

Kabhi apne woh pehluu main sadiyaan woh sulaate hain,
Kabhi barsson ki neendon main ajab halchul woh kar daalen..

The post Kabhi itna woh chaahen ke mujhe paagal woh kar daalen.. appeared first on Ranjish.com.

Monday 20 April 2015

Aaj phir maan mujhe maare gi bohat ronay pe..

mother shayari
Aaj phir maan mujhe maare gi bohat ronay pe,
Aaj phir gaaon mein aya hai khilone waala..

The post Aaj phir maan mujhe maare gi bohat ronay pe.. appeared first on Ranjish.com.

Ae ishq ye sab duniya wale bekaar ki baaten karte hain..

Ae ishq ye sab duniya wale bekaar ki baaten karte hain,
Paayal ke ghamon kaa ilm nahin jhankaar ki baaten karte hain,

Har dil me chupa hai teer koi har paaon me hai zanjeer koi,
Puuche koi in se gham ke maze jo pyaar ki baaten karte hain,

Ulfat ke naye diwanon ko kis tarah se koi samjhaaye,
Nazron pe lagi hai paabandi deedaar ki baaten karte hain,

Bhanvre hain agar madhosh to kya parvaane bhi hain khamosh to kya,
Sab pyaar ke naghme gaate hain sab yaar ki baaten karte hain..

The post Ae ishq ye sab duniya wale bekaar ki baaten karte hain.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday 19 April 2015

Kabhi kisi ka jo hota tha intizaar humen..

Kabhi kisi ka jo hota tha intizaar humen,

Bara hi shaam o sehar ka hisaab rakhte they..


The post Kabhi kisi ka jo hota tha intizaar humen.. appeared first on Ranjish.com.


Be-dum huye bimaar davaa kyun nahin dete..

Be-dum huye bimaar davaa kyun nahin dete,

Tum achey maseeha ho shifaa kyun nahin dete,


Dard e shab e hijraan ki jazaa kyun nahin dete,

Khuun-e-dil-e-vehshi ka silaa kyun nahin dete,


Mitt jaye gi makhluuq to insaaf karo ge,

Munsif ho to ab hashar uthaa kyun nahin dete,


Haan nukta-varo laao lab-o-dil ki gavaahi,

Haan naghma-gaaro saaz-e-sadaa kyun nahin dete,


Paimaan-e-junuun hathon ko sharmaaye ga kab tak,

Dil walo garebaan kaa pata kyun nahin dete,


Barbaadi-e-dil jabr nahin “faiz” kisi ka,

Woh dushman-e-jaan hai to bhulaa kyun nahin dete.


The post Be-dum huye bimaar davaa kyun nahin dete.. appeared first on Ranjish.com.


Saturday 18 April 2015

Is shehr ke andaaz ajab dekhe hain yaaro..

iss sheher ke logon ke andaz poetry

Is shehr ke andaaz ajab dekhe hain yaaro,

Guungon se kaha jaata hai behron ko pukaro..


The post Is shehr ke andaaz ajab dekhe hain yaaro.. appeared first on Ranjish.com.


Baat bass se nikal chali hai..

Baat bass se nikal chali hai,

Dil ki haalat sambhal chali hai,


Ab junoon hadh se barrh chala hai,

Ab tabiyat behal challi hai,


Ashk khunaab ho chale hain,

Gham ki rangat badal chalii hai,


Yaa yunhi bujh rahi hain shaamen,

Yaa shab-e-hijr ttal chali hai,


Laakh paighaam ho gaye hain,

Jab sabaa ek pal chalii hai,


Jaao ab so raho sitaaro,

Dard ki raat dhhall chali hai..


The post Baat bass se nikal chali hai.. appeared first on Ranjish.com.


Friday 17 April 2015

Aap ki yaad aati rahi raat bhar..

Aap ki yaad aati rahi raat bhar,

Chaandni dil dukhaati rahi raat bhar,


Gaah jalti huyi gaah bujhtii huyi,

Sham-e-gham jhilmilaati rahi raat bhar,


Koii khushbuu badalti rahi pairahann,

Koii tasvieer gaati rahi raat bhar,


Phir sabaa saaya-e-shaakh-e-gul ke tale,

Koii qissa sunaati rahi raat bhar,


Jo na aya usse koi zanjeer-e-dar,

Har sadaa pr bulaati rahi raat bhar,


Ek umeed se dil behelta raha,

Ik tamanna sataati rahi raat bhar..


The post Aap ki yaad aati rahi raat bhar.. appeared first on Ranjish.com.


Thursday 16 April 2015

Aisa khamosh to manzar na fanaa ka hota..

Aisa khamosh to manzar na fanaa ka hota,

Meri tasveer bhi girtii to chhanaaka hota,


Yuun bhi ik baar to hota ke samandar behta,

Koi ehsaas to dariyaa ki anaa ka hota,


Saans mausam ki bhi kuch der ko chalne lagti,

Koi jhonka teri palkon ki havaa ka hota,


Kaanch ke paar tere haath nazar aate hain,

Kaash khushbuu ki tarah rang hinaa ka hota,


Kyun meri shakal pehen leta hai chhupke ke liye,

Ek chehra koi apna bhi khudaa ka hota..


The post Aisa khamosh to manzar na fanaa ka hota.. appeared first on Ranjish.com.


Samne hota hai lekin mujhe rad karta hai..

samne hota hai lekin poetry

Samne hota hai lekin mujhe rad karta hai,

Baaz aukaat to aayina bhi hadh karta hai..


The post Samne hota hai lekin mujhe rad karta hai.. appeared first on Ranjish.com.


Wednesday 15 April 2015

Hum unse door hote jaa rahe hain..

Hum unse door hote jaa rahe hain,

Bohat majboor hote jaa rahe hain,


Jinhe gumnaam rehna chahiye tha,

Wohi mashoor hote jaa rahe hain,


Sambhal jaao ke ab dushman ke hamle,

Bohat bharpoor hote ja rahe hain,


Khulle they zakhm jo phoolon ki suurat,

Woh ab na-suur hote jaa rahe hain,


Saffar to soch ka jaari hai aur hum,

Thakkan se chhuur hote ja rahe hain,


Zamaana phailta jata hai jitnaa,

Bashhar mehsuur hote jaa rahe hain..


The post Hum unse door hote jaa rahe hain.. appeared first on Ranjish.com.


Sab kehte they kyun milte ho..

Un se milte they to sab kehte they kyun milte ho,

Ab yehii log na milne ka sabbab puuchte hain..


The post Sab kehte they kyun milte ho.. appeared first on Ranjish.com.


Tuesday 14 April 2015

Gulon mei rang bhare baad-e-nau-bahaar chale..

Gulon mei rang bhare baad-e-nau-bahaar chale,

Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale,


Qaffass udaas hai yaaro sabaa se kuch to kaho,

Kahin to behr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale,


Kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aghaaz,

Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale,


Barra hai dard ka rishta yeh dil ghareeb sahi,

Tumhaare naam pe aayen ge gham-gusaar chale,


Jo hum pe guzrii so guzrii magar shab-e-hijraan,

Hamare ashk teri aaqibat sanwaar chale,


Huzuur-e-yaar hui daftar-e-junuun ki talab,

Giraah mein le ke garebaan ka taar-taar chale,


Maqaam “faiz” koi raah mein jachaa hi nahin,

Jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale..


The post Gulon mei rang bhare baad-e-nau-bahaar chale.. appeared first on Ranjish.com.


Israar tha unhe ke bhulaa dijiye..

Israar tha unhe ke bhulaa dijiye zafar,

Hum ne bhula dia to woh is pr bhi khush nahin..


The post Israar tha unhe ke bhulaa dijiye.. appeared first on Ranjish.com.


Monday 13 April 2015

Kya kahoon zindagi kyaa hai..

kya kahoon zindagi poetry

Kya kahoon zindagi kyaa hai,

Ik tamaasha zindagi bhar dekha.


The post Kya kahoon zindagi kyaa hai.. appeared first on Ranjish.com.


Rasm-e-ulfat hi ijaazat nahi deti warna..

rasm e ulfat poetry

Rasm-e-ulfat hi ijaazat nahi deti warna,

Hum bhi aesa tujhe bhoolen ke sadaa yaad karo..


The post Rasm-e-ulfat hi ijaazat nahi deti warna.. appeared first on Ranjish.com.


Jese halaat hain kuch dair gawaara kar lein..

Jese halaat hain kuch dair gawaara kar lein,

Sheher aesa bhi nahin hai ke kinaara kar lein,


Tu bhi kar le humen bardasht yehi behtar hai,

Zindagi hum bhi tere sath guzara kar lein,


Ik mohabbat hai sau do baar nahin ho sakti,

Phir bhi mumkin hai to aye dost dobara kar lein,


Iss se pehle ke yeh sailaab bahaa le jaye,

Ghar bachaane ke liye koi tou chaara kar lein,


Shab-e-tareek main thore se ujaale ke liye,

Teri aankhon ko agar dost sitaara kar lein,


Koi bhi phir humen taqseem nahin kar sakta,

Tere mere ko agar log hamaara kar lein,


Aadha nuqsaan to wese bhi hai is me “zahid”,

Dil ke saude main hasaara hai to saara kar lein..


The post Jese halaat hain kuch dair gawaara kar lein.. appeared first on Ranjish.com.


Sunday 12 April 2015

Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan..

Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan,

Hum aese log ab milen hikaayaton ke darmiyaan,


Lahuu-lahaan ungliyaan hain aur chup kharri hun main,

Gul o samaan ki bepanaah chaahton ke darmiyaan,


Hatheliyon ki ott hi chiraagh le chalun abhi,

Abhi sehar ka zikr hai riwaayaton ke darmiyaan,


Jo dil mei thi nigaah si nigaah mei kiran si thi,

Woh daastaan ulajh gayi wazaahton ke darmiyaan,


Sahiifa-e-hayaat mei jahan jahan likhi gayii,

Likhi gayii hadees-e-jaan jaraahton ke darmiyaan,


Koi nagar koi galii shajjar ki chaaon hi sahi,

Yeh zindagi na katt sake musaafaton ke darmiyaan,


Ab uss ke haal-o-hadh ka rang mujh se puuchna abass,

Nigaah jhappak jhappak gayi iraadaton ke darmiyaan,


Sabaa ka hath thaam kar “adaa” na chal sako gi tum,

Tamaam umr khawb khaawb saa.aaton ke darmiyaan..


The post Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan.. appeared first on Ranjish.com.


Saturday 11 April 2015

Apna hi samajhte hain dil-e-jaana tumhe hum..

Apna hi samajhte hain dil-e-jaana tumhe hum,

Dushman to kabhi dil main basaaye nahin jaate..


The post Apna hi samajhte hain dil-e-jaana tumhe hum.. appeared first on Ranjish.com.


Friday 10 April 2015

Ghar ka rasta bhi milaa tha shayed..

Ghar ka rasta bhi milaa tha shayed,

Raah me sang-e-wafaa tha shayed,


Is qadar taiz hawa ke jhonke,

Shaakh pr phool khila tha shayed,


Jis ki baaton ke fasaane likhe,

Us ne to kuch na kaha tha shayed,


Log be-mehr na hote honge,

Veham sa dil ko hua tha shayed,


Tujh ko bhoole to dua tak bhoole,

Aur wohi waqt-e-duaa tha shayed,


Khoon-e-dil mei to duboya tha qalam,

Aur phir kuch na likha tha shayed,


Dil ka jo rang hai yeh rang-e-adaa,

Pehle ankhon mei rachaa tha shayed..


The post Ghar ka rasta bhi milaa tha shayed.. appeared first on Ranjish.com.


Iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya..

Iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya,

Har baat ik azaab se dochaar kar geya,


Rasta badal ke bhi dekha magar woh shakss,

Dil main utar ke saari hadhain paar kar geya..


The post Iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya.. appeared first on Ranjish.com.


Ek taaza hikayet hai..Ek shakss ko chaaha tha..

Ek shakss ko chaaha tha

Taaron ki tarah hum ne

Ek shakss ko chaaha tha

Apnon ki tarah hum ne

Ek shakss ko samjha tha

Phoolon ki tarah hum ne


Woh shakss qayamat tha

Kyaa uss ki karen baaten

Din uss ke liye paida

Aur uss ki hi theen raaten

Kab miltaa kisi se tha

Hum se theen mulaaqaaten

Rang uss ka shahaabi tha

Zulfon me theen mehkaaren

Aankhen theen ke jaadu tha

Palken theen ke talwaaren

Dushman bhi agar dekhe

Sau jaan se dil haarey


Kuch tum se hi woh milta tha

Baaton mei shabaahat thi

Haan tum saa hi lagta tha

Shokhi mei sharaarat mein

Lagta bhi tumhi sa tha

Dastoor-e-mohabbat mein


Woh shakss humen aik din

Apnon ki tarah bhoola

Taaron ki tarah dooba

Phoolon ki tarah toota

Phir haath na aaya woh

Hum ne to bohat dhoondha


Tum kis liye chonkay ho

Kab zikr tumhara hai

Kab tum se taqaaza hai

Kab tum se shikaayet hai

Ek taaza hikayet hai

Sun lo to inaayat hai

Ek shakss ko chaaha tha

Taaron ki tarah hum ne..



The post Ek taaza hikayet hai..Ek shakss ko chaaha tha.. appeared first on Ranjish.com.


Ruk jayen jo kuch dair to hum beth ke dumm lain..

halaat shayari

Ruk jayen jo kuch dair to hum beth ke dumm lain,

Badle hi chale jaate hain halaat musalssal..


The post Ruk jayen jo kuch dair to hum beth ke dumm lain.. appeared first on Ranjish.com.


Bohat suljhii hui baaton ko bhi uljhaaye rakhte hain..

Bohat suljhii hui baaton ko bhi uljhaaye rakhte hain,

Jo hai kaam aaj ka kal tak usse lattkaye rakhte hain,


Taghaaful sa ravaa rakhte hain uss ke samne kya kya,

Magar andar hi andar tabaa ko lalchaaye rakhte hain,


Hamari justujuu se duur-tr hai manzil e maani,

Ussi ko khoye rakhna hai jisse hum paaye rakhte hain,


Hamari aarzuu apni samajh me bhi nahin aati,

Pajaama is tarah ka hai jisse ulttaaye rakhte hain,


Hawaayen bhuul kar bhii is taraf kaa rukh nahin kartin,

So yeh shaakh e tamasha aap hi thaaraaye rakhte hain,


Issi ki roshni hai aur issi me bhassm hona hai,

Yeh shola shaam ka jo raat bhar bharrkaaye rakhte hain,


Yeh ghar jis ka hai uss ne wapis aana hai “zafar” is me,

Issi khaatir dar-o-deewar ko mehkaaye rakhte hain..


The post Bohat suljhii hui baaton ko bhi uljhaaye rakhte hain.. appeared first on Ranjish.com.


Thursday 9 April 2015

Woh tere pass se chup chaap guzar kese geya..

Woh tere pass se chup chaap guzar kese geya,

Dil-e-betaab qayaamat na uthaa di tu ne..


The post Woh tere pass se chup chaap guzar kese geya.. appeared first on Ranjish.com.


Riwaayeton ko nibhane ka tha saleeqa us ko.

bewafayi karta raha poetry

Riwaayeton ko nibhane ka tha saleeqa us ko,

Woh bewafaayi bhi karta raha wafaa ke sath..


The post Riwaayeton ko nibhane ka tha saleeqa us ko. appeared first on Ranjish.com.


Iss se pehle ke dair ho jaye..

Iss se pehle ke dair ho jaye,

Dua maango, sawair ho jaye,


Karo emaan iss tarah taaza,

Hatam har heir-pheir ho jaye,


Apne rab se woh roshni maango,

Jiss se andhair zair ho jaye,


Karo murdaa zameer ko zinda,

Bhairr andar ki shair ho jaye,


Ho sawa-sair bhi agar dushman,

Tum ko dekhe to sair ho jaye,


Chaand utrey har aik aangan main,

Kehkashaan har munddair ho jaye,


Haq mile sab ko yoon ke phir saanjhi,

Sab ki haandi, changair ho jaye,


Aik bhai ki bhook mittne tak,

Duusra kaise sair ho jaye,


Ho har aik aasteen main aik suuraj,

Kyun kahin phir andhair ho jaye,


Maar do mil ke saarey gadhon ko,

Tung un ka na ghair ho jaye,


Iss se pehle ke dair ho jaye,

Dua maango sawair ho jaye..


The post Iss se pehle ke dair ho jaye.. appeared first on Ranjish.com.


Ab ke uss ki ankhon main be-sabab udaasi thi

Ab ke uss ki ankhon main

Be-sabab udaasi thi

Ab ke uss ke chehre pr

Dukh tha, be-hawaasi thi

Ab ke yuun mila mujhse

Yuun ghazal suni jese

Main bhi na-shanaasa hoon

Woh bhi ajnabi jese

Zard haal-o-hadh us ke

Sogwaar daaman tha

Ab ke uss ke lehje mein

Kitna khurdraa-pan tha

Woh ke umar bhar jis ne

Sheher bhar ke logon mein

Mujh ko hum-sukhan jaana

Khud sa meherbaan samjha

Mujh ko dilrubaa likha

Ab ke saada kaghaz pr

Surkhh roshnaayi se

Uss ne talkhh lehje mein

Mere naam se pehle

Sirf bewafa likha

Sirf bewafaa likhaa..



The post Ab ke uss ki ankhon main be-sabab udaasi thi appeared first on Ranjish.com.


Anaa jab be-tahaasha ho..

Anaa jab be-tahaasha ho,

Kaho phir kyun na tamasha ho..


The post Anaa jab be-tahaasha ho.. appeared first on Ranjish.com.


Wednesday 8 April 2015

Deep tha ya taara kyaa jaane..

Deep tha ya taara kyaa jaane,

Dil mei kyun duuba kya jaane,


Gul pr kya kuch beet gayi hai,

Albela jhonkaa kyaa jaane,


Aas ki mailii chaadar orrhe,

Woh bhi tha mujh sa kya jaane,


Reet bhi apni ruut bhi apnii,

Dil rasm e duniya kyaa jaane,


Ungli thaam ke chalne wala,

Nagrii kaa raasta kya jaane,


Kitne morr abhi baaqi hain,

Tum jaano saya kya jaane,


Kaun khilona tuut geya hai,

Baalak beparwah kyaa jaane,


Mamta ott dehekte suuraj,

Aankhon ka taara kya jaane..


The post Deep tha ya taara kyaa jaane.. appeared first on Ranjish.com.


Raiza raiza toot chuka hoon andar se..

Raiza raiza toot chuka hoon andar se,

Ghar se bahar gardan taan ke chalta hon..


The post Raiza raiza toot chuka hoon andar se.. appeared first on Ranjish.com.


Kabhii kabhi mere dil main khayaal ata hai..

Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai,

Ke zindagi teri zulf ki narm chaaon main,

Guzarne paati

To shadaab ho bhi sakti thi,

Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai,

Teri nazar ki shoaaon main kho bhi sakti thi,


Ajab na tha ke main begaana-e-alam ho kar,

Tere jamaal ki raanaaiyon main khho rehta,

Tera gudaaz-badan teri niim-baaz ankhen,

Inhii haseen fasaanon me mehvv ho rehta,

Pukaartin mujhe jab talkhiyaan zamaane ki,

Tere badan se halaavat ke ghoont pii leta,


Hayaat cheekhti phirti barhna sar aur main,

Ghaneri zulfon ke saaye me chhup ke ji leta,


Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai.

Ke tu nahin tera gham teri justujuu bhi nahin,

Guzar rahii hai kuchh is tarah zindagi,

Usse kissi ke sahaare kii arzuu bhi nahin,


Zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale,

Guzar raha hoon kuch anjaani rahguzaaron se,

Muhiib saaye meri samnt barrhte atey hain,

Hayaat o maut ke pur-hol khaazaaron se,

Na koii jaada-e-manzil na roshni ka suragh,


Bhattak rahi hai khalaaon me zindagi meri,

Inhii khalaaon me reh jaaon ga kabhi kho kar,

Main janta hoon meri hum-nafass magar yuunhi,

Kabhii kabhi mere dil main khayaal ata hai..


The post Kabhii kabhi mere dil main khayaal ata hai.. appeared first on Ranjish.com.


Bewafaayi karke nikluun ya wafaa kar jaaun ga..

Bewafaayi karke nikluun ya wafaa kar jaaun ga,

Sheher ko har zaaiqe se aashnaa kar jaaun ga,


Tuu bhi dhoonde ga mujhe shoq-e-sazaa me ek din,

Main bhi koii khuubsurat si khataa kar jaaun ga,


Mujh se achaayi bhi na kar meri marzii ke khilaaf,

Warna main bhi haath koi duusra kar jaaun ga,


Mujh me hain gehri udaasi ke jaraasiim iss qadar,

Main tujhe bhii is maraz me mubtalaa kar jaaun ga,


Shor hai iss ghar ke aangan me “zafar” kuch roz aur,

Gumbad -e- dil ko kissi din be-sadaaa kar jaaun ga..


The post Bewafaayi karke nikluun ya wafaa kar jaaun ga.. appeared first on Ranjish.com.


Tuesday 7 April 2015

Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga..

Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga yeh tehh hua tha,

Bicharr ke bhi aik duusre ka khayaal ho ga yeh tehh hua tha,


Wohi hua na, badalte mausam main tum ne hum ko bhulaa diya,

Koi bhi rut ho, na chahton ko zawaal ho ga yeh tehh hua tha,


Yeh kya ke saansain ukharr gayi hain safar ke aghaaz hi se yaro,

Koi bhi thhak kar na raaste me niddhaal ho ga yeh tehh hua tha,


Judaa huye hain to kya hua phir, yehi to dastoor-e-zindagi hai,

Judaaiyon main na qurbaton ka malaal ho ga yeh tehh hua tha,


Chalo ke “faizan” kashiyon ko jalaa dein gumnaan sahilon pr,

Ke ab yahan se na wapsi ka sawaal ho ga yeh tehh hua tha..


The post Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga.. appeared first on Ranjish.com.


Dar o dewaar pe shaklain si banane aayi..

Dar o dewaar pe shaklain si banane aayi,

Phir yeh barish meri tanhayi churaane aayi,


Zindagi baap ki maanind saza deti hai,

Reham-dil maan ki tarah maut bachaane aayi,


Aaj kal phir dil-e-barbaad ki baaten hain wohi,

Hum to samjhe they ke kuch aqqal thikane ayi,


Dil main aahatt si hui rooh main dastak guunji,

Kis ki khushbuu yeh mere sarhaane aayi,


Mene jab pehle pehal apna watan chorra tha,

Door tak mujhe ko aik awaz bulaane aayi,


Teri maanind teri awaz bhi zaalim nikli,

Jabb bhi aayi hai mera dil hi dukhane ayi..


The post Dar o dewaar pe shaklain si banane aayi.. appeared first on Ranjish.com.


Monday 6 April 2015

Ik veham sa kyun laahaq hai..

Ik veham sa kyun laahaq hai,

Ke woh bhi mujh bin udaas hoga..


The post Ik veham sa kyun laahaq hai.. appeared first on Ranjish.com.


Wahin phir pyaar kar lein ge..

Suna hai iss jahan me zindagi ki qehat-saali hai,

Yahan do chaar din jeene ka aksar zikar hota hai,

Yahan har cheez faani hai,

Sabhii ko maut aani hai,

Yahan izhaar kya karna,

Yahan pr pyaar kya karna,


Magar kuch yuun bhi sunta hoon,

Ke aesa ik jahaan ho ga,

Ke jiss me maut aane ka

Koi dharrka nahin hoga,

Hayaat -e- jaan vidaan ke sab

Wahan asbaab rakhe hain,


Yeh mera tum se vaada hai,

Agar dono wahan mil gaye,

Wahin iqraar kar lein ge,

Wahin izhaar kar lein ge,

Wahin phir pyaar kar lein ge,

Wahin phir pyaar kar lein ge..


The post Wahin phir pyaar kar lein ge.. appeared first on Ranjish.com.


Baat aisi bhi koi nahin ke mohabbat bohat zeyada hai..

Baat aisi bhi koi nahin ke mohabbat bohat zeyada hai,

Lekin hum donon se uss ki taaqat bohat zeyada hai,


Aap ke peechey peechey phirne se to rahe iss umar me hum,

Raah pe aa baithe hain yeh bhi ghaneemat bohat zeyada hai,


Ishq udaasi ke paighaam to laata rehta hai din raat,

Lekin hum ko khush rehne ki aadat bohat zeyada hai,


Kaam to kaafi rehta hai lekin karnaa hai kis ne yahan,

Beshak roz idhar aa niklo fursat bohat zeyada hai,


Kyaa kuch ho na saka hum se aur hone wala hai kya kuch,

Hassrat bhi kaafi hai lekin hairat bohat zeyada hai,


Sair hi kar ke aa jayenge phir bazaar-e-tamasha ki,

Jiss shai ko bhi haath lagayen qeemat bohat zeyada hai,


Uss ki tawajoh haasil ki aur beech me sab kuch chorr diya,

Hikmat jinti bhi ho iss me himaaqat bohat zeyada hai,


Ishq hai kis ko yaad ke hum to darte hi rehte hain sadaa,

Hussn woh jaisa bhi hai uss ki dehshat bohat zeyada hai,


Ek cheez jo apnii rasaayi se bahar hai kahin “zafar”,

Sach puucho to iss ki hamen zaroorat bhi bohat hai..


The post Baat aisi bhi koi nahin ke mohabbat bohat zeyada hai.. appeared first on Ranjish.com.


Sunday 5 April 2015

Saleeqe se jo hawaaon me khushbuu gghol..

Saleeqe se jo hawaaon me khushbuu gghol sakte hain,

Abhii kuch logg baaki hain jo urdu bol sakte hain..


The post Saleeqe se jo hawaaon me khushbuu gghol.. appeared first on Ranjish.com.


Gham na kar, Gham na kar..

Gham na kar,

Gham na kar,


Dard thham jaye ga,

Gham na kar,

Yaar laut aayen ge,

Gham na kar,

Zakham bhar jaye ga,

Gham na kar,

Dinn nikal aye ga,

Abar khul jaye ga,

Raat ddhhal jaye gi,

Gham na kar,

Ruut badal jaye gi,

Gham na kar,

Gham na kar…


The post Gham na kar, Gham na kar.. appeared first on Ranjish.com.


Saturday 4 April 2015

Bicharr ke tujh se kisi taur behell na saka..

bicharr ke tujh se mohsin naqvi

Bicharr ke tujh se kisi taur behell na saka,

Nishaaniyan bhi teri mere paas kitni theen..


The post Bicharr ke tujh se kisi taur behell na saka.. appeared first on Ranjish.com.


Aag ka rishta nikal aaye koi paani ke sath..

Aag ka rishta nikal aaye koi paani ke sath,

Zinda reh sakta hoon aisi hi khush-imkani ke sath,


Tum hi batlaao ke uss ki qadr kya hogi tumhe,

Jo mohabbat muft me mil jaaye asaani ke sath,


Baat hai kuch zinda reh jaana bhi apna aaj tak,

Lehar thi asuudgi ki bhi pareshaani ke sath,


Chal raha hai kaam sara khawb mil jul kar yahan,

Kufr bhi chimtaa hua hai jazba-e-imaani ke sath,


Farq parrta hai koi logon me rehne se zaroor,

Sheher ke adaab they apni bayabaani ke sath,


Yeh woh duniya hai ke jis ka kuch thikaana hi nahin,

Hum guzaara kar rahe hain dushman-e-jaani ke sath,


Raayegaani se zara aagey nikal aaye hain hum,

Iss dafah to kuch giraani bhi hai arzaani ke sath,


Apni marzii se bhi hum ne kaam kar daale hain kuch,

Lafz ko larrwa diya hai beshtar maaani ke sath,


Faaslon hi faaslon me jaan se haara “Zafar”,

Ishq tha lahoriye ko ek multaani ke sath..


The post Aag ka rishta nikal aaye koi paani ke sath.. appeared first on Ranjish.com.


Mere qad ki bhi hadh se bhi guzar geya..

Aakhir woh mere qad ki bhi hadh se bhi guzar geya,

Kal shaam main to apne hi saaye se ddar geya..


The post Mere qad ki bhi hadh se bhi guzar geya.. appeared first on Ranjish.com.


Peene se main kar chuka tha tauba magar..

Peene se kar chuka tha main tauba magar Jaleel,

Baadal ka rang dekh ke neeyat baddal gayiii..


The post Peene se main kar chuka tha tauba magar.. appeared first on Ranjish.com.


Friday 3 April 2015

Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja..

Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja,

Woh jo mil geya ussay yaad rakh jo nahin mila ussay bhool ja,


Woh tere naseeb ki barishen kisi aur chhhat pe barass gayin,

Dil-e-bekhabar meri baat sun ussay bhool ja ussay bhool ja,


Main tou gum tha tere hi dheyan main teri aas tere gumaan me,

Sabaa keh gayi mere kaan me mere sath aa ussay bhool ja,


Kisi aankh main nahin ashk-e-gham tere baad kuch bhi nahin hai kamm,

Tujhe zindagi ne bhulaa diya tu bhi muskuraa ussay bhool ja,


Kahin chaak-e-jaan ka rafuu nahin kissi aasteen pe lahuu nahin,

Ke shaheed-e-raah-e-malaal ka nahin khuun bahaa ussay bhool ja,


Kyun attaa hua hai ghubaar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein,

Woh jo dard tha tere bakht main so woh ho geya ussay bhool ja,


Woh na aankh hi teri ankh thi woh na khawb hi tera khawb tha,

Dil-e-muntazir to yeh kis liye tera jaagna ussay bhool ja,


Tou yeh hai kis liye shab-e-hijar ke ussay har sitare me dekhna,

Woh falak ke jiss pe mile they hum koi aur tha ussay bhool ja,


Tujhe chaand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khillaa tha jo,

Woh tha aik daryaa visaal ka sau utar geya ussay bhool ja..


The post Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja.. appeared first on Ranjish.com.


Phool kya kantton main bhi khushbuu jaage.

Phool kya kantton main bhi khushbuu jaage,

Tum apne khayaal badall kar to dekho..


The post Phool kya kantton main bhi khushbuu jaage. appeared first on Ranjish.com.


Thursday 2 April 2015

Barri masoom si apnaayiat thi..

Barri masoom si apnaayiat thi,

Woh mujh se roz jab milta nahi tha..


The post Barri masoom si apnaayiat thi.. appeared first on Ranjish.com.


Wednesday 1 April 2015

Puuche na zindagi me kisi ne bhi dil ke dukh..

khudkushi poetry

Puuche na zindagi me kisi ne bhi dil ke dukh,

Ab sheher bhar me zikr meri khud-kushi ka hai..


The post Puuche na zindagi me kisi ne bhi dil ke dukh.. appeared first on Ranjish.com.


Abhi kuch bhi nahin badla..

Abhi kuch bhi nahin badla,

Darakhton per wohi mausam,

Abhi tak muskuraate hain,

Abhi tak surmayi shaamen,

Hamare sath roti hain,


Abhi tak mere hontton pe,

Tumhare ehmari honton

ki khushbuu raqss karti hai,

Abhi tak meri aankhon me

Tumhare khawb hanste hain,


Abhi tak mere hathon pe,

Tumhari ungliyon ke naram poron se

Likhe sab harff zinda hain,

Abhi tak mere seeney me

Tumhare saans chalti hai,


Abhi tak raaston pe

Doodhiya pairon se parrne wale

Saare nakshh qayem hain,

Abhi tak almaariyon main

Saare tohfay gungunaate hain,


Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhaayi me,

Mujhse tumhari baat karte hain,

Bohat se saal guzre hain,

Bohat sa waqt beeta hai,

Meri chahat nahin beeti,

Meri himmat nahin guzri,

Abhi kuch bhi nahin badla,

Agar chaho agar samjho,

Meri maano, to laut aao,

Meri maano, to laut aao..


The post Abhi kuch bhi nahin badla.. appeared first on Ranjish.com.


Aap ko chehre se bhi beemaar hona chahiye..

Aap ko chehre se bhi beemaar hona chahiye,

Ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye,


Aap dariyaa hain to phir iss waqt khatre me hain,

Aap kashtii hain to hum ko paar hona chahiye,


Aire-ghaire log bhi parrhne lage hain in donon,

Aap ko aurat nahin akhbaar hona chahiye,


Zindagi to kab talak dar dar phiraayegi humen,

Toota phhoota hi sahi ghar baar hona chahiye,


Apni yaadon se kaho ik din ki chhutti de mujhe,

Ishq ke hisse me bhi itvaar hona chahiye..


The post Aap ko chehre se bhi beemaar hona chahiye.. appeared first on Ranjish.com.