Tuesday, 14 April 2015

Gulon mei rang bhare baad-e-nau-bahaar chale..

Gulon mei rang bhare baad-e-nau-bahaar chale,

Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale,


Qaffass udaas hai yaaro sabaa se kuch to kaho,

Kahin to behr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale,


Kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aghaaz,

Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale,


Barra hai dard ka rishta yeh dil ghareeb sahi,

Tumhaare naam pe aayen ge gham-gusaar chale,


Jo hum pe guzrii so guzrii magar shab-e-hijraan,

Hamare ashk teri aaqibat sanwaar chale,


Huzuur-e-yaar hui daftar-e-junuun ki talab,

Giraah mein le ke garebaan ka taar-taar chale,


Maqaam “faiz” koi raah mein jachaa hi nahin,

Jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale..


The post Gulon mei rang bhare baad-e-nau-bahaar chale.. appeared first on Ranjish.com.


0 comments:

Post a Comment