Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton per wohi mausam,
Abhi tak muskuraate hain,
Abhi tak surmayi shaamen,
Hamare sath roti hain,
Abhi tak mere hontton pe,
Tumhare ehmari honton
ki khushbuu raqss karti hai,
Abhi tak meri aankhon me
Tumhare khawb hanste hain,
Abhi tak mere hathon pe,
Tumhari ungliyon ke naram poron se
Likhe sab harff zinda hain,
Abhi tak mere seeney me
Tumhare saans chalti hai,
Abhi tak raaston pe
Doodhiya pairon se parrne wale
Saare nakshh qayem hain,
Abhi tak almaariyon main
Saare tohfay gungunaate hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhaayi me,
Mujhse tumhari baat karte hain,
Bohat se saal guzre hain,
Bohat sa waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho agar samjho,
Meri maano, to laut aao,
Meri maano, to laut aao..
The post Abhi kuch bhi nahin badla.. appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment