Ab ke uss ki ankhon main
Be-sabab udaasi thi
Ab ke uss ke chehre pr
Dukh tha, be-hawaasi thi
Ab ke yuun mila mujhse
Yuun ghazal suni jese
Main bhi na-shanaasa hoon
Woh bhi ajnabi jese
Zard haal-o-hadh us ke
Sogwaar daaman tha
Ab ke uss ke lehje mein
Kitna khurdraa-pan tha
Woh ke umar bhar jis ne
Sheher bhar ke logon mein
Mujh ko hum-sukhan jaana
Khud sa meherbaan samjha
Mujh ko dilrubaa likha
Ab ke saada kaghaz pr
Surkhh roshnaayi se
Uss ne talkhh lehje mein
Mere naam se pehle
Sirf bewafa likha
Sirf bewafaa likhaa..
The post Ab ke uss ki ankhon main be-sabab udaasi thi appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment