Hum unse door hote jaa rahe hain,
Bohat majboor hote jaa rahe hain,
Jinhe gumnaam rehna chahiye tha,
Wohi mashoor hote jaa rahe hain,
Sambhal jaao ke ab dushman ke hamle,
Bohat bharpoor hote ja rahe hain,
Khulle they zakhm jo phoolon ki suurat,
Woh ab na-suur hote jaa rahe hain,
Saffar to soch ka jaari hai aur hum,
Thakkan se chhuur hote ja rahe hain,
Zamaana phailta jata hai jitnaa,
Bashhar mehsuur hote jaa rahe hain..
The post Hum unse door hote jaa rahe hain.. appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment