Saturday, 25 April 2015

Hum ko to gardish-e-halaat pe rona aya

Hum ko to gardish -e- halaat pe rona aya,
Rone wale tujhe kis baat pe rona aya,

Kese jeete hain yeh, kis tarah jiye jate hain,
Ehl-e-dil ki bassar-aukaat pe rona aaya,

Ji nahin aap se kya shikayat ho gi,
Haan mujhe talkhi -e- halaat pe rona aya,

Hussn-e-maghroor ka yeh rang bhi dekha akhir,
Aakhir un ko bhi kisi baat pe rona aya,

Kese mar mar ke guzaari hai tumhe kya maloom,
Raat bhar taaron bhari raat pe rona aya,

Kitne betaab they rim-jhim main piyen ge lekin,
Aayi barsaat to barsaat pe rona aya,

Hussn ne apni jafaaon pe bahaye aansu,
Ishq ko apni shikayaat pe rona aya,

Kitne anjaan hain kya saadgi se puchte hain,
Kahiye kya meri kissi baat pe rona aya,

Awal awal to bas aik aah nikal jaati thi,
Aakhir aakhir to mulaqaat pe rona aya,

Saif yeh dil to qayamat ki tarah guzra hai,
Jaane kya baat thi, har baat pe rona aya..

The post Hum ko to gardish-e-halaat pe rona aya appeared first on Ranjish.com.

0 comments:

Post a Comment