Be-dum huye bimaar davaa kyun nahin dete,
Tum achey maseeha ho shifaa kyun nahin dete,
Dard e shab e hijraan ki jazaa kyun nahin dete,
Khuun-e-dil-e-vehshi ka silaa kyun nahin dete,
Mitt jaye gi makhluuq to insaaf karo ge,
Munsif ho to ab hashar uthaa kyun nahin dete,
Haan nukta-varo laao lab-o-dil ki gavaahi,
Haan naghma-gaaro saaz-e-sadaa kyun nahin dete,
Paimaan-e-junuun hathon ko sharmaaye ga kab tak,
Dil walo garebaan kaa pata kyun nahin dete,
Barbaadi-e-dil jabr nahin “faiz” kisi ka,
Woh dushman-e-jaan hai to bhulaa kyun nahin dete.
The post Be-dum huye bimaar davaa kyun nahin dete.. appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment