Bohat suljhii hui baaton ko bhi uljhaaye rakhte hain,
Jo hai kaam aaj ka kal tak usse lattkaye rakhte hain,
Taghaaful sa ravaa rakhte hain uss ke samne kya kya,
Magar andar hi andar tabaa ko lalchaaye rakhte hain,
Hamari justujuu se duur-tr hai manzil e maani,
Ussi ko khoye rakhna hai jisse hum paaye rakhte hain,
Hamari aarzuu apni samajh me bhi nahin aati,
Pajaama is tarah ka hai jisse ulttaaye rakhte hain,
Hawaayen bhuul kar bhii is taraf kaa rukh nahin kartin,
So yeh shaakh e tamasha aap hi thaaraaye rakhte hain,
Issi ki roshni hai aur issi me bhassm hona hai,
Yeh shola shaam ka jo raat bhar bharrkaaye rakhte hain,
Yeh ghar jis ka hai uss ne wapis aana hai “zafar” is me,
Issi khaatir dar-o-deewar ko mehkaaye rakhte hain..
The post Bohat suljhii hui baaton ko bhi uljhaaye rakhte hain.. appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment