Monday, 6 July 2015

Aandhii ki zadd main sham-e-tamanna jalaayi jaye..

Aandhii ki zadd main sham-e-tamanna jalaayi jaye,
Jis tarah bhi ho laaj junoon ki bachaayi jaye,

Be-aab o be-giyaah hai yeh dil ka dasht bhi,
Ik nehr aansuyon ki yahan bhi bahaayi jaye,

Aajiz hain apne taala-e-bedaar se bohat,
Har raat hum ko koi kahaani sunaayi jaaye,

Sab kuch badal geya hai magar log hain ba-zid,
Mehtaab hi main suurat-e-janaan dikhaayi jaye,

Kuch saagharon main zehr hai kuch main sharaab hai,
Yeh masla hai tishnagi kis se bujhayi jaye,

Shehron ki sarhadon pe hai sehraaon ka hujoom,
Kyaa maajra hai aao khabar to lagaayi jaye,

Naazil ho jism-o-rooh pe jab be-hissi ka qehr,
Uss waqt dosto yeh ghazal gungunaayi jaye..

The post Aandhii ki zadd main sham-e-tamanna jalaayi jaye.. appeared first on Ranjish.com.

0 comments:

Post a Comment