Darwaza jo khola to nazar aaye kharre woh,
Hairat hai mujhe, aaj kidhar bhool parre woh,
Bhoola nahin dil, hijr ke lamhaar karray woh,
Raatein to barri theen hi, Magar din bhi barre woh,
Kyun jaan pe ban aayi hai bigrra hai agar woh,
Uss ki to yeh aadat ke hawaaon se larre woh,
Alfaaz they us ke ke bahaaron ke peyamaat,
Khushbuu si barasney lagi, yoon phool jharre woh,
Har shakhs mujhe tujhse juda karne ka hwa’haan,
Sun paaye agar aik to dass ja ke jarre woh,
Bachey ki tarah chaand ko choonay ki tammana,
Dil ko koi shay dede to kya kya na array woh,
Tufaan hai to kya gham, mujhe awaz to di jiye,
Kya bhool gaye aap mere kachay gharre woh..
Perveen Shakir
0 comments:
Post a Comment