Dono jahaan teri mohabbat main haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke,
Veeran hai mai-kada khoom o saaghar udaas hain,
Tum kya gayee ke rooth gaye din bahaar ke,
Ik fursat-e-gunaah mili woh bhi chaar din,
Dekhe hain ham ne hausle parvardigaar ke,
duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke,
Bhoole se muskuraa to diye they woh aaj “faiz”,
Mat pooch valvale dil-e-naa-kardaa-kaar ke..
0 comments:
Post a Comment