Tuesday, 17 March 2015

Dastoor-e-sitam me kya kya baab izaad huye..

Ab ke baras dastoor-e-sitam me kya kya baab izaad huye,

Jo qaatil the maqtool huye, jo said they ab sayyaad huye,


Pehle bhi khizaan me baagh ujrre pr yoon nahin jese ab ke baras,

Saare bootte pata pata ravish ravish barbaad huye,


Pehle bhi tavaaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat walon ki,

Ham tum se pehle bhi yahaan “mansoor” huye “farhaad” huye,


Ik gul ke murjhaane pr kyaa kya gulshan me kohraam macha,

Ik chehra kumhlaa jaane se kitne dil nashaad huye,


Faiz na hum “yusuf” na koi “yaqub” jo hum ko yaad kare,

Apni kya kanaaan me rahe ya misr me jaa abaad huye..


0 comments:

Post a Comment