Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi,
Woh nigaah-e-shoq se door hai, rag-e-jaan se laakh qareen sahi,
Humen jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi,
Humen aap kheenchiye daar pr, jo nahin koi to humii sahi,
Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, humen intizaar qabool hai,
Woh kabhi mile woh kahin mile, woh kabhi sahi woh kahin sahi,
Na ho un pe kuch mera bass nahin, ke yeh ashiqui hai havass nahi,
Main unhi ka tha main unhi ka hoon, woh mere nahi to nahi sahi,
Mujhe bethne ki jagha mile, meri aarzuu ka bharam rahe,
Teri anjuman me agar nahin, Teri anjuman ke qareen sahi,
Tera dar to na hum ko mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi,
Humen sajdaa karne se kaam hain, jo wahan nahin to yahin sahi,
Unhe dekhne ki jo lau lagi, to Naseer dekh hi lain ge hum,
Woh laakh aankh se door hon, woh hazaar parda-nasheen sahi..
0 comments:
Post a Comment