Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye,
Taqdeer teri chaal pe hum raqss kar gaye,
Panchhii bane to rifat-e-aflaak par urre,
Ehl-e-zameen ke haal pe ham raqss kar gaye,
Kaanton se ehtijaaj kiya hai kuch is tarah,
Gulshan kii ddaal ddaal pe hum raqss kar gaye,
Vaayez fareb-e-shoq ne hum ko lubhaa liya,
Firdous ke khayaal pe ham raqss kar gaye,
Har aitbar husn-e-nazar se guzar gaye,
Har halqa-e-haa-e-jaal pe ham raqss kar gaye,
Maanga bhi kya to qatra-e-chashm-e-tasarufaat,
Saaghar tere sawaal pe hum raqss kar gaye..
0 comments:
Post a Comment