Wednesday, 25 March 2015

Ae jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaye..

Ae jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaye,

Manzil ke liye do gaam chaloon aur samne manzil aa jaye,


Ae dil ki khalish chal yoon sahi chalta to hoon un ki mehfil me,

Us waqt mujhe chaunkaa dena jab rang pe mehfil aa jaye,


Ae rehbar -e- kaamil chalne ko tayaar to hoon pr yaad rahe,

Us waqt mujhe bhatkaa dena jab saamne manzil aa jaye,


Haan yaad mujhe tum kar lenaa awaz mujhe tum de lena,

Iss raah-e-mohabbat me koi darpaish jo mushkil aa jaye,


An kyon dhoondoon woh chashm -e-karam hone de sitam balaa-e- sitam,

Main chahta hoon aj jazba-e-gham mushkil pass-e-mushkil aa jaye,


Iss jazba-e-dil ke baare me ik mashwara tum se laita hoon,

Us waqt mujhe kya laazim hai jab tujh pe mera dil aa jaye,


Ae barq -e- tajalli kyaa tuu ne mujh ko bhi muusa samjha hai,

Main tuur nahin jo jall jaaon jo chaahe muqabil aa jaye,


Aata hai jo tuufan aane do kashti ka khuda khud hafiz hai,

Mushkil to nahin in maujon me behtaa hua saahil aa jaye..


0 comments:

Post a Comment