Aaj to be-sabab udaas hai jee,
Ishq hota to koi baat bhi thee,
Jaltaa phirta hoon main do-pehron me,
Jaane kya cheez kho gayi merii,
Wahin phirta hoon main bhi khaak-bassar,
Iss bhare sheher main hai aik galii,
Chhupta phirta hai ishq duniya se,
Phailti jaa rahi hai ruswaayi,
Hum-nasheen kya kahoon ke woh kya hai,
Chorr yeh baat neend urrne lagii,
Aj to woh bhi kuch khamosh sa tha,
Maine bhi uss se koi baat na kee,
Ek dum us ke hont choom liye,
Yeh mujhe baithe baithe kya soojhee,
Ek dum us ka haath chorr diya,
Jaane kya baat darmiyaan aayii,
Tu jo itna udaas hai “Nasir”
Tujhe kya ho gayaa bataa to sahii..
0 comments:
Post a Comment