This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Tuesday, 31 March 2015

Dil me aur to kya rakha hai..

Dil me aur to kya rakha hai,Tera dard chupaa rakha hai,Itne dukhon ki taiz havaa me,Dil ka deep jalaa rakha hai,Dhoop se chehron ne duniya me,Kyaa andhair machaa rakha hai,Iss nagrii ke kuch logon ne,Dukhh ka naam davaa rakha hai,Vaada-e-yaar ki baat na cherro,Yeh dhokaa bhi khaa rakha hai,Bhool bhi jaao beeti baaten,In baaton me kyaa rakha hai,Chup...

Monday, 30 March 2015

Baar’haa iss saadgi pe khud hanssi aayi mujhe..

Baar-haa iss saadgi pe khud hanssi aayi mujhe,Kar raha hoon kis zamaane mein wafaa ki baat..The post Baar’haa iss saadgi pe khud hanssi aayi mujhe.. appeared first on Ranjish.c...

Andar ka zeher choom liya dhhul ke aa gaye..

Andar ka zeher choom liya dhhul ke aa gaye,Kitne shareef log they sab khhul ke aa gaye,Suuraj se jangg jeetne nikle they bewaqoof,Saare sipaahi mom ke they ghhul ke aa gaye,Masjid me door door koi duusra na tha,Hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gaye,Neendon se jang hoti rahegi tamaam umar,Aaankhon me band khawb agar khhul ke aa gaye,Suuraj ne apni...

Sunday, 29 March 2015

Cigarette jalaaye betha hoon…

Cigarette jalaaye betha hoon, chand pal sajaye betha hoon,Dhuyen se is ke aye humdum, teri suurat banaye betha hoon,Yeh jaanta to hoon main ke hai aadat bohat buri yeh,Pr aadatan hi to main duniya bhulaaye betha hoon,Nafrat thi na tumhe bhi, cigarette ke iss dhuyen se,Dekho ke baad muddat nafrat jagaaye betha hoon,Ik woh bhi waqt tha ke dil jalta tha...

Bataayen kya yaaro, kahan thehre kahan pohanche..

Bataayen kya tumhe yaaro, kahan thehre kahan pohanche,Hazaaron daastaanen hain saffar ke saath waabast...

Baat phoolon ki suna karte they..

Baat phoolon ki suna karte they,Hum kabhi sher kaha karte they,Mish-alen le ke tumhare gham ki,Hum andheron me chala karte they,Ab kahan aisi tabiyat vaale,Chott khaa kar jo jua karte they,Tark -e- ehsaas-e-mohabbat mushkil,Haan magar ehl-e-wafaa karte they,Bikhri bikhri hui zulfon vaale,Qaafile rok liya karte they,Aaj gulshan me shagufay “saghar”,Shikva...

Saturday, 28 March 2015

Apne maahol se manuuss nahin hain ab tak..

Apne maahol se manuuss nahin hain ab tak,Hum kissi aur kahani ki to kirdaar nahin ...

Aakhri baar aaah kar li hai..

Aakhri baar aaah kar li hai,Maine khud se nibaah kar li hai,Apne sar ik balaa to leni thi,Maine woh zulff apne sar li hai,Din bhalaa kis tarah guzaro ge,Vasl ki shab bhi ab guzaar li hai,Jaan-nisaaron per vaar kya karna,Maine bass hat me sipar li hai,Jo bhi maango udhaar doon ga main,Uss gali me dukaan kar li hai,Mera khashkol kab se khaali hai,Maine...

Friday, 27 March 2015

Aye raat mujhe maan ki tarah goad mein lele..

Aye raat mujhe maan ki tarah goad mein lele,Din bhar ki mushaqqat se badan toott raha ha...

Ajnabi khawhishen seene me dabaa bi na sakoon..

Ajnabi khawhishen seene me dabaa bi na sakoon,Aese zidii hain parinde ke urraa bhi na sakoon,Phoonk daalunga kisi roz main dil ki duniya,Ye tera khat to nahin hai ke jalaa bhi na sakoon,Meri ghairat bhi koi shai hai ke mehfil me mujhe,Uss ne is tarah bulaaya hai ke jaa bhi na sakoon,Phhal to sab mere darakhton ke pakke hain lekin,Itni kamzor hain shaakhain...

Ab takk to khair teri tamanna main katt gayi..

Ab takk to khair teri tamanna main katt gayi,Tu mil geya to sochta hoon kya karoon ga mai...

Thursday, 26 March 2015

Ab to kar lijiye aap samaat qissa ishq ka..

Ab to kar lijiye aap samaat qissa ishq ka,“aaah” tak le aaye hain hum mukhtsir karte huy...

Wednesday, 25 March 2015

Aap ke qurb se pehle mujhe maloom na tha..

Aap ke qurb se pehle mujhe maloom na tha,Zindagi itni dil-awaiz bhi ho sakti ha...

Ae jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaye..

Ae jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaye,Manzil ke liye do gaam chaloon aur samne manzil aa jaye,Ae dil ki khalish chal yoon sahi chalta to hoon un ki mehfil me,Us waqt mujhe chaunkaa dena jab rang pe mehfil aa jaye,Ae rehbar -e- kaamil chalne ko tayaar to hoon pr yaad rahe,Us waqt mujhe bhatkaa dena jab saamne manzil aa jaye,Haan...

Tuesday, 24 March 2015

Kuch doston ne haath me pathar utthaa liye…

Aaya hi tha abhi mere labb pe wafaa ka naam,Kuch doston ne haath me pathar utthaa liy...

Monday, 23 March 2015

Ab na behel sake ga dil ab na diye jalayiye..

Ab na behel sake ga dil ab na diye jalayiye,Ishq o havass hain sab faraib aap se kya chupaayiye,Uss ne kaha ke yaad hain rang tuluu-e-ishq ke,Main ne kaha ke chooriye ab unhe bhool jaayiye,Kaise nafees they makaan saaf tha kitna aasmaan,Main ne kahaa ke woh samaan aaj kahan se laayiye,Kuch to suraagh mil sake mausam-e-dard-hijr ka,Sang -e- jamaal-...

Qaffass main qaid karo ya hamen qaid karo..

Qaffass main qaid karo ya hamen qaid karo,Tumhare jaal main aaye huye parinde hai...

Jalwon ki sazishon ko na rakho hijab mein..

Jalwon ki sazishon ko na rakho hijab mein,Ye bijliyaan hein ruk na saken gi naqaab me...

Jay bolaan tey maaar dein ge..

Sochaan di aeh mayyiat chaa ke hun main kerre ghar jawaan ga,Jay bolaan tey maaar dein ge, na bolaan tey mar jaawan g...

Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi..

Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi,Woh nigaah-e-shoq se door hai, rag-e-jaan se laakh qareen sahi,Humen jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi,Humen aap kheenchiye daar pr, jo nahin koi to humii sahi,Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, humen intizaar qabool hai,Woh kabhi mile woh kahin mile, woh kabhi sahi woh kahin...

Sunday, 22 March 2015

Bohat tareek sehraa ho geya hai..

Bohat tareek sehraa ho geya hai,Havaa ka shor gehraa ho geya hai,Kisi ke lamss ka yeh mojza hai,Badan saara sunehra ho geya hai,Yeh dil dekhoon ke jis ke chaar janib,Teri yaadon ka pehraa ho geya hai,Wohi hai haal-o-hadh me roshni si,Pr til aankhon ka gehraa ho geya hai,Kabhi uss shakss ko dekha hai tum ne,Mohabbat se sunehraa ho geya ha...

Khushbuu to saans lene ko thehri raah mein..

Khushbuu to saans lene ko thehri raah mein,Hum bd-gumaan aise ke ghar ko palatt gay...

Ab to ghabraa ke yeh kehte hain ke mar jaayenge..

Ab to ghabraa ke yeh kehte hain ke mar jaayenge,Mar ke bhi chain naa paaya to kidar jaayenge,Tum ne thehraayi agar ghair ke ghar jaane ki,To iraade yahan kuch aur theher jaayenge,Khaali ae charagaro honge bohat marham-daan,Pr mere zakham nahin aise ke bhar jaayenge,Pohanchenge rahguzar -e-yaar talak kyun kar hum,Pehle jab tak na do aalam se guzar jaayenge,Shola-e-aah...

Saturday, 21 March 2015

Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye.

Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye,Taqdeer teri chaal pe hum raqss kar gaye,Panchhii bane to rifat-e-aflaak par urre,Ehl-e-zameen ke haal pe ham raqss kar gaye,Kaanton se ehtijaaj kiya hai kuch is tarah,Gulshan kii ddaal ddaal pe hum raqss kar gaye,Vaayez fareb-e-shoq ne hum ko lubhaa liya,Firdous ke khayaal pe ham raqss kar gaye,Har aitbar...

Khayal tark-e-muhabbat baja sahi lekin..

Khayaal tark-e-muhabbat bajaa sahi lekin,Huyi na yuun bhi hamari guzzar to kya ho g...

Friday, 20 March 2015

Visaal ki khawhish..

Keh bhi de ab woh sab baaten,jo dil me posheeda hain,saare roop dikha de mujh ko,jo ab tak naadeeda hain,ek hi raat ke taare hain,hum dono us ko jaante hain,duuri aur majbuuri kya hai,us ko bhi pehchante hain,kyuun phir dono mil nahin sakte,kyuun yeh bandhan toota hai,yaa koii khott hai tere dil me,yaa mera gham jhootta ha...

Aks-e-khushbuu hoon bikharne se na roke koi..

Aks-e-khushbuu hoon bikharne se na roke koi,Aur bikhar jaaon to mujh ko na samaitte koi,Kaamp uthti hoon main yeh soch ke tanhai main,Mere chehre pe tera naam na parrh le koi,Jis tarah khawb mere ho gaye raiza raiza,Uss tarah se na kabhi toot ke bikhre koi,Main to uss din se hiraasaan hoon ke jab hukm mile,Khushk phoolon ko kitaabon me na rakhe koi,Ab...

Thursday, 19 March 2015

Ab yeh mausam meri pehchaan tallab karte hain..

Ab yeh mausam meri pehchaan tallab karte hain,Main jab aaya tha yahan taaza hawaa laya th...

Wednesday, 18 March 2015

Main to us ke aik ik lamhe ka rakhta hoon shumaar..

Main to us ke aik ik lamhe ka rakhta hoon shumaar,Aur mere haal-e-dil se bekhabar kesa hai wo...

Bhulaa bethe hain apne aap ko bhi..

Bhulaa bethe hain apne aap ko bhi,Kuchh aese kaam me uljhe huye hai...

Agarche tujhse bohat ikhtilaaf bhi na hua..

Agarche tujhse bohat ikhtilaaf bhi na hua,Magar yeh dil teri janib se saaf bhi na hua,Taluqaat ke barzakh main hi rakha mujh ko,Woh mere haq main na tha aur khilaaf bhi na hua,Ajab tha jurm-e-mohabbat ke jis pe dil ne mere,Sazaa bhi paayi nahin aur maaf bhi na hua,malaamton main kahan saans le saken ge woh log,Ke jin se kuye-jafaa ka tawaaf bhi na...

Aik misraah hai zindagi meri..

Aik misraah hai zindagi meri,aap chaahen to sher ho jay...

Tuesday, 17 March 2015

Dastoor-e-sitam me kya kya baab izaad huye..

Ab ke baras dastoor-e-sitam me kya kya baab izaad huye,Jo qaatil the maqtool huye, jo said they ab sayyaad huye,Pehle bhi khizaan me baagh ujrre pr yoon nahin jese ab ke baras,Saare bootte pata pata ravish ravish barbaad huye,Pehle bhi tavaaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat walon ki,Ham tum se pehle bhi yahaan “mansoor” huye “farhaad” huye,Ik gul ke...

Aankh me paani rakho hontton pe chingaari rakho..

Aankh me paani rakho hontton pe chingaari rakho,Zinda rehna hai to tarkeeben bohat saari rakho,Raah ke pathar se barrh kr kuch nahin hain manzilen,Raaste awaz dete hain safar jaari rakho,Ek hi nadii ke hain yeh do kinaare dosto,Dostaana zindagi se maut se yaari rakho,Aate jaate pal yeh kehte hain hamare kaan me,Kuch kaa ailaan hone ko hai tayaari rakho,Yeh...

Aakhir ko thhak ke beth gayi ik maqaam per..

Aakhir ko thhak ke beth gayi ik maqaam per,Kuch dair mere saath chali rahguzar bh...

Monday, 16 March 2015

Apne yaaron ki tabiyat se shanaasa hoon main..

Apne yaaron ki tabiyat se shanaasa hoon main,Ab taluq pe mujhe vaar diya jaaye g...

Ab yeh aalam hai ke suurat hi nazar aa jaye.

Ab yeh aalam hai ke suurat hi nazar aa jaye,Woh mohabbat bhi kare “shaaz” yeh kab kehta ho...

Dono jahaan teri mohabbat main haar ke..

Dono jahaan teri mohabbat main haar ke,Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke,Veeran hai mai-kada khoom o saaghar udaas hain,Tum kya gayee ke rooth gaye din bahaar ke,Ik fursat-e-gunaah mili woh bhi chaar din,Dekhe hain ham ne hausle parvardigaar ke,duniya ne teri yaad se begaana kar diya,Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke,Bhoole se muskuraa...

Sunday, 15 March 2015

Bhool gayi woh shakal bhi aakhir..

Bhool gayi woh shakal bhi aakhir,Kab tak yaad koi rehta ha...

Sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon..

Ajeeb khawhish hai sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon,Tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka intisaab likhoon,Woh lamha kitna ajeeb tha jab hamari aankhen gale mili theen,Main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ka azaab likhoon,Tumhi ne mere ujaarr raston pe khawhishon ke diye jalaaye,Tumhi ne chaaha tha khushhk honton se chahton ke gulaab...

Khud-gharziyon ke thehre paani me..

Anaaaon, nafraton, khud-gharziyon ke thehre paani me,Mohabbat gholne waaley barre darvaish hote hai...

Aaj to be-sabab udaas hai jee..

Aaj to be-sabab udaas hai jee,Ishq hota to koi baat bhi thee,Jaltaa phirta hoon main do-pehron me,Jaane kya cheez kho gayi merii,Wahin phirta hoon main bhi khaak-bassar,Iss bhare sheher main hai aik galii,Chhupta phirta hai ishq duniya se,Phailti jaa rahi hai ruswaayi,Hum-nasheen kya kahoon ke woh kya hai,Chorr yeh baat neend urrne lagii,Aj to woh...

Saturday, 14 March 2015

Ab jo koi pooche bhi to us se kya sharaah-e-halaat kahen…

Ab jo koi pooche bhi to us se kya sharaah-e-halaat kahen,dil thehre to dard sunaayen dard thamme to baat karen,shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifaan roshan ki,ghar ko aag lagaayen ham bhi roshan apni raat kahen,qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahuu apni gardan par,mohr-ba-lab bethe hain kis ka shikva kis ke saath karen,hijr main shab bhar...

Yoon mohabbat se na hum khana-badoshon ko bulaa..

Yoon mohabbat se na hum khana-badoshon ko bulaa,Itne saada hain ke ghar baaar uthaa laayen g...

Friday, 13 March 2015

Ab woh galiyan woh makaan yaad nahin..

Ab woh galiyan woh makaan yaad nahin,Kaun rehta tha kahan yaad nahin,Jalva-e-husn-e-azal they woh dayaar*,Jin ke ab naam-o-nishaan yaad nahin,Koii ujlaa sa bhalaa sa ghar tha,Kis ko dekha tha wahaan yaad nahin,Yaad hai zeena-e-pechaan* us kaa,Dar-o-deewar-e-makaan yaad nahin,Yaad hai zamzama-e-saaz-e-bahaar,Shor-e-awaaz-e-khizaan yaad nahin..(dayaar:elaaqa,...

Thursday, 12 March 2015

Ab hum visaal-e-yaar se baizaar hain bohat..

Ab hum visaal-e-yaar se baizaar hain bohat,Dil ka jhukao hijar ki janib balaaa ka ha...

Ae sanam vasal ki tadbeeron se kya hota hai..

Ae sanam vasal ki tadbeeron se kya hota hai,Wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota ha...

Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain..

Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain,Saaf chupte bhi nahi saamne aatey bhi nahee...

Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako..

Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako,Mumkin hai tum bhi koi ishara na kar sako,Mumkin hai zeher de ke ataa kar do zindagi,Mumkin hai yeh karam bhi dobara na kar sako,Mumkin hai mera hukam bhi tum ko bhi kabool ho,Mumkin hai iltijaa bhi gavaara na kar sako,Mumkin hai do qadam pe badal jao raasta,Mumkin hai umar bhar bhi kinaara na kar sako,Mumkin...

Wednesday, 11 March 2015

Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua..

Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua,Is dil ki jheel si ankhon main ik khawb bohat barbaad hua,Yeh hijr-hava bhi dushman hai is naam ke saare rangon ki,Woh naam jo mere honton pr khushbuu ki tarah abaad raha,Us sheher me kitne chehre they kuch yaad nahi sab bhool gaye,Ik shakss kitabon jesa tha woh shakss zubaani yaad hua,Woh apne...

Manzil ka pata hai na kisi raahguzar ka..

Manzil ka pata hai na kisi raahguzar ka,Bass aik thakan hai ke jo haasil hai safar k...

Tuesday, 10 March 2015

Tere gale main jo baahon ko daal rakhte hain..

Tere gale mein jo bahon ko dal rakhte hainTujhe manane ka kesa kamal rakhte hainTujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir humBohat se kaam muqadar par tal rakhe hainKoi bhi fesla hum soch kar nahin karteTumhare naam ka sika uchhal rakhte hainTumhare baad ye aadat si ho gayi apniBikharte sookhtey patey sanbhal rakhte hainKhushi si milti hai khud ko azyaten...

Sheher sunsaan hai kidar jaayen..

Sheher sunsaan hai kidar jaayen,Khaak ho kar kahin bikhar jayen,Raat kitni guzar gayi lekin,Itni himat nahin ke ghar jayen,Yoon tere dheyaan se laraztaa hoon,Jaise patey hawaa se ddar jayen,Un ujaalon ki dhun main phirta hoon,Chhab dikhate hi jo guzar jayen,Rein andheri hai aur kinaara door,Chaand nikle to paar utar jaye...

Aaj aansuu tum ne poncchhe bhi to kya..

Aaj aansuu tum ne poncchhe bhi to kya,Yeh to apna umr bhar ka kaam ha...

Monday, 9 March 2015

Woh kya gaye ke neend bhi le gaye..

Woh kya gaye ke neend bhi le gaye,Yaani ke khawb main bhi na aye raat bha...

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aya..

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aya,Jaane kyun aaj tere naam pe rona aya,Yoon to har shaam umeedon main guzar jati hai,Aaj kuch baat hai jo shaam main rona aya,Kabhi takdeer ka matam kabhi duniya ka gila,Manzil-e-ishq main har gaam pe rona aya,Jab hua zikr zamaane main mohabbat ka Shakeel,Mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aay...

Sunday, 8 March 2015

Aaj na hum se puchiye kesa kamaal ho geya..

Aaj na hum se puchiye kesa kamaal ho geya,Hijar ke khauf main rahe aur visaal ho gey...

Saturday, 7 March 2015

Ab umar bhar nahin milna..

To kya yeh taehh hai ke ab umar bhar nahin milna,To phir yeh umar bhi kyun, gar tum se nahin milna,Chalo zamane ki khaatir ye jabbar bhi sehh lain,Ke ab kabhi jo milain toot kar nahin milna,Yeh kon chupke se tanhaayion main kehta hai,Mere baghair sakoon umar bhar nahin milna,Juda to jab bhi huye dil ko yoon laga jaise,Ke ab gaye to kabhi laut kar nahin...

Friday, 6 March 2015

Ek raat woh geya tha jahan baat rok ke..

Ek raat woh geya tha jahan baat rok ke,Ab tak ruka hua hoon wahin raat rok k...

Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho..

Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho,Saaya koi lehraaye to lagta hai ke tum ho,Jab shaakh koi haath lagaate hi chaman main,Sharmaaye lachak jaaye to lagta hai ke tum ho,Sandal si mehkti huyi pur-kaif havaa ka,Jhonka koi takraaye to lagta hai ke tum ho,Orrhe huye taaron ki chamakti huyi chaadar,Nadi koi bal khaaye to lagta hai ke tum ho,Jab raat...

Thursday, 5 March 2015

Dil me kisi ke raah kiye ja raha hoon main..

Dil me kisi ke raah kiye ja raha hoon main,Kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon mai...

Bara dushwaar hota hai, Zara sa faisla karna..

Bara dushwaar hota haiZara sa faisla karnaKe jeevan ki kahani koBeyaan-e-bezubani koKahan se yaad rakhna haiKahan se bhool jana haiKise kitna batana haiKis se kitna chupaana haiKahan ro ro ke hasna haiKahan hans hans ke rona haiKahan awaz deni haiKahan khamosh rehna haiKahan rasta badalna haiKahan se laut aana haiBara dushwaar hota haiZara sa faisla...

Ab aa gaye hain aap to aata nahi hai yaad..

Ab aa gaye hain aap to aata nahi hai yaad,Warna kuch hum ko aap se kehna zaroor th...

Wednesday, 4 March 2015

Aap ki yaad aati rahi rahi raat bhar..

Aap ki yaad aati rahi rahi raat bhar,Chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar,Raat bhar dard ki shama jalti rahi,Gham ki laut thartharaatti rahi raat bhar,Bansuri ki sureeli suhaani sadaa,Yaad ban ban ke aati rahi raat bhar,Yaad ke chaand di me utarte rahe,Chaandni jagmagaati rahi raat bhar,Koi deewana galiyon main phirta raha,Koi avaaz aati rahi raat...

Kyun rehte hain mujh jese gunaahgar ke sath..

Aap kyun rehte hain mujh jese gunaahgar ke sath,Kaun sa rishta hai girti huyi deewar ke sat...

Tuesday, 3 March 2015

Uss ke baad zamane ne mujh ko rond dala..

Phir uss ke baad zamane ne mujh ko rond dala,Main gir parra tha kissi aur ko uthaate huy...

Raat se shikayat kya bas tumhin se kehna hai..

Raat se shikayat kya bas tumhin se kehna hai,Tum zara theher jao raat kab theherti ha...

Tum ne uss waqt bewafayi ki..

Tum ne uss waqt bewafayi ki,Yaqeen jab akhri makaam pr th...

Aye dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood..

Aye dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood,Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabh...

Monday, 2 March 2015

Kyun tu acha lagta hai waqt mila to sochen ge..

Kyun tu acha lagta hai waqt mila to sochen ge,Tujh me kya kya dekha hai waqt mila to sochen ge,Sara sheher shanasayi ka daave-dar to hai lekin,Kon hamara apna hai waqt mila to sochen ge,Hum ne us ko likha tha kuch milne ki tadbeer tha,Us ne likh kar bheja hai waqt mila to sochen ge,Mosam khusbhu baad-e-saba chand shafaq aur taron main,Kon tumhare jesa...

Ab kya sochen kya halaat they..

Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran yeh zehr piya hai,Ham ne us ke sheher ko choda aur ankhon ko moond liya hai,Apna yeh sheva to nahin tha apne gham auron ko saumpein,Khud to jaagte ya sote hain us ko kyun be-khawb kiya hai,Khilqat ki awaazain bhi thi band us ke darvaaze bhi they,Taaza rifaaqat ke mausam tak main bhi jiya hoon woh bhi jiya hai,Ek...

Sunday, 1 March 2015

Karre safar ka thaka musafir thaka hai aesa..

Karre safar ka thaka musafir thaka hai aesa ke so geya hai,Khud apni aankhen to band hain har ankh lekin bhigo geya ha...

Aashiqi me “mir” jaise khawb mat dekha karo..

Aasshiqi me “mir” jaise khawb mat dekha karo,Baavle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo,Jasta jasta parh liya karna mazaamin-e-vafaa,Par kitaab-e-ishq kaa har baab mat dekha karo,Is tamaashe me ulat jaati hain aksar kashtiyan,Doobne waalon ko zair-e-aab mat dekha karo,Mai-kade me kya takaluf mai-kashii me kya hijaab,Bazm-e-saaqi me adab adaab mat dekha...

Dil na’umeed to naheen, nakaam hi to hai..

Dil na’umeed to naheen, nakaam hi to hai,Lambi hai gham ki sham, magar shaam hi to ha...