This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Monday, 31 August 2015

Zindagi kya hai aik kahaani hai..

Zindagi kya hai aik kahaani hai,
Yeh kahani nahin sunaani hai,

Hai khuda bhi ajeeb yaani jo,
Na zameeni na aasmaani hai,

Hai mere shauq-e-vasl ka yeh gila,
Us ka pehlu sara-e-faani hai,

Yeh hai lamhon ka ek shehr-e-azal,
Yaan ki har baat na-gahani hai,

Rang ki apni baat hai warna,
Aakhirash khuun bhi to paani hai,

Shaam hai aur sehn main dil ke,
Ik ajab huzn-e-aasmani hai..

The post Zindagi kya hai aik kahaani hai.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 30 August 2015

Yaadon ki aag thi ke khayalon ki chaandni..

Yaadon ki aag thi ke khayalon ki chaandni,
Shab bhar mere makaan main ik roshni rahi..

The post Yaadon ki aag thi ke khayalon ki chaandni.. appeared first on Ranjish.com.

Tamanaaon main uljhaaya geya hoon..

tamanaon main uljahaya geya hon

Tamanaaon main uljhaaya geya hoon,
Khilone de ke behlaaya geya hoon,

Hoon iss kuuche ke har zaray se waqif,
Idhar se mudatton aaya geya hoon,

Nahin uthte qadam kyun jaanib-e-dair,
Kisi masjid main behkaaya geya hoon,

Dil-e-muztar se pooch ae raunak-e-bazm,
Main khud aaya nahin laaya geya hoon,

Savera hai bohat ae shor-e-mehshar,
Abhi bekaar uthvaaya geya hoon,

Sataya aa ke pehron aarzuu ne,
Jo dum bhar aap main paaya geya hoon,

Kuja main aur kuja ae Shad duniya,
Kahan se kis jagah laaya geya hoon..

The post Tamanaaon main uljhaaya geya hoon.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 29 August 2015

Aese tuufaan bhi aaye hain yahan raaton raat…

bastiyan ho gayin
Bastiyaan ho gayin be-naam o nishaan raaton raat,
Aese tuufaan bhi aaye hain yahan raaton raat..

The post Aese tuufaan bhi aaye hain yahan raaton raat… appeared first on Ranjish.com.

Us ko juda huye bhi zamana bohat hua..

Us ko juda huye bhi zamana bohat hua,
Ab kya kahen yeh qissa purana bohat hua,

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq,
Ae marg e na-gahaan tera aana bohat hua,

Hum khuld se nikal to gaye hain pr ae khuda,
Itne se waaqiye ka fasaana bohat hua,

Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani,
Iss aashiqi main jaan se jana bohat hua,

Ab tak to dil se dil ka taaruf na ho saka,
Maana ke us se milna milaana bohat hua,

Kya kya na hum kharab huye hain magar yeh dil,
Ae yaad-e-yaar tera thikaana bohat hhua,

Kehta tha naasehon se mere muu na aayio,
Phir kya tha ek huu ka bahana bohat hua,

Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka naam,
Ahmed Faraz tujhe kaha naa bohat hua..

The post Us ko juda huye bhi zamana bohat hua.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 28 August 2015

Uss shokh ke jaane se ajab haal hai mera..

uss ke jaane se ajab haal hai
Uss shokh ke jaane se ajab haal hai mera,
Jese koi bhoola hua phirta hai apna..

The post Uss shokh ke jaane se ajab haal hai mera.. appeared first on Ranjish.com.

Ab ku-e-yaar tere zamaane guzar gaye..

Ab ku-e-yaar tere zamaane guzar gaye,
Jo apne ghar se aaye they woh ghar gaye,

Ab kaun zakham-o-zeher se rakhe ga silsila,
Jeene ki ab havass hai humen hum to mar gaye,

Ab kya kahoon ke saara mohalla hai sharamsaar,
Main hoon azaab main ke mere zakham bhar gaye,

Hum ne bhi zindagi ko tamaasha bana diya,
Uss se guzar gaye kabhi khud se guzar gaye,

Tha ran bhi zindagi ka ajab turfa maajra,
Yaani uthe to paaon magar Jon sar gaye..

The post Ab ku-e-yaar tere zamaane guzar gaye.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 27 August 2015

But bane bethna aur pehluu badalte rehna..

but bane bethna
But bane bethna aur pehluu badalte rehna,
Milna khushi khushi aur andar se pighalte rehna..

The post But bane bethna aur pehluu badalte rehna.. appeared first on Ranjish.com.

In shokh haseenon ki adaa aur hi kuch hai..

In shokh haseenon ki adaa aur hi kuch hai,
Aur in ki adaaon main maza aur hi kuch hai,

Yeh dil hai magar dil main bassa aur hi kuch hai,
Dil aayina hai jalva-numa aur hi kuch hai,

Hum aap ki mehfil main na aaney ko na aate,
Kuch aur hi samjhe they hua aur hi kuch hai,

Be-khud bhi hain hoshiyar bhi hain dekhne wale,
In mast nigaahon ki adaa aur hi kuch hai..

The post In shokh haseenon ki adaa aur hi kuch hai.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 26 August 2015

Buss jee rahe hain itna ghaneemat hai..

Buss jee rahe hain itna ghaneemat hai aye Adam,
Kiss tarah ho rahi hai bassar kuch na puchiye..

The post Buss jee rahe hain itna ghaneemat hai.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 25 August 2015

Mujhe mujhse milaati jaa rahi hai..

faqeeri raas aati jaa rahi hai
Mujhe mujhse milaati jaa rahi hai,
Faqeeri raas aati jaa rahi hai..

The post Mujhe mujhse milaati jaa rahi hai.. appeared first on Ranjish.com.

Aadmi aadmi se milta hai..

Aadmi aadmi se milta hai,
Dil magar kamm kisi se milta hai,

Bhuul jata hon main sitam us ke,
Woh kuch iss saadgi se milta hai,

Aaj kya baat hai ke phoolon ka,
Rang teri hanssi se milta hai.

Silsila fitna-e-qayamat ka,
Teri khush-qaamati se milta hai,

Mil ke bhi jo kabhi nahin milta,
Toott kar dil ussi se milta hai,

Karobaar-e-jahan sanvarte hain,
Hosh jab be-khudi se milta hai..

The post Aadmi aadmi se milta hai.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 24 August 2015

Itna to dosti ka silaah dijiye mujhe..

itna to dosti ka silaah dijiye

Itna to dosti ka silaah dijiye mujhe,
Apna samajh ke zeher pilaa dijiye mujhe,

Uthe na taa-ke aap ki janib nazar koi,
Jitni bhi tohmtain hain lagaa dijiye mujhe,

Kyun aap ki khushi ko mera gham kare udaas,
Ik talkhh haadsa hoon bhula dijiye mujhe,

Main aap ke qareeb hi hota hoon har gharri,
Moqa kabhi parre to sadaa dijiye mujhe,

Har cheez dasstiyaab hai bazaar main Adam,
Jhooti khushi khareed ke laa dijiye mujhe..

The post Itna to dosti ka silaah dijiye mujhe.. appeared first on Ranjish.com.

Bojh woh sar pe gira hai ke uthaaye na uthe..

bojh woh sar pe gira hai
Bojh woh sar pe gira hai ke uthaaye na uthe,
Kaam woh aaan parra hai ke banaye na bane..

The post Bojh woh sar pe gira hai ke uthaaye na uthe.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 23 August 2015

Jab umar ki naqdi hatam huyi..

Ab umar ki naqdi khatam huyi
Ab hum ko udhaar ki haajat he
He koi jo saahukaar bane ?
He koi jo deewanhaar bane?
Kuch saal maheene din logo
Per suud beyaj ke bin logo
Haan apni jaan ke khazaane se
Haan umar ke tausha-khane se
Kia koi bhi saahukaar nahin
Kia koi bhi deewanhaar nahin
Jub naam udhaar ka aaya hai
Kiun sub ne sir ko jhukaya hai
Kuch kaam hamain nibtane hain
Jinhain jaan’ne wale jane hain
Kuch piyar dulaar ke dhande hain
Kuch jug ke dooosre phande hain
Hum maangte nahi hazaar barass
Dus paanch barass, do chaar barass
Haan! suud beyaj bhi de lain ge
Haan! aur khiraj bhi de lain ge
Aassan bane dushwar bane
Per koi to deewanhaar bane
Tum kaun tumhara naam he kya
Kuch hum se tum ko kaam he kya
Kyun is majme main aayi ho
Kuch maangti ho kuch laai ho
Ye kaarobaar ki batain hain
Ye naqd udhar ki batain hain
Hum bethe hain kashkol liay
Sub umer ki naqdi khatam kiye
Gr sher ke rishte aayi ho
To samjho jald judai ho
Ab geet gaya sangeet gaya
Haan sher ka mausam beet gaya
Ab patjhar aai paat girain
Kuch subah girain kuch raat girain
Ye apne yaar purane hain
Ik umer se hum ko jane hain
In sub ke paas he maal buhut
Haan! Umer ke mah-o-saal bohat
In sub ko hum ne bulaya hai
Aur jholi ko phelaya hai
Tum jao in se baat karain
Hum tum se na mulaqat kerain
Kya paanch baraas?
Kya apni umer ke paanch baras?
Tum jaan ki theli laai ho ?
Kya pagal ho? Sodayi ho ?
Jub umar ka aakhir aata hai
Her din sadyian ban jata hai
Jeene ki hawis hi nirali hai
He kaun jo is se khali hai
Kya maut se pehle marna hai?
Tum ko to bohat kuch kerna hai ?
Phir tum ho hamari kaun bhala
Haan tum se hamara kia rishta
Kis sood biyaj ka laaluch he
Kisi aur khiraj ka laaluch he
Tum sohni ho man mohni ho
Tum jaaker poori umer jio
Ye paanch baras ye chaar baras
Chhin jayen to lagain hazaar baras
Sab dost gaye sab yaar gaye
The jitne saahukaar gaye
Bus aik ye naari bethi hai
Ye kaun he kya he kesi hai
Haan umer hamain darkaar bhi he
Haan jeene se hamain pyar bhi he
Jub maangain jeevan ki gharrian
Gustaakh akhiyan kithe ja larrian
Hum qarzz tumhain lauta den ge
Kuch aur bhi gharrian laa den ge
Jo saa-at o maah o saal nahi
Wo gharian jin ko zawaal nahi
Lo apne ji main utaar liya
Lo hum ne tum se udhaar liya..

The post Jab umar ki naqdi hatam huyi.. appeared first on Ranjish.com.

Ik safar main koi dobaara nahin lutt sakta..

ik safar main dobara nahin lutt sakta
Ik safar main koi dobaara nahin lutt sakta,
Ab dobara teri chaahat nahin ki jaa sakti..

The post Ik safar main koi dobaara nahin lutt sakta.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 22 August 2015

Bicharrte waqt dilaase na khokhle vaade..

bicharrte waqt na dilaase
Bicharrte waqt dilaase na khokhle vaade,
Woh pehli baar mujhe aaj bewafa na laga..

The post Bicharrte waqt dilaase na khokhle vaade.. appeared first on Ranjish.com.

Bass ik tere bicharrne ki dair thi jese..

Bass ik tere bicharrne ki dair thi jese,
Simatt ke aa geya lamhon main qurb sadiyon ka..

The post Bass ik tere bicharrne ki dair thi jese.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 21 August 2015

Nigaahen bolti hain be-tahaasha..

nigahen bolti hain
Nigaahen bolti hain be-tahaasha,
Mohabbat paaglon ki guftguu hai..

The post Nigaahen bolti hain be-tahaasha.. appeared first on Ranjish.com.

Akele chorr jate ho, yeh tum acha nahin karte..

Akele chorr jate ho, yeh tum acha nahin karte,
Hamara dil jalaate ho, yeh tum acha nahin karte,

Kya yeh bhi mohabbat hai, mohabbat hi issey rakho,
Tamasha tum banaate ho, yeh tum acha nahin karte,

Uthaate ho sar-e-mehfil, falak tak tum humen lekin,
Utha kar jo giraate ho, yeh tum acha nahin karte,

Kabhi jo pooch lain tum se, ke rishta kya hai ab hum se,
To nazron ko jhukaate ho, yeh tum acha nahi karte..

The post Akele chorr jate ho, yeh tum acha nahin karte.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 20 August 2015

Khawb hote hain dekhne ke liye..

khawb hote hain dekhne ke liye

Khawb hote hain dekhne ke liye,
In main ja kar raha na karo..

The post Khawb hote hain dekhne ke liye.. appeared first on Ranjish.com.

Aese chup hain ke yeh manzil bhi karri ho jese..

kitne nadaan hain tujhe bhoolne wale

Aese chup hain ke yeh manzil bhi karri ho jese,
Tera milna bhi judaayi ki gharri ho jese,

Apne hi saaye se har gaam larazz jaata hoon,
Raaste main koi deewaar kharri ho jese,

Kitne nadaan hain tere bhoolne wale ke tujhe,
Yaad karne ke liye umr parri ho jese,

Tere maathe ki shikkan pehle bhi dekhi thi magar,
Yeh giraah ab ke mere dil main parri ho jese,

Manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain,
Apne hi paaon main zanjeer parri ho jese,

Aaj dil khol ke roye hain to yuun khush hain Faraz,
Chand lamhon ki yeh raahat bhi barri ho jese..

The post Aese chup hain ke yeh manzil bhi karri ho jese.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 19 August 2015

Dar o deewar sun ke rote hain..

dar o deewar sun ke rote hain
Dar o deewar sun ke rote hain,
Aaah tum tak magar nahin jaati..

The post Dar o deewar sun ke rote hain.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 18 August 2015

Sheher ke dukaan-daro tum na jaan paao ge..

sheher ke dukaandaro tum na jaan pao ge

Sheher ke dukaandaro,
Karobaar-e-ulfat main suud kya ziyaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,
Dil ke daam kitne hain,
Khawb kitne mehnge hain,
Aur nakd-e-jaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Koi kese mitla hai,
Phool kese khilta hai,
Ankh kese jhukti hai,
Saans kese rukti hai,

Kese raah nikalti hai,
Kese baat chalti hai,
Shauq ki zubaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Shehr ke dukaandaro,
Vasl ka sukoon kya hai,
Hijr ka junoon kya hai,
Hussn ka fasoon kya hai,
Ishq ka daroon kya hai,

Tum mareez-e-danaayi,
Masslehat ke shedaayi,
Raah-e-gumrahaan kya hai,
Tum na jaan paao ge,

Shehr ke dukaandaro,
Zakhm kese phhalte hain,
Daagh kese jalte hain,
Dard kese hota hai,
Koi kese rota hai,

Ashq kya hai naalay kya,
Dasht kya hai chhaalay kya,
Aah kya fughaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Na-muraad dil kese subah shaam karte hain,
Kese zinda rehte hain aur kese marte hain,
Tum ko kab nazar aayi, ghamzadon ki tanhayi,
Zeest be-amaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Jaanta hoon main tum ko Zauq-e-shayari bhi hai,
Shakhsiyat sajaane main ik yeh maahri bhi hai,
Phir bhi harf chuntey ho,
Sirf lafzz Sunte ho,
In ke darmiyaan kya hai,
Tum na jaan pao ge..

The post Sheher ke dukaan-daro tum na jaan paao ge.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 17 August 2015

Bulaya maut ko barson main iltijaa kar ke..

bulaya maut ko
Bulaya maut ko barson main iltijaa kar ke,
Khuda ke paas chala hoon khuda khuda kar ke..

The post Bulaya maut ko barson main iltijaa kar ke.. appeared first on Ranjish.com.

Hum musaafir yunhi masroof-e-safar jaayen ge..

Hum musaafir yunhi masroof-e-safar jaayen ge,
Be-nishaan ho gaye jab sheher to ghar jaayen ge,

Kis qadar hoga yahan mehr -o-wafa ka maatam,
Hum teri yaad se jis roz utar jaayen ge,

Jauhri band kiye jaate hain bazaar-e-sukhan,
Hum kisse bechne almaas-o-gauhar jayen ge,

Nemat-e-zeest ka yeh qarzz chukega kaise,
Laakh ghabraa ke yeh kehte hain rahen mar jaayen ge,

Shayed apna bhi koi bait hudi-khvan ban kar,
Saath jaaye ga mere yaar jidhar jaayen ge,

Faiz aate hain rah-e-ishq main jo sakht maqaam,
Aaney walon se kaho hum to guzar jaayen ge..

The post Hum musaafir yunhi masroof-e-safar jaayen ge.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 16 August 2015

Ajnabi ban ke miloon ga main tujhe mehfil main..

ajnabi ban ke milon ga
Ajnabi ban ke miloon ga main tujhe mehfil main,
Tu ne chairri bhi to main baat badal jaaon ga..

The post Ajnabi ban ke miloon ga main tujhe mehfil main.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 15 August 2015

Chal parro to paaniyon main raahguzar maujood hai..

theher jao to nahin hai rasta
Theher jao to nahi hai bastiyon main raasta,
Chal parro to paaniyon main raahguzar maujood hai..

The post Chal parro to paaniyon main raahguzar maujood hai.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 14 August 2015

Aayina dekh ke kehte hain sanwarne waale..

Aayina dekh ke kehte hain sanwarne waale,
Aaj be-maut maren ge mere marne waale..

The post Aayina dekh ke kehte hain sanwarne waale.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 13 August 2015

Aik do din nahin barson ki shanasaayi hai..

bhoolne waley ne yeh bhi na socha hoga

Bhoolne waley ne yeh bhi na socha hoga,
Aik do din nahin barson ki shanasaayi hai..

The post Aik do din nahin barson ki shanasaayi hai.. appeared first on Ranjish.com.

Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre..

Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre,
Wo fasl-e-gul jisse andesha-e-zawaal na ho,

Yahan jo phool khilay, khila rahe sadiyon,
Yahan khizaan ko guzarne ki bi majaal na ho,

Yahan jo sabza ugay, hamesha sabz rahe,
Aur aisa sabz key jis ki koi missaaal na ho,

Khuda karay ke na kham ho sir-e-waqar-e-watan,
Aur is ke husn ko tashweesh -e- mah-o-saal na ho,

Her aik fard ho, tehzeeb-o-fun ka oaj-e-kamaal,
Koi maalool na ho, koi hassta haal na ho,

Khuda kare ke meray aik bhi hum’watan ke liye,
Hayaat jurm na ho, zindagi wabaal na ho,

The post Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 12 August 2015

Milte nahin hain apni kahani main hum kahin..

Milte nahin hain apni kahani main hum kahin,
Ghaayeb huye hain jab se teri daastaan se hum..

The post Milte nahin hain apni kahani main hum kahin.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 11 August 2015

Deewaron se mil kar rona acha lagta hai..

rona acha lagta hai poetry
Deewaron se mil kar rona acha lagta hai,
Hum to pagal ho jayen ge aesa lagta hai..

The post Deewaron se mil kar rona acha lagta hai.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 10 August 2015

Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai…

Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai,
Azaad har khayal se mast-e-khayal hai,

Keh do yeh kohkan se hi marna nahin kamaal,
Mar mar ke hijr-e-yaar main jeena kamaal hai,

Fatva diya hai mufti abr-e-bahaar ne,
Tauba ka khooon baada-kashon ko halaal hai,

Aankhen bata rahi hain jaage ho raat ko,
In saaghron main buu -e- sharab-e-visaal hai,

Barsaao teer mujh pe pr itna jaan lo,
Pehlu main dil hai dil main tumhara khayal hai,

Aankhen larra ke un se hum aafaat main parr gaye,
Aankhon ki har zubaan pe dil ka sawaal hai,

Buut keh diya jo mene to ab bolte nahin,
Itni si baat ka tumhe itna khayal hai,

Main daamin -e- neyaaz main ashk-e-chakida hoon,
Koi uthaaa ke dekh le uthna muhaal hai,

Poocha jo unse jaante ho tum Jaleel ko,
Bole ke haan woh shayer-e- naazuk-khayal hai..

The post Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai… appeared first on Ranjish.com.

Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum..

Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jaao tum,

Jahan pe hath chhorra tha jahan pe sath chhorra tha,
Usi raah pe kharra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Udaasi ne banaya ghar mere dil k bagheeche mein,
Bohat hi ghamzada hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Dar-o-deewar kehte hain mere kaano mein aa aa kar,
Kab se veeraan parra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Kisi ka baa-wafa hona Sajid sabab hai gar judaai ka,
Suno! phir be-wafa hoon main palat ke aa bhi jaao tum..

Sajid Hashmi

The post Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum.. appeared first on Ranjish.com.

Jo roshni main kharre hain woh jante hi nahin..

jo roshni main khare hain woh jante hi nahin
Jo roshni main kharre hain woh jante hi nahin,
Havaa chale to chiraaghon ki zindagi kya hai..

The post Jo roshni main kharre hain woh jante hi nahin.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 9 August 2015

Kon rota hai kisi aur ki khaatir aye dost..

Kon rota hai kisi aur ki khaatir aye dost,
Sab ko apni hi kissi baat pe rona aaya..

The post Kon rota hai kisi aur ki khaatir aye dost.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 8 August 2015

Bass ik jijhak hai yehi haal-e-dil sunaane main..

Bass ik jijhak hai yehi haal-e-dil sunaane main,
Ke tera zikr bhi aaye ga iss afsaane main..

The post Bass ik jijhak hai yehi haal-e-dil sunaane main.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 7 August 2015

Ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo..

Ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo,
Bohat dukh sehh liye mene bohat din jee liya mene..

The post Ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo.. appeared first on Ranjish.com.

Milte hain iss adaa se ke goya khafaa nahi..

milte hain iss adaa se
Milte hain iss adaa se ke goya khafaa nahi,
Kya aap ki nigaah se main aashnaa nahin..

The post Milte hain iss adaa se ke goya khafaa nahi.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 6 August 2015

Jo bhi raasta teri jaanib le jaye..

jo bhi rasta teri janib
Jo bhi raasta teri jaanib le jaye,
Aasaan hai ya dushwaar hai mujh ko pyara hai..

The post Jo bhi raasta teri jaanib le jaye.. appeared first on Ranjish.com.

Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda tha..

Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda tha,
Sab aankhen damm torr chuki theen aur main tanha zinda tha,

Saari galli sunsaan parri thi baad-e-fana ke pehre main,
Hijr ke dalaan aur aangan main bass ik saaya zinda tha,

Woh dopeher apni rukhsat ki aisa waisa dhoka thi,
Apne andar apni laash uthaaye main jhuuta zinda tha,

Theen woh ghar raaten bhi kahaani vaade aur phir din ginn’na,
Aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha,

Dasstak dene waale bhi they dastak sunn’ne waale bhi,
Thaa abaad mohallah saara har darwaaza zinda tha,

Peele patton ko seh-pehr ki vehshat pursaa deti thi,
Aangan main ik aundhe gharre par bass ik kavva zinda tha..

The post Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda tha.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 5 August 2015

Jin ko apni khabar nahin ab tak..

jin ko apni khabar nahin ab tak
Jin ko apni khabar nahin ab tak,
Woh mere dil ka raaz kya jaanen..

The post Jin ko apni khabar nahin ab tak.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 4 August 2015

Dard phail jaye to, Aik waqt aata hai..

Dard phail jaye to,
Aik waqt aata hai,
Dil dharakta rehta hai,
Aarzu guzeedon k hausle nahi chalte,
Dasht-e-beyaqeeni main aasray nahin chalte,
Raah’rawon ki aankhon main manzilen na jab tak hon,
qafiley nahi chalte!
Aik zara tawajah se dekhiye to khulta hai
Log un pe chalte hain,
rastey nahi chalte,
Sochne samajhne se,
sath sath chalne se,
Duriyan simatti hain,
fasiley nahi chalte,

Khwab khwab aankhon main rat’jage nahi chalte,
Darguzar k halqey main masley nahin chalte,
Do dilon ki qurbat mei teesra nahi hota,
Waastey nahin chalte,
Bakht saath chalta hai taley aazmaaon ke,
Waqt raam karney main,
tajziyon ke daao kya,
Tajrubae nahin chalte,

Ishq k ilaaqae main hukm-e-yar chalta hai,
Zabitae nahi chalte,
Husn ki adaalat main,
aajizi to chalti hai,
Martabey nahi chalte,
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai,
Silsilae taaluq ke khud se ban to jaate hain,
Lekin in shagufon ko tutnae bikharnae se rokna bhi parta hai,
Chahaton ki mitti ko, aarzoo k podoon ko seenchna bhi parta hai,
Ranjishon ki baaton ko bhulna bhi parta hai..

The post Dard phail jaye to, Aik waqt aata hai.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 3 August 2015

Ab ke hum bichrre to shayed kabhi khawbon main milen..

ab ke hum bichrre to shayed
Ab ke hum bichrre to shayed kabhi khawbon main milen,
Jiss tarah sookhay huye phool kitaabon main milen..

The post Ab ke hum bichrre to shayed kabhi khawbon main milen.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 2 August 2015

Aaj kya puraane gham muyassar aaye.

Aaj kya puraane gham muyassar aaye,
Yaad tum apni inaayat se barrh kar aye..

The post Aaj kya puraane gham muyassar aaye. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 1 August 2015

Chaand si shakal jo Allah ne de di thi tum ko..

Chaand si shakal jo Allah ne de di thi tum ko,
Kaash raushan meri kismat ka sitaara karte..

The post Chaand si shakal jo Allah ne de di thi tum ko.. appeared first on Ranjish.com.

Jaane kis raah se aa jaye woh aaney wala..

Jaane kis raah se aa jaye woh aaney wala,
Hum ne har simt se deewaar giraa rakhi hai..

The post Jaane kis raah se aa jaye woh aaney wala.. appeared first on Ranjish.com.