Tuesday, 4 August 2015

Dard phail jaye to, Aik waqt aata hai..

Dard phail jaye to,
Aik waqt aata hai,
Dil dharakta rehta hai,
Aarzu guzeedon k hausle nahi chalte,
Dasht-e-beyaqeeni main aasray nahin chalte,
Raah’rawon ki aankhon main manzilen na jab tak hon,
qafiley nahi chalte!
Aik zara tawajah se dekhiye to khulta hai
Log un pe chalte hain,
rastey nahi chalte,
Sochne samajhne se,
sath sath chalne se,
Duriyan simatti hain,
fasiley nahi chalte,

Khwab khwab aankhon main rat’jage nahi chalte,
Darguzar k halqey main masley nahin chalte,
Do dilon ki qurbat mei teesra nahi hota,
Waastey nahin chalte,
Bakht saath chalta hai taley aazmaaon ke,
Waqt raam karney main,
tajziyon ke daao kya,
Tajrubae nahin chalte,

Ishq k ilaaqae main hukm-e-yar chalta hai,
Zabitae nahi chalte,
Husn ki adaalat main,
aajizi to chalti hai,
Martabey nahi chalte,
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai,
Silsilae taaluq ke khud se ban to jaate hain,
Lekin in shagufon ko tutnae bikharnae se rokna bhi parta hai,
Chahaton ki mitti ko, aarzoo k podoon ko seenchna bhi parta hai,
Ranjishon ki baaton ko bhulna bhi parta hai..

The post Dard phail jaye to, Aik waqt aata hai.. appeared first on Ranjish.com.

0 comments:

Post a Comment