Saturday, 29 August 2015

Us ko juda huye bhi zamana bohat hua..

Us ko juda huye bhi zamana bohat hua,
Ab kya kahen yeh qissa purana bohat hua,

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq,
Ae marg e na-gahaan tera aana bohat hua,

Hum khuld se nikal to gaye hain pr ae khuda,
Itne se waaqiye ka fasaana bohat hua,

Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani,
Iss aashiqi main jaan se jana bohat hua,

Ab tak to dil se dil ka taaruf na ho saka,
Maana ke us se milna milaana bohat hua,

Kya kya na hum kharab huye hain magar yeh dil,
Ae yaad-e-yaar tera thikaana bohat hhua,

Kehta tha naasehon se mere muu na aayio,
Phir kya tha ek huu ka bahana bohat hua,

Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka naam,
Ahmed Faraz tujhe kaha naa bohat hua..

The post Us ko juda huye bhi zamana bohat hua.. appeared first on Ranjish.com.

0 comments:

Post a Comment