Hum musaafir yunhi masroof-e-safar jaayen ge,
Be-nishaan ho gaye jab sheher to ghar jaayen ge,
Kis qadar hoga yahan mehr -o-wafa ka maatam,
Hum teri yaad se jis roz utar jaayen ge,
Jauhri band kiye jaate hain bazaar-e-sukhan,
Hum kisse bechne almaas-o-gauhar jayen ge,
Nemat-e-zeest ka yeh qarzz chukega kaise,
Laakh ghabraa ke yeh kehte hain rahen mar jaayen ge,
Shayed apna bhi koi bait hudi-khvan ban kar,
Saath jaaye ga mere yaar jidhar jaayen ge,
Faiz aate hain rah-e-ishq main jo sakht maqaam,
Aaney walon se kaho hum to guzar jaayen ge..
The post Hum musaafir yunhi masroof-e-safar jaayen ge.. appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment