Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin,
Tuu ne mujhe ko khho diya maine tujhe khoya nahin,
Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon main tha,
Yuun laga jaise woh shab ko dair tak soyaa nahin,
Har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon ke hujoom,
Keh sake jo dil ki haalat woh lab-e-goyaa nahin,
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza,
Kaat.taa hoon zindagi bhar main ne jo boyaa nahin,
Jaanta hoon ek aise shakss ko main bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi royaa nahin..
The post Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin.. appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment