Abhi iss taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanvaar loon,
Mera lafz lafz ho aayina tujhe aayine main utaar loon,
Main tamaam din ka thakaa hua tu tamaam shab ka jagaa hua,
Zara thehr jaa issi morr pr tere saath shaam guzaar loon,
Agar aasmaan ki numaayeshon main mujhe bhi izn-e-qayaam ho,
To main motiyon ki dukaan se teri baaliyan tere haaar loon,
Kahin aur baant de sheher main kahin aur bahshh de izzaten,
Mere paas hai mera aayina main kabhi na gard-o-ghubaar loon,
Kayi ajnabi teri raah main mere paas se yuun guzar gaye,
Jinhe dekh kr yeh tarrap hui tera naam leke pukaar loon..
The post Abhi iss taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanvaar loon.. appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment