This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Tuesday, 30 June 2015

Aayina ab judaa nahin karta..

Aayina ab judaa nahin karta,
Qaid mei hoon rihaa nahin karta,

Mustaqil sabr mei hai koh-e-giraan,
Naqsh-e-ibrat sadaa nahin karta,

Rang-e-mehfil badaltaa rehta hai,
Rang koi wafaa nahin karta,

Aish-e-duniyaa ki justujuu mat kar,
Yeh dafeena mila nahin karta,

Ji main aaye jo kar guzarta hai,
Tuu kisi ka kahaa nahin karta,

Ek waaris hamesha hota hai,
Takht khaali rahaa nahin karta,

Ehd-e-insaaf aa raha hai “munir”,
Zulm daayem hua nahin karta..

The post Aayina ab judaa nahin karta.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 28 June 2015

Kis kis se wabasta karen hum apni umeedain..

kis kis se wabasta karen umeed
Kis kis se wabasta karen hum apni umeedain,
Iss daur ka har shakss wafaa bhool geya hai..

The post Kis kis se wabasta karen hum apni umeedain.. appeared first on Ranjish.com.

Abhi iss taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanvaar loon..

Abhi iss taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanvaar loon,
Mera lafz lafz ho aayina tujhe aayine main utaar loon,

Main tamaam din ka thakaa hua tu tamaam shab ka jagaa hua,
Zara thehr jaa issi morr pr tere saath shaam guzaar loon,

Agar aasmaan ki numaayeshon main mujhe bhi izn-e-qayaam ho,
To main motiyon ki dukaan se teri baaliyan tere haaar loon,

Kahin aur baant de sheher main kahin aur bahshh de izzaten,
Mere paas hai mera aayina main kabhi na gard-o-ghubaar loon,

Kayi ajnabi teri raah main mere paas se yuun guzar gaye,
Jinhe dekh kr yeh tarrap hui tera naam leke pukaar loon..

The post Abhi iss taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanvaar loon.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 27 June 2015

Udaas logon se pyar karna koi to seekhe..

Udaas logon se pyar karna koi to seekhe,
Safaid lamhon main rang bharna koi to seekhe,

Koi to aaye khizaan main patey ugaane wala,
Gulon ki khushbuu ko qaid karna koi to seekhe,

Koi dikhaaye mohabbaton ke saraab mujh ko,
Meri nigaahon se baat karna koi to seekhe,

Koi to aaye nayi ruton ka peyaam le ker,
Andheri raaton main chaand ban’na koi to seekhe,

Koi peyambar koi imaam-e-zamaan hi aye,
Aseer zehnon main soch bharna koi to aye..

The post Udaas logon se pyar karna koi to seekhe.. appeared first on Ranjish.com.

Din dhallaa raat phir aa gayi so raho so raho..

Din dhallaa raat phir aa gayi so raho so raho,
Manzilo cchhaa gayi khamoshi so raho so raho,

Saara din tapte suuraj ki garmi main jalte jalte,
Thandi thandi havaa phir chali so raho so raho,

Garm sunsaan qariyon ki dharti mehekne lagi,
Khaak rashk-e-iram ban gayi so raho so raho,

Razm-gaah-e-jahan ban gayi jaa-e-aman-o-amaan,
Hai yehi waqt ki raagni so raho so raho,

Kaise sunsaan hain aasmaan chup kharre hain makaan,
Hai fazaa ajnabi ajnabi so raho so raho,

Thak gaye naaqa-o-saar-ban thamm gaye kaarvaan,
Ghhanttiyon ki sadaa so gayi so raho so raho,

Gardish-e-waqt ki loriyaan raat ki raat hain,
Phir kahaan yeh havaa yeh nami so raho so raho,

Saari basti ke log iss madhur lai main khho gaye,
Duur bajne lagi bansuri so raho so raho,

Duur shaakhon ki jhurmatt main jugnuu bhi gum ho gaye,
Chaand main so gayi chaandni so raho so raho,

Ghar ke deevaar-o-dar raah tak tak ke shall ho gaye,
Ab na aaye ga shayed koi so raho so raho,

Sust raftaar taare bhi aankhen jhapakne lage,
Gham ke maaro gharri do gharri so raho so raho,

Muun-andhere hi Nasir kise dhuundne chal diye,
Duur hai subh-e-roshan abhi so raho so raho..

The post Din dhallaa raat phir aa gayi so raho so raho.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 26 June 2015

Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main..

Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main,
Magar ussay to khabar hai ke kuch nahin hoon main,

Ajeeb log hain meri talaash mei mujh ko,
Wahan pe dhoond rahe hain jahaan nahin hoon main,

Main aayinon se to maayuus laut aaya tha,
Magar kissi ne bataaya bohat haseen hoon main,

Woh zaray zaray mei maujood hai magar main bhi,
Kahin kahin hoon kahan hoon kahin nahin hoon main,

Woh ik kitaab jo mansuub tere naam se hai,
Ussi kitaab ke andar kahin kahin hoon main,

Sitaaro aao meri raah mei bikhar jaao,
Yeh mera hukm hai halaan-ke kuch nahin hoon main,

Yahin Hussain bhi guzre yahin yazeed bhi tha,
Hazaar rang mei duubi hui zameen hoon main,

Yeh buurrhi qabren tumhe kuch nahin bataayengi,
Mujhe talaash karo dosto yahin hoon main..

The post Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 25 June 2015

Dard aesa dil main utha..

Aaj rukhsat ho geya duniya se ek bimaar-e-gham,
Dard aesa dil main utha jaan le ker hi geya..

The post Dard aesa dil main utha.. appeared first on Ranjish.com.

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin..

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin,
Tuu ne mujhe ko khho diya maine tujhe khoya nahin,

Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon main tha,
Yuun laga jaise woh shab ko dair tak soyaa nahin,

Har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon ke hujoom,
Keh sake jo dil ki haalat woh lab-e-goyaa nahin,

Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza,
Kaat.taa hoon zindagi bhar main ne jo boyaa nahin,

Jaanta hoon ek aise shakss ko main bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi royaa nahin..

The post Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 24 June 2015

Gungunaate huye aanchal ki havaa de mujh ko..

Gungunaate huye aanchal ki havaa de mujh ko,
Ungliyaan phair ke baalon main sula de mujh ko,

Jis tarah faaltu guldaan parre rehte hain,
Apne ghar ke kisi konay se laga de mujh ko,

Main tere hijr main chup chaap na mar jaon kahin,
Main hon sakte main kabhi aa kr rula de mujh ko,

Roothna tera meri jaan liye jaata hai,
Aese naraaz na ho hanss ke dikha de mujh ko,

Aur kuch nahin maanga mere maalik tujh se,
Uss ki galiyon ki khaak bana de mujh ko,

Log kehte hain ke yeh ishq niggal jaata hai,
Main bhi iss ishq main aya hon ab dua de mujh ko..

The post Gungunaate huye aanchal ki havaa de mujh ko.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 23 June 2015

Hont to khair sii liye hum ne..

aankh dekhe bina nahin rehti
Aankh dekhe bina nahin rehti,
Hont to khair sii liye hum ne..

The post Hont to khair sii liye hum ne.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 22 June 2015

Rishton ki rassi kamzor tab hoti hai..

Rishton ki rassi kamzor tab hoti hai jab ghalat fehmi main paida hone wale sawaalon ke jawab bhi insaan khud bana leta hai..

The post Rishton ki rassi kamzor tab hoti hai.. appeared first on Ranjish.com.

Aahatt jo sunaayi di hai hijr ki shabb ki hai..

Aahatt jo sunaayi di hai hijr ki shabb ki hai,
Yeh raaye akelii meri nahin hai sab ki hai,

Sunsaan sarrak sanaatte aur lambe saaye,
Yeh saari fazaa ae dil tere matlab ki hai,

Teri deed se aankhen jee bhar ke sairaab huin,
Kis roz hua tha aisa baat yeh kab ki hai,

Tujhe bhool geya kabhi yaad nahin karta tujh ko,
Jo baat bohat pehle karni thi ab ki hai,

Mere suraj aa, mere jism pe apnaa saaya kar,
Barri tez havaa hai sardii aaj ghazzab ki hai..

The post Aahatt jo sunaayi di hai hijr ki shabb ki hai.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 21 June 2015

Aayi hai ab yaad kya raat ik beete saal ki..

Aayi hai ab yaad kya raat ik beete saal ki,
Yehi havaa thi baagh mei yehi sadaa gharriyaal ki,

Mehak ajab si ho gayi parre parre sanduuq mei,
Rangat pheeki parr gayi resham ke ruumaal ki,

Shehr mei ddar tha maut ka chaand ki chauthii raat ko,
Eeentton ki iss khohh mei dehshat thi bhaunchaal ki,

Shaam jhuki thi behr pr paagal ho kar rang se,
Yaa tasveer thi khawb mei mere kisi khayaal ki,

Umr ke saath ajeeb sa ban jaata hai aadmi,
Haalat dekh ke dukh hua aaj uss parii-jamaal ki,

Dekh ke mujh ko ghaur se phir woh chup se ho gaye,
Dil main khalish hai aaj tak iss an-kahe sawaal ki..

The post Aayi hai ab yaad kya raat ik beete saal ki.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 20 June 2015

Bagh main lagta nahin sehraa se ghabraata hai dil..

bagh main dil nahi lagta
Bagh main lagta nahin sehraa se ghabraata hai dil,
Ab kahan le ja ke bethen aese deewane ko..

The post Bagh main lagta nahin sehraa se ghabraata hai dil.. appeared first on Ranjish.com.

Jab kabhi phoolon ne khushbuu ki tijaarat ki hai..

Jab kabhi phoolon ne khushbuu ki tijaarat ki hai,
Pate pate ne havaaon se shikayat ki hai,

Yuun laga jaise koi itr fazaa mei ghul jaye,
Jab kisi bache ne quraan ki tilaawat ki hai,

Jaye-namaazon ki tarah noor mein ujlaayi sehar,
Raat bhar jaise farishton ne ibaadat ki hai,

Sar uthaaye theen bohat surkh havaa mei phir bhi,
Hum ne palkon ke charaaghon ki hifaazat ki hai,

Mujhe tuufaan-e-havaadis se daraane walo,
Haadson ne to mere haath pe baiyt ki hai,

Aaj ik daana-e-gandum ke bhi haqdaar nahin,
Hum ne sadiyon inhiin khaiton pe hukuumat ki hai,

Yeh zaruuri tha ke hum dekhte qilon ke jalaal,
Umr bhar hum ne mazaaron ki ziyaarat ki hai..

The post Jab kabhi phoolon ne khushbuu ki tijaarat ki hai.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 19 June 2015

Azmaten sab teri khudaayi ki..

Azmaten sab teri khudaayi ki,
Hesiyyat kya meri ikaaayi ki,

Mere honton ke phool suukh gaye,
Tum ne kya mujh se bewafayi ki,

Sab mere haath paaon lafzon ke,
Aur aankhen bhi roshnaayi ki,

Main hi mulzim hoon main hi munsif hoon,
Koi suurat nahin rihaayi ki,

Ik barass zindagi ka beet geya,
Tehh jammi ek aur kaayi ki,

Ab taraste raho ghazal ke liye,
Tum ne lafzon se bewafaayi ki..

The post Azmaten sab teri khudaayi ki.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 17 June 2015

Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain…

Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain,
Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain,

Main to yak-musht usse somp doon sab kuch lekin,
Aik muthii main mere khawb kahan atey hain,

Mudatton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
Warna sehraaon main sailaab kahan aatey hain,

Meri bedaar nigaahon main agar bhoolay se,
Neend aaye bhi to khawb kahan aatey hain,

Hum kisi tarah tere dar pe thikaana kar lein,
Hum fakeeron ko yeh adaab kahan aatey hain,

Sarbassar faqat jin main teri jhallak milti hai,
Ab muyassar humen woh khawb kahaan atey hain..

The post Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain… appeared first on Ranjish.com.

Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon..

Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Jo kisi ke kaam na aa sake main woh ek musht-e-ghubaar hoon,

Main nahin hoon naghma-e-jaan-fazaa, mujhe sun ke koi kare ga kya,
Main barre birog ki hoon sada main barre dukhi ki pukaar hoon,

Mera rang roop bigarr geya mera yaar mujh se bicharr geya,
Jo chamman khizaan se ujarr geya main ussi ki fasl-e-bahaar hoon,

Faatiha pe koi aaye kyun koi chaar phool charrhaaye kyun,
Koi aa ke shamma jalaaye kyun main woh be-kassi ka mazaar hoon,

Na main “muztar” un ka habib hoon na main “muztar” un ka raqeeb hoon,
Jo bigarr geya woh naseeb hoon jo ujarr geya woh dayaar hoon..

The post Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 16 June 2015

Jutujuu jis ki thi uss ko to na paaya hum ne..

Jutujuu jis ki thi uss ko to na paaya hum ne,
Iss bahaane se magar dekh li duniyaa hum ne,

Sab ka ehvaal wohi hai jo hamaraa hai aj,
Yeh alag baat ke shikwa kiya tanhaa hum ne,

Khud pashemaan huye na ussay sharminda kiya,
Ishq ki vazaa ko kya khuub nibhaaya hum ne,

Kaun sa qehr ye ankhon pe hua hai naazil,
Ek muddat se koi khawb na dekha hum ne,

Umr bhar sach hi kahaa sach ke sivaa kuch na kaha,
Ajr kya iss ka mile ga yeh na sochaa hum ne..

The post Jutujuu jis ki thi uss ko to na paaya hum ne.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 15 June 2015

Aag aisi lagi thi seenay main..

Aag aisi lagi thi seenay main,
Aankh se dil main woh utar na saka..

The post Aag aisi lagi thi seenay main.. appeared first on Ranjish.com.

Ehl-e-mohabbat ki majboori barhti jati hai..

Ehl-e-mohabbat ki majboori barhti jati hai,
Mitti se gulaab ki doori barhti jati hai,

Mehraabon se mehal-saraa tak dheron-dhair chiraagh,
Jalte jaate hain be-noori barhti jati hai,

Kaarobaar mein ab ke khasaara aur tarah ka hai,
Kaam nahin barhtaa mazdoori barrhti jaati hai,

Jaise jaise jism tashaffi paata hai,
Waise waise qalb se doori barrhti jati hai,

Girya-e- neem-shabbi ki naymat jab se bahaal huyi,
Har-lehzaa umeed-e-huzoori barhti jaati hai..

The post Ehl-e-mohabbat ki majboori barhti jati hai.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 14 June 2015

Aadat ke baad dard bhi dene laga maza.

Aadat ke baad dard bhi dene laga maza,
Hanss hanss ke aah aah kiye ja raha hon main..

The post Aadat ke baad dard bhi dene laga maza. appeared first on Ranjish.com.

Aankhon main raha dil main utar kr nahin dekha..

Aankhon main raha dil main utar kr nahin dekha,
Kashti ke musafir ne samandar nahin dekha,

Be-waqt agar jaaon ga sab chaunk parren ge,
Ik umr hui din main kabhi ghar nahin dekha,

Jiss din se chalaa hoon meri manzil pe nazar hai,
Aankhon ne kabhi meel ka pathar nahin dekha,

Yeh phool mujhe koi viraasat main mile hain,
Tum ne mera kaantton se bharaa bistar nahin dekha,

Yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine,
Phoolon main chupaaya hua khanjar nahin dekha,

Mehboob ka ghar ho ke bazurgon ki zameenen,
Jo chorr diya phir ussay murr kar nahin dekha,

Khhat aesa likha hai ke nageene se jarrre hain,
Woh haath ke jiss ne koi zevar nahin dekha,

Pathar mujhe kehtaa hai mera chahane wala,
Main mom hoon uss ne mujhe chhuu kar nahin dekha..

The post Aankhon main raha dil main utar kr nahin dekha.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 13 June 2015

Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa..

Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa,
Hum is ke baad phir koi armaan na kar sake..

The post Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa.. appeared first on Ranjish.com.

Dil main ab yuun tere bhuule huye gham aate hain..

Dil main ab yuun tere bhuule huye gham aate hain,
Jaise bichrre huye kaabe main sanam aate hain,

Ek ik kar ke huye jaate hain taare raushan,
Meri manzil ki taraf tere qadam aate hain,

Raqss-e-mai taiz karo saaz ki lai taiz karo,
Suu-e-mai-khaana safiraaan-e-haram aate hain,

Kuch hamin ko nahin ehsaan uthaane kaa dimaagh,
Woh to jab aate hain maayel-ba-karam aate hain,

Aur kuch dair na guzre shab-e-furqat se kaho,
Dil bhi kamm dukhta hai woh yaad bhi kamm aate hain..

The post Dil main ab yuun tere bhuule huye gham aate hain.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 12 June 2015

Ik taizz teer tha ke lagaa aur nikal geya..

Ik taizz teer tha ke lagaa aur nikal geya,
Maari jo cheekh rail ne jungle dehall geya,

Soyaa hua tha sheher kisi saamp ki tarah,
Main dekhta hi reh geya aur chaand ddhal geya,

Khawhish ki garmiyaan theen ajab un ke jism main,
Khuubaan ki sohbaton main mera khuun jjal geya,

Thi shaam zehr-e-rang main duubi hui kharri,
Phir ik zara si dair main manzar badal geya,

Muddat ke baad aaj ussey dekh kar Munir,
Ik baar dil to dharrka magar phir sambhal geya..

The post Ik taizz teer tha ke lagaa aur nikal geya.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 11 June 2015

Bewafaayi pe teri jee hai fidaa..

teri bewafayi pe jee fida hai
Bewafaayi pe teri jee hai fidaa,
Qehr hota jo baaawafa hota..

The post Bewafaayi pe teri jee hai fidaa.. appeared first on Ranjish.com.

Apni tanhayi mere naam pe abaad kare..

Apni tanhayi mere naam pe abaad kare,
Kaun ho ga jo mujhe uss ki tarah yaad kare,

Dil ajab sheher ke jis pr bhi khula dar us ka,
Woh musaafir isse har samt se barbaad kare,

Apne qaatil ki zehaanat se pareshaan hoon main,
Roz ik maut naye tarzz ki ijaad kare,

Itna hairaan ho meri be-talabbi ke aagey,
Waa qaffass main koi dar khud mera sayaad kare,

Salb-e-binaayi ke ehkaam mile hain jo kabhi,
Roshni chhuune ki khawhish koi shab-zaad kare,

Soch rakhnaa bhi jaraayem main hai shaamil ab to,
Wohi maasoom hai har baat pe jo saad kare,

Jab lahuu bol parre us ke gavaahon ke khilaaf,
Qaazi-e-sheher kuch is baab main irshaad kare,

Uss ki muthi main bohat roz raha mera wajood,
Mere saahir se kaho ab mujhe aazaad kare..

The post Apni tanhayi mere naam pe abaad kare.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 9 June 2015

Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale..

Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale,
Hum teri aankh se hijrat nahin karne wale,

Apne nazdeek mohabbat hai ibaadat ki tarah,
Hum ibaadat ki tijaarat nahin karne wale,

Yeh alag baat hai ke izhaar nahin kar sakte,
Yeh na samjho ke mohabbat nahin karne wale,

Kaatt ke phenk de sar chaahe sajaa naize pr,
Hum tere hath pe bayt nahin karne wale,

Aye haakim-e-waqt zara apne girebaan main jhaank,
Log bewajah baghaavat nahin karne wale..

The post Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale.. appeared first on Ranjish.com.

Jaa ke yeh keh de koi sholon se chingaari se..

Jaa ke yeh keh de koi sholon se chingaari se,
Phool is baar khile hain barri tayaari se,

Apni har saans ko nilaam kiya hai maine,
Log aasaan huye hain barri dushvaari se,

Zehn mein jab bhi tere khhat ki ibaarat chamkii,
Ek khushbuu si nikalne lagi almaari se,

Shehzaade se mulaqaat to na-mummkin hai,
Chaliye mil aatey hain chal kr kisi darbaari se,

Badshaahon se bhi phenke huye sikke na liye,
Hum ne khairaaat bhi maangi hai to khudaari se..

The post Jaa ke yeh keh de koi sholon se chingaari se.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 8 June 2015

Aarzuu hai wafaa kare koi..

Aarzuu hai wafaa kare koi,
Jee na chaahe to kya kare koi,

Gr maraz ho davaa kare koi,
Marne wale ka kya kare koi,

Kosstay hain jale huye kya kya,
apne haq main duaa kare koi,

Un se sab apni apni kehte hian,
Mera matlab adaa kare koi,

Chaah se aap ko to nafrat hai,
Mujh ko chaahe khuda kare koi,

Iss gile ko gila nahin kehte,
Gar maze ka gila kare koi,

Yeh mili daad ranj-e-furqat ki,
Aur dil kaa kahaa kare koi,

Tum saraapa ho suurat-e-tasveer,
Tum se phir baat kya kare koi,

Kehte hain hum nahin khudaa-e-kareem,
Kyun hamari khataa kare koi,

Jis mei laakhon baras ki huuren hon,
Aisi jannat ko kya kare koi,

Is jafaa pr tumhe tamanna hai,
Ke meri iltijaa kare koi,

Muun lagaate hi Daagh itraaya,
Lutf hai phir jafaa kare koi..

The post Aarzuu hai wafaa kare koi.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 7 June 2015

Dil ko gham-e-hayaat gavaara hai in dinon..

Dil ko gham-e-hayaat gavaara hai in dinon,
Pehle jo dard tha wohi chaara hai in dinon,

Har sail-e-ashk saahil-e-taskeen hai aaj kal,
Daryaa ki mauj mauj kinaara hai in dinon,

Yeh dil zara sa dil teri yaadon mein kho geya,
Zaray ko aandhiyon ka sahaara hai in dinon,

Shaamon mei ab nahin hai woh pehli si roshni,
Kyaa waqeyi woh anjuman-e-aaraa hai in dinon,

Tum aa sako to shab ko barrhaaa do kuch aur bhi,
Apne kahe mei subh ka taara hai in dinon..

The post Dil ko gham-e-hayaat gavaara hai in dinon.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 6 June 2015

Agar iss khel me ab woh bhi shamil hone wala hai..

Agar iss khel me ab woh bhi shamil hone wala hai,
To apnaa kaam pehle se bhi mushkil hone wala hai,

Hawaa shakhon me rukne aur ulajhne ko hai iss lamhe,
Guzarte baadalon me chaand haayel hone wala hai,

Assar ab aur kya honaa tha us jaan-e-taghaaful pr,
Jo pehle besh-o-kam tha woh bhi zaayel hone wala hai,

Zeyada naaz ab kya kijiye josh-e-jawani pr,
Ke yeh tufaan bhi rafta raftaa saahil hone wala hai,

Hamiin se koi koshish ho na paayi kaargar warna,
Har ik naaqiss yahan kaa peer-e-kaamil hone wala hai,

Haqeeqat me bohat kuch khone wale hain yeh saada-dil,
Jo yeh samjhe huye hain un ko haasil hone wala hai,

Hamare haal-maston se khabar hone se pehle hi,
Yahaan pr aur hi kuchh rang-e-mehfil hone wala hai,

Chalo iss marhale pr hi koi tadbeer kar dekho,
Wagarna sheher me paani to daakhil hone wala hai,

“zafar” kuch aur hi ab shobda dikhayiye warna,
Yeh daava e sukhan-daani to baatil hone wala hai..

The post Agar iss khel me ab woh bhi shamil hone wala hai.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 5 June 2015

Aye dil-e-beqaraar chup ho ja..

Aye dil-e-beqaraar chup ho ja,
Jaa chuki hai bahaar chup ho ja,

Ab na aayen ge roothne wale,
Deeda-e-ashk-baar chup ho ja,

Jaa chuka karvaan e laal-o-gul,
Urr raha hai ghubaar chup ho ja,

Chhuut jaati hai phool se khushbuu,
Rooth jaate hain yaar chup ho ja,

Hum faqiron ka iss zamaane mei,
Kaun hai gham-gusaar chup ho ja,

Haadson ki na aankh khul jaaye,
Hasrat-e-sogvaar chup ho ja,

Geet ki zarb se bhi ae Saghar,
Toot jaate hain taar chup ho ja..

The post Aye dil-e-beqaraar chup ho ja.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 4 June 2015

Rang tha roshni tha qaamat tha..

Rang tha roshni tha qaamat tha,
Jis pe hum mar mitte qayaamat tha,

Khush-jamaalon main dhoom thi apni,
Naam uss ka bi wajah-e-shohrat tha,

Paas-e-awaargi humen bhi bohat,
Us ko bhi aitraaf-e-wehshat tha,

Hum bhi takraar ke na they huugar,
Woh bhi na-aashnaaye hujjat tha,

Khawb tabeer ban ke aaye they,
Kya ajjab mausam-e-rafaaqat tha,

Apne lehje ka baank-pan saara,
Us ke pindaar ki amaanat tha,

Us ke kundan badan ka roop saruup,
Hussn-e-ehsaas ki badolat tha,

Aik ik saans qurbaton ka gawaah,
Har nafss lamhaa ghaneemat tha,

Aur phir yuun hua ke toot geya,
Woh jo ik rishtaa mohabba tha..

The post Rang tha roshni tha qaamat tha.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 3 June 2015

Hairat se na dekh mere chehre ki daraarren..

hairat se na dekh
Hairat se na dekh mere chehre ki daraarren,
Main waqt ke hathon main khilone ki tarah tha..

The post Hairat se na dekh mere chehre ki daraarren.. appeared first on Ranjish.com.

Aa gayi yaad shaam dhalte hi..

Aa gayi yaad shaam dhalte hi,
Bujh geya dil chiraagh jalte hi,

Khul gaye shehr-e-gham ke darvaaze,
Ik zaraa si havaa ke chalte hi,

Kaun tha tuu ke phir na dekha tujhe,
Mitt geya khawb aankh malte hi,

Khauff aata hai apne hi ghar se,
Maah-e-shab-taab ke nikalte hi,

Tuu bhi jaise badal saa jaata hai,
Aks-e-deewaar ke badalte hi,

Khuun sa lag geya hai haathon mein,
Charrh geyaa zehr gul masalte hii..

The post Aa gayi yaad shaam dhalte hi.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 2 June 2015

Woh har maqaam se pehle woh har maqaam ke baad..

Woh har maqaam se pehle woh har maqaam ke baad,
Sehar thi shaam se pehle sehar hai shaam ke baad,

Mujhi pe itni tawajjoh mujh se itnaa guraiz,
Mere salaam se pehle mere salaam ke baad,

Chiraagh-e-bazm sitam hain hamaara haal na puch,
Jalle they shaam se pehle bujhe hain shaam ke baad,

Yeh raat kuch bhi nahin thi yeh raat sab kuch hai,
Tuluuh-e-jaam se pehle tuluuh-e-jaam ke baad,

Rah-e-talab main qadam larrkharra hi jaate hain,
Kisi maqaam se pehle kisi maqaam ke baad..

The post Woh har maqaam se pehle woh har maqaam ke baad.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 1 June 2015

Do aankhon se kitnaa dekha ja sakta tha….

Hum ne uss ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha,
Phir bhi do aankhon se kitnaa dekha ja sakta tha..

The post Do aankhon se kitnaa dekha ja sakta tha…. appeared first on Ranjish.com.

Isse samaan-e-safar jaan yeh jugnuu rakh le..

Isse samaan-e-safar jaan yeh jugnuu rakh le,
Raah mein teergi ho gi mere aansuu rakh le,

Tuu jo chahe to tera jhoot bhi bik sakta hai,
Shart itni hai ke sone ki taraazuu rakh le,

Woh koi jism nahin hai ke usse chhuu bhi saken,
Haan agar naam hi rakhna hai to khushbuu rakh le,

Tujh ko an-dekhii bulandi mei safar karna hai,
Ehtiyatan meri himmat mere baazuu rakh le,

Meri khawish hai ke aangan mein na deewaar uthe,
Mere bhaii mere hisse ki zameen tuu rakh le..

The post Isse samaan-e-safar jaan yeh jugnuu rakh le.. appeared first on Ranjish.com.