This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Friday, 29 May 2015

Garche sau baar gham-e-hijr se jaan guzri hai..

Garche sau baar gham-e-hijr se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzarti thi kahan guzri hai,

Aap thehre hain to thehraa hai nizaam -e- aalam,
Aap guzre hain to ik mauj -e- ravaan guzri hai,

Hosh me aaye to batlaaye tera deewaana,
Din guzaara hai kahaan raat kahan guzri hai,

Aese lamhe bhi guzaare hain teri furqat main,
Jab teri yaad bhi iss dil pe giraan guzrii hai,

Hashar ke baad bhi deewane tere puchte hain,
Woh qayamat jo guzaarni hai kahan guzri hai,

Zindagi “saif” liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishaan guzri hai..

The post Garche sau baar gham-e-hijr se jaan guzri hai.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 28 May 2015

Abhi to karna parre ga safar dobara mujhe..

Abhi to karna parre ga safar dobara mujhe,
Abhi kare nahin araam ka ishaara mujhe,

Lahuu me aayega tufaan-e-tund raat-ba-raat,
Karegii mauj-e-balaa-khaizz paara-paara mujhe,

Bujha nahin mere andar ka aaftaab abhi,
Jalaa ke khaak kare ga yahi sharaara mujhe,

Utaaar phenktaa main bhi yeh taar-taar badan,
Aseer-e-khaak hoon karna parra guzaara mujhe,

Urre woh gard ke main chaar-suu bikhar jaaun,
Ghubaar me nazar aaye na koi chaara mujhe,

Meri hudood me hai mere aas paas ki dhund,
Rahaa yeh sheher to is ka nahin ijaara mujhe,

Seher huyi to bohat dair tak dikhaayi diyaa,
Ghuroob hotii huyi raat ka kinaara mujhe,

Meri fazaa me hai tarteeb kaainaat kuch aur,
Ajab nahin jo tera chaand hai sitaara mujhe,

Na chhuu sakun jise kya us ka dekhna bhi “zafar”,
Bhalaa laga na kabhi duur ka nazaara mujhe..

The post Abhi to karna parre ga safar dobara mujhe.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 27 May 2015

Ibtidaa woh thi ke jeena tha mohabbat main muhaal..

Ibtidaa woh thi ke jeena tha mohabbat main muhaal,
Intehaa yeh hai ke ab marna bhi mushkil ho geya..

The post Ibtidaa woh thi ke jeena tha mohabbat main muhaal.. appeared first on Ranjish.com.

Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen..

Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen,
Khudaa mila ho jinhe woh khudaa ki baat karen,

Unhen pata bhi chale aur woh khafaa bhi na hon,
Iss ehtiyaat se kya mudaa.aa ki baat karen,

Hamare ehd ki tehzeeb mei qabaa hi nahin,
Agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen,

Har ek daur ka mazhab neyaa khuda laaya,
Karen to hum bhi magar kis khuda ki baat karen,

Wafaa-shuaar keyi hain koi haseen bhi to ho,
Chalo phir aaj ussi bewafaa ki baat karen..

The post Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 26 May 2015

Woh mere haal pe royaa bhi muskuraaya bhi.

Woh mere haal pe royaa bhi muskuraaya bhi,
Ajeeb shakss hai apnaa bhi hai paraaya bhi,

Yeh intizaar sehar ka tha ya tumhara tha,
Diyaa jalaaya bhi main ne diya bujhaaya bhi,

Main chahta hoon theher jaye chashm-e-dariya mei,
Larazzta akss tumhara bhi mera saaya bhi,

Bohat maheen tha parda larazti aankhon ka,
Mujhe dikhaaya bhi tu ne mujhe chupaaya bhi,

Bayaaz bhar bhi gayii aur phir bhi sadaa hai,
Tumhare naam ko likhaa bhi aur mittaaya bhi..

The post Woh mere haal pe royaa bhi muskuraaya bhi. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 25 May 2015

Haath khaali hain tere sheher se jaate jaate..

Haath khaali hain tere sheher se jaate jaate,
Jaan hoti to meri jaan luttaate jaate,

Ab to har haath ka pathar humen pohanchta hai,
Umr guzri hai tere shehehr mei aatey jaate,

Ab ke mayuus hua yaaron ko rukhsat kar ke,
Jaa rahe they to koi zakham lagaate jaate,

Reengne ki bhi ijaazat nahin hum ko warna,
Hum jidhar jaate naye phuul khilaate jaate,

Main to jalte huye sehraaon ka ik pathar tha,
Tum to dariyaa they meri pyaas bujhaate jaate,

Mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shayed,
Log hanste hain mujhe dekh ke aatey jaate,

Hum se pehle bhi musaafir kayii guzre hon ge,
Kam se kam raah ke pathar to hattaate jaate..

The post Haath khaali hain tere sheher se jaate jaate.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 24 May 2015

Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain..

Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain,
Kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain..

The post Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 22 May 2015

Dil abhi puri tarah toota nahin..

bewafa dost poetry

Dil abhi puri tarah toota nahin,
Doston ki meherbaani chahiye..

The post Dil abhi puri tarah toota nahin.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 21 May 2015

Apni ruswaayi tere naam ka charcha dekhoon..

Apni ruswaayi tere naam ka charcha dekhoon,
Ik zaraa sher kahoon aur main kya kya dekhoon,

Neend aa jaye to kya mehfilen barpaa dekhoon,
Aankh khul jaye to tanhaayi ka sehraa dekhoon,

Shaam bhi ho gayi dhundhlaa gayin aankhen bhi meri,
Bhoolne wale main kab tak tera raasta dekhoon,

Ik ik kar ke mujhe chorr gayin sab sakhiyaan,
Aaj main khud ko teri yaad me tanhaa dekhoon,

Tu mera kuch nahin lagta hai magar jaan-e- hayaat,
Jaane kyun tere liye dil ko dharrakta dekhoon,

Band kar ke meri aankhen woh shararat se hanse,
Bujhe jaane ka main har roz tamaasha dekhoon,

Sab ziden uss ki main puri karoon har baat sunoon,
Ek bache ki tarah se usse hansta dekhoon,

Mujh pe chhaa jaye woh barsaat ki khushbuu ki tarah,
Angg angg apna issi rut mehektaa dekhoon,

Phool ki tarah mere jism ka har lab khul jaye,
Pankharri pankhrri un honton ka saaya dekhoon,

Main ne jis lamhe ko pooja hai usse bass ik baar,
Khawb ban kar teri aankhon main utarta dekhoon,

Tu meri tarah se yaktaa hai magar mere habib,
Jee me aata hai koii aur bhi tujh sa dekhoon,

Toot jaayen ke pighal jaayen mere kacchhe gharre,
Tujh ko main dekhoon ke yeh aag ka daryaa dekhoon..

The post Apni ruswaayi tere naam ka charcha dekhoon.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 20 May 2015

Tu koi mere gham ka mudaava kar de..

tu mere gham poetry
Tu koi mere gham ka mudaava kar de,
Tera gham hai tere kehne se chala jaye ga..

The post Tu koi mere gham ka mudaava kar de.. appeared first on Ranjish.com.

Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard..

Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard,
Jee chahta hai phir koi taaza ghazal kahoon..

The post Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 19 May 2015

Suljha hua sa fard samajhte hain mujh ko log..

suljha hua sa fard poetry
Suljha hua sa fard samajhte hain mujh ko log,
Uljhaa hua sa mujh main koi duusra bhi hai..

The post Suljha hua sa fard samajhte hain mujh ko log.. appeared first on Ranjish.com.

Millan ki saa.aat ko iss tarah se amar kiya hai..

Millan ki saa.aat ko iss tarah se amar kiya hai,
Tumhari yaadon ke saath tanhaa safar kiya hai,

Suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro parre they,
Sunaa hai barish ne pathron pr assar kiya hai,

Saleeb ka baar bhi uthaao tamaam jeevan,
Yeh lab-kushaayi ka jurm tum ne agar kiya hai,

Tumhe khabar thi haqeeqten talkhh hain jabhi to,
Tumhaari aankhon ne khawb ko moatbar kiya hai,

Ghuttan barrhi hai to phir ussi ko sadaayen di hain,
Ki jiss havaa ne har ik shajjar be-samar kiya hai,

Hai tere andar bassi huyi eik aur duniyaa,
Magar kabhi tuu ne itna lambaa safar kiya hai,

Mere him dam se to raunqen tere sheher mei theen,
Mere hi qadmon ne dasht ko rah-guzar kiya hai,

Tujhe khabar kyaa mere labon ki khamoshiyon se,
Tere fasaane ko kas qadar mukhtassar kiya hai,

Bohat si ankhon mei teergi ghar banaa chuki hai,
Bohat sii ankhon ne intizaar-e-sehar kiya hai..

The post Millan ki saa.aat ko iss tarah se amar kiya hai.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 18 May 2015

Daanista chorr jaaon ga maidaan aur tum..

Daanista chorr jaaon ga maidaan aur tum,
Haarey huye raho ge agar jeet bhi gaye..

The post Daanista chorr jaaon ga maidaan aur tum.. appeared first on Ranjish.com.

Chup chup ke mohabbat ko na badnaam kiya jaye..

Chup chup ke mohabbat ko na badnaam kiya jaye,
Jo kaam kiya jaye sar-e-aam kiya jaaye,

Yeh dil ke tere baad behelta hi nahin hai,
Ab tuu hi bata kese isse raam kiya jaaye,

Yeh to mere harfon ka taqaaza hai meri jaan,
Jo sher likha jaaye tere naaam kiya jaaye,

Thhak haar ke kal shaam kaha tha yeh hawa ne,
Awaara parindon ko teh-daam kiya jaaye,

Kya fayeda phir aesi jawani ka ke jis main,
Jab soch samajh kar hi har aik kaam kiya jaaye,

Shayed woh palatt aaye kabhi shabb ka musafir,
Roshan hi chiraaghon ko sar-e-shaam kiya jaaye,

Kal shaam yeh ghar chorr to dena hai humen bhi,
Behtar hai ke kuch waqff dard e baam kiya jaaye,

Faizan yeh duniya to hai bazaar ki suurat,
Hai kiss ko khabar kal kisse neelaam kiya jaaye..

The post Chup chup ke mohabbat ko na badnaam kiya jaye.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 17 May 2015

Tum phir ussi adaa se angrrayi leke hanss do..

Tum phir ussi adaa se angrrayi leke hans do,
Aa jaye ga palatt kar guzraa hua zamaana..

The post Tum phir ussi adaa se angrrayi leke hanss do.. appeared first on Ranjish.com.

Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum..

Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum,
Thukraa na dain jahaan ko kahin be-dili se hum,

Mayuusi-e-maal-e-mohabbat na puuchiye,
Apnon se paish aaye hain begaaangi se hum,

Lo aaj hum ne torr diya rishta-e-umeed,
Lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum,

Ubhren ge ek baar abhi dil ke valvale,
Go dabb gaye hain baar-e-gham-e-zindagi se hum,

Gar zindagi mein mil gaye phir ittifaaq se,
Puuchen ge apnaa haal teri bebassi se hum,

Allah re faraib-e-mashiyat ki aaj tak,
Duniyaa ke zulm sehte rahe khamoshi se hum..

The post Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 16 May 2015

Jin se aanchal bhi dupatte ka sambhaala na geya..

jin se aanchal bhi dupatte ka sambhaala na geya
Jin se aanchal bhi dupatte ka sambhaala na geya,
Un se kya khaak mere dil ki hifaazat hogi..

The post Jin se aanchal bhi dupatte ka sambhaala na geya.. appeared first on Ranjish.com.

Hijr ke mausam main yeh barish ka barassna kaisa..

Hijr ke mausam main yeh barish ka barassna kaisa,
Aik sehraa se samandar ke guzarna kaisa,

Aye mere dil na pareshaan ho tanhaa ho kar,
Woh tere saath chala kab tha, bicharrna kaisa,

Log to kehte hain gulshan ki tabaahi dekho,
Main to veeraan sa jungle tha, ujarrna kaisa,

Dekhne main to koi dard nahin dukh bhi nahin,
Phir yeh aankhon main asshkon ka ubharna kaisa,

Bewafa kehne ki jurat bhi na karna,
Uss ne iqraar kiya kab tha, to mukarna kaisa..

The post Hijr ke mausam main yeh barish ka barassna kaisa.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 15 May 2015

Dilon ko torrne walo tumhe kisi se kya..

Dilon ko torrne walo tumhe kisi se kya,
Milo to aankh churaa lo tumhen kisi se kya,

Chamak ke aur barrhao meri siyaah-bakhti,
Kisi ke ghar ke ujaalo tumhen kisi se kya,

Mujhe khud apni nazar me banaa ke begaana,
Jahaan ko apna banaa lo tumhen kisi se kya,

Qareeb-e-nazaa bhi kyun chain le sake koi,
Naqaab rukh se uthaa lo tumhen kisi se kya..

The post Dilon ko torrne walo tumhe kisi se kya.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 14 May 2015

Kal hamesha ki tarah uss ne kaha yeh phone pr..

Kal hamesha ki tarah
uss ne kaha yeh phone pr
main bohat masroof hoon
mujh ko bohat se kaam hain

Is liye tum aao milne
main to aa nahin sakta
ab har riwaayet torr kar
iss baar maine keh diya

Tum jo ho masroof to
main bhi bohat masroof hoon
tum jo ho mashoor to
main bhi bohat maroof hoon

Tum agar ghamgeen ho
main bhi bohat ranjuur hoon
tum thakkan se chuur ho
main bhi thakkan se chuur hoon

Jaane mann
hai waqt mera bhi bohat hi qeemti
kuch purane doston ne milne ana hai mujhe
main bhi ab faragh nahin
mujh ko bhi laakhon kaam hain

Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
meri ankhen bhi bohat bojhal hain
sona hai mujhe
rat.jagon ke baad neendon main khona hai mujhe

Main lahuu apni anaaon ka
bahaa sakta nahin
tum nahin aati
to milne main bhi aa sakta nahin

Us ko yeh keh kar Wasi
maine receiver rakh diya
aur phir apni anaaa ke paaon pe
sar rakh diya..

The post Kal hamesha ki tarah uss ne kaha yeh phone pr.. appeared first on Ranjish.com.

Yoon hatam ho raha hoon main tere hijar main..

yoon hatam ho raha hoon
Yoon hatam ho raha hoon main tere hijr main,
Jese garmiyon main barff pahaarron ki..

The post Yoon hatam ho raha hoon main tere hijar main.. appeared first on Ranjish.com.

Ghar se yeh soch ke niklaa hoon ke mar jana hai..

Ghar se yeh soch ke niklaa hoon ke mar jana hai,
Ab koi raah dikhaa de ke kidhar jaana hai,

Jism se saath nibhaane ki mat umeed rakho,
Iss musaafir ko to raste main thehar jaana hai,

Maut lamhe ki sadaa zindagi umron ki pukaar,
Main yehi soch ke zinda hoon ke mar jana hai,

Nasha aisa tha ke mai-khane ko duniyaa samjha,
Hosh aaya to khayaal aaya ke ghar jaana hai,

Mere jazbe ki barri qadar hai logon mein magar,
Mere jazbe ko mere sath hi mar jana hai..

The post Ghar se yeh soch ke niklaa hoon ke mar jana hai.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 13 May 2015

Teri duniya mei jeene se to behtar hai ke mar jaayen..

Teri duniya mei jeene se to behtar hai ke mar jaayen,
Wohi aansuu wohi aahen wohi gham hai jidhar jaayen,

Koi to aisa ghar hota jahan se pyaar mil jaata,
Wohi begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen,

Arey o aasmaan waale bataa is mei buraa kya hai,
Khushi ke chaar jhonke gr idhar se bhi guzar jaayen..

The post Teri duniya mei jeene se to behtar hai ke mar jaayen.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 12 May 2015

Jee bayabaan main kyun nahin lagta..

Jee bayabaan main kyun nahin lagta,
Ghar main kya tha ke jis ki yaad ayi..
wilderness poetry

The post Jee bayabaan main kyun nahin lagta.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 11 May 2015

Faisle lamhaat ke naslon pe bhaari ho gaye..

Faisle lamhaat ke naslon pe bhaari ho gaye,
Baap hakeem tha magar bette bhikaari ho gaye,

Deviyaan pohanchi theen apne baal bikhraye huye,
Devtaa mandir se nikle aur pujaari ho gaye,

Roshni ki jang me tareekiyaan paida huin,
Chaand paagal ho geya taare bhikaari ho gaye,

Rakh diye jaayen ge naize lafz aur hontton ke beech,
Zill-e-subhaani ke ehkamaat jaari ho gaye,

Narm-o-naazuk halke phulke ruii ke jese khawb they,
Aansuyon mei bheegne ke baad bhaari ho gaye..

The post Faisle lamhaat ke naslon pe bhaari ho gaye.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 10 May 2015

Ab woh saudaa nahin deewanon main..

Ab woh saudaa nahin deewanon main,
Khaak urrti hai bayabaanon main,

Gham-e-dauraan ko gila hai mujh se,
Tu hi tu hai mere afsaanon main,

Dil-e-nadaan teri haalat kya hai,
Tu na apnon main na begaanon main,

Bujh gayi shammaa sehar se pehle,
Aag jalti hai rahi parvaano main,

Dil ne chorra na umeedon ka khayal,
Phool khilte rahe viraanon main,

Saif pehluu me yeh aahat gham ki,
Kaun rota hai bayabaanon main..

The post Ab woh saudaa nahin deewanon main.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 9 May 2015

Dhoondta phirta hoon logon main shabaahat uski..

dhoondta phirta hoon poetry
Dhoondta phirta hoon logon main shabaahat uski,
Ke woh khawbon main bhi lagti hai khayalon jesi..

The post Dhoondta phirta hoon logon main shabaahat uski.. appeared first on Ranjish.com.

Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to acha..

Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to acha,
Iss raat ki taqdeer sanwar jaye to acha,

Jis tarah se thori si tere saath katti hai,
Baaqi bhi issi tarah guzar jaaye to acha,

Duniya ki nigaahon mein bhalaa kya hai bura kya,
Yeh bojh agar dil se utar jaaye to acha,

Waise to tumhiin ne mujhe barbaad kiyaa hai,
Ilzaam kisi aur ke sar jaaye to acha..

The post Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to acha.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 8 May 2015

Amaa mujh ko roti do..

Amaa mujh ko roti do
Kal bhi tum ne baaton se
An-dekhi saughaaton se
Mera jee behlaaya tha
Mujhe khaali paitt sulaaya tha
Lekin ab na sehh paaon ga
Aaj na bhooka reh paaon ga

Acha mera laaal zara bahar khel ke aa jao
Main choolhe ki aatish pr
Kisi gumnaam vaseele ka
Koi hawaala rakhti hoon
Tere bhooke honntton pr
Ik tar nivaala rakhti hoon

Maan ne barassti ankhon se
Darwaze ke hilte bhatt main
Zeest ka chand dhundhlaaya dekha
Munne ka jaata saaya dekha
Phir uss ne apne kaanon main
Khud hi apni goonj suni
Ke jism ke thekkedaar ke paas
Mere iss zakham ka marham hai

Ik lamha tha shayed jeevan ka
Jab maaan ne apni betti ko
Baich diya aatte ke ivaz
Aur apne laaghar kandhon pr
Apni hurmat ki laash uthaaye
Ghar ko palatt parri ke jese
Koi sazaa-e-maut ka mujrim
Bojhal bojhal qadmon se
Phaansi-ghaat ko chalta hai

Amaa khushbuu kehti hai ke
Tum ne maamta ke taishe se
Faaqon ki singlakh chittanon main
Rizq ki nehar nikaali hai
Amaa mujh ko lagta hai
Aaj christmas, eid, diwali hai

Aapa, Aapa tum bhi khana kha lo
Dekho maan ke hathon ki mehak
Roti main shaamil hai
Iss pr tum ne do din se
Paani ka dhoka khaya hai
Khud ko bhook main tarrpaaya hai

Amaa aapa kidar hai ?
Kissi bassti main utri hai ?
Kaise tujhe samjhaaon beta
Kaise tujhe dikhaaon beta
Ab yeh daagh numaayan hai
Mere iss daaman maille pr
Teri aapa bikk gayi hai
Ik aatte ke thailay pr..

The post Amaa mujh ko roti do.. appeared first on Ranjish.com.

Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete..

Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete,
Maashuuq ho ya koi amaanat ho kissi ki..

The post Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete.. appeared first on Ranjish.com.

Jab tere sheher se guzarta hoon..

Jab tere sheher se guzarta hoon,
Dil bhi karta hai yaad chhup ke tujhe,
Naam leti hai zubaan tera,
Yeh bhi nahin mujhe maloom,
Kis mohalle main hai makaan tera,
Kaun si shaakh-e-gul pe raqsaan hai,
Rashq-e-firdaus aashiyan tera,

Jaane kin waadiyon main thehra hai,
Girat-e-husn kaarvaan tera,
Kis se poochon ga main khabar teri,
Kaun batlaaye ga nishaan tera,
Teri ruswaayiyon se darta hoon,
Jab tere sheher se guzarta hoon,

Haal-e-dil bhi na keh saka garche,
Tu rahi muddaton qareeb mere,
Kuch teri azmaton ka ddar bhi tha,
Kuch khayalaat they ajeeb mere,
Aakhir kaar woh gharri aayi,
Baar-e-dar ho gaye raqeeb mere,
Tu mujhe chorr ke chali bhi gayi,
Khair qismat meri naseeb mere,
Ab main kyun tujhse pyaar karta hoon,
Jab tere sheher se guzarta hoon,

Woh zamaana teri mohabbat ka,
Ek bhooli hui kahaani ka,
Tere kuuche main umar bhar na gaye,
Saari duniya ki khaak chhani hai,
Lazzat-e-qarb ho ke zakhm-e-firaaq,
Jo bhi hai teri meherbaani hai,
Kis tamanna se tujh ko chaaha tha,
Kis mohabbat se haar maani hai,
Apni kismat pe naaz karta hoon,
Jab tere sheher se guzarta hoon..

The post Jab tere sheher se guzarta hoon.. appeared first on Ranjish.com.

Ajeeb taur ki hai ab ke sargiraani meri..

Ajeeb taur ki hai ab ke sargiraani meri,
Main tujh ko yaad bhi kar loon to meherbani meri,

Main apne aap me gehraa utar geya shayed,
Mere safar se alag ho gayi rawaani meri,

Bass ek morr mere zindagi me aaya tha,
Phir iss ke baad ulajhti gayi kahaani meri,

Tabaah ho ke bhi rehta hai dil ko dharrka sa,
Ke raayegaan na challi jaaye raigaani teri,

Main apne baad bohat yaad aaya karta hoon,
Tum apne paas na rakhna koi nishaani meri..

The post Ajeeb taur ki hai ab ke sargiraani meri.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 7 May 2015

Toote huye ghar bhi zara dekh le chal ke..

toote huye ghar ke naqshe
Toote huye ghar bhi zara dekh le chal ke,
Tanhayi main naqshe na bana taj mehal ke..

The post Toote huye ghar bhi zara dekh le chal ke.. appeared first on Ranjish.com.

Abhi kissi ke na mere kahe se guzre ga..

Abhi kissi ke na mere kahe se guzre ga,
Woh khud hi ek din iss daayere se guzre ga,

Bhari rahe abhi aankhon me uss ke naam ki neend,
Woh khawb hai to yunhi dekhne se guzre ga,

Jo apne aap guzartaa hai kuucha -e- dil se,
Mujhe gumaan tha mere mashwre se guzre ga,

Qareeb aane ki tamheed ek yeh bhi rahii,
Woh pehle pehle zaraa faasle se guzre ga,

Qasoor-waar nahin phir bhi chuptaa phirta hoon,
Woh meraa chorr hai aur mere saamne se guzre ga,

Chhupi ho shayed issi me salaamti dil ki,
Yeh rafta rafta agar tootne se guzre ga,

Hamari saada dili thi jo ham samajhte rahe,
Ke akss hai issi aayine se guzre ga,

Samajh hamen bhi hai itni ke uss ka ehd-e-sitam,
Guzaarna hai to ab hausle se guzre ga,

Galii galii mere zaray bikhar gaye “zafar”,
Khabar na thi ke woh kis raaste se guzre ga..

The post Abhi kissi ke na mere kahe se guzre ga.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 6 May 2015

Jidar se bhi guzre tawajjoh se guzre..

Jidar se bhi guzre tawajjoh se guzre,
Samandar se karte hain sehraa ki batein..

The post Jidar se bhi guzre tawajjoh se guzre.. appeared first on Ranjish.com.

Aaye they un ke sath nazaare chale gaye..

Aaye they un ke sath nazaare chale gaye,
Woh shab woh chandni woh sitaare chale gaye,

Shaayed tumhare saath bhi wapis na aa saken,
Woh valvale jo sath tumhare chale gaye,

Kashti tarrap ke halqa-e-tufaan me reh gayi,
Dekho to kitni duur kinaare chale gaye,

Har aastaan agarche tera aastaan na tha,
Har aastaan pe tujh ko pukaare chale gaye,

Shaam-e-visaal khaana-e-ghurbat se ruuth kar,
Tum kya gaye naseeb hamare chale gaye,

Dekha to phir wahin they chale they jahan se hum,
Kashti ke saath saath kinaare chale gaye,

Mehfil me kis ko taab-e-huzuur-e-jamal thi,
Aaye teri nigaah ke maare chale gaye,

Jaate hujoom -e- hashar me ham aasiyan-e-dehr,
Aey lutf-e-yaar tere sahaare chale gaye,

Dushman gaye to kashmakash -e- dosti gayi,
Dushman gaye ke dost hamaare chale gaye,

Jaate hi un ke “Saif” shab-e-gham ne aa liya,
Rukhsat hua woh chaand sitaare chale gaye..

The post Aaye they un ke sath nazaare chale gaye.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 5 May 2015

Tum mukhaatib bhi ho qareeb bhi ho..

Tum mukhaatib bhi ho qareeb bhi ho,
Tum ko dekhen ke tum se baat karen..

The post Tum mukhaatib bhi ho qareeb bhi ho.. appeared first on Ranjish.com.

Barbaad-e-mohabbat ki duaa sath liye ja..

Barbaad-e-mohabbat ki duaa sath liye ja,
Tuuta hua iqraar-e-wafaa saath liye ja,

Ik dil tha jo pehle hi tujhe somp diya tha,
Yeh jaan bhi ae jaan-e-adaa saath liye ja,

Taptii hui rahon se tujhe aanch na pohanche,
Diwanon ke ashkon ki ghataaa saath liye ja,

Shaamil hai mera khuun-e-jigr teri hinaa mei,
Yeh kum ho to khuun-e-wafaa saath liye ja,

Hum jurm-e-mohabbat ki saza paayen ge tanhaa,
Jo tujh se hui ho woh khataa saath liye ja..

The post Barbaad-e-mohabbat ki duaa sath liye ja.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 4 May 2015

Aaj saaqi sharab rehne do..

aaj saaqi sharab rehne do

Aaj saaqi sharab rehne do,
Tishnagi ke azaab rehne do,

Ponchh daalo na aankh se kaajal,
Kuch to khanjar pe aab rehne do,

Tum sanwaaro na apni zulfon ko,
Meri haalat kharab rehne do,

Chaand baadal main acha lagta hai,
Aadhey rukhh pe naqaab rehne do,

Un ke chehre ki baat ho jaye,
Aaj zikr-e-gulaab rehne do,

Un ki chokhhatt ko choom lo Mohsin,
Baaqi saare sawaab rehne do..

The post Aaj saaqi sharab rehne do.. appeared first on Ranjish.com.

Aaye they hanste khailte mai-kade main..

firaq gorakhpuri shayari
Aaye they hanste khailte mai-kade main “firaaq
Jab pee chuke sharaab to sanjeeda ho gaye..

The post Aaye they hanste khailte mai-kade main.. appeared first on Ranjish.com.

Woh kuch gehri soch mei aise doob geya hai..

Woh kuch gehri soch mei aise doob geya hai,
Bethe bethe nadii kinaare doob geya hai,

Aaj ki raat na jaane kitni lambi hogi,
Aaj ka suraj shaam se pehle doob geya hai,

Woh jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha,
Paani paani kehte kehte doob geya hai,

Mere apne andar ek bhanwar tha jis mei,
Mera sab kuch saath hi mere doob geya hai,

Shor to yoon utha tha jaise ik tuufaan ho,
Sanaatte mei jaane kaise doob geya hai,

Aakkhri khawhish puri kar ke jina kaisa,
“aanis” bhi saahil tak aa ke doob geya hai..

The post Woh kuch gehri soch mei aise doob geya hai.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 3 May 2015

Bemaar ko maraz ki davaa deni chahiye..

Bemaar ko maraz ki davaa deni chahiye,
Main peena chahta hoon pilaa deni chahiye,

Allah barkaton se navaaze ga ishq mein,
Hai jitni puunji paas laga deni chahiye,

Dil bhi kisi faqeer ke hujray se kamm nahin,
Duniyaa yahin pe laa ke chupaa deni chahiye,

Main khud bhi karna chahta hoon apna saamna,
Tujh ko bhi ab naqaab uthaa deni chahiye,

Main phool hoon to phool ko guldaan ka naseeb,
Main aag hoon to aag bujhaa deni chahiye,

Main taaj hoon to taaj ko sar pr sajaayen,
Main khaak hoon to khaak urraa denni chhahiye,

Main jabr hoon to jabr ki taayeed band ho,
Main sabr hoon to mujh ko dua deni chahiye,

Main khawb hoon to khawb se chaunkaayiye mujhe,
Main neend hon to neend urraa deni chahiye,

Sach baat kaun hai jo sar-e-aam keh sake,
Main keh raha hoon mujh ko sazaa deni chahiye..

The post Bemaar ko maraz ki davaa deni chahiye.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 2 May 2015

Maine palkon se dar-e-yaar pe dasstak di hai..

maine palkon se dar-e-yaar pe dasstak di hai..

Maine palkon se dar-e-yaar pe dasstak di hai,
Main woh saayel hoon jisse koi sadaa yaad nahin..

The post Maine palkon se dar-e-yaar pe dasstak di hai.. appeared first on Ranjish.com.

Ab aayen ya na ayen idhar puuchte chalo..

Ab aayen ya na ayen idhar puuchte chalo,
Kyaa chahti hai un ki nazar puuchte chalo,

Ham se agar hai tark-e-talluq to kya hua,
Yaaro koi to un ki khabar puuchte chalo,

Jo khud ko keh rahe hain ke manzil-shanaas hain,
Un ko bhi kya khabar hai magar puuchte chalo,

Kis manzil-e-muraad ki janib ravaan hain hum,
Ae raah-e-ravaan e khaak-bassar puuchte chalo..

The post Ab aayen ya na ayen idhar puuchte chalo.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 1 May 2015

Awaaz de ke dekh lo shaayed woh mil hi jaaye..

Awaaz de ke dekh lo shaayed woh mil hi jaaye,
Warna yeh umr bhar ka safar raayegaan to hai..

The post Awaaz de ke dekh lo shaayed woh mil hi jaaye.. appeared first on Ranjish.com.

Baitton ko sazaa de ke ajab haal hua hai.

Baitton ko sazaa de ke ajab haal hua hai,
Dil pehron mera qurb ke dozakh main jala hai,

Aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilona,
Uss shakss ko damaad bi waisaa hi mila hai,

Har ehl-e-hawwas jaib main bhar laaya hai pathar,
Hamsaaye ki bairi pe abhi boar parra hai,

Ab tak mera asaaab pe mehnat hai musallat,
Ab tak mere kaanon main machinon ki sadaa hai,

Aye raat mujhe maan ki tarah goad main lele,
Dil bhar ki mushaqat se badan toot raha hai,

Shayed main ghalat daur main utraa hon zameen pe,
Har shakss tahayyur se mujhe dekh raha hai..

The post Baitton ko sazaa de ke ajab haal hua hai. appeared first on Ranjish.com.

Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein..

Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein,
Kis ki bannii hai aalam e na-paayedaar mein,

Keh do in hasraton se kahin aur ja basen,
Itni jagah kahan hai dil-e-daaghdaar main,

Umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din,
Do aarzuu mei katt gaye do intizaar main,

Kaanton ko mat nikaal chaman se o baaghbaan,
Yeh bhi gulon ke saath pale hain bahaar main,

Bulbul se koi shikwa na sayaad se gila,
Qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar main,

Kitna hai bdnaseeb “zafar” dafn ke liye,
Do gaz zameen bhi na mili kuu-e-yaar main..

The post Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein.. appeared first on Ranjish.com.