Wednesday, 6 May 2015

Aaye they un ke sath nazaare chale gaye..

Aaye they un ke sath nazaare chale gaye,
Woh shab woh chandni woh sitaare chale gaye,

Shaayed tumhare saath bhi wapis na aa saken,
Woh valvale jo sath tumhare chale gaye,

Kashti tarrap ke halqa-e-tufaan me reh gayi,
Dekho to kitni duur kinaare chale gaye,

Har aastaan agarche tera aastaan na tha,
Har aastaan pe tujh ko pukaare chale gaye,

Shaam-e-visaal khaana-e-ghurbat se ruuth kar,
Tum kya gaye naseeb hamare chale gaye,

Dekha to phir wahin they chale they jahan se hum,
Kashti ke saath saath kinaare chale gaye,

Mehfil me kis ko taab-e-huzuur-e-jamal thi,
Aaye teri nigaah ke maare chale gaye,

Jaate hujoom -e- hashar me ham aasiyan-e-dehr,
Aey lutf-e-yaar tere sahaare chale gaye,

Dushman gaye to kashmakash -e- dosti gayi,
Dushman gaye ke dost hamaare chale gaye,

Jaate hi un ke “Saif” shab-e-gham ne aa liya,
Rukhsat hua woh chaand sitaare chale gaye..

The post Aaye they un ke sath nazaare chale gaye.. appeared first on Ranjish.com.

0 comments:

Post a Comment