Faisle lamhaat ke naslon pe bhaari ho gaye,
Baap hakeem tha magar bette bhikaari ho gaye,
Deviyaan pohanchi theen apne baal bikhraye huye,
Devtaa mandir se nikle aur pujaari ho gaye,
Roshni ki jang me tareekiyaan paida huin,
Chaand paagal ho geya taare bhikaari ho gaye,
Rakh diye jaayen ge naize lafz aur hontton ke beech,
Zill-e-subhaani ke ehkamaat jaari ho gaye,
Narm-o-naazuk halke phulke ruii ke jese khawb they,
Aansuyon mei bheegne ke baad bhaari ho gaye..
The post Faisle lamhaat ke naslon pe bhaari ho gaye.. appeared first on Ranjish.com.
0 comments:
Post a Comment