This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Wednesday, 30 April 2014

Jo bhi aya mujhe thokar se nawaaza us ne..

Jo bhi aya mujhe thokar se nawaaza us ne,

Mein to pathar tha mujhe koi uthaata kese..



Tum laut aao to bahaar aaye..

Tum laut aao to,

Bahaar aaye,

Sadiyon se chala ho jo musafir,

Nangey paaon,

Pathreeli rait per,

Dikhe jese phir koi saaya daar darakht,

Yun mujhko jese qaraar aye,

Tum laut aao to,

Bahaar aaye,


Mujhe to kuch yaad nahi rehta,

Tumhe sab yaad rehta tha,

Mujhe kab kis se milna hai,

Kahan kab baat karni hai,

Kahan chup chaap sa rehna hai,

Shor hota tha intihaa ka,

Tumhe kese maloom parrta tha,

Subah jab darwazey pe

Akhbaar aye,


Tum choottay ho,

To sabhi kaam thhap huye hain,

Sabhi cheezein wahin rakhi hain,

Mujhe kuch bhi karna,

Be’maani sa lagta hai,

Sabhi halaat,

Sabhi jazbaat,

Tumhi pe sarff kiye hain,

Mujhe kuch aur chaahna nahi aya,

Halka sa bhi jo kabhi

Khud pe ikhteyaar aye,


Maut qareeb ho jese,

Khonay ko ab kuch bhi nahi baaki,

Phir bhi kyun ese lagta hai,

Tum laut aao to,

Bahaar aaye..

Tum laut aao to,

Bahaar aaye..



Koi veerani si veerani hai..

Koi veerani si veerani hai,

Dasht* ko dekh ke ghar yad aya..


(Dasht;desert)



Tuesday, 29 April 2014

Khamoshi se adaa ho rasm-e-doori..

Khamoshi se adaa ho rasm-e-doori,

Koi hungama barpaa kyun karen hum..



Yoon tassali de rahe hain hum dil-e-beemar ko..

Yoon tassali de rahe hain hum dil-e-beemar ko,

Jiss tarah thaamey koi girti hui deewaar ko..



Monday, 28 April 2014

Tum hanso to din, Chup raho to raatain hain..

Tum hanso to din, Chup raho to raatain hain,

Kis ka gham, kahan ka gham, sab fazool batain hain..



Sunday, 27 April 2014

Aaj mujh ko bohat buraa keh kar..

Aaj mujh ko bohat buraa keh kar,

Aap ne aakhir naam to liya mera..



Wafaa main ab yeh hunar iktiyaar karna hai..

Wafaa main ab yeh hunar iktiyaar karna hai,

Woh sach kahe na kahe aitbaar karna hai,


Yeh tujh ko jaagtey rehne ka shauq kab se hua,

Mujhe to kher tera intizaar karna hai..



Saturday, 26 April 2014

Umar kitni manzilein teh kar chuki,

Umar kitni manzilein teh kar chuki,

Dil jahan thehra, thehra hi reh geya..



Tum yeh kese kar lete ho..

Tum yeh kese kar lete ho,

Jis waqt ke bache,

Aapas mein khelte hain,

Tum maut se larrtey rehte ho,


Jab maaon ki hath ki garmi se,

Jaarray mein dhoop nikalti hai,

Tum barf ki poshaakein pehne,

Sardi se larrtey rehte ho,


Jab raat ko sab apne apne ghar,

Neend ka qarz chukaatey hain,

Tum kis ki khaatir jaagtey ho,


Jab bache apne baap ke seeney se,

lag kar so jayen,

Tum apne battway mein apne bachon ki,

Tasveer ko dekhtey rehte ho,


Jab behnein eid’on par bhayiyon ki

Nazar utaarein,

Tum sehraa’on ki jalti rait per,

Tum un ki chithhii parhtey ho,


Jab lakht-e-jigar ki doori se,

Maan ki aankh tar ho jaye,

Tum us mein bethe sarhad ki nigrani

kartey rehte ho,


Jab har umeed ki khirrki per

Bebasi jaalay buunti ho,

Tum aesi tez hawaaon mein,

Har simt ko urrtay phirtay ho,


Tum yeh kese kar lete ho,


Tum is qaum ke saarey gham,

Apne kese kar lete ho,

Har mushkil mein is mitti

per martey rehte ho,


Tum yeh kese kar lete ho..


(Originally written for Pakistan Army by Ghulam Ahmad)



Friday, 25 April 2014

Mujhe inkaar kar de magar kuch guftuguu to kar..

terakhamoshrehna

Mujhe inkaar kar de magar kuch guftuguu to kar,

Tera khamosh sa rehna mujhe takleef deta hai..



Dard ki lehar yaqeenan mere ghar jaye gi..

Dard ki lehar yaqeenan mere ghar jaye gi,

Main na hoon ga to na jane kidhar jaye gi..



Mudat’ton se, Jism ke jhoolay mein dil..

Mudat’ton se,

Jism ke jhoolay mein dil,

Murdaa bachey ki tarah,

Khamosh hai,

Aur zindagi,

Ik baawli maan ki tarah,

Jhoola jhulaaye jati hai,

Pankhaa hilaaye jati hai..



Thursday, 24 April 2014

Apne jesi koi tasveer banani thi mujhe..

Apne jesi koi tasveer banani thi mujhe,

Mere andar se sabhi rang tumhare nikley..



Wednesday, 23 April 2014

Harf likhne se gaye, sher sunaney se gaye..

Harf likhne se gaye, sher sunaney se gaye,

Aese hum tujh mein huye gum ke zamaney se gaye..



Azaaz yeh bhi kisi aur par nahin aya..

azaabyehbhikisiaurparnahinaya

(na’rasayiyon;inaccessible, rafiq;a friend)



Tuesday, 22 April 2014

Lena parrega ishq mein tark-e-wafaa se kaam..

Lena parrega ishq mein tark-e-wafaa se kaam,

Parhezz is marz main hai behter ilaaj se..



Mene samandar se seekha hai jeeney ka saleeqa..

Mene samandar se seekha hai jeeney ka saleeqa,

Chup chaap se behna, apni mauj mein rehnaa..



Monday, 21 April 2014

Kabhi kabhi teri beniaazi se khauf kha kar..

Kabhi kabhi teri beniaazi se khauf kha kar,

Mein sochta hoon tu mera intikhaab kyun hai..



Afsaanon ki duniya mein sab jhoot nahin hota..

Afsaanon ki duniya mein sab jhoot nahin hota,

Dil aur bhi uljhay ga parrhiye na kitaabon ko..



Sunday, 20 April 2014

Aik ajeeb fikar kha rahi hai mujhe..

Aik ajeeb fikar kha rahi hai mujhe,

Apni hi awaaz aa rahi hai mujhe..



Kabhi nakaam na ho ge..

Mein yeh da’awey se kehta hoon kabhi nakaam na ho ge,

Kabhi mohabbat ko pehchaan lo jo kabhi badnaam na hoge..



Saturday, 19 April 2014

Friday, 18 April 2014

Koi us jaisa nahi hai in dinon..

Koi us jaisa nahi hai in dinon,

Woh bhi wesa nahi hai in dinon..



Uljhi huyi nigaahon se mujhe dekhta raha..

Uljhi huyi nigaahon se mujhe dekhta raha,

Aayiney mein kharra shakhs pareshan tha bohat..



Aaj mosam acha hai..

Barishon ka mosam hai,

Rooh ki fizaon mein,

Ghamzda hawayen hain,

Besabab udasi hai,

Is ajeeb mosam mein,

Beqrar lehjon ki,

Beshumar baaten hain,

Anginat fasane hain,

Jo bohat khamoshi se,

Dil pe sehtay phirtay hain,

Aur ba amar-e-majburi,

Sab se kehtay phirtay hain,

Aaj mosam acha hai..

Aaj mosam acha hai..



Thursday, 17 April 2014

Issi khayaal se guzri hai shaam-e-dard aksar..

Issi khayaal se guzri hai shaam-e-dard aksar,

Ke dard hadh se jo guzre ga muskuraa doon ga..



Wednesday, 16 April 2014

Ronay waley tujhe ronay ka saleeqa hi nahi..

Ronay waley tujhe ronay ka saleeqa hi nahi,

Ashqq peenay ke liye hain bahaney ko nahi..



Tuesday, 15 April 2014

Chali hai rasm ke koi na qarzz lottaaye..

Chali hai rasm ke koi na qarzz lottaaye,

Kisi bhi shakhs ko ab tum udhaar mat dena..



Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai..

Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai,

Jis ddaal pe bethe ho woh toot bhi sakti hai..



Monday, 14 April 2014

Sunday, 13 April 2014

Yoon phir raha hai kaanch ka paikar liye huye..

Yoon phir raha hai kaanch ka paikar liye huye,

Ghaafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga..



Mili sazaa jo mujhe wo kisi khataa pe na thi..

Mili sazaa jo mujhe wo kisi khataa pe na thi,

Mujh pe jurm jo sabit hua woh wafa ka tha..!!



Saturday, 12 April 2014

Juda ho kar bhi jee rahe hain ..

Juda ho kar bhi jee rahe hain muddat se,

Kabhi dono hi kehte they yoon ho nahi sakta..



Tark-e-taluqaat pe roya na tu, na main..

Tark-e-taluqaat pe roya na tu, na main,

Lekin yeh kya ke chein se soya na tu, na main..



Friday, 11 April 2014

Us ne dard bhi apne elhaada kar liye..

Aaj us ne dard bhi apne elhaada kar liye,

Aj bhi roya to mere sath woh roya na tha..



Mere gunaahon ko woh dhho deti hai..

Is tarah mere gunaahon ko woh dhho deti hai,

Maan bohat ghussay mein ho to ro deti hai..



Kya sitam hai ke ab teri suurat..

kyasitamhaike_8767_1234_temp

Kya sitam hai ke ab teri suurat,

Ghaur karne pe yaad aati hai..



Thursday, 10 April 2014

Woh jo geet tum ne suna nahin..

Woh jo geet tum ne suna nahin,

Meri umar bhar ka reyaaz* tha,

Mere dard ki thi daastaan,

Jisey tum hansi mein urraa gaye..


(reyaaz;practice)



Koshish ke baad bhi jo poori na ho sakin..

Koshish ke baad bhi jo poori na ho sakin,

Tera naam bhi un khawishon mein hai..



Wednesday, 9 April 2014

Bewafa tum they, tum they, ya muqadar mera..

Bewafa tum they, tum they, ya muqadar mera,

Baat hai yeh ke bass anjaam judaai niklaa..



Tuesday, 8 April 2014

Aaj tak tere khat’ton se teri khushbu na gayi..

Mitt chale meri umeedon ki tarha harf magar,

Aaj tak tere khat’ton se teri khushbu na gayi..



Kyun vasl ki shab hath laganey nahin dete..

Kyun vasl ki shab hath laganey nahin dete,

Maashooq ho ya koi amaanat ho kissi ki..



Monday, 7 April 2014

Maahol hi saazgaar kab tha..

Maahol hi saazgaar kab tha,

Hasrat hi rahi ke muskura’on…



Sunday, 6 April 2014

Aap ki aansu mein ansuu dekh kar..

Aap ki aansu mein ansuu dekh kar,

Aaj apne gham ka andaaza huaa..



Qasam de ke apni tujhe rok ley ga..

Qasam de ke apni tujhe rok ley ga,

teri laghzishon* pe tujhe ttok de ga,


Tu murr murr ke pechey kisey dekhta hai,

Tera kon hai jo tujhe rok ley ga..


(laghzishon;deviating)



Saturday, 5 April 2014

Kya karein ab to yeh lafzon mein ayaan hotey hain..

Kya karein ab to yeh lafzon mein ayaan hotey hain,

Aik muddat se jo hum hum ne they chupaaye aansuu..



Tujhse qurbat ka iraada hai, judai ka nahin..

Tujhse qurbat ka iraada hai, judai ka nahin,

Qaid honay ka hai armaan, rehaayi ka nahin..



Friday, 4 April 2014

Yeh bhi acha hua ke usey haasil na kar sake..

Yeh bhi acha hua ke usey haasil na kar sake hum,

Hamara ho kar bicharr jata to qayamat hoti..



Jahan tak sath mumkin hai..

wahantakchalteyhain_8767_1234_temp

Wahan tak sath chalte hain jahan tak sath mumkin hai,

Jahaan halaat badlein ge wahan tum bhi badal jaana..



Baaz oqaat kisi aur ke milne se..

Baaz oqaat kisi aur ke milne se adam,

Apni hasti sa mulaqat bhi ho jaati hai..



Thursday, 3 April 2014

Bohat khafaa they ke lehja badal gaya mera..

Bohat khafaa they ke lehja badal gaya mera,

Un hi ke lehjey mein un se jab baat ki main ne…



Dekhne aaye they woh apni mohabbat ka assar..

Dekhne aaye they woh apni mohabbat ka assar,

Kehtey hain ke aaye hain ayaadat* kar ke..


(ayaadat;to enquire about well-being, visiting patients)



Wednesday, 2 April 2014

Us ne phir se sallaam bhejaa hai..

Us ne phir se sallaam bhejaa hai,

Phir kisi se biggarr gayi ho gi..



Tuesday, 1 April 2014

Unn sey bichrren gey to mar jaaayen gey..

Unn sey bichrren gey to mar jaaayen gey,

Bala’aa ka khauf tha magar hua kuch bhi nahi..