Tum yeh kese kar lete ho,
Jis waqt ke bache,
Aapas mein khelte hain,
Tum maut se larrtey rehte ho,
Jab maaon ki hath ki garmi se,
Jaarray mein dhoop nikalti hai,
Tum barf ki poshaakein pehne,
Sardi se larrtey rehte ho,
Jab raat ko sab apne apne ghar,
Neend ka qarz chukaatey hain,
Tum kis ki khaatir jaagtey ho,
Jab bache apne baap ke seeney se,
lag kar so jayen,
Tum apne battway mein apne bachon ki,
Tasveer ko dekhtey rehte ho,
Jab behnein eid’on par bhayiyon ki
Nazar utaarein,
Tum sehraa’on ki jalti rait per,
Tum un ki chithhii parhtey ho,
Jab lakht-e-jigar ki doori se,
Maan ki aankh tar ho jaye,
Tum us mein bethe sarhad ki nigrani
kartey rehte ho,
Jab har umeed ki khirrki per
Bebasi jaalay buunti ho,
Tum aesi tez hawaaon mein,
Har simt ko urrtay phirtay ho,
Tum yeh kese kar lete ho,
Tum is qaum ke saarey gham,
Apne kese kar lete ho,
Har mushkil mein is mitti
per martey rehte ho,
Tum yeh kese kar lete ho..
(Originally written for Pakistan Army by Ghulam Ahmad)
0 comments:
Post a Comment