This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Thursday, 24 September 2015

Kabhi iss tarah se bhi eid kar…

Kabhi iss tarah se bhi eid kar,
Abhi zid na kar dil-e-bekhabar,
Ke pass-e-hujoom sitam-giraan,
Abhi kon tujh se wafaa kare,

Abhi kiss ko fursaten iss qadar,
Ke samaitt kar teri kirchiyaan,
Tere haq main khud se dua kare,
Abhi zid na kare dil-e-bekhabar,
Ke tah-e-ghubaar e gham-e-jahan,
Kahan kho gaye tere chaaragar,
Ke raah-e-hayaat main raayegaan,
Kahan so gaye tere humsafar,
Abhi ghamgusaron ki chott seh,
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh,

Abhi zid na kar mere be-nawaa,
Abhi ho sake to sahii mere,
Sabhi khawb raakh main daffan kar,
Abhi ho sake to yeh soch le,
Ke tuluu-e-ashq se paishtar,
Kahin dard hai to huaa kare,
Koi chott hai to khila kare,

Kabhi yun bhi ho ke sar-e-uffaq,
Tere dukh ka chaand dammak uthe,
Koi tees khud se chamak uthe,
Kisi sheher-e-zakhm farosh main,
Koi zakham khud se khareed kar,
Sabhi akss khud se khurachh kabhi,
Kiisi aayine pe na deed kar,
Kabhi yuun bhi jashn-e-turb mana,
Kabhi iss tarah se bhi eid kar…

The post Kabhi iss tarah se bhi eid kar… appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 23 September 2015

Dard ke maaron ne ghholl ke piyaa eid ka chaand..

eid ka chand poetry
Talkhiyaan chubhne lagi jab zeest ke paimaane main,
Dard ke maaron ne ghholl ke piyaa eid ka chaand..

The post Dard ke maaron ne ghholl ke piyaa eid ka chaand.. appeared first on Ranjish.com.

Iss eid pe laut ke aa jana..

Iss eid pe laut ke aa jana,
Kuch yaaden taaza karni hain,
Kuch lamhe morr ke laane hain,

Woh masti aur woh madhoshi,
Woh bachpan morr ke laana hai,

Iss eid pe laut ke aa jana,
Ab dil ko dil ki dharrkan se,
Phir eid mubarak kehna hai,
Aur saath bohat din rehna hai,
Iss eid pe laut ke aa jana..

The post Iss eid pe laut ke aa jana.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 22 September 2015

Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin..

mera ik mashwara hai iltijaa nahin
Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin,
Tu mere paas se is waqt jaa nahin..

The post Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin.. appeared first on Ranjish.com.

Jab bhi kisi se kehne ko hum apne gham gaye..

Jab bhi kisi se kehne ko hum apne gham gaye,
Honton tak aate aate alfaaz jamm gaye..

The post Jab bhi kisi se kehne ko hum apne gham gaye.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 21 September 2015

Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai..

tum aye ho na shab-e-intizaar guzri hai

Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai,
Talaash main hai sehar baar baar guzri hai,

Junoon main jitni bhi guzri bekaar guzri hai,
Agarche dil pe kharaabi hazaar guzri hai,

Woh baat saarey fasaane mein jis ka zikr na tha,
Woh baat un ko bohat naagvaar guzri hai,

Na gul khile hain, na un se mile, na mai pee hai,
Ajeeb rang main ab ke bahaar guzri hai,

Chaman pe ghaarat-e-gulcheen se jaane kya guzri,
Qaffass se aaj sabaa beqaraar guzri hai..

The post Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 20 September 2015

Door se dekhte hain woh mujh ko ghairon ki tarah..

door se dekhte hain mujh ko
Door se dekhte hain woh mujh ko ghairon ki tarah,
Wese kehne ko to ehbaab mere apne hain..

The post Door se dekhte hain woh mujh ko ghairon ki tarah.. appeared first on Ranjish.com.

Umar guzre gi imtihaan main kya..

Umar guzre gi imtihaan main kya,
Daagh hi do ge daan main kya,

Khamoshi keh rahi hai kaan main kya,
Aa raha hai mere gumaan main kya,

Ab koi mujh ko tokta bhi nahin,
Yehi hota hai khaandaan main kya,

Bolte kyun nahin mere haq main,
Aable parr gaye zabaan main kya,

Meri har baat be-assar hi rahi,
Nuqss hai kuch mere beyaan main kya,

Woh mile to yeh poochna hai mujhe,
Ab bhi hoon main teri amaan main kya,

Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakss tha jahaan main kya..

The post Umar guzre gi imtihaan main kya.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 19 September 2015

Tark-e-wafa ke baad wafaa karni parri..

Tark-e-wafa ke baad wafaa karni parri,
Hum ko har aik namaaz qazaa karni parri,

Yeh jaan kar ke yeh muqaddar ka khail hai,
Uss sangdil ki phir bhi duaa karni parri,

Aadat, na koi shauq na mera tareeqa tha,
Tum ne kaha to mujh ko jafaa karni parri,

Tohmaton ka mujh pr hai kis qadar assar jo,
Waajab nahin thi woh khataa karni parri,

Waajab se yaad aaya ke iss qadar sahii dil,
Teri qazaa bhi mujh ko adaa karni parri..

Sahil Ahmed

The post Tark-e-wafa ke baad wafaa karni parri.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 18 September 2015

Talb-e-ishq mittaa di hum ne..

shagufta shafiq poetry
Talb-e-ishq mittaa di hum ne,
Uss ko roka na sadaa di hum ne,

Khawb logon ne jalaa daale they,
Raakh raahon main urra di hum ne..

The post Talb-e-ishq mittaa di hum ne.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 17 September 2015

Woh apne chehre pe sau aftaab rakhte hain..

Woh apne chehre pe sau aftaab rakhte hain,
Issi liye to woh rukh pe naqaab rakhte hain,

Woh paas bethe to aati hai dilruba khushbuu,
Woh apne hontton pe khille gulaab rakhte hain,

Har aik warq main tum hi to ho jaan-e-mehboob,
Hum apne dil main kuch aesi kitaab rakhte hain,

Jahan-e-ishq main sohni kahin dikhaayi de,
Hum apni aankhon main kitne chanaab rakhte hain..

The post Woh apne chehre pe sau aftaab rakhte hain.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 16 September 2015

Hamare khat main neya ik salaam kis ka tha..

Hamare khat main neya ik salaam kis ka tha,
Na tha raqeeb to aakhir woh naam kis ka tha,

Woh qatl kar ke mujhe kisi se puchte hain,
Yeh kaam kis ne kiya hai yeh kaam kis ka tha,

Wafa karen ge nibhayen ge baat maanen ge,
Tumhen bhi yaad hai kuch yeh kalaam kis ka tha,

Raha na dil main woh bedard aur dard raha,
Muqeem kaun hua hai maqaam kis ka tha,

Naa puch-gachh thi kisi ki wahan na aao-bhagat,
Tumhari bazam main kal ehtimaam kis ka tha,

Hamare khat ke to purze kiye parrha bhi nahin,
Suna jo tu ne ba-dil woh payaam kis ka tha,

Guzar geya woh zamana kahoon to kis se kahoon,
Khayaal dil ko mere subh-o-shaam kis ka tha,

Har ik se kehte hain kya “dagh” bewafa nikla,
Yeh puche un se koi woh ghulaam kis ka tha..

The post Hamare khat main neya ik salaam kis ka tha.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 15 September 2015

Tum se ulfat ke taqaaze na nibhaaye jaate..

tum se ulfat ke taqaaze na nibhaye jate
Tum se ulfat ke taqaaze na nibhaaye jaate,
Warna hum ko bhi tamanna thi ke chaahe jaate..

The post Tum se ulfat ke taqaaze na nibhaaye jaate.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 14 September 2015

Thi kisi shakss ki talaash mujhe..

Thi kisi shakss ki talaash mujhe,
Maine khud ka hi intikhaab kiya..

The post Thi kisi shakss ki talaash mujhe.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 13 September 2015

Mar geya ho koi bicharrne se..

mar geya ho koi bicharrne se
Mar geya ho koi bicharrne se,
Aik aesi misaal de mujh ko..

The post Mar geya ho koi bicharrne se.. appeared first on Ranjish.com.

Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya..

Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya,
Dekha iss beemari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya,

Ehed-e-jawani ro ro kaata, peeri main li aankhen muund,
Yaani raat bohat they jaage subh hui araam kiya,

Naahaq hum majbooron pr yeh tohmat hai mukhtaari ki,
Chahte hain so aap karen hain hum ko abass badnaam kiya,

Meer ke deen-o-mazhab ko ab poochte kya ho us ne to,
Qashqaa kheencha dair main betha kab ka tark islam kiya..

The post Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 12 September 2015

Ab to un ki yaad bhi aati nahin..

Ab to un ki yaad bhi aati nahin,
Kitni tanha ho gayin tanhaayiyan..

The post Ab to un ki yaad bhi aati nahin.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 11 September 2015

Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha..

Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha,
Iss zakham ko hum ne kabhi silte nahin dekha,

Ik baar jisse chaat gayi dhoop ki khawhish,
Phir shaakh pe uss phool ko khilte nahin dekha,

Yak-lakht gira hai to jarren tak nikal aayin,
Jiss pairr ko aandhi main bhi hilte nahin dekha,

Kaanton main ghire phool ko choom aaye gi lekin,
Titlee ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha,

Kiss tarah meri rooh ko harri kar geya akhir,
Woh zeher jisse jism main khilte nahin dekha..

The post Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 10 September 2015

Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho..

Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho,
Wohi yaani vaada nibaah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho,

Woh jo lutf mujh pe they pesh-tar woh karam hi tha mere haal pr,
Mujhe sab hai yaad zara zara tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Woh naye gille woh shikaayeten woh maze mazze ki hikaayeten,
Woh har ek baat pe roothna tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Kabhi bethe sab main jo rubaru to ishaaron main hi guftguu,
Woh bayaan shauq ka barmala tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Koi baat aesi agar huyi ke tumhare jee ko buri lagi,
To bayaan se pehle hi bhoolna tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Kabhi hum main tum main bhi chaah thi kabhi hum ko tum se bhi raah thi,
Kabhi hum bhi tum bhi they aashnaa tumhen yaad ho ke na yaad ho,

Suno zikr hai kayi saal ka ke kiya ik aap ne vaada tha,
So nibhaane ka to zikr kya tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Woh bigarrna vasl ki raat ka woh na maan’na kisi baat ka,
Woh nahin nahin ki har adaa tumhen yaad ho ke na yaad ho,

Jise aap ginte they aashnaa jisse aap kehte they baawafa,
Main wohi hoon “momin-e-mubtala” tumhen yaad ho ke na yaad ho..

The post Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho.. appeared first on Ranjish.com.

Mera khayal hai ke woh insaan ban gaye..

jo log jaan bojh kar
Jo log jaan boojh kar nadaan ban gaye,
Mera khayal hai ke woh insaan ban gaye..

The post Mera khayal hai ke woh insaan ban gaye.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 9 September 2015

Yeh kya jagah hai dosto yeh kaun sa dayaar hai..

Yeh kya jagah hai dosto yeh kaun sa dayaar hai,
Hadh-e-nigaah tak jahan ghubaar hi ghubaar hai,

Har ek jism ruuh ke azaab se nidhaal hai,
Har ek aankh shabnami har ek dil figaar hai,

Hamen to apne dil ki dharrknon pe bhi yaqeen nahin,
Khosha woh log jin ko doosron pe aitbaar hai,

Na jis ka naam hai koi na jiss ki shakal hai koi,
Ek aisi shai ka kyun hamen azzal se intizaar hai..

The post Yeh kya jagah hai dosto yeh kaun sa dayaar hai.. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 8 September 2015

Yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar main raha karo..

yun hi besabab na phira karo

Yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar main raha karo,
Woh ghazal ki sahi kitaab hai ussey chupke chupke parrha karo,

Koi haath bhi na milaaye ga jo gale milo ge tapaak se,
Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara faasle se mila karo,

Abhi raah main kayi morr hain koi aaye ga koi jaaye ga,
Tumhe jis ne dil se bhulaa diya ussey bhoolne ki dua karo,

Mujhe ishtihaar si lagti hain yeh mohabton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin woh suna karo jo suna nahin woh kaha karo,

Kabhi husn-e-parda-nasheen bhi ho zara aashiqana libaas main,
Jo main ban sanwar ke kahin chaloon mere sath tum bhi chala karo,

Nahin be-hijaab woh chand sa ke nazar ka koi assar na ho,
Ussey itni garmi-e-shauq se barri dair tak na takka karo,

Yeh khizaan ki zard si shaal main jo udaas pairr ke paas hai,
Yeh tumhare ghar ki bahaar hai ussey aansuyon se haraa karo..

The post Yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar main raha karo.. appeared first on Ranjish.com.

Monday, 7 September 2015

Jo shaad phirte they kal aaj chup ke rote hain..

jo chup ke rote they

Jo shaad phirte they kal aaj chup ke rote hain,
Hazaar shukar gham paayedaar apnaa hai..

The post Jo shaad phirte they kal aaj chup ke rote hain.. appeared first on Ranjish.com.

Sunday, 6 September 2015

Kyaa jane woh dil se utar kyun nahin jata..

Kyaa jane woh dil se utar kyun nahin jata

Kyaa jane woh dil se utar kyun nahin jata,
Gr shaam ka bhoola hai to ghar kyun nahin jata,

Hum ko nahin maloom ke ujrre huye dil se,
Awaara mizaaji ka assar kyun nahin jata,

Kya baat hai sarrkon pe utarti nahin raunak,
Kya baat hai iss sheher se ddar kyun nahin jata,

Sadiyon se tujhe takte huye soch raha hoon,
Jee tere hadh-o-haal se bhar kyun nahin jata,

Ankhon se udaasi ki ghattaaa kyun nahin chatt-ti,
Seene se mohabbat ka bhanwar kyun nahin jata,

Thehra hai jo qaafila-e-gham mere dil main,
Iss chotti si bastti se guzar kyun nahin jata,

Saanson se mere larzish -e-gham kyun nahin jaati,
Pairon se mere zakhm-e-safar kyun nahin jata..

The post Kyaa jane woh dil se utar kyun nahin jata.. appeared first on Ranjish.com.

Naffa jo bhool bhi jaye khasaara yaad rehta hai..

khasaara yaad rehta hai

Naffa jo bhool bhi jaye khasaara yaad rehta hai,
Ho jiss ne aag bharrkaayi sharaara yaad rehta hai,

Kiye ki sazaayen phir bhi bhool jaati hain,
Na-karda gunaahi ka kafaara yaad rehta hai,

Ik daane ke badle jo jannat haar di hum ne,
Wahan hooron farishton ka ijaara yaad rehta hai,

Lehar ka bhanwar tak laana kismat tha magar Roohi,
Woh jiss ke paas jaa doobain kinaara yaad rehta hai..

Roohi Jaffery

The post Naffa jo bhool bhi jaye khasaara yaad rehta hai.. appeared first on Ranjish.com.

Saturday, 5 September 2015

Kehte hain kaaghzon ki banaata tha kashtiyan..

syrian child shayari poetry
Kehte hain kaaghzon ki banaata tha kashtiyan,
Hathon se apne paar lagaata tha kashtiyan,

Bacha mila hai aaj woh saahil pe maut ke,
Kal tak jo paaniyon main bahaata tha kashtiyan..

The post Kehte hain kaaghzon ki banaata tha kashtiyan.. appeared first on Ranjish.com.

Karoon ga kya jo mohabbat main ho geya nakaam..

karoon ga kya agar mohabbat main ho geya nakaam
Karoon ga kya jo mohabbat main ho geya nakaam,
Mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata..

The post Karoon ga kya jo mohabbat main ho geya nakaam.. appeared first on Ranjish.com.

Friday, 4 September 2015

Tum barri dair baad laute ho..

Tum barri dair baad laute ho,
Dard kaafuur ho gaye ab to,

Kuch zaroorat nahin hai marham ki,
Zakham naasuur ho gaye ab to..

The post Tum barri dair baad laute ho.. appeared first on Ranjish.com.

Thursday, 3 September 2015

Dil main ik lehar si uthi hai abhi..

Dil main ik lehar si uthi hai abhi,
Koi taaza havaa chali hai abhi,

Shor barpaa hai khaana-e-dil main,
Koi deevaar si girii hai abhi,

Bharii duniya main jee naihn lagta,
Jaane kis cheez ki kammi hai abhi,

Tu shareek-e-sukhan nahin hai to kya,
Hum-sukhan teri khaamoshi hai abhi,

Yaad ki be-nishaan galiyon main,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi,

So gaye log uss haveli ke,
Ek khirrki magar khulli hai abhi,

Tum to yaaro abhi se uth baithe,
Shehr main raat jaagti hai abhi,

Waqt acha bhi aaye Nasir,
Gham na kar zindagi parri hai abhi..

The post Dil main ik lehar si uthi hai abhi.. appeared first on Ranjish.com.

Wednesday, 2 September 2015

Iraada tha ke main kuch dair tufaan ka maza leta..

iraada tha ke kuch dair
Iraada tha ke main kuch dair tufaan ka maza leta,
Magar bechaare darya ko utar jaane ki jaldi thi..

The post Iraada tha ke main kuch dair tufaan ka maza leta.. appeared first on Ranjish.com.

Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai.

Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai,
Hum ko ab tak aashiqi ka woh zamaana yaad hai,

Ba-hazaran iztiraab o sad-hazaran ishtiyaq,
Tujh se woh pehle-pehal dil ka lagaana yaad hai,

Baar baar uthna usi jaanib nigaah-e-shauq ka,
Aur tera ghurfe se woh aankhen larraana yaad hai,

Tujh se kuch milte hi woh bebaak ho jana mera,
Aur tera daanton main woh ungli dabaana yaad hai,

Kheench lena woh mera parde ka kona dafa-tan,
Aur dupatte se tera woh muu chupana yaad hai,

Jab siva mere tumhara koi deewana na tha,
Sach kaho tum ko bhi woh kaar-khana yaad hai,

Ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaaf,
Woh tera chori-chupe raaton ko aana yaad hai,

Aa geya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq,
Woh tera ro ro ke mujh ko bi rulaana yaad hai,

Dopeher ki dhoop main mere bulaane ke liye,
Woh tera ro ro ke mujh ko bhi rulaana yaad hai,

Chori chori hum se tum aa kar mile they jis jagah,
Mudatten guzri pr ab tak woh thikaana yaad hai..

The post Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai. appeared first on Ranjish.com.

Tuesday, 1 September 2015

Ik teri baraabri ke liye..

ik teri baraabri ke liye
Ik teri baraabri ke liye,
Khud ko kitna gira chuka hon main..

The post Ik teri baraabri ke liye.. appeared first on Ranjish.com.