Thursday, 10 September 2015

Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho..

Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho,
Wohi yaani vaada nibaah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho,

Woh jo lutf mujh pe they pesh-tar woh karam hi tha mere haal pr,
Mujhe sab hai yaad zara zara tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Woh naye gille woh shikaayeten woh maze mazze ki hikaayeten,
Woh har ek baat pe roothna tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Kabhi bethe sab main jo rubaru to ishaaron main hi guftguu,
Woh bayaan shauq ka barmala tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Koi baat aesi agar huyi ke tumhare jee ko buri lagi,
To bayaan se pehle hi bhoolna tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Kabhi hum main tum main bhi chaah thi kabhi hum ko tum se bhi raah thi,
Kabhi hum bhi tum bhi they aashnaa tumhen yaad ho ke na yaad ho,

Suno zikr hai kayi saal ka ke kiya ik aap ne vaada tha,
So nibhaane ka to zikr kya tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Woh bigarrna vasl ki raat ka woh na maan’na kisi baat ka,
Woh nahin nahin ki har adaa tumhen yaad ho ke na yaad ho,

Jise aap ginte they aashnaa jisse aap kehte they baawafa,
Main wohi hoon “momin-e-mubtala” tumhen yaad ho ke na yaad ho..

The post Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho.. appeared first on Ranjish.com.

0 comments:

Post a Comment