Thursday, 24 September 2015
Kabhi iss tarah se bhi eid kar…
By Jessica Hayden11:36poetry blog, poetry forum, poetry images, Ranjish.comHaroon, Roman Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu poetryNo comments

Kabhi iss tarah se bhi eid kar,
Abhi zid na kar dil-e-bekhabar,
Ke pass-e-hujoom sitam-giraan,
Abhi kon tujh se wafaa kare,
Abhi kiss ko fursaten iss qadar,
Ke samaitt kar teri kirchiyaan,
Tere haq main khud se dua kare,
Abhi zid na kare dil-e-bekhabar,
Ke tah-e-ghubaar e gham-e-jahan,
Kahan kho gaye tere chaaragar,
Ke raah-e-hayaat main raayegaan,
Kahan...
Wednesday, 23 September 2015
Dard ke maaron ne ghholl ke piyaa eid ka chaand..
By Jessica Hayden17:19poetry blog, poetry forum, poetry images, Ranjish.comHaroon, Roman Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu poetryNo comments

Talkhiyaan chubhne lagi jab zeest ke paimaane main,
Dard ke maaron ne ghholl ke piyaa eid ka chaand..
The post Dard ke maaron ne ghholl ke piyaa eid ka chaand.. appeared first on Ranjish.com...
Iss eid pe laut ke aa jana..
By Jessica Hayden08:05poetry blog, poetry forum, poetry images, Ranjish.comHaroon, Roman Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu poetryNo comments

Iss eid pe laut ke aa jana,
Kuch yaaden taaza karni hain,
Kuch lamhe morr ke laane hain,
Woh masti aur woh madhoshi,
Woh bachpan morr ke laana hai,
Iss eid pe laut ke aa jana,
Ab dil ko dil ki dharrkan se,
Phir eid mubarak kehna hai,
Aur saath bohat din rehna hai,
Iss eid pe laut ke aa jana..
The post Iss eid pe laut ke aa jana.. appeared first on...
Tuesday, 22 September 2015
Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin..
By Jessica Hayden10:39poetry blog, poetry forum, poetry images, Ranjish.comHaroon, Roman Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu poetryNo comments

Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin,
Tu mere paas se is waqt jaa nahin..
The post Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin.. appeared first on Ranjish.com...
Jab bhi kisi se kehne ko hum apne gham gaye..
By Jessica Hayden07:24poetry blog, poetry forum, poetry images, Ranjish.comHaroon, Roman Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu poetryNo comments

Jab bhi kisi se kehne ko hum apne gham gaye,
Honton tak aate aate alfaaz jamm gaye..
The post Jab bhi kisi se kehne ko hum apne gham gaye.. appeared first on Ranjish.com...
Monday, 21 September 2015
Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai..
By Jessica Hayden08:05poetry blog, poetry forum, poetry images, Ranjish.comHaroon, Roman Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu poetryNo comments

Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai,
Talaash main hai sehar baar baar guzri hai,
Junoon main jitni bhi guzri bekaar guzri hai,
Agarche dil pe kharaabi hazaar guzri hai,
Woh baat saarey fasaane mein jis ka zikr na tha,
Woh baat un ko bohat naagvaar guzri hai,
Na gul khile...
Sunday, 20 September 2015
Door se dekhte hain woh mujh ko ghairon ki tarah..
By Jessica Hayden07:58poetry blog, poetry forum, poetry images, Ranjish.comHaroon, Roman Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu poetryNo comments

Door se dekhte hain woh mujh ko ghairon ki tarah,
Wese kehne ko to ehbaab mere apne hain..
The post Door se dekhte hain woh mujh ko ghairon ki tarah.. appeared first on Ranjish.com...