Khuda ki shaan woh mera tarrapna dil lagi samjhen,
Kissi ki jaan jaati hai, kisi ka dil behelta hai..
Monday, 3 February 2014
Woh mera tarrapna dil lagi samjhen..
Sunday, 2 February 2014
Ja bicharr ja magar khayaal rahe..
Ja bicharr ja magar khayaal rahe,
Yeh na ho umar bhar malaal rahe..
Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha..
Karke jafaa wo puchte hai haal hai kaisa,
Andaaz ye kaisa hai ye sawaal hai kaisa…
Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha,
Unke yun ruth jaanese malaal hai kaisa,
Har baat bata deti hai khamoshi se mujhko,
Aankho me mere yaar ki kamaal hai kaisa,
Sholay jo uth rahe hai bagawat ke aajkal,
Hai koi kisi ka nahi ye saal hai kaisa,
Agar tu nahi qaatil to sharik-E-gunaah to hai,
Tu itna bata chehra tera laal hai kaisa,
Murdey ki akarr deta hai zindon ko kayi baar,
Karta hai amiron ko aseer ye maal hai kaisa,
Me to shikaar unke khayalon ka hun ‘Anees’,
Wajood me unke nihaa.n ye jaal ye kaisa,
Anees Haider
Utrey utrey nazar aatey hain phoolon ke chehrey..
Utrey utrey nazar aatey hain phoolon ke chehrey,
Tere jaaney se gulistaan pe hizaa’n chaayi hai..
Saturday, 1 February 2014
Ishq naazuk mizaaj hai be-hadh..
Ishq naazuk mizaaj hai be-hadh,
Aqal ka bojh uthaa nahin saktaa..
Ab mujh se in ankhon ki hifaazat nahin hoti..
Ab mujh se in ankhon ki hifaazat nahin hoti,
Ab mujh se tere khawb sambhaaley nahin jatey..
Uski baatein theen riwayat se hatt kar..
Uski baatein theen riwayat se hatt kar,
Sab me rehta tha magar sab se judaa tha..










