Khoon-e-jigar peeney ko, lakht-e-jigar khane ko,
Yeh ghizaa milti hai lailaa tere deewane ko..
Saturday, 31 January 2015
Khoon-e-jigar peeney ko, lakht-e-jigar khane ko..
Friday, 30 January 2015
Yeh mera masla hai ke qayaam kese ho ga..
Yeh mera masla hai ke qayaam kese ho ga,
woh dil main apne utarne to de mujh ko..
Bewafa koi nahin hai, bawafa koi nahin..
Bewafa koi nahin hai bawafa koi nahin,
Aashiqi aur hussn main ab wasta koi nahin,
Log hain be’meher ya rasm-e-gadaayi na rahi,
Sheher ki galiyon main gada’a koi nahin,
Na’rasaayi ka woh aalam hai ke ehl-e-dard ke,
Haath phailey hain magar lab pe dua koi nahin,
Tangi-e-halaat main kese badal jaate hain log,
Jaante hain sab magar pehchaanta koi nahin,
Bik gayi ghairat jane kab kis bazaar main,
Dukhtar-e-milat ke sar per koi ridaa koi nahin,
Dhaar khanjar ki shanaasa, Teer bhi manoos se,
Hain sabhi apne yahan per doosra koi nahin,
Dekh kar zulm-o-sitam sabhi nazrain chura lete hain,
Sab zubaan rakhte hain lekin bolta koi nahin,
Khaa geya dil ko, jigar ko reza reza kar geya,
Dard aesa hai Qamar ke jis ki dawaa koi nahin..
Sab kuch maang liya tujh ko khuda se maang kar..
Sab kuch maang liya tujh ko khuda se maang kar,
Utthte nahin hain hath mere iss dua ke baaad..
Thursday, 29 January 2015
Khamosh zindagi jo bassar kar rahe hain..
Khamosh zindagi jo bassar kar rahe hain hum,
Gehre samandaron main safar kar rahe hain hum..
Raaz khul hi jaye ga mohabbat ka..
Yoon bhi to raaz khul hi jaye ga mohabbat ka,
Mehfil main jo hamare sivaa sab ko salam karte ho..
Wednesday, 28 January 2015
Tumhari yaad ki paiwand lag gayi warna..
Tumhari yaad ki paiwand* lag gayi warna,
Mere wajood ki urr jati dhajjiyan kitni..
(paiwand:bandage)
Khafaa agarche woh hamesha huye magar ab ke..
Khafaa agarche woh hamesha huye magar ab ke,
Woh barhmi* hai ke hum se unhe gille bhi nahi..
(barhmi:shikayaat, complaints)
Tuesday, 27 January 2015
Hosh main jab tak raha tanha raha..
Hosh main jab tak raha tanha raha ghamgeen raha,
Ab hoon deewana to ek aalam mera deewana hai..
Main to ashiq hoon, Deewana na banana mujhko..
Kacchi deewar hoon thokar na lagana mujh ko,
Apnni nazron main basaa kar na giraana mujh ko,
Tum ko aankhon main tasawwur ki tarah rakhta hon,
Dil main dharrkan ki tarah tum bhi basaana mujh ko,
Baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil main,
Main samajh jaaon ga aankhon se batana mujh ko,
Vaada utna hi karo jitna nibhaa sakte ho,
Khawb poora jo na ho woh na dikhaana mujh ko,
Apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena,
Main to aashiq hoon, deewana na banana mujh ko..
Bicharr ke mujhse kis ka muntazir hoga..
Khuda jaane bicharr ke mujhse kis ka muntazir hoga,
Hain muddat se muntazir jis ke waastey aankhein ..
Monday, 26 January 2015
Khalaq ne cheen li hai mujhse meri tanhayi tak..
Khalaq* ne cheen li hai mujhse meri tanhayi tak,
Ishq aa pohancha hai ilzaam se ruswaayi tak..
(Khalaq:society)
Gulshan ki baharon pe sar-e-shaam likha hai..
Gulshan ki baharon pe sar-e-shaam likha hai,
Phir uss ne kitaabon pe mera naam likha hai,
Yeh dard musalssal meri duniya main rahe ga,
Kuch soch ke us ne mera anjaam likha hai,
Jis ne meri jaanib kabhi murr kar nahin dekha,
Suna hai uss shakss ke hathon pe mera naam likha hai..
Sunday, 25 January 2015
Khawhishein kahan chain se rehne dain gi..
Khawhishein kahan chain se rehne dain gi,
Tere kehne pe aye dil agar chaliye..
Saturday, 24 January 2015
Aayine mein kharra shakss pareshaan bohat tha..
Paani Se Bhari aankhain le kar woh mujhe ghoorta hi raha,
Woh aayine mein kharra shakss pareshaan bohat tha..
Sikandar khush nahin loot kar dolat zamane ki..
Sikandar khush nahin loot kar dolat zamane ki,
Lutaa kar sab kuch qalandar raqss karta hai..
Thursday, 22 January 2015
Haadse kya kya tumhari be’rukhii se ho gaye..
Haadse kya kya tumhari be’rukhii se ho gaye,
Sari dunya ke liye hum ajnani se ho gaye..
Haadsa yeh bhi qayamat se koi kamm to nahin..
Haadsa yeh bhi qayamat se koi kamm to nahin,
Tu ne jo ranjj diye bhoolte jaate hain humain..
Wednesday, 21 January 2015
Gulistaan main bahaaron ke qadam aatey hain..
Jab gulistaan main bahaaron ke qadam aatey hain,
Yaad bhoole huye yaaron ke qaram aatey hain..
Bechain bohat phirna ghabraye huye rehna..
Bechain bohat phirna ghabraye huye rehna,
Ik aag si jazbon ki dehkaaye huye rehna,
Chalkaaye huye Khushbuu lab-e-laleen ki,
Ik baagh sa sath apne mehkaaye huye rehna,
Ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se,
Ik chaand sa aankhon main chamkaaye huye rehna,
Aadat hi bana li hai tum ne to Munir apni,
Jiss sheher main bhi rehna uktaaye huye rehna..
Tuesday, 20 January 2015
Jab ke tujh bin nahin koi mojood..
Jab ke tujh bin nahin koi mojood,
Phir yeh hungama aye Khuda kya hai..
Qaraar dil ko sadaa jiss ke naam se aya..
Qaraar dil ko sadaa jiss ke naam se aya,
Woh aaya bhi to kisi aur kaam se aaya..
Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de..
Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de,
Behauf koi raasta chalne ke liye de,
Aankhon ko khawb ataa kiye shukria lekin,
Paikar bhi koi khawbon main dhalne ke liye de,
Sehmi huyi shaakhon ko zara si koi mohlat,
Sooraj ki sawaari ko nigalne ke liye de,
Sab waqt ki deewar se sar phorr rahe hain,
Koi humain bhi to raasta bhaag nikalne ke liye de,
Sailaab main mujh ko aye phenkne wale,
Toota hua aik pal hi sambhalne ke liye de,
Bedard mohabbatain hain bedard dilon ki,
Koi cheez to inhe bhi pighalne ke liye de..
Monday, 19 January 2015
Un ka har aeib zamaane ko hunar lagta hai….
Jin ke aangan main ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka har aeib zamaane ko hunar lagta hai..
Kaam aa sakin na apni wafaayen to kya karen..
Kaam aa sakin na apni wafaayen to kya karen,
Uss bewafa ko bhool na jaayen to kya karen..
Sunday, 18 January 2015
Aane main sadaa dair lagate hi rahe tum..
Aane main sadaa dair lagate hi rahe tum,
Jaate rahe hum jaan se aate hi rahe tum..
Main to jeeti hoon tum main hi..
Main to jeeti hoon tum main hi,
Tum kyun Mujh pe marte ho …
Aap hi apni jafaaon pe zara ghaur karen..
Aap hi apni jafaaon pe zara ghaur karen,
Hum agar arzz karen ge to shikayet hogi..
Saturday, 17 January 2015
Jo apne humsafar they dobara nahin mile..
Jo apne humsafar they dobara nahin mile,
Peechey jo reh gaye they, mere humqadam huye..
Friday, 16 January 2015
Yeh hum ko ishq ghalat fehmiyon main daal geya..
Yeh hum ko ishq ghalat fehmiyon main daal geya,
Warna main hoon zaroori na tu zaroori hai..
Jo adhoori reh gayi thi woh kahani sochna..
Jo adhoori reh gayi thi woh kahani sochna,
Beth kar tanhaa batain puraani sochna..
Bhool jana bhulaa dena faqat weham hi to hai..
Bhool jana bhulaa dena faqat weham hi to hai,
Dilon se kab nikalte hain mohabbat jin se ho jaye..
Thursday, 15 January 2015
Shor hai kyun gali gali dekho..
Patiyaan ho gayi hain hari dekho,
Khud se bahaar bhi to kabi dekho,
Phir khilli kya koi kalli dekho,
Shor hai kyun gali gali dekho,
Yaad aur yaad ko bhulaane main,
Umar ki fassal katt gayi dekho,
Subah ki fikar baad main karna,
Raat kitni katt gayi dekho,
Zindagi kis tarah tumhari Nizam,
Uljhanon main ulajh gayi dekho..
Wednesday, 14 January 2015
Theher jaao to nahin hai bastiyon main raasta..
Theher jaao to nahin hai bastiyon main raasta,
Chal parro to paniyon main rah guzar maujood hi..
Tuesday, 13 January 2015
Hum aik sheher main ab khush bhi reh nahi sakte..
Judaa hone ka andesha bhi seh nahin sakte,
Hum aik sheher main ab khush bhi reh nahi sakte,
Yeh roz-o-shab hain hamare ke aik dusre se,
Chupaaye phirte hain ehwaal, keh nahin sakte,
Shakist-e-zaat ka izhaar chahte bhi nahin,
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin sakte,
Haqeeqton ki chattaanain bhi apni raah main hain,
Khayaal-o-khawb ke daryaa main bhi reh nahin sakte,
Woh beqasoor hai esi bhi koi baat nahin,
Qasoor vaar hain hum, yeh bhi keh nahin sakte..
Teri qurbat to muqaddar hai mile ya na mile..
Teri qurbat to muqaddar hai mile ya na mile,
Teri yadon se bhi mil jati hai rahat hum ko..
Monday, 12 January 2015
Poocha ke un se chaand nikalta hai kiss tarah..
Poocha ke un se chaand nikalta hai kiss tarah,
Zulfon ko rukh pe daal ke jhatkaa diya ke yoon..
Sunday, 11 January 2015
Jiss ka aik misraah main hoon aur aik tum..
Jiss ka aik misraah main hoon aur aik tum,
Bas wohi sher mukammal nahin hone wala..
Saturday, 10 January 2015
Jal jao khamoshi se karri dhoop main lekin..
Jal jao khamoshi se karri dhoop main lekin,
Apnon se kabhi saaya-e-dewaar na maanga jaaye..
Mohabbat rog hain jaana’n mohabbat ab nahin hogi..
Mohabbat rog hain jaana’n mohabbat ab nahin hogi,
Mohabbat aik tamaasha hai shikayet ab nahin hogi..
Friday, 9 January 2015
Pathar chupe hain in mein ya moti kya khabar..
Pathar chupe hain in mein ya moti kya khabar,
Dil to samandron se bhi gehre hain dosto..
Thursday, 8 January 2015
Tu mila hai to yeh ehsaas hua hai mujh ko..
Tu mila hai to yeh ehsaas hua hai mujh ko,
Yeh meri umar mohabbat ke liye thori hai..
Wednesday, 7 January 2015
Woh ke jis ke hijr main bhi lazzat hai..
Woh ke jis ke hijr main bhi lazzat hai,
Jo kabhi aa mila to saa’at-e-visal kya hogi..
(saa’at-e-visal:moment of meeting, milne ki gharri)
Aesa bhi ghar me kya hai ke tarteeb doon jise..
Aesa bhi ghar me kya hai ke tarteeb doon jise,
Kuch khawb hain idhar se udhar kar rahi hoon main..
Choota jo tera haath to hum toot ke roye..
Choota jo tera haath to hum toot ke roye,
Tum jo na rahe saath to hum toot ke roye,
Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne,
Paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye,
Imkaan na tha door talak tajdeed-e-talluq ka,
Dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye,
Anjaan they hum ab tak dard ki surat se,
Huyi jo mulaqaat to hum toot ke roye,
Logon se bohat poocha sabab veerani ka,
Jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye,
Thi dhoop bohat taiz har simt judayi ki,
Barsi jo na barsaat to hum toot ke roye,
Din bhar to rahe chup ke duniya ki nazron se,
Bheegi jo seyaah raat to hum toot ke roye,
Samjha tha sadaa tujh ko apna hi ik hissa,
Tukrron main batti zaat to hum toot ke roye,
Hum karte rahe kyun uss chaand ki khawhish,
Yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye..
Pathar ko jaante they magar poojte rahe..
Pathar ko jaante they magar poojte rahe,
Ehl-e-wafa they aur murawwat ki baat thi..
Tuesday, 6 January 2015
Jane kitne dost mere pathar ke but ban jayen..
Jane kitne dost mere pathar ke but ban jayen,
Issi khauf main awaaz nahin deta kisi ko..
Log kehte hain ke tum ne mujhe barbaad kiya….
Mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shayed,
Log kehte hain ke tum ne mujhe barbaad kiya..
Taaruf rog ban jaye to is ko bhoolna acha..
Taaruf rog ban jaye to is ko bhoolna acha,
Taaluq bojh ban jaye to is ko torrna acha..
Monday, 5 January 2015
Phir tu ne chairr di hai gaye dinon ki baat..
Phir tu ne chairr di hai gaye dinon ki baat,
Woh guftguu na kar ke tujhe bhi malaal ho..
Bohat dinon se tha us ko na dekhne ka ranjj..
Bohat dinon se tha us ko na dekhne ka ranjj,
Jo aaj dekha to kuch aur bhi malaal hua..
Sunday, 4 January 2015
Tum ko hazaar sharam sahi mujh ko lakh zabt..
Tum ko hazaar sharam sahi mujh ko lakh zabt,
Ulfat woh raaz hai jo chupaaya na jaye ga..
Bhare saagar main mojon ko kinara chaiye koi..
Bhare saagar main mojon ko kinara chaiye koi,
Meri pur’ashk ankhon ko nazara chahiye koi,
Tere dar pe jo yun aa aa kar laut jaate hain,
Teri jaanib se hum ko ishara chhaiye koi,
Kaho tum ke kon ho pyare, kahan se loat aye ho ?
Barre be’jaan dikhte ho, sahara chahiye koi ?
Tere sheher-e-wafa main to faateh nahin milna koi,
Warna hum to haazir hain, agar haara chahiye koi,
Mera dil tukrra tukrra hai idhar sham-e-tanhai ka alam,
Magar tujhe bhi to hawass ka hi maara chahiye koi,
Abhi hoon taaq mein, rakh kar sari khushiyan muntazir,
Manaaon ga jashan main bhi, pyaara chahiye koi,
Ajab dil main hai mojzaa, kuch din se paraayi yaad,
Humain phir aik dard ik shayed udhaara chahiye koi,
Main apne dil se poochon, madaawa gham ka kya hai,
To ziddi dil yeh kehta hai, dobara chahiye koi,
Beyaan karti hain dil ka dard meri yeh laal aankhain,
Mera har ashkk kehta hai, chaara chahiye koi,
Nahin in chaand taaron se mujhe koi bhi matlab,
Mujhe to ab muqaddar ka sitara chhaiye koi..
Bazaar to sajaa diye milaad-e-mustafa ke waastey..
Bazaar to sajaa diye milaad-e-mustafa ke waastey,
Pegham-e-mustafa kya hai yeh hum ne bhula diya..
Saturday, 3 January 2015
Sabhi ko apne gham hote hain lekin..
Sabhi ko apne gham hote hain lekin,
Mujhe jo gham hai woh mera nahi hai.
Main sach kahun gi magar phir bhi haar jaun gi..
Main sach kahun gi magar phir bhi haar jaun gi,
Woh jhoot bole ga aur la’jawab kar de ga..
Phool hota to teri dehleez pe sajaa bhi deta..
Phool hota to teri dehleez pe sajaa bhi deta,
Zakham le ker tere dar pe aaon kaise..
Friday, 2 January 2015
Ab to mujh ko bhi nidamat hai wafaa per apni..
Ab to mujh ko bhi nidamat hai wafaa per apni,
Mukhtlif kitna zamaane se mera challan tha..
Thursday, 1 January 2015
Qataa kijiye na taluq hum se..
Qataa kijiye na taluq hum se,
Kuch nahi hai to adaavat hi sahi..
Woh khushbuu bheja karti thi main nazmein likhta rehta tha..
Woh khushbuu bheja karti thi main nazmein likhta rehta tha,
Woh hanss ke ujaalata karti thi, Main subhain likhta rehta tha,
Geeli rait pe saahil ki doobte huye sooraj ke hamraah,
Woh chup chaap chalti rehti thi, Main sochain likhta rehta tha,
Deep wafa ke hote they ya shayed do taarey they,
Woh mujh ko dekha karti thi main aankhain likhta rehta tha,
Tapti dhoop ka rang bhi to phoolon sa ho jata tha,
Woh zulfein khola karti thi main shaamain likhta rehta tha,
Toot kar aksar chahat main, Rooth kar yunhi ulfat main,
Woh mujh ko jeeta karti thi main haarain likhta rehta tha,
Dono ki pehli chahat thi, dono toot ke milte they,
Woh waadey likha karti thi main kasmain likhta rehta tha,
Chand din jab aa thehre they us ki aur meri judaayi main,
Main us ke haath pe pehron phir lakeerein likhta rehta tha,
Jaan se peyare se shikwa, kya khud ko ruswaa karna tha,
Main apne honton pe chup ki bas mohrain likhta rehta tha,
Din main dard ki shiddat ko main hanss ke seh jata tha,
Jo uss ke bin katt’ti theen woh raatain likhta rehta tha,
Dasht-e-wafaa main basne ka dekh haasil aye Sehraa Naward,
Main yaadain likhta rehta hoon, main yadain likhta rehta tha..
Us ko sunaya haal-e-dil hum ne magar..
Baar’haa us ko sunaya haal-e-dil hum ne magar,
Jane kyun har bar baat ishq ki chorr di hum ne..
Pukaarte hi rahe dar dar pe bheek yaadon ki..
Pukaarte hi rahe dar dar pe bheek yaadon ki,
Na koi raas aaya aap ke siwaa mujh ko..