This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Wednesday, 31 December 2014

Neya saal aya hai, dabbe paaon aya hai..

Neya saal aya hai,

Veeran sub’hon ki veeran te’hon se ubharta,

Dasht ki thattharti khamoshi main,

Barfeeli seetti bajaata,

Dabey paaon,

Neya saal aya hai,


Barff alood shaamon ki khamoshi,

Uss ke qadmon ki aahatt samette,

Guzar’gaahon per,

Saayebaanon per,

Galiyon ke koney,

Shaam ka manzar ubhar raha hai,


Thehre huye samandar ke paani per,

Parindey,

apne gham’naak pairron ki shaakhon ki janib,

Urre jaa rahe hain,

Makee’n apne aangan main,

Gharon ki cha’ton par,

Dharrakte dilon main,

Hazaaron umeedon ki shamain jalaaye,

Dabey paaon aatey huye saal ko dekhte hain….


Bohat hi saada hai tu aur zamaana ayaar..

Bohat hi saada hai tu aur zamaana ayaar*,

Khuda kare tujhe sheher ki hawaa na lage..


(ayaar:clever, chalaak)


Tuesday, 30 December 2014

Aankh se door na ho dil se utar jaye ga..

Aankh se door na ho dil se utar jaye ga,

Waqt kya hai, guzarta hai guzar jaye ga..


Aik muddat se teri yaad bhi na aayi humain..

teri yaad poetry

Aik muddat se teri yaad bhi na aayi humain,

Aur hum bhool gaye hon tujhe aesa bhi nahin..


Monday, 29 December 2014

Aa ke pathar to mere sehan main do chaar gire..

Aa ke pathar to mere sehan main do chaar gire,

Jitne iss pairr ke phall they pass-e-dewaar gire..


December tu kyun aaya hai..

December tu kyun aya hai,

Teri hi aik bheegi shab main,

Mujhse bicharrne waley ne,

Mujh se ehad kiya tha yeh,

December jab bhi aaya to,

Main bhi loat aaon ga,


Quhar main liptte huye din,

Aur bheegi huyi raatein,

Wassl ki khushbuu se,

Mehki rim jhim rim jhim barsaatein,

Main tere sangg bitaaon ga,

Koyelon ki aag jalaa kar,

Beth kar lihaafon main,

Hijar ke beetey lamhon ke,

Qisse tumhe sunaaon ga,


Ab tere tanhaa aane se,

Iss ke jhoote waade ne,

Mujh ko barra rulaya hai,

Jab woh nahin aaya to,

December, Tu kyun aaya hai..




Sunday, 28 December 2014

Aana jo meri qabar pe to ghairo’n ko na laana..

Aana jo meri qabar pe to ghairo’n ko na laana,

Murdo’n ko hamare haan jalaaya nahi karte..


Iss darjaa mutmayin hain woh zulfen sanwaar ke..

Iss darjaa mutmayin hain woh zulfen sanwaar ke,

Jaise sadaa rahen ge zamaane bahaar ke..


Saturday, 27 December 2014

Aakhri chand din december ke..

Aakhri chand din december ke,

Har saal hi giraa’n guzarte hain,

Kese kese gumaan’n guzarte hain,

Raftaang ke guzarte saayon ki,

Aik mehfil si dil main sajti hai,

Phone ki diary ke saf’hon se,


Har barss ki tarah,

Diary ab bhi sawaal karti hai,

Kya khabar is barss ke aakhir tak,

Mere in be’chiraag saf’hon se,

Kitne hi naam katt gaye hon ge,


Apne apne gharon mein rakhi hui,

Diary dost dekhte hon ge,

Unki aankhon ke khaak’daanon main,

Ik sehraa sa phailta ho ga,

Aur kuch be’nishaan saf’hon se,

Naam mera bhi katt geya ho ga..


Maana ke teri deed ke qaabil nahin hoon..

Maana ke teri deed ke qaabil nahin hoon main,

Tu mera shauq dekh, mera intizaar dekh..


Main phool chunti rahi aur khabar na huyi..

Main phool chunti rahi aur khabar na huyi,

Woh shakss aa ke mere sheher se chala bhi geya..


Friday, 26 December 2014

Tanhai yahan log aur bohat rehte hain..

Shab-e-tanhaai yahan log aur bohat rehte hain,

Tujh ko har roz mera makaan milta hai..


Wednesday, 24 December 2014

Wahan rahe to kisi ne bhi hanss ke baat na ki..

Wahan rahe to kisi ne bhi hanss ke baat na ki,

Chale watan se to sab yaar hath milaane aye..


Tuesday, 23 December 2014

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai..

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai,

Tu sitam kar le teri taaqat jahan tak hai,


Wafaa ki umeed kissi aur ko ho gi,

Humen to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai..


Hum ne bana liya neya phir se aashiyaan..

neya ghar poetry (poetry about new house)

Hum ne bana liya neya phir se aashiyaan,

Jaao yeh baat phir se kisi tufaan se kaho..


Sochta hoon kabhi kabhi yoon hi..

Sochta hoon kabhi kabhi yoon hi,

Aakhir harjj kya tha usey manaane mein..


Monday, 22 December 2014

Woh mujh ko bhool betha hai nahi hairat huyi..

Woh mujh ko bhool betha hai nahi hairat huyi sun kar,

Woh aksar aaam si cheezen rakh kar bhool jata tha..


Kahin pe ruk bhi sakta hai hamare ishq ka sauda..

Kahin pe ruk bhi sakta hai hamare ishq ka sauda,

Ke jaana’n hadh se aagey khasaara* ja nahin sakta..


(khasaara:loss, nuksaan)


Tu ne kaha tha, tera kahaa kyun nahi hua..

Haq fataah’yaab* mere khudaa kyun nahi hua,

Tu ne kaha tha, tera kahaa kyun nahi hua,


Jab hashar iss zameen per uthaaye gaye to phir,

Barpaa yahin pe roz-e-jazaa kyun nahi hua..


(fataah’yaab:successful, kamyaab)


Sunday, 21 December 2014

Sab kuch hai paas lekin kuch bhi nahi raha..

Sab kuch hai paas lekin kuch bhi nahi raha,

Uss ki hi justujuu thi wohi nahin raha,


Kehta tha ik pall na rahoon ga tere baghair.

Hum dono reh gaye, woh vaada nahin raha..


Hum ne khud se bhi chupaya..

Hum ne khud se bhi chupaya aur saare sheher ko,

Tere jaane ki khabar dewaar-o-dar karte rahe..


Saturday, 20 December 2014

Yaadon ki aag thi ke khayaalon ki chandni..

Yaadon ki aag thi ke khayaalon ki chandni,

Shaab bhar mere makaan main aik roshni rahi..


Suna hoga dard ki aik hadh bhi hoti hai..

Suna hoga dard ki aik hadh bhi hoti hai,

Milo humse hum us ke aksar paar jaate hain..


Friday, 19 December 2014

Yehi kahen ge jo poocha geya wahan hum se..

zindagi guzaar aaye


Yehi kahen ge jo poocha geya wahan hum se,

Jiye to khaak magar zindagi guzaar aaye..


Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese..

Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese,

Woh kar ke mujhe qatal mukarta bhi to kese,


Yaadon ki hawaa aankh se takraa ke jo guzri,

Baadal ne barasnaa tha theherta bhi to kese,


Jo waqt ke saath aur bhi ho jata hai gehra,

Woh zakham-e-nihaa’n bharta bhi to kese,


Ambar bhi bhulaa deta hai tootay huye taarey,

Main kya hoon woh yaad mujhe rakhta bhi to kese,


Nadaan they hameen kafan sar per baandh ke aaye,

Bedard woh jaan se guzarta bhi to kese..


Ajab shikwa sa rehta hai tumhe mujhse..

Tumhe ulfat nahin mujhse mujhe nafrat nahin tumse,

Ajab shikwa sa rehta hai tumhe mujhse mujhe tumse..


Thursday, 18 December 2014

Hussn ke inkaar se bhi kuch to parda reh geya..

Hussn ke inkaar se bhi kuch to parda reh geya,

Main bhi kaafi mutmayin hoon woh bhi acha reh geya..


Pyaas aisi ke bujhaatey huye thak jaata hoon..

Barff aisi ke pighalti nahin paani ban kar,

Pyaas aisi ke bujhaatey huye thak jaata hoon,


Achi lagti nahin iss darjaa shanasaayi* bhi,

Haath haathon se milaatey huye thak jaata hoon..


(shanasaayi:knowing someone, meeting, milna milaana)


Harf-e-tauba humein sikha phir se..

Harf-e-tauba humein sikha phir se,

Humein dikhlaa raah-e-khuda phir se,


Le kar apni panaah main ya rab,

Humein Shaitaan se bachaa phir se,


Phir sunaa de humain naveed-e-bahisht*,

Naar-e-dozakh* se bhi daraa phir se,


Hum bhatakne lage hain dikha de,

Aye khuda seedha raasta phir se,


Jaise ki thi mere bazurgon ki,

Kar qabool aise hi meri dua phir se,


Fikar taaza ho jis ki khusbhuu se,

Phool gulshan main aisa khilaa phir se..


(naveed-e-bahisht:heaven, jannat ki khush’khabri) (Naar-e-dozakh:fire of hell, dozakh ki aag)


Wednesday, 17 December 2014

Jaane kab kon maar de mujhe qaafir keh ke..

Jaane kab kon maar de mujhe qaafir keh ke,

Sheher ka sheher musalmaan hua phirta hai..


Tu jo roye ga to kya gham na hon ge..

Tu jo roye ga to kya gham na hon ge?

Tere rone se magar kuch kam na hon ge..


Tuesday, 16 December 2014

Qatal ho to Tujh sa, maut ho to Tujh si..

teresogwaron

Qatal ho to Tujh sa, maut ho to Tujh si,

Tere sogwaaron main aaj Tera qaatil hai..


Ishq qaatil se aur maqtool se hamdardi bhi..

Ishq qaatil se aur maqtool se hamdardi bhi,

Yeh bata kis se mohabbat ki jazaa maange ga,


Sajda khaaliq ko bhi aur iblees se yarana bhi,

Hashar main kis se aqeedat ka silaa maange ga..


Monday, 15 December 2014

Yaad dilata hai december..

december shayari

Yaad dilata hai december,

Kisi ke lehje ka sard ho jana..


Toot jata hai ghareebi main rishta..

Toot jata hai ghareebi main rishta jo khaas hota hai,

Hazaaron yaar bante hain paissa jab paas hota hai..


Lagta hai ik baar phir mohabbat ho hi jaye gi..

Lagta hai ik baar phir mohabbat ho hi jaye gi,

Raat phir khawb main khud ko marte dekha hai..


Sunday, 14 December 2014

Woh manzar na woh chehre nazar aatey hain..

Ab na woh manzar na woh chehre nazar aatey hain,

Mujh ko maloom na tha khawb bhi mar jaatey hain,


Jaane kis haal main hum ke humen dekh kar sab,

Aik pall ke liye rukte hain, guzar jaatey hain..


Saturday, 13 December 2014

Mujh se beete arsaa beeta..

Mujh se beete arsaa beeta,

Ab woh kis se larrta ho ga..


December kis liye aakhir hamesha khaas lagta hai..

Woh darjan bhar mahinon se,

Zara mumtaaz lagta hai,

December kis liye aakhir

hamesha khaas lagta hai,


Bohat sehmi hui subhein,

Udaasi se bhari shaamein,

Dopehrein royi royi si,

Woh raatein khoyi khoyi si,


Garam dabeez shaalon ka,

Woh kam roshan ujaalon ka,

Kabhi guzre hawalon ka,

Kabhi mushkil sawalon ka,


Bicharr jaane ki mayoosi,

Milan ki aas lagta hai,

December kis liye aakhir

hamesha khaas lagta hai..


Friday, 12 December 2014

Likh kar saari raam kahani bhejoon ga..

Likh kar saari raam kahani bhejoon ga,

Kaaghaz per paani hi paani bhejoon ga,


Shayed ab woh mujh ko na pehchaan sake,

Main apni tasveer purani bhejoon ga,


Khul jayen ge saare raste mehlon ke,

Ab ke aesi aik nishaani bhejoon ga,


Bhejoon ga main yaad ki chitthi tohfe main,

Aankhen, baarish, aur jawaani bhejoon ga,


Kesi kesi kasme khaayi thieen us ne,

Agle khat main yaad’dihaani bhejoon ga..


Thursday, 11 December 2014

Aik hi yaar puraana achaa..

Yaar Qateel naye logon se,

Aik hi yaar puraana achaa..


Taluq rakh liya baaki, yakeen torr aya hoon,..

Taluq rakh liya baaki yakeen torr aya hoon,

Kisi ka saath dena tha kisi ko chorr aya hoon,


Tumhare saath jeene ki kasam khaane se kuch pehle,

Main kuch vaade, kayi kasmen, kahin pe torr aya hoon,


Mohabbat kaanch ka zinaaan thi, yoon sang-e-garaan kab thi,

Jahan sir phorr sakta tha, wahan sir phorr aaya hoon,


Palat kar aa geya lekin yoon lagta hai ke apna aap,

Jahan tum mujh se bichrre they wahin rakh chorr aya hoon,


Usey jaane ki jaldi thi so main ankhon hi ankhon main,

Jahan tak chorr sakta tha, wahan tak chorr aaya hoon..


Woh ik baat bohat talkhh kahi thi us ne..

Woh ik baat bohat talkhh* kahi thi us ne,

Baat to yaad nahi yaad hai lehjaa us ka..


(talkhh:harsh)


Wednesday, 10 December 2014

Raat bhar raaat ko ik raat jagaaya jaye..

raat bhar shayari

Raat bhar raaat ko ik raat jagaaya jaye,

Us ko maloom to ho hum pe guzarti kya hai..


Jab jab usey socha dil thaam liya mene..

Jab jab usey socha dil thaam liya mene,

Insan ke hathon se insan pe kya guzri..


Tuesday, 9 December 2014

Tere milne ka gumaa’n, tere na milne ki khalish..

terenamilnekikhalish

Tere milne ka gumaa’n, tere na milne ki khalish,

Waqt guzre ga to yeh zakham bhi bhar jayen ge..


Main bohat acha bohat khaas hoon..

Main bohat acha bohat khaas hoon Mehver,

Mar jaaon ga magar kis aaam ka hone se pehle..


Monday, 8 December 2014

Na khat koi hoga na paighaam hon ge..

nakhatkoipaigham

Na khat koi hoga na paighaam hon ge,

Magar dil ke sajde tere naam hon ge..


Us se main kya mohabbat kya wafaa ki baat karta..

Us se main kya mohabbat kya wafaa ki baat karta,

Pinjraa khola to parindda jo urrna bhi na chaahe..


Sunday, 7 December 2014

Chalo uss ka nahin to khuda ka ehsaan lete hain..

Chalo uss ka nahin to khuda ka ehsaan lete hain,

Woh minnat se nahin maana to mannat se maang lete hain..


Toote huye rishte woh jorr deta hai..

Toote huye rishte woh jorr deta hai,

Baat apne rab per jo chorr deta hai,


Us ke lutf-o-karam ke kya kehne,

Laakhon maango crore deta hai..


Saturday, 6 December 2014

Hum ko to be’sawaal mile be’talab mile..

Hum ko to be’sawaal mile be’talab mile,

Hum woh nahin hain saqi ke jab mangen tab mile..


Friday, 5 December 2014

Rahon pe nazar rakhna, honton pe dua rakhna..

Rahon pe nazar rakhna honton pe dua rakhna,

Aa jaye koi shayed darwaza khula rakhna,


Ehsaas ki shamaa ko is tarah jalaa rakhna,

Apni bhi khabar rakhna us ka bhi pata rakhna,


Raaton ko bhatakne ki deta hai saza mujhe,

Dushwaar hai pehlu main, dil tere bina rakhna,


Logon ko nigaahon se parh lene ki aadat hai,

Logon ki tehreeron ko logon se bacha rakhna,


Bholoon main agar aye dil, tu yaad dila dena,

Tanhai ke lamhon ka har zakham haraa rakhna,


Ik boond bhi ashkon ki daaman na bhigo paaye,

Gham uss ki amaanat hai, palkon pe sajaa rakhna,


Iss tarah Qateel us se bartaao rahe apna,

Woh bhi na bura maane, dil ka bhi kahaa rakhna..


Mujhe ab fark nahin parta december beet jaane ka..



Mujhe ab fark nahin parta december beet jaane ka,

Udaasi meri fitrat hai isey mausam se kya lena..


Har suu teri qudrat ke jalwe hain ya rab..

Har suu teri qudrat ke jalwe hain ya rab,

Hairaan hoon do ankhon se dekhoon kya kya..


Thursday, 4 December 2014

Hassti ko mohabbat main fanaa kon karega..

Hassti ko mohabbat main fanaa kon karega,

Yeh farzz zamane main adaa kon karega,


Haathon ko lakeeron ko zara dekh najoomi,

Yeh bata mujh ko mere sath wafaa kon karega..


Dil roz sajaata hoon main dulhan ki tarah..

Dil roz sajaata hoon main dulhan ki tarah,

Gham roz hi chale aate hain baraat ki tarah..


Wednesday, 3 December 2014

Zakhmii huye jo hont to mehsoos yeh hua..

Zakhmii huye jo hont to mehsoos yeh hua,

Chooma tha kisi phool ko deewangi ke sath..


Tuesday, 2 December 2014

Mujh main hain gehri udaasi ke jaraseem iss qadar..

Mujh main hain gehri udaasi ke jaraseem iss qadar,

Main tujhe bhi iss marzz main mubtilaa kar jaon ga..


Dard bhi iss tarah se hota hai..

Dard bhi iss tarah se hota hai,

Jese phir dard hi naheen hona..


Aik wehshat hai ke hoti hai achaanak taari..

Aik wehshat hai ke hoti hai achaanak taari,

Aik gham hai ke yaka’yak* hi ubal parrta hai..


(yaka’yak:achaanak, suddenly)


Monday, 1 December 2014

Log kehte hain mohabbat main assar hota hai..

Log kehte hain mohabbat main assar hota hai,

Kon se sheher mein hota hai, kidhar hota hai ???


Woh kitaabon main darjj tha hi nahin..

Woh kitaabon main darjj tha hi nahin,

Jo parrhaya sabaq zamaane ne ..


Kal chodhween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera..

Kal chodhween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera,

Kuch ne kaha yeh chaand hai, Kuch ne kaha chehra tera,


Hum bhi wahin mojood they, hum se bhi sab poocha ke yeh,

Hum hanss diye hum chup rahe, manzoor tha parda tera,


Iss sheher mein kis se milen, hum se to choottin mehfilein,

Har shakss tera naam le, har shakss deewana tera,


Bedard! sunte ho to chal, kehta hai kya achi ghazal,

Aashiq tera, ruswaa tera, shaayer tera, Insha tera..