Zamaane ke sawalon ko main hanss ke taal doon lekin,
Nammi ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad atey ho..
Sunday, 30 November 2014
Mujhe tum yaad atey ho..
Tere baghair kisi cheez ki kami to nahi..
Tere baghair kisi cheez ki kami to nahi,
Tere baghair tabiyat udaas rehti hai.
Saturday, 29 November 2014
Kal raat chaand ko dekha to yeh ehsas hua..
Kal raat chaand ko dekha to yeh ehsas hua,
Tum akele ho tumhe meri zaroorat hogi,
Aye khuda us ko kisi aur ka na hone dena,
Warna umar bhar mujhe tujh se shikyet hogi..
Friday, 28 November 2014
Doosri baar bhi hoti to tum se hoti..
Doosri baar bhi hoti to tum se hoti,
Main mohabbat jo bilfarz dobara karta..
Humain khabar thi dushman ke saare thikaanon ki..
Humain khabar thi dushman ke saare thikaanon ki,
Shareek-e-jurm na hote to mukhbrii* karte..
(mukhbrii:jurm ki khabar dena, leaking confidential information)
Tumhare sath mere silsle na milte they..
Tumhare sath mere silsle na milte they,
Safar tha aik magar raste na milte they,
Tujhe ganwa ke meri jaan muje yakeen aya,
Ke log mujhse mere vastey na milte they..
Thursday, 27 November 2014
Agar shaoor na ho to bahisht hai duniya..
Agar shaoor na ho to bahisht hai duniya,
Barre azaab me guzri hai agaahi ke sath..
(bahisht:jannat, heaven)
Sarrkon pe ghoomne ko nikale hain shaam se..
Sarrkon pe ghoomne ko nikale hain shaam se,
Asaib apne kaam se, hum apne kaam se..
Main to iss vaaste chup hoon ke tamasha na bane..
Main to iss vaaste chup hoon ke tamasha na bane,
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi..
Wednesday, 26 November 2014
Yahin se jaan geya main ke waqt dhalne lage..
Yahin se jaan geya main ke waqt dhalne lage,
Main thak haar ke betha to pairr jalne lage,
Jo de raha tha sahaare to ik hajoom main tha,
Jo gir parra to sabhee raasta badalne lage..
Tuesday, 25 November 2014
Khawb aankhon se gaye neend raaton se gayi..
Khawb aankhon se gaye neend raaton se gayi,
Woh gaye to laga zindagi haathon se gayi..
Iss baar jo eendhan ke liye katt ke gira hai..
Iss baar jo eendhan* ke liye katt ke gira hai,
Chirriyon ko barra pyaar tha uss boorrhe shajar se..
(eendhan:fuel)
Rishton main wafa, bharam aur paasdari..
Rishton main wafa, bharam aur paasdari,
Bohat puraane khayaal rakhte ho tum..
Monday, 24 November 2014
Yeh bacha kesa bacha hai..
Yeh bacha kesa bacha hai,
Jo rait pe tanhaa betha hai,
Na is ke paitt main roti hai,
Na is ke tan pe kaprra hai,
Na is ke sar pe topi hai,
Na is ke pair main joota hai,
Na is ke pass khilone hain,
Koi bhaalu hai koi ghorra hai,
Na is ka jee behlaane ko,
Koi lori hai koi jhoola hai,
Na is ki jaib main dhaila hai,
Na is ke hath main paisa hai,
Na is ke ami abu hain,
Na is ki aaya khala hai,
Yeh saare jag main tanha,
Yeh bacha kis ka bacha hai,
Yeh bacha kesa bacha hai..
Tamaam sheher ne dekha mera anjaam magar..
Tamaam sheher ne dekha mera anjaam magar,
Hua jiss se aghaaz woh anjaam thehraa..
Aankhon se mere is liye laali nahin jati..
Aankhon se mere is liye laali nahin jati,
Yaadon se koi raat jo khaali nahin jati,
Ab umar, na mausam, na woh raste ke woh paltte,
Iss dil ki magar khaam khayali nahin jati,
Magar tu agar jaan bhi to hanss ke tujhe de dein,
Teri to koi baat bhi ttaali nahin jati,
Aaye koi aa ke yeh tere dard sambhaale,
Hum se to yeh jageer sambhaali nahin jati,
Maloom humain bhi hain bohat se tere qisse,
Yeh baat teri hum se to uchaali nahin jati,
Humraah teri phool khilaati jo dil main,
Ab shaam wohi dard se khaali nahin jati,
Hum jaan se jaayen ge tabhi baat bane gi,
Tum se to koi raah nikaali nahin jati..
Sunday, 23 November 2014
Us ke aane ki aahatain sun kar..
Us ke aane ki aahatain sun kar,
Har aik mausam bahaar hota hai..
Saturday, 22 November 2014
Yakeen hai ke na aaye ga mujhse milne koi..
Yakeen hai ke na aaye ga mujhse milne koi,
To phir yeh dil ko mere intezar kesa hai..
Issey khuloos kaho ya hamari nadaani..
Issey khuloos kaho ya hamari nadaani,
Jo koi hanss ke mila uss se dosti karli..
Yeh ik ishaara hai aafaat-e-nagehaani ka..
Yeh ik ishaara hai aafaat-e-nagehaani ka,
Kisi jagah se parindon ka kooch kar jana..
Alim Taab
Friday, 21 November 2014
Aik din aye ga woh shakss hamara hoga..
Uss ki ankhon main mohabbat ka sitara hoga,
Aik din aye ga woh shakss hamara hoga,
Tum jahan mere liye seepiyan chunti hogi,
Woh kisi aur hi duniya ka kinaara hoga,
Zindagi! ab mera naam na shamil karna,
Gar yeh tehh hai yehi khail dobaraa hoga,
Jis ke hone se meri saans chala karti hai,
Kis tarah us ke bina mera guzaara hoga,
Yeh achaanak jo ujaala sa hua jata hai,
Dil ne chupke se tera naam pukara hoga,
Ishq karna hai to din raat usey sochna hai,
Aur kuch zehen main aaya to hasaara hoga,
Yeh jo paani main chala aaya sunehri sa gharoor,
Uss ne daryaa main kahin paaon utaara hoga,
Kon rota hai yahan hijar ke sanaatton main,
Mere jesa hi koi hijar ka maara hoga,
Mujh ko maloom hai joon hi main qadam rakhoon ga,
Zindagi tera koi aur kinaara hoga,
Jo meri rooh main badal se garajte hain Wasi,
Uss ne seeney main koi dard utaara hoga,
Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko,
Mere maula ka Wasi jab ishaara hoga..
Dekhtaa chal apne saaye ki taraf..
Ehteyaat’an dekhtaa chal apne saaye ki taraf,
Iss tarah shayed tujhe ehsaas-e-tanhai na ho..
Mehfil me nazar aatey hain naadim chehre..
Abhi mehfil me nazar aatey hain naadim chehre,
Lau chiraghon se zara aur ghataa di jaye..
Thursday, 20 November 2014
Ik kiran bhi to nahi gham ki andheri raat mein..
Ik kiran bhi to nahi gham ki andheri raat mein,
Koi jugnu, koi aansu, koi taara kuch to ho..
Wednesday, 19 November 2014
Hunar hai hum mein daryaa ka..
Hunar hai hum mein daryaa ka nikal jate hain har janib,
Ke lehron ki taraah saahil se takraaya nahin karte..
Ab hum visaal-e-yaar se bezaar hain bohat..
Ab hum visaal-e-yaar se bezaar hain bohat,
Dil ka jhukaao hijar ki jaanib bala’aa ka hai..
Ab bhi baaki hai tere dil mein thora sa khaloos..
Ab bhi baaki hai tere dil mein thora sa khaloos,
Iss se pehle bhi humain yehi dhokaa hua..
Tuesday, 18 November 2014
Befaiz logon se nibhaa kar kuch nahin milta..
Kisi ki aankh se sapne churaa kar kuch nahin milta,
Munddairon se chiraghon ko bhuja kar kuch nahin milta,
Sakoon un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi,
Jinhe apne watan se dil laga kar kuch nahin milta,
Usey kehna ke palkon pe na taanke khawb ki jhaalar,
Samandar ke kinaare ghar bana kar kuch nahin milta,
Na jaane kon se jazbe ki yoon taskeen karta hoon,
Bazaahar to tumhare khat jalaa kar kuch nahin milta,
Usey main pyaar karta hoon to mujh ko chain ata hai,
Woh kehta hai usey mujh ko sataa kar kuch nahin milta,
Mujhe aksar sitaaron se yehi awaaz ati hai,
Kisi ke hijar main neendain ganwaa kar kuch nahin milta,
Jigar ho jaaye ga chhalni, yeh aankhain khoon royen gi,
Wasi, befaiz logon se nibhaa kar kuch nahin milta..
Kuch bhi bachha na kehne ko har baat ho gayi..
Kuch bhi bachha na kehne ko har baat ho gayi,
Aao kahin sharaab piyen raat ho gayi..
Apni palkain woh band rakhta hai..
Apni palkain woh band rakhta hai,
Jaane kesi pasand rakhta hai,
Khud ko kehta hai aasmaan paima’n,
Itni oonchi kamand rakhta hai,
Maara jaye ga dekhna aik din,
Kyun dil-e-dardmand rakhta hai,
Sath wale khafaa, khataa yeh hai,
Kyun iraadey buland rakhta hai,
Dhoop se saamna na ho jaye,
Ghar ke darwaze band rakhta hai..
Maine dekhe huye hain woh lamhe..
Maine dekhe huye hain woh lamhe,
Khamoshi jab kalaam karti hai..
Monday, 17 November 2014
Hosh itna bahaal rehta hai..
Hosh itna bahaal rehta hai,
Sirf tera khayaal rehta hai..
Tera qurb hai na baada hai, kya kiya jaaye..
Tera qurb hai na baada* hai, kya kiya jaaye,
Phir aaj dukh bhi zeyadaa hai, kya kiya jaaye,
Kuch apne dost bhi turkish-badosh phirte hain,
Kuch apna dil bhi kushaada hai, kya kiya jaaye,
Na un se tark-e-taluq ki baat kar paayen,
Na humdumi ka iraada hai, kya kiya jaaye,
Woh meherbaan hai, magar dil ki hirss* bhi kam to ho,
Talab karam se zeyada hai, kya kiya jaaye,
Humain bhi arz-e-tamanna ka dhangg nahin aata,
Mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kya kiya jaaye,
Salook-e-yaar se dil doobne laga hai Faraz,
Magar yeh mehfil-e-aaada hai, kya kiya jaaye..
(baada:libaas, clothes)(hirss:lalach, greed)
Anaaa ka maamla darpaish tha magar …
Anaaa ka maamla darpaish tha magar haqeeqat mein,
Usey meri, mujhe us ki zaroorat mehsoos hoti hai..
Sunday, 16 November 2014
Khud pe beeti to rote ho, sisaskte ho..
Khud pe beeti to rote ho, sisaskte ho,
Woh jo hum ne kiya tha, kya ishq nahi tha??
Phool khilte hain to hum sochte hain..
Phool khilte hain to hum sochte hain,
Tujh se milne ke zamaane aaye..
Saturday, 15 November 2014
Woh shajjar tha shajjar hi raha..
Main shajjar tha shajjar hi raha,
Woh badalta raha mausmon ki tarah..
Raah takte jab thak gayi meri aankhain..
Raah takte jab thak gayi meri aankhain,
Phir tujhe dhoondne meri aankh ke aansu nikle..
Friday, 14 November 2014
Main kuch na kahoon aur chahoon ke meri baat..
Main kuch na kahoon aur chahoon ke meri baat,
Khushbuu ki tarah urr ke tere dil main utar jaye..
Dekha jo teer kha ke dushmanon ki taraf..
Dekha jo teer kha ke dushmanon ki taraf,
Apne hi doston se mulaqaat ho gayi..
Thursday, 13 November 2014
Raaton ko jagte rahe aur din ko so gaye..
Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya,
Raaton ko jagte rahe aur din ko so gaye..
Maine khoya woh jo mera thaa hi nahin..
Thukraa ke us ne mujhe kaha ab muskuraa bhi do,
Main hanss di, aakhir sawaal us ki khushi ka tha,
Maine khoya woh jo mera thaa hi nahin,
Uss ne khoya woh jo sirff ussi ka tha..
Woh aksar mujhe deta hai parindon ki misaal..
Woh aksar mujhe deta hai parindon ki misaal,
Saaf nahin kehta ke mera sheher chorr jaao..
Wednesday, 12 November 2014
Tumhare baad guzrein ge kese hamare din..
Tumhare baad guzrein ge bhala kese hamare din,
November se bachen ge to december maar daale ga..
Apne lehje pe ghaur kar ke bata..
Apne lehje pe ghaur kar ke bata,
Lafzz kitne hain, teer kitne hain..
Hijar ki talkhii zeher hai jaanaa..
Hijar ki talkhii zeher hai jaanaa,
Kuch meethi baatain bhejo naa..
Woh mujh per ajeeb assar rakhta hai..
Woh mujh per ajeeb assar rakhta hai,
Mere dil ki tamaam khabar rakhta hai,
Shayed main usey bhool hi jata magar,
Yaad aane ke woh saare hunar rakhta hai..
Tuesday, 11 November 2014
Kabhi yoon bhi to ho, Tum aao..
Kabhi yoon bhi to ho,
Dariyaa ka sahil ho,
Poore chaand ki raat ho,
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho,
Pariyon ki mehfil ho,
Koi tumhari baat ho,
Aur tum aao,
Yeh narm o mulaayam,
Jab ghar se tumhare guzren,
Tumhari khushbuu churaaye,
Mere ghar le aayen,
Kabhi yoon bhi to ho,
Sooni har manzil ho,
Koi na mere sath ho,
Aur tum aao,
Yeh baadal toot ke barse,
Mere dil ki tarah milne ko,
Tumhara dil bhi tarse,
Tum niklo ghar se,
Kabhi yoon bhi to ho,
Tanhai ho, dil ho,
Boondain hon, barsatain hon,
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho,
Kabhi yoon bhi to ho..
Chand sikon main bikta hai yahan insan ka zameer..
Chand sikon main bikta hai yahan insan ka zameer,
Kon kehta hai mere mulk main mehengayi bohat hai..
Ab dekhiye to kis ki jaan jaati hai..
Ab dekhiye to kis ki jaan jaati hai,
Maine us ki, us ne meri qasam khayi hai..
Zinda rehna hai to halaat se darna kaisa..
Zinda rehna hai to halaat se darna kaisa,
Jangg laazim ho to lashkar* nahin dekhte jate..
(lashkar:group of fighters)
Monday, 10 November 2014
Roothna uss se aur auron se ulajhte rehna….
Aag se seekh liya hum ne yeh qareena bhi,
Bujh bhi jana per barri dair tak sulagte rehna,
Jaane kis umar main jaaye gi yeh aadat apni,
Roothna uss se aur auron se ulajhte rehna..
Agar hon phool pardesi to mat chhuu, bewafa hon ge..
Agar hon phool pardesi to mat chhuu, bewafa hon ge,
Watan ke hon agar kaante to bhar ley apne daaman main..
Udaasiyon ka hunar ikhtiyaar karte hain..
Udaasiyon ka hunar ikhtiyaar karte hain,
Khushi ko zard ruton main shumaar karte hain,
Tum aao, dekho, saraaho, koi to baat karo,
Tumhare vaaste solah singhaar karte hain,
Gulaab le ke seeney main jo kaante sompey,
Hum is tarah ka bhala karobaar karte hain ?
Faqat wisaal ko kehte hain zindagi hum log,
Firaaq ke kahan lamhe shumaar karte hain,
Nishaane un ke kabi chonkte nahin dekhe,
Bohat qareeb se jo log waar karte hain,
Yeh mausmon se shikayat kyun hai hum ko,
Yeh zikar kis ka bhala baar baar karte hain,
Yeh chaand shab se sehar tak kis ka hai matlashi,
Sitaarey yoon kis ka intizaar karte hain..
Sunday, 9 November 2014
Mohabbat ki manzil hi shayed nahin hai..
Mohabbat ki manzil hi shayed nahin hai..,
Jab bhi dekhiye imtihaan aur bhi hain..
Guftguu un se roz hoti hai..
Guftguu un se roz hoti hai,
Mudaton saamna nahi hota..
Saturday, 8 November 2014
Muddat’en ho gayi hain khataa karte huye..
Muddat’en ho gayi hain khataa karte huye,
Sharam aati hai ab to dua karte huye..
Ishq main khawb ka khayaal kise..
Ishq main khawb ka khayaal kise,
Na lagi aankh jab se aankh lagi..
Behter dinon ki aas lagatey huye..
Behter dinon ki aas lagatey huye Habib,
Hun behtreen din bhi ganwatey chale gaye..
Friday, 7 November 2014
Main dair tak rota raha..
Kal raat jaane kya hua,
Kuch dair pehle neend se,
Kuch ashk milne aa gaye,
Kuch khawb bhi toote huye,
Kuch log bhi bhoole huye,
Kuch rasta bhattki hui,
Kuch gard main lipti hui,
Kuch be-tarhaan phaili hui,
kuch hole main simtti hui,
Be-rabt si sochain keyi,
Bhooli hui baatain keyi,
Ik shakss ki raatain keyi,
Bohat dair tak jaaga raha,
Sochon main gum betha raha,
Ungli se thande farsh par,
Ik naam bass likhta raha,
Haan, kal raat bhi woh raat thi,
Kuch dair pehle neend se,
Main dair tak rota raha,
Main dair tak rota raha..
Ishq jab tak na kar chuke ruswaa..
Ishq jab tak na kar chuke ruswaa,
Aadmi kaam ka naheen hotaa..
Kuch nahi chahiye tujh se aye meri umar-e-rawaan..
Kuch nahi chahiye tujh se aye meri umar-e-rawaan,
Mera bachpan, mere jugnu, meri gurriya mujhe la de..
Aye dil tujhe rona hai to jee khol ke ro le..
Aye dil tujhe rona hai to jee khol ke ro le,
Duniya se na barrh kar koi viraana mile ga..
Thursday, 6 November 2014
Halaat ke likhe ko mittaa kyun nahin dete..
Halaat ke likhe ko mittaa kyun nahin dete,
Yeh bojh hai seeney per hattaa nahin dete,
Kyun hum se guraizaan ho batate nahin ho,
Iss raaz se ab pardaa utha kyun nahin dete..
Aashnaa hona tha kisi taur gham se..
Aashnaa hona tha kisi taur gham se,
Tum na hote to kisi aur se bichrre hote..
Wednesday, 5 November 2014
Mere humsafar ka yeh hukam tha..
Mere humsafar ka yeh hukam tha,
Ke kalaam us se main kamm karoon,
Mere hont aese sille ke phir,
Meri chup ne us ko rulaa diya..
Woh bachpane ki neend to ab khawb ho gayi..
Woh bachpane ki neend to ab khawb ho gayi,
Kya umar thi ke shaam huyi aur so gaye..
Na shifaa mile na dawaa mile..
Na shifaa mile na dawaa mile jo dil mein dard utha kare,
Tu jo maut ki kare aarzuu, teri umar aur daraaz ho..
Tuesday, 4 November 2014
Maan lijiye chehre pe dhool hai..
Maan lijiye chehre pe dhool hai,
Ilzaam aayine pe lagana fazool hai..
Main wahan hoon jahan jahan tum ho..
Main wahan hoon jahan jahan tum ho,
Tum karo ge kahan kahan se guraizz..
Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahi raha..
Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahi raha,
Magar tumhare baad zaalimon ka ddar nahi raha..
Monday, 3 November 2014
Mere sabar per koi ajar kya..
Mere sabar per koi ajar kya meri dopehar per koi abar kyun,
Mujhe orrhne de aziyatain, meri aadatain na kharab kar..
Khushi ka gham hai na gham ki khushi ab to..
Khushi ka gham hai na gham ki khushi ab to,
Bohat udaas guzarti hai zindagi ab to..
Kyun yeh azeez hai yeh dhuaan dhuaan sa mausam..
Mujhe kyun yeh azeez* hai yeh dhuaan dhuaan sa mausam,
Yeh hawaa-e-shaam hijraan mujhe raas hai to kyun hai,
Main ujarr ke bhi hoon tera, tu bicharr ke bhi hai mera,
Yeh yakeen hai to kyun hai, yeh qayaas* hai tu kyun hai..
(azeez:like,pasand)(qayaas:guess, andaaza)
Uss ne milne ki bhi kya shart rakhi hai..
Uss ne milne ki bhi kya shart rakhi hai mohsin,
Ke chal ke aana hai sookhey pato’n pe aahat kiye bina..
Sunday, 2 November 2014
Un ki ankhon main bhi halki si nami rehti hai..
Un ki ankhon main bhi halki si nami rehti hai,
Baat karte hain jo auron ko hasaane ke liye..
Wohi hua na woh sehraa mizaaj chorr geya..
Wohi hua na woh sehraa mizaaj chorr geya,
Tumhe kaha bhi tha raste ko ghar nahi kehte..
Sakoon naseeb nahi hai mujhe ujaalon main..
Sakoon naseeb nahi hai mujhe ujaalon main,
Chiraagh le kar andhere talaash karta hoon..
Saturday, 1 November 2014
Us ke baad zamane ne mujh ko rond diya..
Phir us ke baad zamane ne mujh ko rond* diya,
Main gir parra tha kisi aur ko uthaate huye..
(rond:walk over, upar se guzar jana)
Ab bhi aa jata hai woh mere khayalon main..
Ab bhi aa jata hai woh mere khayalon main,
Aaj bhi lagti hai haazri, us ghair hazir ki..
Bohat hi majbooriyan hain waqt ki..
Woh kehta hai bohat hi majbooriyan hain waqt ki,
Saaf lafzon main khud ko bewafa nahin kehtaa..
Karte nahin kuch, to kaam karna kya aye..
Karte nahin kuch, to kaam karna kya aye,
Jeete jee jaan se guzarnaa kya aaye,
Ro ro ke maut maangne walon ko,
Jeena nahi aya to marna kya aaye..