Hona to wohi hai jo kismat mein likha hai,
Lekin woh mere khawb, mere khawb, mere khawb..
Tuesday, 30 September 2014
Hona to wohi hai jo kismat mein likha hai..
Raas humko tanhaayi bhi nahin aati..
Raas humko tanhaayi bhi nahin aati,
Har shakss se bezaar bhi hoon main..
Monday, 29 September 2014
Nahi leta koi bhi naam tere naam se pehle..
Nahi leta koi bhi naam tere naam se pehle,
Koi hadshha sa rehta hai mujhe anjaam se pehle..
Main us ko chorr to sakti hoon chorr nahi paati..
Main us ko chorr to sakti hoon chorr nahi paati,
Woh shakss meri bigrri huyi aadat ki tarah hai..
Eid ka rang chehre se chupaaon kese..
Eid ka rang chehre se chupaaon kese,
Tu meri rooh main dhoondne jaon kese,
Mera har din teri chahat mein eid ka din,
Main sirf aik hi din mehndi lagaaon kese..
Sodagari nahin yeh ibaadat khuda ki hai..
Sodagari nahin yeh ibaadat khuda ki hai,
O bekhabar jazaa ki tamanna bhi chorr de..
Sunday, 28 September 2014
Roz aatey hain baadal abr-e-rehmat le kar..
Roz aatey hain baadal abr-e-rehmat le kar,
Mere sheher ke amaal unhe barasne nahi dete..
Main tere milne ko mojza keh raha tha ..
Main tere milne ko mojza keh raha tha magar,
Tere bicharrne ka saaniha bhi kamaal guzra..
Dil to kya cheez hai hum rooh me utrey hote..
Dil to kya cheez hai hum rooh me utrey hote,
Tum ne chaaha hi nahi chahne walon ki tarah..
Saturday, 27 September 2014
Zara sa hatt ke chalta hoon zamane ki riwayat se..
Zara sa hatt ke chalta hoon zamane ki riwayat se,
Ke jin pe bojh daloon woh kaandhe yaad rakhta hoon..
Mohabbat tark ki mene, garebaan sii liya mene..
Mohabbat tark ki mene, garebaan* sii liya mene,
Zamane ab to khush ho zeher yeh bhi pii liya mene,
Abhi zinda hoon magar sochta rehta hoon khalvat* me,
Ke ab tak kis tamanna ke sahare jii liya mene,
Unhe apnaa nahin sakta magar itna bhi kya kamm hai,
Ke kuch muddat haseen khawbon mein kho ker jii liya mene,
Bass ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo,
Bohat dukh sehh liye mene, bohat din jii liya mene..
(garebaan;collar)(khalvat;privacy)
Kitne tarse huye hain khushiyon ko..
Kitne tarse huye hain khushiyon ko,
Woh jo eido’n ki baat karte hain..
Bohat khamosh reh kr jo, Sadayein mujh ko daita tha..
Bohat khamosh reh ker jo,
Sadayein mujh ko daita tha,
Barre sundar se jazbon ki,
Wafain mujh ko daita tha,
Kabhi jo dard ki aatish mujhe,
Sulganay lagti thi,
Woh apnay saans ki,
Mehki hawaayein mujh ko daita tha,
Usay main ajnabi samjha,
Magar har mor par ‘mohsin’,
Woh apnay naam ki saari
Duaein mujh ko daita tha..
Aaj us ne ajeeb khairaat ki..
Aaj us ne ajeeb khairaat* ki,
Mere hathon pe apna hath rakh kar..
(khairaat;bheek)
Kissi faqeer ki jholi mein, Jab mene aik sikka daala..
Kissi faqeer ki jholi mein,
Jab mene aik sikka daala,
Tab yeh jaana ke,
Iss mehngayi ke zamaney mein,
Duyaayen,
Aaj bhi kitni sassti hain..
Friday, 26 September 2014
Kash iss eid ke haseen lamhon mein..
Kash iss eid ke haseen lamhon mein,
Meri zaat-e-gumshuda tujhe yaad aye..
Phir kahaan hisaab rehta hai..
Phir kahaan hisaab rehta hai,
Pyar jab be-hisaab ho jaye..
Mujhe iss lafz “mohabbat” ka aitbaar naheen..
Main guraizaa’n hoon mohabbat se to sabbab kuch aur hain,
Warna hai kon jo chaahat ka talabgaar naheen,
Main to saraapa-e-mohabbat hoon magar phir bhi,
Mujhe iss lafz “mohabbat” ka aitbaar naheen..
Thursday, 25 September 2014
Kho gayi subah ki umeed aur ab yoon lagta hai..
Kho gayi subah ki umeed aur ab yoon lagta hai,
Hum nahi hon ge ke jab hon ge ujaale Mohsin..
Baad marne ke meri qabbar pe aaya ghaafil..
Baad marne ke meri qabbar pe aaya ghaafil,
Yaad ayi mere qatil ko wafaa mere baad..
Hum ne kaanton ko bhi barri narmi se chhua hai..
Hum ne kaanton ko bhi barri narmi se chhua hai,
Log be’dard hain phoolon ko massal dete hain..
Wednesday, 24 September 2014
Chaand dekha to yaad ayi hai teri surat..
Chaand dekha to yaad ayi hai teri surat,
Hath uthte hain magar harf-e-dua yaad nahin..
Agar tujhe kuch hua nahin hai..
Agar tujhe kuch hua nahin hai,
To dekh main bhi mara nahi hoon..
Bheerr itni to nahin thi sheher ke bazaaron main..
Bheerr itni to nahin thi sheher ke bazaaron main,
Khone wale tu ne kuch dair to dhoonda hotaa..
Lehje mein yeh tawaazun barri mushkil se aya hai..
Hamare lehje mein yeh tawaazun* barri mushkil se aya hai,
Keyi mizaajon ke dasht dekhe, Keyi rawayion ki khaak chhaani..
(tawaazun;stability, thehraao)
Hum kis se kahen, kis se sunain Eid Mubarak ??
Dastoor hai duniya ka magar yeh to bataao,
Hum kis se kahen, kis se sunain Eid Mubarak ??
Tuesday, 23 September 2014
Kuch log bohat yaad atey hain..
Kuch log bohat yaad atey hain,
Phoolon pe shabnam jab parrti hai,
Saawan ki jharri jab lagti hai,
Ya door chaman main phoolon ke,
Koi koyel naghma jab gaati hai,
Ya baad-e-sabaa chupke se,
Dheemi si sargoshi karti hai,
Kuch log bohat yaad atay hain,
Ya taiz aandhi mein bhi kahin,
Wafaa ka deep jo jalta hai,
Ya phir gehri khamoshi main,
Koi pataa kahin sirakta hai,
Ya phir gaaon ki galiyon mein,
Koi be’bas shakss guzarta hai,
Kuch log bohat yaad atey hain,
Jab soonay soonay aanghan main,
Koi tanhaa khud se ulajhta hai,
Jab rim jhim barasti barish mein,
Ik dhundhlaa naqsh ubharta hai,
Ya phir dil ki dharrkan hi,
Paagal si ho jati hai,
Ya iss bheerr mein duniya ki,
Koi khawhish si kho jati hai,
Jab bhoole bhatke pancchi,
Gharon ko laut ke jaate hain,
Kuch log bohat yaad atey hain,
Kuch log bohat yaad atey hain..
Mujhe phir se school ka bassta thamaa do na..
Mujhe phir se school ka bassta thamaa do na,
Mujhe zindagi ke sabaq bohat mushkil lagte hain..
Din bhar khafaa thi mujh se magar chaand raat ko..
Din bhar khafaa thi mujh se magar chaand raat ko,
Mehendi se mera naam likha us ne haath per..
Monday, 22 September 2014
Purana dost tha, dastak nayi thi..
Purana dost tha, dastak nayi thi,
Meri dehleez pe khushbuu rakhi thi,
Koi to baat us ki maan leti,
Mohabbat umar me mujhse barri thi..
Na chain aaye jeene se to marne se sakoon hoga..
Na chain aaye jo jeene se to marne se sakoon hoga,
Mohabbat hadh se barrh jaye to lazim hai janoon hoga..
Gohar Ilyas Jalali
Kuch main bhi thak gayi hoon usey dhoondte..
Kuch main bhi thak gayi hoon usey dhoondte dhoondte,
Kuch zindagi ke pass bhi mohlat nahin rahi,
Us ki aik aik adaa se jhalakne laga tha khuloos,
Jab mujh ko hi aitbaar ki aadat nahin rahi..
Yehi dil tha ke tarasta tha maraasim ke liye..
Yehi dil tha ke tarasta tha maraasim* ke liye,
Ab yehi tark-e-taluq ke bahaane dhoonde..
(maraasim;relations, rishte)
Ehsas-e-nidaamat, aik sajda aur chashm-e-tar..
Ehsas-e-nidaamat*, aik sajda aur chashm-e-tar*,
Aye khuda kitna aasan hai mananaa tujh ko..
(nidaamat;guilt,ghalti ka ehsas)(chashm-e-tar;eyes drenched with tears, aansuyon se bhari ankhain)
Sunday, 21 September 2014
Main apni tanhaayion se tang aa kar..
Main apni tanhaayion se tang aa kar,
Bohat se aayine khareeed laya hoon..
Kya khoob hota ke yaadain rait hoti’n..
Kya khoob hota ke yaadain rait* hoti’n,
Muthi se gira dete, paaon se urra dete..
(rait;sand)
Kaar-e-duniya bhi, neya ishq bhi, yadain bhi..
Kaar-e-duniya bhi, neya ishq bhi, yadain bhi Saleem,
Kitne zakhmon ko sajaye huye ghar jao ge tum..
Jo rakhte hain phool kitaabon mein..
Tawajjoh de apni taleem per,
Na parr ishq ke azaabon mein,
Aksar wohi log barbaad hote hain,
Jo rakhte hain phool kitaabon mein..
Kuch log yoon bhi hum se khafaa hain..
Kuch log yoon bhi sheher me hum se khafaa hain,
Har eik se apni bhi tabiyat nahi miltii..
Yahan zameer bikte hain yahan insaan bikte hain
Yahan zameer bikte hain yahan insaan bikte hain,
Zara tum daam to badlo yahan imaam bikte hain..
Saturday, 20 September 2014
Tum ne kon si achaayi ki hai..
Khuli aankhon se saari umar dekha,
Ik aesa khawb jo apna nahi tha,
Tum ne kon si achaayi ki hai,
Chalo maana ke main acha nahi tha..
Un ke dekhne se aa jati hai chehre pe ronaq..
Un ke dekhne se aa jati hai chehre pe ronaq,
Woh samajhte hain ke beemar ka haal acha hai..
Wohi mehfooz rakhe ga mere ghar ko balaaon se..
Wohi mehfooz rakhe ga mere ghar ko balaaon se,
Jo barish mein shajjar se ghaunsle girne nahin deta..
Tum se kab hum ne mulaqat ka vaada chaha..
Tum se kab hum ne mulaqat ka vaada chaha,
Door reh ker tujhe kuch aur bhi zeyada chaha,
Yaad aayi hai teri aur bhi shiddat se humein,
Bhool jaane ka tujhe jab bhi iraada chaha..
Saanson ka toot jana to ik aaam si baat hai..
Saanson ka toot jana to ik aaam si baat hai Danish,
Jahan apne yaad karna chorr dein, maut usi ko kehte hain..
Friday, 19 September 2014
Main chahta hoon tujh pe kisi ka haq na rahe….
Tujh akela parrhoon koi hum’sb* na rahe,
Main chahta hoon tujh pe kisi ka haq na rahe..
(hum’sb;sharers, baanttne wale)
Koi dhoka nahin aesa jo na khaya hum ne..
Koi dhoka nahin aesa jo na khaya hum ne,
Zindagi bhar tera sath nibhaaya hum ne,
Kabhi mehnat ka silaa apni to paya hi nahin,
Chhaaon auron ko mili pairr lagaya hum ne..
Tu bichhrra to ehsaas hua tere sang thi har khushi..
Tu bichhrra to ehsaas hua tere sang thi har khushi,
Meri pehchaan ke jaana sab hawaaley tujh se they..
Yeh jo nazron se dil ko niddhaal karte ho..
Yeh jo nazron se dil ko niddhaal karte ho,
Karte ho zulm magar, kamaal karte ho..
Thursday, 18 September 2014
Tu ne chorra tou mein kidhar jaunga?
Tu ne chorra tou mein kidhar jaunga?
Kisi aur dar pe jane se qabal mar jaunga..!
Itna to khaaya nahin tha namak tera..
Itna to khaaya nahin tha namak tera,
Jitna chhirrka hai tu ne zakhmon par..
Har morr pe milta hai hamdard neya..
Har morr pe milta hai hamdard neya,
Mere sheher me hain fankaar bohat..
Janu tum mujhe aik jagha se bohat achi lagti ho…
Husband : Janu tum mujhe aik jagha se bohat achi lagti ho ?
Wife (sharmate huye) : Kahan se janu ?
Husband : Doooooooor se
Un ki aankhon mein bhi halki si nami rehti hai..
Un ki aankhon mein bhi halki si nami rehti hai,
Baat karte hain jo auron ko hasaane ke liye..
Wednesday, 17 September 2014
Soyi nahin hoon mujhe sulaa do maan..
Soyi nahin hoon mujhe sulaa do maan,
Ajao mujhe lori sunaa do maan,
Asshk meri aankhon se jam se gaye hain,
Karke jabbr mujhe rulaa do maan,
Dekh kitni be’tarteeb ho gayi hai zindagi meri,
Bikhre hain mere baal bana do maan,
Bohat ddar lagta hai mujh ko duniya se,
Apne aanchal main mujh ko chupaa lo maan,
Jall rahi hoon main ik be’naam si tapish se,
Choom ke mera maatha bhuja do maan..
Tum bohat saal reh liye apne..
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, sirf mere ho ke raho..
Jo dard ke sehra mein akela bhi bohat hai..
Jo dard ke sehra mein akela bhi bohat hai,
Uske liye deewar ka saya bhi bohat hai,
Dekha nahi tanhayi mein tum ne kabhi usko, ,
Bichhrre hue logon ke liye roya bhi bohat hai,
Kuch tujhko mohabbat par yakeen tha na wafa par,
Kuch dukh meri taqdeer mein likha bhi bohat hai,
Beenai andheron se bhala kaise bachata,
Ek shakhs tere hijr mein jaga bohat hai,
Wo aur hai jo chhu kar tujhe dekhna chahte,
Mujhko tere khwabki duniya bhi bohat hai,
Kirdar se mehroom tha ye sheher to is na,
Humko dar-o-deewar par likha bhi bohat hai..
Ishrat dariya hai dariya mein fana ho ja..
Ishrat dariya hai dariya mein fana ho ja,
Dard ka hadh se guzarna hai dawaa ho jana..
Tuesday, 16 September 2014
Kitni shiddat se chaaha tha usko maine..
Kitni shiddat se chaaha tha usko maine,
Dushman bhi hota to nibhaata umar bhar..
Qayamat bhi guzar jaye to ab roya nahin jaata..
Woh kya nanhi si na’asoodgi per khul ker ro lena,
Qayamat bhi guzar jaye to ab roya nahin jaata,
Yeh kesi fitnaa parwar fassal hai Masood basti mein,
Jisse kaatta to jata hai magar bboya nahin jaata..
Bohat arsaa hua bataya tha mujhe us ne..
Bohat arsaa hua bataya tha mujhe us ne,
Banana kuch nahin aata,
Agar main kuch banati hoon,
To bas chaaye banati hoon,
Piyo ge naa…
To mein iss baat per,
Muskuraata hi raha tha,
Ke banana kuch nahin ata,
Bas ek chaaye banati ho..
Mujhe chaaye se uljhan hai,
Nahin peeta,
Nahin peeta,
Magar is baat ko beetey,
Zamana ho geya logo,
Nahin maloom mujh ko,
Woh kesi hai,
Kahan per hai,
Per ab main chaaye peeta hoon,
Barri qassrat se peeta hoon,
Barri hassrat se peeta hoon..
Monday, 15 September 2014
Dil-o-dimagh main kesa bhanwar bana hua hai..
Dil-o-dimagh main kesa bhanwar bana hua hai,
Zameer mere liye dard-e-sar bana hua hai,
Main apni chhat ke liye kaat’ta zaroor magar,
Shajjar mein kitne parindon ka ghar bana hua hai..
Jab se ik chaand ki chahat mein sitara hua hoon..
Jab se ik chaand ki chahat mein sitara hua hoon,
Sheher-e-shab zaad ki ankhon ka sahara hua hoon,
Aye mere dard ke daryaa ki rawaani, mujhe dekh,
Mein tere qurb se katt katt ke kinara hua hoon,
Zindagi, tujh sa munaafiq bhi koi kya ho ga,
Tera shahkaar hoon aur tera hi maara hua hoon,
Saamne phir mere apne hain, sau main janta hoon,
Jeet bhi jaaon ga to yeh jang mein haara hua hoon,
Zakham gintaa hon shab-e-hijr mein aur sochta hon,
Main to apnna bhi naa tha, kese tumhara hua hoon,
Main payambar hoon na ho sakta hoon, phir bhi Ahmad,
Aesa lagta hai ke sar-e-khaak se utaara hua hoon..
Ahmad Fareed
Le chala jaan meri rooth ke jana tera,..
Le chala jaan meri rooth ke jana tera,
Aese aaney se to behter tha naa ana tera..
Ya rab mujhe na maal, na jah-o-jallal de..
Ya rab mujhe na maal, na jah-o-jallal de,
Do din ke baad rizq de lekin halaal de..
Samaan ko baandhey huye is soch me gum hoon..
Apne samaan ko baandhey huye is soch me gum hoon,
Jo nahin kahin rehte, woh kahan jaatey hain…
Tikti nahin nazar ke ussay dekhun nazar bhar..
Rach gayi khushbu mein gul-andaam*, saman brr*,
Tikti nahin nazar ke ussay dekhun nazar bhar,
Woh husn-e-saraapa ke pairaahan* bhi itraaye,
Jo rkhy sahj sahj* ke qadam mehkay reh-guzar,
Munaqqash* dhaari daar aanchal ki aarr se,
Jhaank raha hai tera rukh-e-mo’tabarr*,
Teri chaand soorat dekh dekh toot rhe hain,
Taaro’n ko chamaknay ka nahin waqt moyassar,
Chaman ke sbhi phool tujhy dekh kr kahen,
Hum se bhi ziyaada hasee’n? Hairat hai sara-srr,
Zidd kar raha hai chaand in palko’n mein rehny ki,
In surmagee’n* aankhon ki siyaahi ko dekh kar,
Tu ne kaha jis dil-kashi se “qubool hai”,
Bol uthay lafz “aye naazneen*!! Mukarrar”,
Mehndi lagay haathon mein muqayyad* huwa qalam,
Mansoob kar gaya tujhy khushiyon se umr bhrr,
Nikaah-e-muqaddas ki mubaarik hai de rahi,
Tere liye fiza bhi ho rhi hai mu’attar,
Iss qadar khuloos se maanga tujhy mein ne..
Rashk kr raha tha shbb ka pehr-e-mu’akharr*…
(gul-andaam;phool ke se jism wala, saman brr;chambeli sa badan wala/khoobsurat, pairaahan;libaas, sahj sahj;ahista aahista, munaqqash;naqsh wala/bail-daar, mo’tabbar;aitabar kiya gaya, surmagee’n;surmay wali/kajal ke jesi, naazneen;dil-faraib, muqayyad;qaid kiya gaya, pehr-e-muakhar;akhri pehr)
Sadia Shakeel
Sunday, 14 September 2014
Deewane ki yeh baat barri baat hai pyaare..
Deewane ki yeh baat barri baat hai pyaare,
Sab pooche hain lekin woh tera naam na lay hai..
Iqbal Azeem
Saturday, 13 September 2014
Bache faraib kha kar chittaayi per so gaye..
Bache faraib kha kar chittaayi per so gaye,
Ek maan ubaalti rahi pathar tamaam raat..
Khuda ke dar pe bhi gunaah’gaar hota hoon..
Main khuda ke dar pe bhi gunaah’gaar hota hoon,
Woh shakhss mujhe sajdon mein jo yaad ata hai..
Muft mein ehsaan na lena mohsin..
Muft mein ehsaan na lena mohsin,
Dil abhi aur bhi saste hon ge..
Friday, 12 September 2014
Burey waqt ho to laut jao tum..
Burey waqt ho to laut jao tum,
Sabhi chehre aazmaa liye hum ne..
Mohabbat se, wafa se chott lagti hai..
Mohabbat se, inaayat se, wafa se chott lagti hai,
Bikharta phool hoon mujhe hawaa se chott lagti hai..
Halaan’ke mohabbbat kuch bhi nahin..
Halaan’ke mohabbbat kuch bhi nahin,
Alfaz ke jhoote bandhan mein,
Eghraaz ke jhoote pardon mein,
Har shakss mohabbat karta hai,
Halaan’ke mohabbat kuch bhi nahin,
Sab jhoote rishte naatey hain,
Sab dil rakhne ki batain hain,
Kab kon kisi ka hota hai,
Sab assli roop chupaate hain,
Ehsaas se khaali log yahan,
Lafzon ke teer chalate hain,
Aik baar nazar main aa ke woh,
Phir saari umar rulaate hain,
Yeh ishq-o-mohabbat, mehr-o-wafa,
Sab rasmi rasmi baten hain,
Har shakhss khudi ki masti mein,
Bass apni khaatir jeeta hai..
Thursday, 11 September 2014
Jo dil ko acha lagta hai usi ko dost kehta hon..
Jo dil ko acha lagta hai usi ko dost kehta hon,
Munafiq ban ke rishton ki siaasat mein nahin karta..
Mere jism mein zara jo jaan baaqi hai..
Mere jism boseeda mein zara jo jaan baaqi hai,
Kisi ke laut aaney ka koi imkaan baaqi hai,
Woh chahe rasta badle, chahe raabta badle,
Usey mujh se mohabat hai, mera imaan baaqi hai..
Wednesday, 10 September 2014
Hum chup hain to is ko bhi ghaneemat jano..
Yeh jo hum chup hain to is ko bhi ghaneemat jano,
Hum agar sabar na karte to qayamaat karte..
Tuesday, 9 September 2014
Dastakain itni zeyada hain ke ddar lagta hai..
Dastakain itni zeyada hain ke ddar lagta hai,
Zain goya kisi maqrooz ka ghar lagta hai..
Monday, 8 September 2014
Kabhi daryaa bi nahin kafi, kabhi qatra hai bohat…
Tishnagi mein bhi maqamaat hain kya kya yaani,
Kabhi daryaa bi nahin kafi, kabhi qatra hai bohat..
Kya rog de gayi hai yeh naye mausam ki barish..
Kya rog de gayi hai yeh naye mausam ki barish,
Mujhe yaad aa arahe hain mujhe bhool jane waley..
Jee bhar ke badnaam ho gaye..
Jee bhar ke badnaam ho gaye,
Haq adaa hua jawaani ka..
Sunday, 7 September 2014
Zindagi raqss kabhi karti thi..
Kitna shafaaf tha manzar mera,
Kitni dhool urri hai mujh mein,
Zindagi raqss kabhi karti thi,
Ab to chup chaap parri hai mujh mein..
Tera gharoor hi tujhe na le doobey..
Tera gharoor hi tujhe na le doobey,
Suna hai parhta tha namaz iblees bhi..
Saturday, 6 September 2014
Woh to khushbuu hai hawaaon mein bikhar jaye ga..
Woh to khushbuu hai hawaaon mein bikhar jaye ga,
Masla phool ka hai, phool kidar jaaye ga..
Maqrooz ke bigrre huye halaat ki maanind..
Maqrooz ke bigrre huye halaat ki maanind,
Majboor ke honton pe sawalaat ki manind,
Dil ka teri chahat mein ajab haal hua hai,
Sailaab se barbaad makanaat ki manind..
Friday, 5 September 2014
Teri qurbat bhi nahin hai muyassar..
Teri qurbat bhi nahin hai muyassar,
Aur din bhi barishon ke aa gaye hain..
Thursday, 4 September 2014
Nateeja phir wohi hoga suna hai chaal badle ga..
Nateeja phir wohi hoga suna hai chaal badle ga,
Parinde bhi wohi hon ge, shikari jaal badle ga,
Badalne hain to dil badlo badalte ho to hindsey* hi,
Mahiney phir wohi hon ge bechaara saal badle ga,
Agar hum maan lein Aabi mahina saath* salon ka,
Batao kitne saalon mein hamara haal badle ga..
(hindsey;digits, saath;60)
Dhoond raha hoon chalne ki tadbeer koi..
Dhoond raha hoon chalne ki tadbeer koi,
Baandh geya hai pairon mein zanjeer koi..
Wednesday, 3 September 2014
Dil-e-tabaah tere gham ko taalney ke liye..
Dil-e-tabaah tere gham ko taalney ke liye,
Suna raha hai fasaaney idhar udhar ke mujhe..
Tuesday, 2 September 2014
Har gharri achi aas rakha kar..
Har gharri achi aas rakha kar,
Achi yaadon ko paas rakha kar,
Dil mera doob doob jata hai,
Yun na aankhen udaas rakha kar..
Syed Athar Ali
Monday, 1 September 2014
Afsaanon ki duniya mein sab jhoot nahin hota..
Afsaanon ki duniya mein sab jhoot nahin hota,
Dil aur bhi uljhe ga parrhiye na kitabon ko..