Raat gehri thi ddar bhi sakte they,
Hum jo kehte kar bhi sakte they,
Tum jo rooothi to yeh bhi na socha,
Hum to paagal they mar bhi sakte they..
Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.
Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.
Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.
Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.
Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.
Raat gehri thi ddar bhi sakte they,
Hum jo kehte kar bhi sakte they,
Tum jo rooothi to yeh bhi na socha,
Hum to paagal they mar bhi sakte they..
Ehsaas-e-bartri mein griftaar ho gaye,
Hum se mile to log bhi funkaar ho gaye..
(Ehsaas-e-bartri;feeling of being superior)
Itni mazbooti se viraanon ke dar band kiye,
Dil mein utri na koi zaat teri zaat ke baad..
Zabt karna hai to phir hadh se guzarna ho ga,
Khoon ho jaye yeh dil, aankh na bharne paye..
Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi,
Tanha they magar khud se to wehshat na hui thi,
Yeh din hai ke yaron ka bharosa bhi nahi hai,
Woh din they ke dushman se bhi nafrat na hui thi,
Ab saans ka ehsaas bhi ek baar-e-giraan hai,
Khud apne khilaaf aesi baghavat na hui thi,
Ujrre huye iss dil ke har ik zakhm se pucho,
Iss sheher mein kis kis se mohabbat na hui thi,
Ab tere qareeb aa ke bhi kuch soch raha hoon,
Pehle tujhe kho kar bhi nadamat na hui thi,
Khawabon ke hawa raas thi jab tak mujhe Mohsin,
Yoon jaagte rehna meri aadat na hoi hui..
Khushi ka gham hai na gham ki khushi ab to,
Bohat udaas guzarti hai zindagi ab to..
Bicharr ke us se pareshaan bohat hoon main,
Suna hai woh bhi barri uljhanon mein rehta hai..
Jaate jaate woh kyun kar paltta tha,
Ab sataaye ga yeh sawaal mujhe..
Tamaam umar ki awaargi pe bhaari hai,
Woh aik shab jo teri yaad mein guzari hai..
Poora chand ankhon mein bharna,
Tumse dil mein baaten karna,
Ik jesa hai,
Yeh ankhon mein,
Aur tum dil mein,
Jitne paas ho,
Utna sukh ho,
Kitne door ho,
Dukh hi dukh ho..
Jin ke daaman mein kuch nahin hota,
Un ke seeno’n mein pyar dekha hai..
Hijar ke saahil per kis ke muntazir bethe ho tum,
Is samandar se bhala kab lot’ti hain kashtiyan..
Sab fasaaney hain duniya daari ke,
Kis ne kis ka sakoon loota hai,
Sach to yeh hai ke is zamane mein,
Main bhi jhoota hoon tu bhi jhoota hai..
Is jahan mein mazdoor sa darbadar koi nahin,
Jis ne banaye sab ke ghar us ka ghar koi nahin..
Rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi,
To kis umeed pe kahiye ke arzuu kya hai..
Mohabbat ko laazim hai awaargi bhi,
Nahin ishq karta assar bethe bethe..
Waqt ka pata chalta nahin apnon ke sath,
Apnon ka pata chal jata hai waqt ke sath..
Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,
Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,
Chunnay huye hain labon per tere hazar jawab,
Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,
Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,
Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,
Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,
Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to..
Hamara tazkraa choro hum aese log hain jinhe,
Nafrat kuch nahi kehti mohabbat maar deti hai..
Apne saaye se chonk jatey hain,
Umer guzri hai is qadar tanha..
Sholaa hoon bharrakne ki guzarish nahin karta,
Haq muu se nikal jata hai koshish nahin karta..
Teri kahani saari duniya,
Mera hulaasa* bass ek tu..
(hulaasa;summary)
Abhi to hum raakh huye hain firaaq mein,
Abhi to bikharne ka khail baaki hai..
Hijar ne aaj mere kaan me sargoshi ki hai,
Jeeney na tujhe chain se marne doon ga..
Tujh se mila nahin hoon magar chahta hon main,
Tu humsafar ho, aur kaheen ka safar na ho..
Apne hilaaf sheher ke andhey hujoom mein,
Dil ko bohat malaal tujhe dekh kar hua..
Mujh ko zaroorat hai teri,
Sakht garmi mein barish ki tarah..
Awaaz bhi do to nahin laut ke aaney waley,
Tootne waley qayamat ki ana’aa rakhte hain..
Saamne manzil, awaaz unki, kidar jaata,
Rukta to safar jata, chalta to bicharr jata,
Manzil ki bhi hasrat thi aur us se mohabbat bhi,
Aye dil yeh bata mujhko, us waqt kidar jata,
Muddat ka saffar bhi tha aur barson ki shanasaayi,
Rukta to bikhar jata, jeene se mukar jata,
Lagi pyas ghazab ki thi, paani mein bhi zeher tha,
Peeta to main mar jata, na peeta to bhi mar jata..
Khareed loon ga teri saari udaasiyan,
Sikkay mere mizzaj ke jis din chal gaye..
Halaat pareshan to guzar jaayen ge ik roz,
Ehbaab ke honton ki hansi yaad rahe gi..
Sirf eik tarq-e-etaluq ke liye,
Tu ne dhoonde hain bahane kya kya..
Aap apna ghubaar they hum to,
Yaad they yaadgar they hum to,
Hum ko yaaron ne bhi yaad na rakha,
Jon yaaron ke yaar they hum to..
Woh aayen to hairaan woh jayen to pareshan,
Ya rab, koi samjhaye yeh kya ho geya dil ko..
Yoon jo takta hai asmaan ko tu,
Koi rehta hai aasman main kya,
Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakhss tha jahan main kya..
Lehje se utth rahi thi dastaan-e-dard,
Chehra bata raha tha ke sab kuch ganwaa diya..
Rog aese bhi gham-e-yaar se lag jaate hain,
Dar se uthte hain to deewar se lag jaate hain..
Bass yehi soch ke khawhish hi mittaa di apni,
Mujhe me koi aur hai jo karta hai marzi apni..
Bahar se mere jism ki dewaar kharri hai,
Andar se magar toottay huye ghar ki tarah hun..
Mein qaabil-e-nafrat hoon to chorr ja mujh ko,
Tu mujhe se yun dikhawey ki mohabbat na kar..
Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai Meer,
Khaak daal, aag lagaa, naam na le, yaad na kar..
Pehle khushbuu ke mizajon ko samajh lo mohsin,
Phir gulistaan mein kisi gul se mohabbat karna..
Meine dekha tha un dinon mein usey,
Jab woh khilte gulaab jesa tha,
Us ki palkon se neend chalti thi,
Us ka lehja sharaab jesa tha,
Us ki zulfon se bheegti thi ghataa,
Us ka rukh mahtaab jesa tha,
Log parhte they haal-o-khad us ke,
Woh adab ki kitaab jesa tha,
Bolta tha zubaan khushbuu ki,
Log sunte they dharkinon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Sari aankhen thi ayiney us ke,
Sarey chehron mein intikhaab tha woh,
Sab se ghul mil kar ajnabi rehna,
Aik darya numaa saraab tha woh,
Khawb yeh hai ke woh haqeeqat tha,
Yeh haqeeqat hai khawb tha woh,
Dil ki dharti pe asmaan ki tarah,
Suurat-e-saya-e-sahaab tha woh,
Apni neendein bhi us ki nazar hui’n,
Mene paaya tha rat jaggon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Jab woh hans hans ke baat karta tha,
Dil ke haimey mein raat karta tha,
Rang parrhte they anchlon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Yeh magar dair ki kahani hai,
Yeh magar door ka fasaana hai,
Us ke mere milaap mein haayel,
Ab to sadiyon bhara zamana hai,
Ab to hai haal apna bhi,
Dasht-e-hijraan ki shaam jjesa hai,
Kya khabar woh in dinon kesa hoga,
Mene dekha tha un dinon mein usey..
Haq se di to teri nafrat bhi sar ankhon per,
Hairaat mein to teri mohabbat bhi manzoor nahi..
Maine us ko
itna dekha,
Jitna dekha
Ja sakta tha,
Lekin phir bhi
Do ankhon se,
Kitna dekha
Ja sakta tha ?
Ache hote hain burey log,
Ache hone ka dikhawa nahi karte..
Ab sahaaron ki baat mat karna,
Ab dilaason se bhar geya hai dil..
Agar woh pooch lein hum se, tumhe kis baat ka gham hai,
To phir kis baat ka gham hai, agar woh pooch lein hum se..
Sirf hum hain un ke dil mein,
Le doobi yeh ghalat fehmi hum ko..