Chaand nikla to main logon se lippat lippat kar roya,
Gham ke aansuu they jo khushiyon ke bahaney nikley..
Thursday, 31 July 2014
Chaand nikla to main logon se lippat kar roya..
Mera dil teri hi mohabbat ke liye hai..
Mera dil teri hi mohabbat ke liye hai,
Magar yeh offer mehdood muddat ke liye hai..
Wednesday, 30 July 2014
Mene yoon teri yaadein sambhaali hain..
Mene yoon teri yaadein sambhaali hain,
Jaise eidi ho mere masoom bachpan ki..
Tumhari deed se mashroot meri eid hai jaana..
Tumhari deed se mashroot* meri eid hai jaana,
Naqaab-e-rukh zara phairo ke meri eid ho jaye..
(mashroot;related)
Tuesday, 29 July 2014
Tujh ko jo eid ke din bhi hum yaad nahin aye..
Bata kon se mausam main umeed-e-wafaa rakhen,
Tujh ko jo eid ke din bhi hum yaad nahin aye..
Monday, 28 July 2014
Chand ho eid ka to naaz niraaley hain..
Chand ho eid ka to naaz niraaley hain,
Dekho is ke sabhi andaaz tumhare waley hain..
Sunday, 27 July 2014
Laga kar aag seeney mein chale ho tum kahan..
Laga kar aag seeney mein chale ho tum kahan,
Abhi to raakh urrne do tamasha aur bhi hoga..
Saturday, 26 July 2014
Ab ki eid per, Mujh ko jitne cards mile..
Rishta torr ke jane waley,
Mujh ko chorr ke jane waley,
Ab ki eid per,
Mujh ko jitne cards miley,
Un cards mein,
Sab se pyara,
Sab se acha,
Pehla card tumhara hai,
Mujh ko chorr ke jane waley,
Zara kaho to,
Yeh kiss taraf ishaara hai ?
Ghairon mein hain jo shaad unhe Eid Mubarak..
Ghairon mein hain jo shaad unhe Eid Mubarak,
Jin ko nahin hum yaad unhe Eid Mubarak,
Masoom se armaanon ki masoom si duniya,
Jo kar gaye barbaad unhe Eid Mubarak..
Friday, 25 July 2014
Jatey huye kehte ho qayamat ko milein ge.
Jatey huye kehte ho qayamat ko milein ge,
Kya khoob, qayamat ka din hai goya koi aur..
Thursday, 24 July 2014
Chaand eid ka dilkash hai janta hoon..
Chaand eid ka dilkash hai janta hoon,
Hussn-e-janaan se magar haar jaye ga..
Wednesday, 23 July 2014
Lo dekho haar di tum ne, Mohabbat maar di tum ne..
Sulagti talkhh baton se,
Barre bedard hathon se,
Ye zalim hijar ki barchi*,
Meri chahat ke Seeney me,
Kuch ese gaarrh di tum ne,
Lo dekho haar di tum ne,
Mohabbat maar di tum ne..
(barchi;shovel, used for digging)
Koi betaab koi mast koi chup koi hairaan..
Koi betaab koi mast koi chup koi hairaan,
Teri mehfil mein ik tamaasha hai jidar dekho..
Tuesday, 22 July 2014
Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee..
Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee,
Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,
Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair,
Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,
Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya,
Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..
Khamoshi bol uthey, har nazar pegham ho jaye..
Khamoshi bol uthey, har nazar pegham ho jaye,
Yeh sanaatta agar hadh se barrhe, kohraam ho jaye..
Kitne nadaan they tufaan ko kinara samjha..
Kitne nadaan they tufaan ko kinara samjha,
Kitne bejaan saharon ko sahara samjha,
Kitne kam’zarf they woh log jo saahil pe they,
Hamen doobta dekha aur nazaara samjha..
Monday, 21 July 2014
Itna be’hiss ke pighalta hi na tha baaton se..
Itna be’hiss ke pighalta hi na tha baaton se,
Aadmi tha ke taraasha hua pathar dekhaa..
Woh meherbaan hai to iqraar kyun nahin karta..
Woh meherbaan hai to iqraar kyun nahin karta,
Woh bd’gumaan hai to sau baar azmaye mujhe..
Sunday, 20 July 2014
Dekho to aik aik hai tanhaa sulagg raha..
Dekho to aik aik hai tanhaa sulagg raha,
Dekho to sheher sheher hai maila laga hua..
Saturday, 19 July 2014
Jab mein kehta hoon Ya’Allah mera haal dekh..
Jab mein kehta hoon Ya’Allah mera haal dekh,
Hukkam hota hai ke apna naama amaal dekh..
Mukhliss har kisi ke sath rehta hoon..
Mukhliss har kisi ke sath rehta hoon,
Shayed isi liye udaas rehta hoon..
Friday, 18 July 2014
Hilaal-e-eid ko dekho to rok lo aansu..
Hilaal-e-eid ko dekho to rok lo aansu,
Jo ho sake to mohabbat ka ehtraam karo..
(hilaal;moon)
Thursday, 17 July 2014
Woh shakhss bhi mere haal se anjaan betha hai..
Woh shakhss bhi mere haal se anjaan betha hai,
Yoon ishq me goya hum ne paaya kuch bhi nahin…
Wednesday, 16 July 2014
Mujhe fursat mein apne halaat per..
Mujhe fursat mein apne halaat per,
Agar tu na aaye to reham ata hai..
Jab kabhi khud ko yeh samjhaon ke tu mera nahin..
Jab kabhi khud ko yeh samjhaon ke tu mera nahin,
Mujh me koi cheekh uthta hai, nahin aesa nahin..
Tuesday, 15 July 2014
Dil yoon dharrka ke pareshan hua ho jesse..
Dil yoon dharrka ke pareshan hua ho jesse,
Koi be’dheyaani mein nuqsaan hua jo jesse..
Monday, 14 July 2014
Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat..
Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat,
Har baat ko alfaaz mein tola na karo..
Ustaad kyun roya thaa kin halaat ka maara tha..
Ustaad kyun roya thaa kin halaat ka maara tha,
Bachon ko sikhaaya jo mohabbat kese likhte hain..
Sunday, 13 July 2014
Mujhe apni raah pe daal de, ke zamaana meri misaal de..
Koi zabt de na jalaal de, mujhe bas itna kamaal de,
Mujhe apni raah pe daal de, ke zamaana meri misaal de…
Liptta hai mere dil se kisi raaz ki maanind..
Liptta hai mere dil se kisi raaz ki maanind,
Woh shakhss jis ko mera hona bhi nahin hai..
Saturday, 12 July 2014
Bohat dair se koi hichki nahin ayi..
Bohat dair se koi hichki nahin ayi,
Bhoolne walon ki khuda khair kare..
Huye naamwar be’nishaan kese kese..
Huye naamwar* be’nishaan kese kese,
Zameen kha gayi asmaan kese kese..
(naamwar;popular)
Friday, 11 July 2014
Aik lamhe me mere man ko bhigo deti hai..
Aik lamhe me mere man ko bhigo deti hai,
Uski har baat hi saawan ki tarah lagti hai..
Thursday, 10 July 2014
Paani sasta hai to phir uska tahaffuz kesa..
Paani sasta hai to phir uska tahaffuz kesa,
Khoon mehnga hai to har sheher me behta kyun hai..
Hum ne khud zeher halaat mein milaa rakha hai..
Be’sabab shikwa e halaat mein kya rakha hai,
Hum ne khud zeher halaat mein milaa rakha hai..
Wednesday, 9 July 2014
Tujhe doston ki khabar na thi..
Tuje doston ki khabar na thi muje dushmno ka pata na tha,
Teri dastaan koi aur thi, meri waaqeyaa koi aur thaa..
Tuesday, 8 July 2014
Eid ke roz bhi taqdeer se majboor they hum..
Eid ke roz bhi taqdeer se majboor they hum,
Ro parre mil ke gale aap ki tasveer se hum..
Monday, 7 July 2014
Dair to lagti hai us ko bharne mein..
Dair to lagti hai us ko bharne mein,
Jis zamkhm mein shamil ho apno ki inayat..
Sunday, 6 July 2014
Ya rab teri shan jal-e-jalaal hai..
Ya rab teri shan jal-e-jalaal hai,
Meri maang rizq-e-halaal hai,
Meri aajzii ko karo qabool,
Meri zindagi ka sawaal hai..
Log aese wafaa nahin karte..
Log aese wafaa nahin karte,
Jese bache gunaah nahin karte..
Saturday, 5 July 2014
Mayiyyat pe meri aaye hain kuch iss adaa se..
Mayiyyat pe meri aaye hain kuch iss adaa se,
Sab un pe mitt marey hain mujhe tanhaa chorr ke..
Friday, 4 July 2014
Tujh ko dekhe bina qaraar na tha..
Tujh ko dekhe bina qaraar na tha,
Aik aesa bhi daur guzraa hai..
Baad marne ke mere ghar se yeh samaan niklaa….
Chand tasaveer-e-butaan, chand haseenon ke khatoot*.
Baad marne ke mere ghar se yeh samaan niklaa..
(khatoor;letters)
Thursday, 3 July 2014
Yeh bhi sach hai koi ulfat mein pareshan kyun ho..
Yeh bhi sach hai koi ulfat mein pareshan kyun ho,
Yeh bhi sach hai koi kyun kar na pareshan ho jaye..
Is se pehle ke mujh ko sabbar aa jaye..
Is se pehle ke mujh ko sabbar aa jaye,
Kitna acha ho ke laut aao tum..
Wednesday, 2 July 2014
Aik muddat se ab yeh aadat hui hai ke..
Aik muddat se ab yeh aadat hui hai ke,
Khud hi ruthna aur khud hi manaatey rehna..
Kis qadar dil-shikkan they mohabbat ke rastey..
Kis qadar dil-shikkan they mohabbat ke rastey,
Armaan phir koi zindagi mein kar na sake..
Tuesday, 1 July 2014
Jo yakeen ki raah per chal parre..
Jo yakeen ki raah per chal parre, Unhe manzilon ne panaah di,
Jinhe vassvason ne daraa diya, woh qadam qadam per behek gaye..
Afsos theek sahi tere badal jaane ka..
Afsos theek sahi tere badal jaane ka,
Teri baaton ne magar jeena sikhaya hai..